Songs close to my heart..

by brokenbyluv on August 14, 2009, 06:36:29 PM
Pages: 1 ... 35 36 37 38 [39] 40 41 42 43 ... 58
Print
Author  (Read 45406 times)
Sirf Meri Chahat
Guest
«Reply #570 on: December 20, 2009, 03:38:12 PM »
Pa pa sa
Re ni ni sa
Pa pa sa
Re ni ni sa
Pa pa sa
Re ni ni sa….

Dil leke dard-e-dil de gaye…
hmmm

Pa pa sa
Re ni ni sa
Pa pa sa
Re ni ni sa

Dil leke dard-e-dil de gaye
Tum jaan jaan keh ke
Meeri jaan le gaye

Pa pa sa
Re ni ni sa
Pa pa sa
Re ni ni sa

Hey heyyyy…
Humse humari pehchaan le gaye
Hmmm humse humari pehchaan le gaye
Tum jaan jaan keh ke meri jaan le gaye

Humne to socha na tha
Tum yun karib aaoge
Jaane yun anjaane mein
Tum mere ban jaoge

Tu ne cheede taar dil ke
Aa chale hum saath mil ke
Aa chale hum saath mil ke mere sanam

Tum dil se khaawbon ka jaahan le gaye
Hoo hooo ohhh
Humse humari pehchaan le gaye
Tum jaan jaan keh ke meri jaan le gaye

I’ll give my heart, my world
My soul I….
I’ll give my all to you

Pa pa sa
Re ni ni sa
Pa pa sa
Re ni ni sa

Teri mohabbat mein hum
Haad se guzarne lage
Khud ko to roka bahut
Hmmm par tujhpe marne lag gaye

Aa tujhe mein dil mein rakh lu
Dhadkano mein qaid kar lu
Dhadkano mein qaid kar lu
Mere Sanam

Tum dil ke saare armaan le gaye
Mmmm….mmm…
Tum dil ke saare armaan le gaye
Tum jaan jaan keh ke meri jaan le gaye

Dil leke dard-e- dil de gaye
Tum jaan jaan keh ke meri jaan le gaye

Pa pa sa
Re ni ni sa
Pa pa sa
Re ni ni sa
Pa pa sa
Re ni ni sa…..
Movie: Wanted
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
My fav lyrics N songs which touches my heart ! by Delicate_Doll in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
ghazals.........close to my heart by aaina in Ghazals « 1 2 ... 9 10 »
Touching heart all Songs..............Rishi by Rishi Agarwal in Songs & Lyrics « 1 2 ... 9 10 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
Rajesh Harish
Guest
«Reply #571 on: December 20, 2009, 03:44:33 PM »
aa~
lag jaa gale dilarubaa
kahaa.N ruuTh ke chalii
o gulaab kii kalii
tere kadamo.n me.n dil hai meraa
lag jaa gale dilarubaa ...

ai sholaa badan ai zoharaa jabii.n
tum gusse me.n lagatii ho aur hasii.n
baiThaa huu.N jigar ko thaame hue
mujh pe na gire ye bijalii kahii.n
kyaa kahane nazaakat ke
saamaa.N hai qayaamat ke
mai.n to pahalii nazar me.n gayaa
lag jaa gale dilarubaa ...

itaraa ke na chal, balakhaa ke na chal
aa.Nchal ko havaa me.n u.Daa ke na chal
ban jaayegaa koii afasaanaa
dil ko mere ta.Dapaa ke na chal
itanaa na sitam karanaa
kuchh nazar-e-qaram karanaa
dekhiye dil hai naazuk meraa
lag jaa gale dilarubaa ...


Mohd Rafi
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #572 on: December 20, 2009, 05:31:03 PM »
thnx alot everyone nice posting by all..
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #573 on: December 21, 2009, 07:26:32 AM »
Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan..

(Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan) -2
Kaisi, sarhadein, kaisi majbooriyaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Tum chhupa na sakogi main woh raaz hoon
Tum bhoola na sakogi woh andaaz hoon
Goonjta hoon jo dil mein toh hairaan ho kyun
Main tumhaare hi dil ki toh awaaz hoon
Sun sako, toh suno, dhadkanon ki zabaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan
Kaisi, sarhadein, kaisi majbooriyaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Main hi main ab tumhaare khayaalon mein hoon
Main jawaabon mein hoon, main sawaalon mein hoon
Main tumhaare har ek khwaab mein hoon basa
Main tumhaari nazar ke ujaalon mein hoon
Dekhti, ho mujhe, dekhti ho jahaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan
Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan
Kaisi sarhadein, kaisi majbooriyaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan,,,,,
MOVIE:VEER ZAARA


This is my fav song thxx for sharing..
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #574 on: December 21, 2009, 07:45:27 AM »
Ghar se masjid hai bohat dur chalo yun karle
kisi rote huye bachhe ko hansaaya jaaye...kisi rote huye bachhe ko hansaaye jaaye...

Humsafar koi to ho waqt ke weerane me
suni aankho me...suni aankho me koi khuwaab sajaaya jaaye

Ghar se masjid hai bohat dur chalo yun karle
kisi rote huye bachhe ko hansaaya jaaye...

Roshni ki bhi heefazat hai ibaadat ki tarah
bujhte suraj se...bujhte suraj se chiraago ko jalaaya jaaye

Ghar se masjid hai bohat dur chalo yun karle
kisi rote huye bachhe ko hansaaya jaaye...

Ghum akela ho to saanso ko satataa hai bohat
dard ko dard ka...dard ko dard ka humdard banaaya jaaye

Ghar se masjid hai bohat dur chalo yun karle
kisi rote huye bachhe ko hansaaya jaaye
kisi rote huye bachhe ko hansaaya jaaye....

Movie: Tamanna


Logged
Sirf Meri Chahat
Guest
«Reply #575 on: December 21, 2009, 08:41:43 AM »
This is my fav song thxx for sharing..

YOU ARE WELCOME DEAR
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #576 on: December 23, 2009, 07:42:58 AM »
Woh meri neend mera chen mujhe lauta do
woh mera pyaar mera dard mujhe lauta do
neend jitni bhi maine khoyi hai
chen jitna bhi maine khoya hai
Woh meri neend mera chen mujhe lauta do
woh mera pyaar mera dard mujhe lauta do

Ek masoom dil hai aur sitam hai kitne
is mohabbat ke siva aur bhi ghum hai kitne
mere ishq ka imtehaan yun naa lo
tume hai kasam meri jaan yun naa lo

Khuwaab jitne bhi maine dekhe hai
yaad jitna kiya hai maine tujhe
woh mere khuwaab meri yaad mujhe lauta do
woh meri neend mera chen mujhe lauta do
woh mera pyaar mera dard mujhe lauta do

Ye meri bhul thi jo maine tujhe pyaar kiya
naa milne wali mohabbat ka intezaar kiya
ye kya rang laayi hai meri wafa
mili hai mujhe kis liye ye saza

Teri chahat ki pyaas thi mujhko
tujhko paane ki thi umeed mujhe
woh meri pyaas woh umeed mujhe lauta do
woh meri neend mera chen mujhe lauta do
Neend jitni bhi maine khoyi hai
chen jitna bhi maine khoya hai

woh meri neend mera chen mujhe lauta do
woh mera pyaar mera dard mujhe lauta do
woh mere khuwaab meri yaad mujhe lauta do
woh meri pyaas woh umeed mujhe lauta do.... tearyeyed tearyeyed

Movie: Hum hai rahi pyaar ke
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #577 on: December 23, 2009, 06:51:58 PM »
waah pari ji bahut hi khoob gaana hai thnx alot for sharing...luv this song alot...
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #578 on: December 23, 2009, 11:29:14 PM »
Its my pleasure dear
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #579 on: December 23, 2009, 11:45:22 PM »
Woh lamhe woh baate koi naa jaane
thi kaisi raate... oh barsaate
woh bheegi bheegi yaade.... woh bheegi bheegi yaade

Naa main jaanu,naa tu jaane
kaisa hai ye mausam,koi naa jaane
kahin se ye kheeza aayi
ghamo ki dhoop sang laayi
khafa ho gaye hum
juda ho gaye tum

Woh lamhe woh baate koi naa jaane
thi kaisi raate... oh barsaate
woh bheegi bheegi yaade... woh bheegi bheegi yaade

Sagar ki gehraayi se gehra hai apna pyaar
sehraao ki in hawaao me kaise aayegi bahaar
kahan se ye hawaa aayi
ghataaye kaali kyun chhaayi
khafa ho gaye hum
juda ho gaye tum

Woh lamhe woh baate koi naa jaane
thi kaisi raate... oh barsaate
woh bheegi bheegi yaade...woh bheegi bheegi yaade... tearyeyed tearyeyed

Movie: Zaher
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #580 on: December 24, 2009, 03:57:43 AM »
Nice songs  U hve shaired Khushi Ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #581 on: December 24, 2009, 04:00:28 AM »
dam bhar jo udhar mu.Nh phere
dam bhar jo udhar mu.Nh phere, o chandaa
mai unase pyaar kar luu.ngii, baate.n hazaar kar luu.Ngii

dil karataa hai pyaar ke sajade - 2
aur mai.n bhii unake saath
chaa.Nd ko chandaa roz hii dekhe
merii pahalii raat, ho ... merii pahalii raat
baadal me.n ab chhup jaa re o chandaa
mai unase pyaar kar ...
mukesh: dam bhar jo idhar mu.Nh phere
dam bhar jo idhar mu.Nh phere, o chandaa
mai unase pyaar kar luu.Ngaa, nazare.n to chaar kar luu.Ngaa

mai chor huu.N kaam hai chorii - 2
duniyaa me.n huu.N badanaam
dil ko churaataa aayaa huu.N mai.n
yehii meraa kaam, ho ... yehii meraa kaam
aanaa tuu gavaahii dene o chandaa
mai unase pyaar kar luu.Ngaa, nazare.n to chaar kar luu.Ngaa

dil ko churaake kho mat jaanaa - 2
raah na jaanaa bhuul
in kadamo.n se kuchal naa denaa
mere dil kaa phuul, ho ... mere dil kaa phuul
ye baat unhe.n samajhaa de o chandaa
mai unase pyaar kar luu.Ngii ...


# Movie: Aawaara
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #582 on: December 24, 2009, 05:42:41 PM »
Nice songs  U hve shaired Khushi Ji

Thxxxxx ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #583 on: December 24, 2009, 06:19:05 PM »
U R Welcome
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #584 on: December 24, 2009, 06:46:10 PM »
Rishte toote bandhan toote
sajne wale darpan toote
sab kuch tod ke beshak jana
lekin pehle ye to batana
jo pal beete saath tumare
unse picha kaise chhute

Rishte toote bandhan toote
sajne wale darpan toote...

Hanste huye rehte the hum
rote huye jeene lage
khushiya huyi mann se vida
ghum me tere pine lage

Log karege kya,kya baate
yaad hai sawaan ki barsaate
Jo pal bheege saath tumare
unse picha kaise chhute

Rishte toote bhadhan toote
sajne wale darpan toote....

Kehti hai shaam ye kya hua
nagma koi gaate nahi
gulshan ne bhi pucha mujhse
ab tum dono aate nahi

Mushkeel hai kitna ye samjhana
toote dil ka dard chupana
jo pal mehke saath tumare
unki khushbu kaise chhute

Rishte toote bandhan toote
sajne wale darpan toote
sab kuch tod ke beshak jana
lekin pehle ye to batana
jo pal beete saath tumare
unse picha kaise chhute

Rishte toote bandhan toote
sajne wale darpan toote..... tearyeyed tearyeyed

From: Pankaj udhas
Logged
Pages: 1 ... 35 36 37 38 [39] 40 41 42 43 ... 58
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:07:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer