Songs close to my heart..

by brokenbyluv on August 14, 2009, 06:36:29 PM
Pages: 1 ... 21 22 23 24 [25] 26 27 28 29 ... 58
Print
Author  (Read 45439 times)
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #360 on: November 02, 2009, 08:38:43 AM »
Very Nice Collection Geet ji
Nice Sharing Rishi Bhai


Thnx Pankaj BRo
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
My fav lyrics N songs which touches my heart ! by Delicate_Doll in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
ghazals.........close to my heart by aaina in Ghazals « 1 2 ... 9 10 »
Touching heart all Songs..............Rishi by Rishi Agarwal in Songs & Lyrics « 1 2 ... 9 10 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
brokenbyluv
Guest
«Reply #361 on: November 02, 2009, 11:39:49 AM »
thnx pank ji....
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #362 on: November 02, 2009, 11:27:02 PM »
Nice Song Khushi Ji

Thxxx
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #363 on: November 02, 2009, 11:43:00 PM »
Kahin kahin se har chehra tum jaisa lagta hai
tum ko bhul naa paayege hum aisa lagta hai..aisa lagta hai..

Aisa bhi ek rang hai jo karta hai baate bhi
jo bhi isko pahen le wo apna saa lagta hai
tum ko bhul naa paayege hum aisa lagta hai

Kahin kahin se har chehra tum jaisa lagta hai
tum ko bhul naa paayege hum aisa lagta hai..aisa lagta hai..

Aur to sab kuch theek hai lekin
kabhi kabhi yunhi chalta phirta sheher achanak..
achanak tanha lagta hai
tum ko bhul naa paayege hum aisa lagta hai

Kahin kahin se har chehra tum jaisa lagta hai
tum ko bhul naa paayege hum aisa lagta hai..aisa lagta hai

Ab bhi yun milte hai humse phool chameli ke
jaise inse apna koi..jaise inse apna koi rishta lagta hai
tum ko bhul naa paayege hum aisa lagta hai

Kahin kahin se har chehra tum jaisa lagta hai
tum ko bhul naa payege hum aisa lagta hai..aisa lagta hai... tearyeyed tearyeyed

Ghazal from: Jagjit singh,Lata,Aasha
Logged
ehsaas chahat ka
Guest
«Reply #364 on: November 03, 2009, 08:23:27 AM »
Na jaane kyun,,, mujhe EHSAAS hota hai
na jaane kyun,,, mujhe EHSAAS hota hai

kisi din woh mohabbat se,,pakadh ke haath bolega,,
main tumse pyar karta hoon,,main tum bin jee nahin sakta,,
yeh mumkin toh nahin lekin,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

na jaane kyun mujhe ehsaas hota hai,,,na jaane kyun,,,,,,,,

kisi mausam ke aane se,,,kisi ke muskurane se,,
dil dhoob jaata hai,,,

kisi ke rooth jaane se,,parinde chehchahane se,,,
koi wapas bhi aata hai,,,

na jaane kyun mujhe EHSAAS hota hai,,,na jaane kyun,,,,,,,,

kabhi roti hai shehnaai,,,kabhi gaati hai tanhaai,,
yeh khel hai dil ka,,,

kisi ka pyar odhe kyun,,,bathkate hai yeh saudaai,,,
yeh mail hai dil ka,,,

na jaane kyun mujhe EHSAAS hota hai,,,na jaane kyun,,,,,,,,

kabhi jab dil pe dastak ho,,,samajh lena woh aaya hai,,,
phir dair na karna,,,

gaale main daal kar baanhein,,,zara sa muskura dena,,,
aapna bana lena,,,

na jaane kyun mujhe EHSAAS hota hai,,,na jaane kyun,,,,,,,,
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
ost drama name:Ehsaas

hame yeh song bohot pasand tah is liye humne share kar diya

agar kisi ko sun na hai toh is link pe jaa ke sun sakte hai,

http://www.mediafire.com/file/tuheigo9n7h/Ahsaas%20(PTV%20Drama%20OST%20-%20Shabnam%20Majeed)%20%5BDesiUpdate.com%5D.mp3
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #365 on: November 03, 2009, 12:40:55 PM »

waaah pari ji n ehsaas ji to gud songs...ehsas ji maine ye gana suna sach mein kabil-e-tarif hai....
Logged
ehsaas chahat ka
Guest
«Reply #366 on: November 03, 2009, 01:57:47 PM »
thank u geet darling
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #367 on: November 03, 2009, 02:04:24 PM »
ur most welcome ji.
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #368 on: November 03, 2009, 11:20:35 PM »

waaah pari ji n ehsaas ji to gud songs...ehsas ji maine ye gana suna sach mein kabil-e-tarif hai....

Thxx dear geet
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #369 on: November 03, 2009, 11:22:18 PM »
Na jaane kyun,,, mujhe EHSAAS hota hai
na jaane kyun,,, mujhe EHSAAS hota hai

kisi din woh mohabbat se,,pakadh ke haath bolega,,
main tumse pyar karta hoon,,main tum bin jee nahin sakta,,
yeh mumkin toh nahin lekin,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

na jaane kyun mujhe ehsaas hota hai,,,na jaane kyun,,,,,,,,

kisi mausam ke aane se,,,kisi ke muskurane se,,
dil dhoob jaata hai,,,

kisi ke rooth jaane se,,parinde chehchahane se,,,
koi wapas bhi aata hai,,,

na jaane kyun mujhe EHSAAS hota hai,,,na jaane kyun,,,,,,,,

kabhi roti hai shehnaai,,,kabhi gaati hai tanhaai,,
yeh khel hai dil ka,,,

kisi ka pyar odhe kyun,,,bathkate hai yeh saudaai,,,
yeh mail hai dil ka,,,

na jaane kyun mujhe EHSAAS hota hai,,,na jaane kyun,,,,,,,,

kabhi jab dil pe dastak ho,,,samajh lena woh aaya hai,,,
phir dair na karna,,,

gaale main daal kar baanhein,,,zara sa muskura dena,,,
aapna bana lena,,,

na jaane kyun mujhe EHSAAS hota hai,,,na jaane kyun,,,,,,,,
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
ost drama name:Ehsaas

hame yeh song bohot pasand tah is liye humne share kar diya

agar kisi ko sun na hai toh is link pe jaa ke sun sakte hai,

http://www.mediafire.com/file/tuheigo9n7h/Ahsaas%20(PTV%20Drama%20OST%20-%20Shabnam%20Majeed)%20%5BDesiUpdate.com%5D.mp3

Thxx chahat ji for sharing this song aap ki wajeh se ek acha song sunne ko mila..sach me bohat acha hai thxxxx..
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #370 on: November 03, 2009, 11:40:22 PM »
Jee naa sakege tere bina marr jayege tere bina
sona sona mera sona dil mera nahi khona
kho gaya phir naa rona..dil mera nahi khona

Sona sona mera sona rooth ke o sanam jaayega tu kahan
pyaar ki raah se aayega phir yahan
rok le tu kadam mood ke dekh zara
tere piche hai hum chor kar ye jahan

Kaise rahugi tujhse juda
chahugi tujh ko main to sada

Sona sona mera sona dil mera nahi khona
kho gaya phir naa rona..dil mera nahi khona
Sona sona mera sona..

Tod ke dil mera tu chala bewafa
do ghadi hee sahi karle mujhse wafaa
tu bata de zara kya hai meri khata
kyun hai rootha hua kyun hai mujhse khafa

Koi nahi hai tere siva
tu hee to mera jaan-e-wafaa

Sona sona mera sona dil mera nahi khona
kho gaya phir naa rona..dil mera nahi khona
sona sona mera sona.... tearyeyed tearyeyed

From:Made in india ( Alisha )
Logged
Shayaries_King
Guest
«Reply #371 on: November 04, 2009, 11:01:51 AM »
Zindagi ka Janaza

Ghanay Darakht K Neechay Sula K Chor Gaya
Ajeeb Shaks Tha Sapnay Dikha K Chor Gaya
Yeah Ujra Ghar To Usii Aik Ki Nishaani Hai
Tu Apne Naam Ki Takhti Laga K Chor Gaya

Hum To Tinkay Chun Rahay Thay Aashiynay K Liyeah
Aap Say Kiss Nai Kaha Bijli Giranay K Liyeah
Haath Thak Jain Gay Kiyoon Pees Rahay Ho Mehndi
Khoon Haazir Hai Hatheli Pay Laganay K Liyeah

Ishq Ko Dard E Sir Kehnay Walaoon Suno
Kuch Bhi Ho Hum Nai Yeah Dard E Sir Lay Liya
Woh Nigaahon Say Bach Ker Kahan Jain Gay
Ub To Un K Mohallay Mein Ghar Lay Lia

Aa'ye Bun Thun K Shehr E Khamooshaan Mein Wo
Qabr Daikhi Jo Meri To Kehnay Lagay
Aray Aaj Itni To Is Ki Taraqqi Howi
Aik Bayghar Nai Acha Sa Ghar Lay Lia

Idhar Zindagi Ka Janaza Uthay Ga
Udhar Zindagi Un Ki Dulhan Banay Gi
Qayamat Say Pehlay Qayamat Hai Yaaro
Mairay Samnay Meri Dunya Lutay Gi

Jawani Pay Meri Sitam Dhanay Waloon
Zara Sooch Lo Kia Kahay Ga Zamana
Idhar Miaray Armaan Kafan Pehn Lain Gay
Udhar Un K Haathon Pay Mehndi Lagay Gi

Woh Parday K Peechay Mein Parday K Aaagay
Na Woh Aain Aagay Na Mein Jaaon Peechay
Woh Aagay Barhein Gay To Kuch Bhi Na Hoga
Mein Peechay Hatoon Ga To Dunya Hasay Gi

Azal Say Mohabbat Ki Dushman Hai Dunya
Kaheen Do Diloon Ko Milnay Na Day Gi
Idhar Mairay Dil Per Khanjar Chalay Ga
Udhar Un K Maathay Per Bindiya Sajay Gi

//meri maut pariyon ke jhurmat mein hogi
//janaza haseenon ke kaandhe pe hoga
//kafan mera hoga unhe ka dupatta
//bari dhoom se meri mayyat uthay gi

Abhi Un K Hasnay K Din Hein Wo Hasn Lain
Abhi Mairay Ronay K Din Hein Mein Ro Loon
Magar Aik Din Un Ko Rona Paray Ga
K Jiss Din Bhi Meri Mayyat Uthay Gi


From Attaulla Khan
Logged
Shayaries_King
Guest
«Reply #372 on: November 04, 2009, 11:06:57 AM »
rabba haay rabba - (2)

kisi da tu kya laage lo tute kachche dhaage

phire dil maara maara yaar da chhuta sahaara

kyun hai bhala yeh duriya, kyun hai khala abb darmiyaan

rabba tu itana bata de haan bata de bata de rabba

ki kara main hun ki kara we haaan bata de bata de rabba

 

bhaaga bhaaga phirata hai yeh dil, haay jaane aisi kya hai mushkil

tere bina jina nahi hain haay tu toh meri saanson mein shaamil

o teri duwaahiya tere sadake soniya

de de rehaayiyan mainu dil se soniya

dil ka kahin hai kya sahaara, kyun hai bhala yeh duriyaan

rabba tu itana bata de haan bata de bata de rabba

ki kara main hun ki kara we bata de bata de rabba

 

tere bina jiya na mora laage tere bina -2 jiya na laage

rutha rutha rehata hai mann oy jaane aisi kya hai uljhan

tere bina hasata nahi hai haay jaane mera kyun hai dushman

o meri tanhaayiyaan dase mujhako soneya

hongi ruswaayiya tere dil ki soneya

mera nahi hai abb gujaara, kyun hai bhala yeh duriyaan

rabba tu itana bata de haan bata de bata de rabba

ki kara main hun ki kara we bata de bata de rabba

rabba haay rabba - (4)


Movie-Main Aur Mrs Khanna
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #373 on: November 04, 2009, 11:39:27 AM »

tnx n ur welcome pariji...n sk ji thnx for sharing lovely songs......
Logged
ehsaas chahat ka
Guest
«Reply #374 on: November 04, 2009, 08:38:26 PM »
bohot hi piyaari songs hai
thanx for sharing jaan
Logged
Pages: 1 ... 21 22 23 24 [25] 26 27 28 29 ... 58
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:24:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.193 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer