Songs close to my heart..

by brokenbyluv on August 14, 2009, 06:36:29 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 58
Print
Author  (Read 44494 times)
brokenbyluv
Guest
«Reply #15 on: August 14, 2009, 07:12:28 PM »
shukriya rajesh ji...j.s ji apki choice bhi kuch kam nhi hai..its superb ji.... Applause Applause
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
My fav lyrics N songs which touches my heart ! by Delicate_Doll in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
ghazals.........close to my heart by aaina in Ghazals « 1 2 ... 9 10 »
Touching heart all Songs..............Rishi by Rishi Agarwal in Songs & Lyrics « 1 2 ... 9 10 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
jasbirsingh
Guest
«Reply #16 on: August 14, 2009, 07:14:31 PM »
shukriya rajesh ji...j.s ji apki choice bhi kuch kam nhi hai..its superb ji.... Applause Applause

thanks bbl ji



aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai
tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai

gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai
tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai

waqt ke saath haalaat badal jaate haiN
ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai

ek muddat se jahaN kaafile gujre hi nahiN
aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai




Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #17 on: August 14, 2009, 07:17:04 PM »
Kaho tou zara choom loon machalti bahaar mein
Dil kehta hai jaane jaana,
hadh se guzar jaaoon pyaar mein

Kaho tou zara jhoom loon tumhaare is khumaar mein - 2
Dil kehta hai jaane jaana,
hadh se guzar jaaoon pyaar mein


Gesuon se reshmi khushboo chura loon
In labon se shabnami laali udaa loon
Chhodo sharam aaye main kya karoon
Sharmaana kya, ghabaraana kya,
kuch bhi na ab iktiyaar mein

Dekhti hai har ghadi tumko nigaahein
Chaahti hai bas tumhe gori yeh baahein
Hoke judaa tumse jeena nahin
In palkon mein sapne leke baithi hoon main intezaar mein

Kaho tou zara jhoom loon tumhaare is khumaar mein
Dil kehta hai jaane jaana, hadh se guzar jaaoon pyaar mei
Kaho tou zara choom loon machalti bahaar mein......

From: Albela...

 
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #18 on: August 14, 2009, 07:18:11 PM »
j.si ji gaane likhiye naa plz shayari nhi....
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #19 on: August 14, 2009, 07:18:25 PM »
wah wah kya baat hai bbl ji....



socha nahiN achcha bura dekha suna kuch bhi nahiN
maanga khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahiN

dekha tuJhe socha tuJhe chaaha tuJhe pooja tuJhe
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahiN

jispar hamari aaNkh ne moti bichchaaye raat bhar
bheja wohi kaagaz tuJhe humne likha kuch bhi nahiN

ek shaam ki dahleez par baithe rahe wo der taq
aankhoN se kee baateN bahot humne kaha kuch bhi nahiN




Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #20 on: August 14, 2009, 07:20:06 PM »
j.si ji gaane likhiye naa plz shayari nhi....

sheroh ki mallika, songs ki rani
joh tere dil meh wohi meri kahani
ghazal key badley tu song maangey
tere hawaley toh kari mainey jindani


okk okk... waisey .. KAISEY LAGA MERA YEH DIALOUGE ... flirt wala   Laughing hard
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #21 on: August 14, 2009, 07:23:33 PM »

O ho, ho ho
Naseeb insaan ka, naseeb insaan ka
Naseeb insaan ka chaahat se hi sanwarta hai
Kya bura is mein kisi par jo koi marta hai

Hum tumhe chaahte hain aise
Marne waala koi
Marne waala koi zindagi chaahta ho jaise
Hum tumhe chaahte hain aise

Rooth jaao agar tum to kya ho
Pal mein aise lage
Pal mein aise lage, jism se jaan jaise judaa ho
Hum tumhe chaahte hain aise
Marne waala koi
Marne waala koi zindagi chaahta ho jaise
Hum tumhe chaahte hain aise


Ra ra, ru ra ra
Zara poochho to mera iraada
Mujhe kisse hai pyar, mera dil ka hai kaun shehzaada
Zara poochho to mera iraada
Mere khwaabon mein jo saj raha hai
Voh khuda to nahin, par zamaane mein sab se judaa hai
Mere khwaabon mein jo saj raha hai


Zindagi bin tumhaare adhoori
Tumko paaloon agar
Tumko paaloon agar, har kami meri ho jaaye poori
Zindagi bin tumhaare adhoori
Le chalenge tumhe hum vahan par
Tanhaai sanam
Tanhaai sanam shehnaai ban jaaye jahan par

Hum tumhe chaahte hain aise
Marne waala koi
Marne waala koi zindagi chaahta ho jaise
Hum tumhe chaahte hain aise


Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #22 on: August 14, 2009, 07:27:09 PM »
Yeh Dil Terre Kadmo Mein Bichha Doon
Terre Mehke Khaabon Ko Saja Doon
Terri Chaahaton Ke Sadke Meri Zindagi
Abb Tou Jaane Jaana Mujhko Terri Aashiqi
Hasaaye Bhi, Rulaaye Bhi, Sataaye Bhi


Terre Khayaalon Mein, Terre Sawaalon Mein Ulajha Rehta Hoon Main
Kaise Bataayuun Main Kya Kya Muhabbat Ke Sakhm Sehta Hoon Main
Merri Panaahon Mein, Merri Nigaahon Mein, Terra Hi Jalwa Rava
Merri Tassabur Mein, Merri Ibaadad Mein, Terra Hi Kissa Bayaan
Terri Chaahaton Ke Sadke Merri Zindagi
Abb Tou Jaane Jaana Mujhko Teri Aashiqi
Hasaaye Bhi, Rulaaye Bhi, Sataaye Bhi..

Armaano Ko Merre Deewaana Karati Hai Terri Labon Ki Hasin
Merre Tou Lamhon Pe Terri Hi Chaahat Ki Chhaayi Rahe Bekhudi
Merri Tamanna Ne Merre Dilon Jaan Pe Aisa Kiya Hai Asar
Dekhu Jahaan Dekhu Terre Siva Mujhko Aaye Na Kuchh Bhi Nazar
Terri Chaahaton Ke Sadke Merri Zindagi
Abb Tou Jaane Jaana Mujhko Terri Aashiqi
Hasaaye Bhi, Rulaaye Bhi, Sataaye Bhi......

From: Darling...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #23 on: August 14, 2009, 07:28:14 PM »
sheroh ki mallika, songs ki rani
joh tere dil meh wohi meri kahani
ghazal key badley tu song maangey
tere hawaley toh kari mainey jindani


okk okk... waisey .. KAISEY LAGA MERA YEH DIALOUGE ... flirt wala   Laughing hard
badhiya hai ji..flirto k maharaj...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #24 on: August 14, 2009, 07:29:46 PM »
badhiya hai ji..flirto k maharaj...


 Giggle Giggle Giggle Giggle
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #25 on: August 14, 2009, 07:32:43 PM »
Chupke chupke raat din aansu bahaana yad hai
Humko ab tak aashiqui ka vo zamaana yad hai

Khench le na vo merra parde ka kona daffatan
Aur dupatte se terra vo mu chhupaana yad hai,

Humko ab tak aashiqui ka vo zamaana yad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yad hai,

Do paher ki dhoop mein merre bulaane ke liye
Vo terra kothe pe nange paaon aana yaad hai,

Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yad hai......

I LUV THIS SONG ALOT..MERRA MANANA HAI K HAR KISI KI ZINDGI MEIN AISA EHSAS KABHI NA KABHI ZARUR AATA HAI...


From: Nikaah...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #26 on: August 14, 2009, 07:33:44 PM »
hanji bilkul sahi kaha hai aap ney BBL ji....

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #27 on: August 14, 2009, 07:35:25 PM »
hanji bilkul sahi kaha hai aap ney BBL ji....



shukriya j.s ji..
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #28 on: August 14, 2009, 07:38:00 PM »

chingaaree koee bhadake, to saawan use buzaaye
saawan jo agan lagaaye, use kaun buzaaye?
patazad jo baag ujaade, wo baag bahaar khilaaye
jo baag bahaar mein ujade, use kaun khilaaye?

hum se mat poochho kaise, mandir tootaa sapanon kaa
logon kee baat naheen hai, ye kissaa hain apanon kaa
koee dushman thhens lagaaye, to meet jiyaa bahalaaye
manameet jo ghaanw lagaaye, use kaun mitaye?

naa jaane kyaa ho jaataa, jaane hum kyaa kar jaate
peete hain to jindaa hai, naa pite to mar jaate
duniyaa jo pyaasaa rakhe, to madiraa pyaas buzaaye
madiraa jo pyaas lagaaye, use kaun buzaaye?

maanaa toofaan ke aage, naheen chalataa jor kisee kaa
maujon kaa dosh naheen hai, ye dosh hain aaur kisee kaa
mazadhaar mein naiyyaa dole, to maanzee paar lagaaye
maanzee jo naaw dooboye use kaun bachaaye?



Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #29 on: August 14, 2009, 07:39:42 PM »
Dil merra tod diya usne, bura kyun manu
Usko haq hai vo mujhe pyaar kare ya na kare...

Pehle maaloom na tha, aaj yeh maine samjha
Pyaar kehte hai jisse, voh hai dilon ka saudaa
Dil ki dhadkan ko bhalaa kaise koi qaid kare
Yeh to azaad hai jab chaahe jahan aahe bhare
Uske raste mein khadi kyoon koi deewar kare

Saare vaado ka bharam, pal mein vo tod gaya
Gham ke jis mod pe laake voh mujhe chhod gaya
Main ussi mod ki dehleez pe so jaaoongi
Umr bhar uske liye ajnabi ho jaaoongi
Har sitam shok se mujhpe dildaar kare
Usko haq hai voh mujhe pyaar kare ya na kare
Dil merra tod diya usne, bura kyun manu
Bura kyun manu, bura kyun manu......

From: Kasoor...
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 58
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:17:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer