Songs close to my heart..

by brokenbyluv on August 14, 2009, 06:36:29 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 58
Print
Author  (Read 44506 times)
brokenbyluv
Guest
«Reply #75 on: August 14, 2009, 09:47:29 PM »
bahut khoob j.s ji... Applause

Ho agar koi gum tou, bilkul na tum ghabaraana
taa raa raa raa rum taaraarumpum
bas rahe yakin yeh tumko, khushiyo ko toh hai aana
taa raa raa raa rum taaraarumpum
raat hai tou savera bhi hoga
hai safar tou basera bhi hoga
ghum ke aage muskurake gaaye hum
taa raa raa raa rum taaraarumpum

zindagi mein koi bhi kami ho
palko pe jo jara bhi nami ho
aansu na bahaana tum, dukh na uthaana tum
haar na jaana duniya se
darana kabhi na tum, rehana kabhi na tum gumsum
hasake bataana duniya se
aayenge phirse din khushiyo ke, badalega yeh mausam,

koi aandhi jo aaye tou aaye
dil mein hai jo diya bujh na paaye
kaali kaali raate ho, chaahe jaisi baate ho
humko hai chalate rehana
jo bhi aaye mushkil, dare nahi kabhi dil
apana toh hai yeh kehana
lamhe bharko chaayi ghata toh, dhoop na
taa raa raa raa rum taaraarumpum......  happy9

From: Ta ra rum pum...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
My fav lyrics N songs which touches my heart ! by Delicate_Doll in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
ghazals.........close to my heart by aaina in Ghazals « 1 2 ... 9 10 »
Touching heart all Songs..............Rishi by Rishi Agarwal in Songs & Lyrics « 1 2 ... 9 10 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
jasbirsingh
Guest
«Reply #76 on: August 14, 2009, 09:49:35 PM »

Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Ye cheez lajwaab hai, ye cheez lajwaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Gin kar piyoon main jaam to hota nahin nasha
Gin kar piyoon main jaam to hota nahin nasha
Mera alag hisaab hai, mera alag hisaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Hun hun hun hun....
Saqi yakeen na aaye to, gardan jhuka ke dekh
Saqi yakeen na aaye to, gardan jhuka ke dekh
Sheeshe mein maahtaab hai, sheeshe mein maahtaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Haathon mein ek jaam hai, honthon pe ek ghazal
Haathon mein ek jaam hai, honthon pe ek ghazal
Baaki khayal-o-khwab hai, baaki khayal-o-khwab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main




Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #77 on: August 14, 2009, 10:05:03 PM »


Suraj ki har kiran teri surat pe vaar doon
Suraj ki har kiran teri surat pe vaar doon
Dojakh ko chaahata hoon ki jannat pe vaar doon
Suraj ki har kiran teri surat pe vaar doon
Dojakh ko chaahata hoon ki jannat pe vaar doon

Itni si hai tasalli ki hoga muqabila
Itni si hai tasalli ki hoga muqabila
Dil kya hai, jaan bhi apni qayamat pe vaar doon
Dojakh ko chaahata hoon ki jannat pe vaar doon
Suraj ki har kiran teri surat pe vaar doon

Ek khawab tha jo dekh liya neend mein kabhi
Ek khawab tha jo dekh liya neend mein kabhi
Ek neend hai jo teri mohabbat pe vaar doon
Dojakh ko chaahata hoon ki jannat pe vaar doon
Suraj ki har kiran teri surat pe vaar doon

'Aadam' haseen neend milegi kahan mujhe
'Aadam' haseen neend milegi kahan mujhe
'Aadam' haseen neend milegi kahan mujhe
'Aadam' haseen neend milegi kahan mujhe

Phir kyon na zindgani ko turbat pe vaar doon
Dojakh ko chaahata hoon ki jannat pe vaar doon
Suraj ki har kiran teri surat pe vaar doon
Dojakh ko chaahata hoon ki jannat pe vaar doon

 



Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #78 on: August 14, 2009, 10:25:22 PM »
this thread is really great
just love the songs
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #79 on: August 14, 2009, 10:26:35 PM »
Mohabbat merri jo pyaasi hui
to gehri merri udaasi hui
zindagi mein hain tum bin
yeh viraaniya,

sune sune sare raste hain
suni manzil hai jaana
suni suni si meri aankhe hai
suna yeh dil hai..
mujhe ghrre hai sirrf tanhaiya
mere dil mein hain sirrf khaamoshiya
zindagi mein hain tum bin,

saans jab lun tou
seene mein jaisi saans chubhti hai jaana
dil abb tak ummid ki ik faans chubhti hai
khwaab sare merre, tutne hi ko hai
tinke bhi haaath se, chutne hi ko hai
zindagi mein hain tumbin
yeh viraaniya......  tearyeyed

From: Namaste london...

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #80 on: August 14, 2009, 10:29:02 PM »
this thread is really great
just love the songs

thnx grimji...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #81 on: August 14, 2009, 10:36:50 PM »


dil kho gaya ho gaya kisi ka, abb raasta mil gaya khushi ka
aankhon mein hai khaab sa kisi ka, abb raasta mil gaya khushi ka
rishta naya rabba, dil chhu raha hai
kheenche mujhe koyi dor teri ore

teri ore, teri ore, teri ore haay rabba
teri ore, teri ore, teri ore

khulati fijaaye ghulati ghataaye, sar pe naya hai aasmaan
chaaro dishaaye haske bulaaye, kyon sab huye hai meherbaan
ha humane to yahi rabba kasam se pata hai
dil pe nahi koyi jor koyi jor

teri ore, teri ore, teri ore haay rabba
teri ore, teri ore, teri ore

ek heer thi aur tha ek raanjha, kehate hai mere gaanv mein
saccha ho dil to sau muskilon ho, jhukata naseeba pau main
ho ho aanchal tera rabba falak ban gaya hai
aab iska nahi koyi oor koyi chhor

teri ore, teri ore, teri ore haay rabba
teri ore, teri ore, teri ore
dil kho gaya ho gaya kisi ka, abb raasta mil gaya khushi ka
aankhon mein hai khaab sa kisi ka, abb raasta mil gaya khushi ka
rishta naya rabba, dil chhu raha hai
kheenche mujhe koyi dor teri ore

teri ore, teri ore, teri ore haay rabba
teri ore, teri ore, teri ore



Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #82 on: August 14, 2009, 10:36:58 PM »
Tumse mujhe pyar kyun ho gaya
Tum na mile aur main kho gaya
Tum merre khwabo se jaa na sake
Tum merri baho mein aa na sake,

Tumse gila nahin mujhe kismat se hai gile
Karta hai aasmaan kyoon yeh dil ke faisle
Tum merre khwabo se jaa na sake
Tum merri baho mein aa na sake,

Barbad ho gaya main kyun yeh bhi na keh saka
Roya main yun ke ek bhi aansu na beh saka
Aansu na beh saka aansu na beh saka
Tum merre khwaabon se jaa na sake
Tum merri baahon mein aa na sake...... tearyeyed


From: Na tum jano na hum...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #83 on: August 14, 2009, 10:42:01 PM »


pal pal pal pal har pal har pal
kaise katega pal har pal har pal
pal pal pal pal har pal har pal
kaise katega pal har pal har pal
dil dil dil dil mein machi hain machi
machi hain hulchul hulchul hulchul
kaise katega pal har pal har pal
pal pal pal pal har pal har pal
kaise katega pal har pal har pal
ha ha ha ha haha haha..
la la la la lala lala..
o humsafar lagta hai darr
raat kate na kabhi ho sehar
iss pal mein simte umar
raat kate na kabhi ho sehar
tu jo hai saath mere toh dagar
lage ke jaise khubsurat ghar
tu jo hai saath mere toh dagar
lage ke jaise khubsurat ghar
tu jo hai saath toh yeh ambar
lage ke jaise saaya ho sar par
tere kaandhe par rakhkar sar
yun hi katt jaaye saari umar
pal pal pal pal har pal har pal
kaise katega pal har pal har pal
la la la hm..
kal kya ho kisko khabar lagta hai darr lagta hai darr
iss pal mein simte umar raat kate na kabhi ho sehar

achha bataaon dil ki itni saari baaten kaise likhoge iss chhote khat par
dil par toota hai yeh kaisa kehar tumko paakar khone ka hai darr
pyar ka yeh dhaaiya ghar kaise likhoge iss chhote khat par
pal pal pal pal har pal har pal
kaise katega pal har pal har pal
pal pal pal pal har pal har pal
kaise katega pal har pal har pal
dil dil dil dil mein machi hain machi
machi hain hulchul hulchul hulchul
kaise katega pal har pal har pal


Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #84 on: August 14, 2009, 10:48:33 PM »
huzur is kadar bhi naa itarake chaliye
khule aam anchal naa lahera ke chaliye

koyi manachala agar pakad lega anchal
zara sochiye aap kyaa kijeeyegaa
laga de agar, badh ke julfon mein kaliyan
to kyaa apni zulfe zatak dijiyega

badi dilanashi hain haseen ki ye ladiyan
ye moti magar yu naa bikharaya kije
uda ke naa le jaaye jhonka hawa ka
lachakata badan yu naa laharaya kije

bahut khubsurat hai har baat lekin
agar dil bhi hota tou kya baat hoti
likhi jaati fir dastan-e-mohabbat
ek afsane jaisi mulaqat hoti......

From: Masoom...
 
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #85 on: August 14, 2009, 10:57:28 PM »
Dil de diya hai, jaan tumhe denge
Daga nahin karenge sanam
rab di kasam yaara, rab di kasam

Rukh zindagi ne mod liya kaisa
Hamne socha nahin tha kabhi aisa
Aata nahin yaqeen, kya se kya ho gaya
Kis tarha main tumse, bewafa ho gaya
Insaaf kar do, mujhe maaf kar do
Itna hi kar do karam
Dil de diya hai,

Awaargi mein ban gaya diwaana
Maine kyun saadgi ko nahin jaana
Chaahat yahi hai ke, is qadar pyaar doon
Qadmon mein terre main, toh jahaan waar doon
Chain merra le lo, khushi merri le lo
De do mujhe dedo saare gham
Dil de diya hai,

Merre ashq keh rahe merri kahani
Inhein samjho na tum sirf paani
Ro ro ke aansuo ke daag dhool jaayenge
In mein wafa ke rang, aaj ghool jaayenge
Paas tum rahogi, bhool ab na hogi
Karoonga na tumpe sitam
Dil de diya hai, jaan tumhe denge
Daga nahin karenge sanam......

From: Masti...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #86 on: August 14, 2009, 11:01:44 PM »

Chandi jaisa rang hai tera, sone jaise baal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal
Chandi jaisa rang hai tera, sone jaise baal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal

Jis reste se tu gujre, voh phoolon se bhar jaye
Jis reste se tu gujre, voh phoolon se bhar jaye
Tere pair ki komal aahat sote bhaag jagaye
Jo patthar choo le gori tu voh heera ban jaye
Tu jisko mil jaye voh, tu jisko mil jaye
Vo ho jaye malamal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal
Chandi jaisa rang hai tera, sone jaise baal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal

Jo be-rang ho us par kya kya rang jamate log
Jo be-rang ho us par kya kya rang jamate log
Tu naadaan na jane kaise roop churate log
Nazaren bhar bhar dekhen tujhko aate jaate log
Chail chabeeli rani thoda, Chail chabeeli rani thoda
ghoonghat aur nikaal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal
Chandi jaisa rang hai tera, sone jaise baal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal

Dhanak ghata kaliyan aur tare sub hain tere roop
Dhanak ghata kaliyan aur tare sub hain tera roop
Ghazalen hon ya geet hon mere sub mein tera roop
Yunhi chamakti rahe hamesha tere husn ki dhoop
Tujhe nazar na lage kisi ki
Tujhe nazar na lage kisi ki
Jiye hazaron saal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal
Chandi jaisa rang hai tera, sone jaise baal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal
Chandi jaisa rang hai tera, sone jaise baal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal



Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #87 on: August 14, 2009, 11:02:33 PM »
Bahot pyaar karte hain, tum ko sanam
kasam chaahe le lo, khudaa kee kasam

humaaree gajal hain, tasawwoor tumhaaraa
tumhaare beenaa ab naa jeenaa gawaanraa
tumhe yoo hee chaahenge jab tak hain dam

saagar kee baahon me, mauje hain jitanee
hum ko bhee tum se, mohabbat hain utanee
ke ye bekaraaree naa ab hogee kam......

From: Saajan...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #88 on: August 14, 2009, 11:05:18 PM »
Jiye tou jiye kaise bin apke
Jiye tou jiye kaise bin apke
Lagta nahin dil kahin bin apke
Jiye tou jiye kaise bin apke,

Kaise kahu bina terre zindagi ye kya hogi
Jaise koi saza koi badua hogi
Maine kiya hai ye faisla
Jeena nahin hai terre bina
Jiye tou jiye kaise bin apke...... tearyeyed

From: Saajan...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #89 on: August 14, 2009, 11:07:57 PM »


Dil de diya hai, jaan tumhein denge

Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahin karenge sanam

rab di kasam yaara, rab di kasam
Dil de diya hai, jaan tumhein


Rukh zindagi ne mod liya kaisa
Hamne socha nahin tha kabhi aisa
Aata nahin yaqeen, kya se kya ho gaya
Kis tarha main tumse, bewafa ho gaya
Insaaf kar do, mujhe maaf kar do
Itna hi kar do karam
Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahin karenge sanam

awaargi mein ban gaya diwaana
Maine kyun saadgi ko nahin jaana
Chaahat yahi hai ke, is qadar pyaar doon
Qadmon mein tere main, toh jahaan waar doon
Chain mera le lo, khushi meri le lo
De do mujhe dedo saare gham
Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahin karenge sanam

Mere ashq keh rahe meri kahaani
Inhein samjho na tum sirf paani
Ro ro ke aansuon ke daag dhool jaayenge
In mein wafa ke rang, aaj ghool jaayenge
Paas tum rahogi, bhool ab na hogi
Karoonga na tumpe sitam
Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahin karenge sanam
rab di kasam yaara, rab di kasam

Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahin karenge sanam
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 58
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 02:03:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.152 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer