Songs close to my heart..

by brokenbyluv on August 14, 2009, 06:36:29 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 58
Print
Author  (Read 44228 times)
brokenbyluv
Guest
«Reply #60 on: August 14, 2009, 08:44:28 PM »
Silsila yeh chaahat ka na maine bujhne diya,
yeh diya na bujha hai, na bujhega
Merri chaahat ka diya
Merre piya ab aaja re merre piya
..
Is diye sang jal raha merra rom rom rom aur jiya
Ab aaja re merre piya
Faasla tha doori thi, faasla tha doori thi
Tha judaai ka aalam, intezaar mein nazrein thi
Aur tum vahan the, tum vahan the, tum vahan the
Jhilmilaate jagmagaate khushiyon mein jhoomkar
Aur yahan jal rahe the hum, aur yahan jal rahe the hum
Phir se baadal garja hai, garaj garajke barsa hai
Ghoomke toofaan aaya hai par tujhko bujha nahin paaya hai
O piya yeh diya chaahe jitna sataaye tujhe yeh saawan
Yeh hawa aur yeh bijliyaan...
Merre piya ab aaja re merre piya......

From: Devdas...

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
My fav lyrics N songs which touches my heart ! by Delicate_Doll in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
ghazals.........close to my heart by aaina in Ghazals « 1 2 ... 9 10 »
Touching heart all Songs..............Rishi by Rishi Agarwal in Songs & Lyrics « 1 2 ... 9 10 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
jasbirsingh
Guest
«Reply #61 on: August 14, 2009, 08:45:39 PM »
this one is really very very close to me ..... by all means ...




agar hum kaheN aur wo mushkura deiN
Hum unke liye zindgaaNi luTa deiN

har ik mod par Hum gamoN ko sazaa deiN
chalO zindaGi ko mohabbat bana deiN

aGar khud ko bhoole to kuch bhi na bhoole
ke chaahat meiN unkee khuda ko bhula deiN

kabHi gam kee aandhee jinHeN choo na paaye
wafa ke Hum wo nashe-Man bana deiN

qayaamat ke deewaane kehte haiN humse
chalO unke chehRe se parda haTa deiN

saza de silaa de, bana de miTaa de
maGar wo koi fiaslaa to sunaa de

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #62 on: August 14, 2009, 08:47:06 PM »
waah waah waah j.s ji maza agya..ye ghazal mujhe bahut bahut pasand hai..thnx alot for sharing... Applause  Applause  Applause
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #63 on: August 14, 2009, 08:48:04 PM »
waah waah waah j.s ji maza agya..ye ghazal mujhe bahut bahut pasand hai..thnx alot for sharing... Applause  Applause  Applause

THANKS BBL JI......
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #64 on: August 14, 2009, 08:49:48 PM »
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Ye cheez lajwaab hai, sach bolta hoon main

Gin kar piyoon main jaam to hota nahin nasha
Merra alag hisaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Saqi yakeen na aaye tou, gardan jhuka ke dekh
Sheeshe mein maahtaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Haathon mein ek jaam hai, honthon pe ek ghazal
Haathon mein ek jaam hai, honthon pe ek ghazal
Baaki khayal-o-khwab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main....... tearyeyed

By: Pankaj udas...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #65 on: August 14, 2009, 09:02:17 PM »


Mohabbaton Mein Marnewale Bhi Ajeeb Hai
Ajim Hai Hamari Dastaan Jaan E Man
Faaslon Pe Rehte Hai Lekin Kareeb Hai

Hamko Maalom Hain Ishq Masoom Hain
Dil Se Ho Jaati Hain Galtiyaan
Sabr Se Ishq Mehroom Hain

Hamko Maalom Hain Ishq Masoom Hain
Dil Se Ho Jaati Hain Galtiyaan
Sabr Se Ishq Mehroom Hain

Hamko Maalom Hain Ishq Masoom Hain
Dil Se Ho Jaati Hain Galtiyaan
Sabr Se Ishq Mehroom Hain

Huaan Jo Zamane Ka Dastoor Hain
Woh Maane Nahi ?? Naaraaz Tha
Meri Barbaadiyon Ka Woh Aaghaaz Tha
Ishq Ka Ek Hi Ek Andaaz Tha
Woh Na Raazi Hue Ham Bhi Baaghi Hue
Bekaraar Ham Faraar Ho Gaye

Hamko Maalom Hain Ishq Masoom Hain
Dil Se Ho Jaati Hain Galtiyaan
Sabr Se Ishq Mehroom Hain

Main Pareshan Hoon Ek Majboori Par
Hoga Gam Jaankar Saath Hoon Main Magar
Mujhko Rehna Padega Zara Doori Par
Sirf Do Hi Mahine Hai Seh Lo Agar
Mera Future Hai Teri Kasam
Mera Future Hai Jismein Piya

Hamko Maalom Hain Ishq Masoom Hain
Dil Se Ho Jaati Hain Galtiyaan
Sabr Se Ishq Mehroom Hain

Waqt Se Haara Aur Lauta Jo Main
Lautkar Apane Ghar Jaa Chuki Thi Piya
Phone Karta Raha Phone Bhi Na Liya
Maine Khat Bhi Likhe Saal Bhar Likhe
Meri Aawaz Pahunchi Nahi
Kho Gayi Meri Piya Kahi
Mujhko Umeed Thi Ek Din Toh Kabhi
Woh Bhi Aawaaz Degi Mujhe

Hamko Maalom Hain Ishq Masoom Hain
Dil Se Ho Jaati Hain Galtiyaan
Sabr Se Ishq Mehroom Hain



Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #66 on: August 14, 2009, 09:07:59 PM »


Yeh aarzoo thi ke haskar koi mila hota
Kahin to humse kisi ka dil aashna hota
Kisi ne bhi to na dekha nigaah bharke mujhe
Gaya phir aaj ka din bhi udaas karke mujhe
Kisi ne bhi to na dekha nigaah bharke mujhe
Gaya phir aaj ka din bhi udaas karke mujhe
Kisi ne bhi to na dekha nigaah bharke mujhe

Sawa bhi laayi na koi payaam apno ka
Suna rahi hai fasaane idhar udhar ke mujhe
Gaya phir aaj ka din bhi udaas karke mujhe
Kisi ne bhi to na dekha nigaah bharke mujhe

Moaaf kijiye, jo main ajnabi hoon mehfil mein
Ke raaste nahin maaloom is nagar ke mujhe
Gaya phir aaj ka din bhi udaas karke mujhe
Kisi ne bhi to na dekha nigaah bharke mujhe

Voh dard hai ke jisse seh sakoon na keh paaoon
Milega chain to ab jaan se guzarke mujhe
Gaya phir aaj ka din bhi udaas karke mujhe
Kisi ne bhi to na dekha nigaah bharke mujhe
Gaya phir aaj ka din bhi udaas karke mujhe
Kisi ne bhi to na dekha nigaah bharke mujhe
Nigaah bharke mujhe, nigaah bharke mujhe


Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #67 on: August 14, 2009, 09:11:09 PM »
 Terre ane ki jab khabar mehke
terri khushbu se sara ghar mehke,

shaam mehke terre tasavur se
shaam ke baad fir seher mehke,

raat bhar sochta raha tujhko
zehno dil merre raat bhar mehke,

yaad aye tou dil munavar ho
did ho jaye to nazar mehke,


vo ghadi do ghadi jaha baithe -2
vo zameen mehke vo shajar mehke,

terre ane ki jab khabar mehke..
terri khushbu se saara ghar mehke...... tearyeyed

By: Jagjit singh...



Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #68 on: August 14, 2009, 09:17:15 PM »
wow... geet... thats so beautiful ghazal .. i really love it ... great dear ....




Mm mm mm mm mm, mm mm mm mm mm
Honton pe tera naam hai, aankhon mein pyaar hai
Zinda hoon is liye ke tera intezaar hai
Honton pe tera naam hai, aankhon mein pyaar hai
Zinda hoon is liye ke tera intezaar hai

Tune kaha tha laut ke aayegi tu zuroor
Is aas pe main jeeta raha hoke tujhse door
Vaade pe tere ab bhi mujhe aitbaar hai
Zinda hoon is liye ke tera intezaar hai
Honton pe tera naam hai, aankhon mein pyaar hai
Zinda hoon is liye ke tera intezaar hai

Duniya kahe na bewafa tujhko ae hamnasheen
Ilzaam koi pyaar pe aa jaaye na kahin
Tu aayi na agar to mohabbat ki haar hai
Zinda hoon is liye ke tera intezaar hai
Honton pe tera naam hai, aankhon mein pyaar hai
Zinda hoon is liye ke tera intezaar hai


Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #69 on: August 14, 2009, 09:18:30 PM »
Terre baare main jab socha nahi tha
main tanha tha magar itna nahi tha,


terri tasveer se karta tha batein
merre kamre main aina nahi tha
main tanha tha,

samunder ne mujhey pyasa kiya tha
main jab sehera tha pyasa nahi tha
main tanha tha,

manane ruthney ke khel main hum
bhichad jayenge ye socha nahi tha
main tanha tha,

suna hai band kar li usne ankhein
kai raato se vo soya nahi tha
main tanha tha....

Specially for the one whom i have luvd n lost... tearyeyed

By: Jagjit singh...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #70 on: August 14, 2009, 09:21:19 PM »
thnx j.s ji...

चाक जिगर के सी लेते हैं,
जैसे भी हो जी लेते हैं.

दर्द मिले तो सह लेते हैं,
अश्क मिले तो पी लेते हैं.

आप कहें तो मर जायेंगे,
आप कहें तो जी लेते हैं.

बेझारी के अधियेरे में,
जीने वाले जी लेते हैं.

हम तो हैं उन फूलों जैसे,
जो कांटो मी जी लेते हैं......

By: Jagjit singh...

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #71 on: August 14, 2009, 09:35:43 PM »
Ankhiyon Ke Jharokhon Se Maine Dekha Jo Saanware
Tum Door Nazar Aaye Badi Door Nazar Aaye
Band Karke Jharokhon Ko Zara Baithee Jo Sochne
Man Mein Tumhi Muskaye Man Mein Tumhi Muskaye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se

Ek Man Tha Mere Paas Woh Ab Khone Laga Hai
Paakar Tujhe Hai Mujhe Kuchh Hone Laga Hai
Ek Tere Bharose Pe Sab Baithee Hoon Bhool Ke
Yoon Hi Umar Guzar Jaye Tere Saath Guzar Jaye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se...

Jeeti Hoon Tujhe Dekh Ke Marti Hoon Tumhi Pe
Tum Ho Jahan Saajan Meri Duniya Hai Wahin Pe
Din Raat Dua Maange Mera Man Tere Waaste
Kabhi Apni Ummeedon Ka Kahin Phool Na Murjhaye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se...

Maein Jab Se Tere Pyar Ke Rangon Mein Rangi Hoon
Jaagte Hue Soi Nahin Neendon Mein Jagi Hoon
Mere Pyar Bhare Sapne Kahin Koi Na Chheen Le
Man Soch Ke Ghabraye Yahi Soch Ke Ghabraye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se...... tearyeyed

From: Aankhiyo ke jharokhon se...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #72 on: August 14, 2009, 09:36:59 PM »


Woh ladki yaad aati hai
Woh ladki yaad aati hai
Jo hothon se nahin pure badan se muskurati hai
Simite waqt bhi charon dishaon ko sajati hai
Meri saanson mein ab bhi jiski khusboo jagmagati hai

Woh ladki phool jaisi, chand jaisi, chandni jaisi
Woh ladki phool jaisi, chand jaisi, chandni jaisi
Woh sar se paon tak poori ghazal ki shayeri jaisi
Meri awaaz mein jo sher bankar gungunati hai


Woh jis raste se guzre der tak manzar chamakte hain
Woh jis raste se guzre der tak manzar chamakte hain
Kadam tham tham ke uthte hain
Ke pemane chalakte hain
Woh har mausam mein apne husn ka jaadu jagati hai


Woh ladki ab na jaane kiske jeevan ki kiran hogi
Woh ladki ab na jaane kiske jeevan ki kiran hogi
Abhi tak phool ki manid hogi ya chaman hogi
Woh aise saath rahti hai na aati hai na jaati hai


Woh ladki yaad aati hai
Jo hothon se nahin pure badan se muskurati hai
Simite waqt bhi charon dishaon ko sajati hai
Meri saanson mein ab bhi jiski khusboo jagmagati hai
Woh ladki yaad aati hai




Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #73 on: August 14, 2009, 09:39:26 PM »
Chithi na koyi sandesh
Jaane woh kaun sa desh jahan tum chale gaye
Jahan tum chale gaye
Is dil pe laga ke thes jaane woh kaun sa desh
Kahan tum chale gaye..

Ek aah bhari hogi hamne na suni hogi
Jaate jaate tumne awaaz to di hogi
Har waqt yehi hai gham, us waqt kaha the hum
Kahan tum chale gaye,

Har cheez pe ashkon se likha hai tumhaara naam
Ye raste ghar galiyaan tumhe kar na sake salaam
Hai dil mein reh gayi baat, jaldi se chhuda kar haath
Kahan tum chale gaye,

Ab yado ke kaante is dil mein chubhte hain
Na dard theherta hai na aanson rukte hain
Tumhe dhhundhh raha hai pyaar, hum kaise karein iqraar
Kahan tum chale gaye...... tearyeyed tearyeyed


From: Dushman...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #74 on: August 14, 2009, 09:43:25 PM »


Deewaron se milkar rona achcha lagta hai
Hum bhi paagal ho jayenge, aisa lagta hai
Deewaron se milkar rona achcha lagta hai
Hum bhi paagal ho jayenge, aisa lagta hai
Deewaron se

Duniya bhar ki yaaden humse milne aati hain
Duniya bhar ki yaaden humse milne aati hain
Shaam dhale is soone ghar mein mela lagta hai
Shaam dhale is soone ghar mein mela lagta hai
Hum bhi paagal ho jayenge, aisa lagta hai
Deewaron se

Kitne dinon ke pyase honge yaaron socho to
Kitne dinon ke pyase honge yaaron socho to
Shabnam ka katra bhi jinko dariya lagta hai
Shabnam ka katra bhi jinko dariya lagta hai
Hum bhi paagal ho jayenge, aisa lagta hai
Deewaron se

Kisko Qaiser pathar maroon kaun paraya hai
Kisko Qaiser pathar maroon kaun paraya hai
Sheesh-mahal mein ek ek chehra apna lagta hai
Sheesh-mahal mein ek ek chehra apna lagta hai
Hum bhi paagal ho jayenge, aisa lagta hai
Deewaron se milkar rona achcha lagta hai
Hum bhi paagal ho jayenge, aisa lagta hai
Deewaron se






Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 58
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:59:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer