Songs close to my heart..

by brokenbyluv on August 14, 2009, 06:36:29 PM
Pages: 1 ... 20 21 22 23 [24] 25 26 27 28 ... 58
Print
Author  (Read 44800 times)
Rajesh Harish
Guest
«Reply #345 on: November 01, 2009, 05:02:43 PM »
gardish me.n ho.n taare, na ghabaraanaa pyaare
Gar tuu himmat na haare, to ho.nge vaare nyaare
gardish me.n ho.n taare...

mujhako merii aashaa, detii hai dilaasaa -2
aaye.ngii bahaare.n chalii jaaegii Kizaa
ho, aasmaa.n ye niilaa-niilaa kare hai ishaare
gardish me.n ho.n taare...

baazuo.n me.n dam hai, phir kaahe kaa Gam hai -2
apane iraade hai.n, uma.nge.n hai.n javaa.n
ho, mushile.n kahaa.N hai.n, umhe.n meraa dil pukaare
gardish me.n ho.n taare...

duniyaa hai saraay, rahane to kahm aae -2
aayaa hai to ha.Nsii-khushii rah le tuu yahaa.N
ho, suramaa hai zi.ndagii jo kaa.NTo.n me.n guzaare
gardish me.n ho.n taare...

Movie : Reshmi Roomal
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
My fav lyrics N songs which touches my heart ! by Delicate_Doll in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
ghazals.........close to my heart by aaina in Ghazals « 1 2 ... 9 10 »
Touching heart all Songs..............Rishi by Rishi Agarwal in Songs & Lyrics « 1 2 ... 9 10 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
brokenbyluv
Guest
«Reply #346 on: November 01, 2009, 05:41:25 PM »

trhnx rishi ji n rajesh ji for sharing luvly songs...
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #347 on: November 01, 2009, 11:07:27 PM »
Tujhse naraz nahi zindagi heraan hu main
oh heraan hu main..Tere masoom sawalo se pareshan hu main..pareshan hu main..

Jeene ke liye socha hi nahi dard sambhaal ne hoge
muskuraye to muskurane ke karz utaarne hoge
muskuraau kabhi to lagta hai jaise honto pe karz rakha hai

Tujhse naraz nahi zindagi heraan hu main..heraan hu main..

Zindagi tere ghum ne hume rishte naye samjhaye
mile jo hume dhoop me mile chhaau ke thande saaye

Tujhse naraz nahi zindagi heraan hu main..heraan hu main..

Aaj agar bhar aayi boonde baras jaayegi
kal kya pata inke liye aankhe taras jaayegi
jaane kahan ghoom hua kahan khoya
ek aansu chupa ke rakha tha

Tujhse naraz nahi zindagi heraan hu main..heraan hu main
tere masoom sawalo se pareshan hu main..oh pareshan hu main... tearyeyed tearyeyed

From: Masoom
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #348 on: November 01, 2009, 11:17:02 PM »
Mere khuwaabo ka har ek naqsh mita de koi
sukhe patto ka bacha dher jala de koi

Mere khuwaabo ka har ek naqsh mita de koi..

Meri pehchaan ka ek shaqsh issi sheher me hai
main bhi zinda hu zara usko bata de koi

Mere khuwaabo ka har ek naqsh mita de koi..

Kuch to tanhaayi ka ehsaas mujhe kam hoga
mere saaye se agar mujhko mila de koi

Mere khuwaabo ka har ek naqsh mita de koi
sukhe patto ka bacha dher jala de koi

Mere khuwaabo ka har ek naqsh mita de koi... tearyeyed tearyeyed

From: Jism
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #349 on: November 01, 2009, 11:28:14 PM »
Do naina aur ek kahaani
thoda saa badal thoda saa paani
aur ek kahaani

Do naina aur ek kahani..

Choti see do jheelo me wo behti rehti hai
koi sune ya naa sune kehti rehti hai

Kuch likh ke aur kuch zubaani
thoda saa badal thoda saa paani
aur ek kahaani

Do naina aur ek kahaani..

Thodi see hai jaani huyi thodi see nayi
jahan ruke aansu wahin poori ho gayi

Hai to nayi phir bhi hai poorani
thoda saa badal thoda saa paani
aur ek kahaani

Do naina aur ek kahaani..

Ek khatam ho to dusri raat aajati hai
honto pe phir bhuli huyi baat aajati hai

Do naino ki hai ye kahaani
thoda saa badal thoda saa paani
aur ek kahaani

Do naina aur ek kahaani... tearyeyed tearyeyed

From: Masoom
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #350 on: November 02, 2009, 07:11:06 AM »
Nice Song Khushi Ji
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #351 on: November 02, 2009, 07:16:41 AM »
Khuda ne kaunsi mitti se apna dil banaaya hai
Khuda ne kaunsi mitti se apna dil banaaya hai

Tujhe aashiq banaaya hai
Mujhe kaatil banaaya hai

Mere saath chalte chalte yeh kahan theher gaye tum
Mere saath chalte chalte yeh kahan theher gaye tum
Yeh safar katega kaise jo abhi se dar gaye tum haai

Mere saath chalte chalte yeh kahan teher gaye tum
Mere saath chalte chalte yeh kahan teher gaye tum
Yeh safar katega kaise jo abhi se dar gaye tum

Chaand se pagal pooch raha hai raat bachi hai kitni
Bhoole bisre khwaabon ki sau baat bachi hai kitni

Shama se rooth ke parwaane kahan jaayenge
Khaak ho jaayenge deewane kahan jaayenge
Shama se rooth ke parwaane kahan jaayenge
Khaak ho jaayenge deewane kahan jaayenge
Hum bhoola denge tumko tumne socha yeh kaise
Hum daga denge tumko tumne socha yeh kaise

Wada kiya jo mujhse karke mukar gaye tum
Wada kiya jo mujhse karke mukar gaye tum
Yeh safar katega kaise jo abhi se dar gaye tum haai

Mere saath chalte chalte yeh kahan teher gaye tum
Mere saath chalte chalte yeh kahan teher gaye tum
Yeh safar katega kaise jo abhi se dar gaye tum

Woh aisi shama jala ke gaye pyaalon mein
Tamaam umr nahaate rahein ujaalon mein

Saamne aaye woh ulfat ki jawaani le ke
Sehme honthon pe mohabbat ki kahani le ke
Saamne aaye woh ulfat ki jawaani le ke
Sehme honthon pe mohabbat ki kahani le ke
Beqeraari ka mausam meri baahon mein bhar gaye
Chhed ke jazbaaton ko humko deewana kar gaye

Mujhe pyaar karte karte gairon pe mar gaye tum
Mujhe pyaar karte karte gairon pe mar gaye tum
Yeh safar katega kaise jo abhi se dar gaye tum haai

Mere saath chalte chalte yeh kahan teher gaye tum
Mere saath chalte chalte yeh kahan teher gaye tum
Yeh safar katega kaise jo abhi se dar gaye tum


Movie :- Humko Deewana Kar Gaye
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #352 on: November 02, 2009, 07:17:50 AM »
Na jee sakein yahan, na mar sakein yahan
Hasne ki baat chhoro, na ro sakein yahan
To jaaye hum kahan, to jaaye hum kahan
To jaaye hum kahan

Yeh dard ki aahein juda huwi raahein
Bhula denge tumko sanam dheere dheere
Mohabbat ke saare sitam dheere dheere
Bhula denge tumko sanam dheere dheere
Mohabbat ke saare sitam dheere dheere
Abhi naaz hai toote dil ko wafa pe
Abhi naaz hai toote dil ko wafa pe
Ke tootenge saare bharam dheere dheere
Bhula denge tumko sanam dheere dheere

Dil mera chaahe ke seene se dil main nikal ke phaink doon
Bedard is berehem ko hawa mein uchhaal ke phaink doon
Dhoka diya mujhko dhoka diya dil ne mere haaye yeh kya kiya
Dil mera chaahe ke seene se dil main nikal ke phaink doon
Lamhon se haare bujhe nazarein
Ab to saheinge yeh gham dheere dheere
Bhula denge tumko sanam dheere dheere

Tanha akele mein yaadon ke mele mein tum gaye chhod ke
Waado ki rasmon ko chaahat ki kasmon ko tum gaye tod ke
Ghariyan sitamgar katti nahi, ulfat ke manzer se hatti nahi
Tanha akele mein yaadon ke mele mein tum gaye chhod ke
Jahan bhi jaoon tumhe hi paoon
Rukeinge humaare kadam dheere dheere
Bhula denge tumko sanam dheere dheere
Abhi naaz hai toote dil ko wafa pe
Abhi naaz hai toote dil ko wafa pe
Ke tootenge saare bharam dheere dheere
Ke tootenge saare bharam dheere dheere
Bhula denge tumko sanam dheere dheere
Mohabbat ke saare sitam dheere dheere


Movie :- Humko Deewana Kar Gaye
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #353 on: November 02, 2009, 07:18:19 AM »

trhnx rishi ji n rajesh ji for sharing luvly songs...

Thnx Geet JI
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #354 on: November 02, 2009, 07:20:32 AM »
Eh hey, aa aa aa, oh ho, ho oh oh
Aa ha, ha aa aa, ho oh oh
Taaron ka chamakta gehna ho - 2
Phoolon ki mahekti vaadi ho
Us ghar mein khush haali aaye
Jis ghar mein tumhaari shaadi ho
Taaron ka chamakta gehna ho
Phoolon ki mahekti vaadi ho
Us ghar mein khush haali aaye
Jis ghar mein tumhaari shaadi ho
Yeh phool tumhaare zevar hai
Yeh chaand tumhaara aaina
Tum jab aise sharmaati ho
Dulhe ka dhadkta hai seena
Har aaina tumko dekhe
Tum to aisi shehzaadi ho
Us ghar mein khush haali aaye
Jis ghar mein tumhaari shaadi ho


Meri behna hai phool bahaaron ka
Meri behna hai noor nazaaron ka
Meri behna ke jaisi koi behna nahin
Bina iske kahin bhi mujhe rehna nahin
Jaise hai chaand sitaaron mein
Meri behna hai ek hazaaron mein
Hum jaise bhole bhaalon ki
Yeh duniya to hai dilwaalon ki


Yeh duniya hai dilwaalon ki - 2
Taaron ka chamakta gehna ho
Phoolon ki mahekti vaadi ho
Us ghar mein khush haali aaye
Jis ghar mein tumhaari shaadi ho
Khushiyon ke mahelon mein baitho
Koi gham na tumhaare paas aaye
Na umr ka pehra ho tum pe
Mere dil ki dua yeh rang laaye
Rab hasta hua rakhe tumko
Tum to hasne ki aadi ho
Us ghar mein khush haali aaye
Jis ghar mein tumhaari shaadi ho
(Taaron ka chamakta gehna ho
Phoolon ki mahekti vaadi ho
Us ghar mein khush haali aaye
Jis ghar mein tumhaari shaadi ho) - 2




Movie :- Hum Tumhare Hai Sanam
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #355 on: November 02, 2009, 07:22:50 AM »
Ghoonghat Ki Aadh Se Dilbar Ka
Deedaar Adhura Rehta Hai
Jab Tak Na Pade Aashiq Ki Nazar
Singaar Adhura Rehta Hai
Ghoonghat Ki Aadh Se Dilbar Ka

Ghoonghat Ki Aadh Se Dilbar Ka
Deedaar Adhura Rehta Hai
Jab Tak Na Mile Nazron Se Nazar
Iqraar Adhura Rehta Hai
Ghoonghat Ki Aadh Se Dilbar Ka

Dilbar Ka Dilbar Ka Dilbar Ka


Gore Mukhde Se Ghunghta Hataane De
Ghadi Apne Milan Ki To Aane De
Mere Dil Pe Nahin Mera Kaabu Hai
Kuchh Nahin Ye To Chaahat Ka Jaadu Hai
Badhti Hi Jaati Hai Sanam Pyaar Ki Ye Bekhudi Ho
Do Premiyon Ke Na Milne Se
Sansaar Adhura Rehta Hai
Jab Tak Na Mile Nazron Se Nazar
Iqraar Adhura Rehta Hai
Ghoonghat Ki Aadh Se Dilbar Ka

Dilbar Ka Dilbar Ka Dilbar Ka

Baag Mein Gul Ka Khilna Zaruri Hai
Haan Mohabbat Mein Milna Zaruri Hai
Paas Aane Ka Achha Bahaana Hai
Kya Karun Maein Ki Mausam Deewana Hai
Dil Mera Dhadkaane Lagi Ab To Ye Deewaangi Ho
Bina Kisi Yaar Ke Jaan-E-Jaan
Ye Pyaar Adhura Rehta Hai

Jab Tak Na Mile Nazron Se Nazar
Iqraar Adhura Rehta Hai
Ghoonghat Ki Aadh Se Dilbar Ka

Dilbar Ka Dilbar Ka Dilbar Ka



Movie :- Hum Hai Rahi Pyar Ke
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #356 on: November 02, 2009, 07:45:39 AM »
aey bhaai zaraa dekh ke chalo
aage bhi nahin pichhe bhi, daaen bhi nahin baaen bhi
upar hi nahin niche bhi, aey bhaai
tuu zahaan aayaa hai, vo teraa,
ghar nahin gaanv nahin kuuchaa nahin rastaa nahin, duniyaa hai
aur duniyaa hai pyaare sarakas
aur sarakas men
bade ko bhi chhote ko bhi dubale ko bhi mote ko bhi
upar se niche aur niche se upar ko aanaa jaanaa padataa hai
aur ringamaastar ke kode par
kodaa jo bhuukh hai, kodaa jo paisaa hai, kodaa jo kismat hai
dar dar naach ke dikhaanaa yahaan padataa hai
baar baar ronaa aur gaanaa yahaan padataa hai
hiro se, hiro se jokar ban jaanaa padataa hai
aey bhaai

kyaa hai karishmaa kaisaa khilavaad hai
jaanavar aadami se zyaadaa vafaadaar hai
khaataa hai kodaa bhi
rahataa hai bhuukhaa bhi
phir bhi vo maalik pe karataa nahin vaar hai
aur insaan ye
maal jisakaa khaataa hai
pyaar jisase paataa hai
git jisake gaataa hai
usake hi sine men bhonkataa kataar hai
kahiye shrimaan aapakaa kyaa vichaar hai?
aey bhaai

girane se darataa hai kyon, marane se darataa hai kyon
thokar tuu jab tak na khaegaa,
paas kisi gam ko naa jab tak bulaegaa
zindagi hai chiz kyaa nahin jaan paaegaa,
rotaa huaa aayaa hai rotaa chalaa jaaegaa
aey bhaai

sarakas, haan baabu ye sarakas hai
aur ye sarakas hai sho tin ghante kaa
pahalaa ghantaa bachapan hai
duusaraa javaani hai
tisaraa budhaapaa hai
aur usake baad,
maan nahin baap nahin betaa nahin beti nahin
kuchh bhi nahin, kuchh bhi nahin rahataa hai
rahataa hai to bas
khaali khaali kursiyaan hain
khaali khaali tambuu hai
khaali khaali deraa hai
binaa chidiyaa kaa baseraa hai
naa teraa hai naa meraa hai



Movie :- Mera Naam Joker
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #357 on: November 02, 2009, 07:53:29 AM »
Nice collection Rishi Ji
I Love All These Songs
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #358 on: November 02, 2009, 08:11:33 AM »
Nice collection Rishi Ji
I Love All These Songs

Thnx Rajesh Ji 
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #359 on: November 02, 2009, 08:37:16 AM »
Very Nice Collection Geet ji
Nice Sharing Rishi Bhai
Logged
Pages: 1 ... 20 21 22 23 [24] 25 26 27 28 ... 58
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 02:41:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.213 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer