:: songs i like / my favorite songs ::

by myheart_ursonly on March 08, 2005, 09:34:34 AM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 6399 times)
myheart_ursonly
Guest
«Reply #30 on: March 19, 2005, 12:39:08 PM »
11. kaho na kaho...

excellent song from murder movie.

(Kaho na kaho yeh aankhen bolti hain
O sanam o sanam, o mere sanam
Mohabbat ke safar mein yeh sahaara hai
Vafa ke saahilon ka yeh kinaara hai) - 2
(Baadalon se oonchi uraanoon ki
Sab se alag pehechaanoon ki
Use hai pyaar ki kahaani mansoob
Aati jaati saanson ki rawaani mansoob) - 2

Kaho na kaho yeh aankhen bolti hain
O sanam o sanam, o mere sanam
Mohabbat ke safar mein tu hamaara hai
Andhere raaston ka tu sitaara hai

Tu hi jeene ka sahaara hai
Meri maujon ka kinaara hai
Mere liye yeh jahaan hai tu
Tujhe mere dil ne pukaara hai
Kaho na kaho yeh saansein bolti hain
O sanam o sanam, o mere sanam
Labon pe naam tere bas hamaara hai
Yeh tera dil bhi jaana hamaara hai
Kaho na kaho yeh aankhen bolti hain
O sanam o sanam, o mere sanam
Mohabbat ke safar mein yeh sahaara hai
Vafa ke saahilon ka yeh kinaara hai
(Khwaabon mein tujhko sanwaara hai
Jazbon mein apne utaara hai
Meri yeh aankhen jidhar dekhe
Tera hi chehra nazaara hai) - 4
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
my fav songs..... by nice_off_me in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
Sad Songs:( by desikurri in Songs & Lyrics « 1 2  All »
...~~My Fav. Songs~~... by HumTum in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
Favorite songs by punjaban in Songs & Lyrics
Jab Koi Baat Bigad Jay (One of the Most Favorite Songs) by Nomi786 in Songs & Lyrics
desikurri
Guest
«Reply #31 on: March 19, 2005, 07:40:16 PM »
yeh gaana bhi bahut acha hai..

Bheegey hont tere, pyaasa dil mera
Lage abra sa, mujhe tan tera

Jam ke barsa de, muhj par ghatayen
Too hi meri pyaas, too hi mera jaam
Kabhi mere saath, koi raat guzaar
Tujhe subah tak main karoon pyaar
vo oh oh...-

Sansen aach teri, tan aag tera
Chhenain neend meri, loote chain mera
Kala jadoo kare lambe baal tere
Aakhen jheel teri, dore laal tere

kabhi mere saath koi raat guzaaar
tujhe suabh tak main karoon pyaar
vo oh ho.... -

Aakhen kah rahi jo na hum kahain
use sun le too jo na lab kahain
Too na soye aaj, main na sooun aaj
Tujhe dekhooon aaj, tujh mamin khoyun aaj

Kabhi mere saath, koi raat guzaar
tujhe subah tak main karoon pyaar
vo oh ho...-

Bheegey hont tere, pyasa dil mera
lege abra sa, mujhe tan tera
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #32 on: March 19, 2005, 07:44:39 PM »
Yes, very romantic and passionate song. I like that one.

12. teri yaad...

nice track from bewafaa movie

Tadap yeh ishq ki dil se  kabhi nahi jati
ki jaan de dekar bhi dewangi nahi jati
na jane woh kaun si dunia hai woh mere rabba
jaha se lautke koi sada nahi ati

ohoooo  isshq me to har cheez mit jati hai
bekarari bankar hame  tadpati hai
yaad yaad bus yaad yaad reh jati hai
yaad yaad bus yaad yaad reh jati hai
isshq me to har cheez mit jati hai
bekarari bankar hame  tadpati hai

bekaari bankar hame  tadpati ha
yaad yaad bus yaad yaad reh jati hai
yaad yaad bus yaad yaad reh jati hai
woh teri yaad
woh teri yaad

karke tanha yeh zindagani
kyu gayi chod ke kahani
ab yeh asu piya na jaye
bin tere ab jiya na jaye


dard se tutte meri sase
jhakm dil ka siya  na jaye
aja aja meri  
wafa tujhebulati hai
yaad yaad reh jati hai
yaad yaad bus yaad yaad reh jati hai
yaad yaad bus yaad yaad reh jati hai

woh teri yaad
yyaad me dekho bana hai yeh haseen tajmahal
yaad me koi likhe shaamo sehar shokh gazal - 2
dil ke dariya me khilta hai khwabo ka kawal
yaad ate hai hamashe woh gujre huye pal

tu nahi hai teri yaadaen mujhe satati hai-2
yaad yaad reh jati hai
yaad yaad bus yaad yaad reh jati hai
yaad yaad bus yaad yaad reh jati hai... woh teri yaad...
Logged
Nedura!
Guest
«Reply #33 on: March 26, 2005, 05:51:37 PM »
love dat one ...frm 'my brother nikhil'

chandani muskuraye,jab hawa kuch kahe
samjho meri sadayein hain tere saath mein
jo ghana ho fiza mein andhera
layenge hum savere tere liye
le chale le chale yaadon ke yeh kaafile
jaayenge hum jahan yeh zameen aasmaan mile

jab kabhi zindagi tujhko tanha lage
jab kabhi ashq aayein dil tumhara bujhe
jab kabhi chain khoye dil pareshan
dekh lo hum wahin hain tere saamne
le chale le chale yaadon ke yeh kaafile
jaayenge hum jahan yeh zameen aasmaan mile


narm boondon ki rimjhim,pehli baarish ke din
dopahar garmiyon ki shaamein sard si
ruut ho koi koi mausam koi ghadi
apne kareeb humko hardam tum paaoge
le chale le chale yaadon ke yeh kaafile
jaayenge hum jahan yeh zameen aasmaan mile
Logged
Nedura!
Guest
«Reply #34 on: March 26, 2005, 05:54:29 PM »
WOH LAMHEIN WOH BAATEIN ---ZEHAR

woh lamhe woh baatein koi naa jaane
yeh kaisi raatein hooooo barsaatein
woh bhegi bheegi yaaaaadein
woh bheegi bheegi yaaaaaadein


naa mai jaanoon naaaaaaa tu jaane
kaisa hai yeh mausammmm koiii naa jaane
kahin se yeh khizaa aayeee
ghamon ki dhoop sang laayee
khafa ho gaye hum
judaa ho gaye hum

woh lamhe woh baatein koi naa jaane
yeh kaisi raatein hooooo barsaatein
woh bhegi bheegi yaaaaadein
woh bheegi bheegi yaaaaaadein

hoooooooo hooooooooooo
 
saagar ki gehraayee se gehraa hai apna pyaar
sehraaon ki in hawaaoon mein kaise aayegi bahaar
kahan se yeh hawaa aayee
ghtayein kali kyun chhayi
khafa ho gaye hum
judaa ho gaye hum

woh lamhe woh baatein koi naa jaane
yeh kaisi raatein hooooo barsaatein
woh bhegi bheegi yaaaaadein
woh bheegi bheegi yaaaaaadein

hooooooooooooooooo oooooooooooo
ooooooooooooh ooooooooooooh
ooooooooooooooooooohhh
ooooooooooooooooooohhhh
ooooooooooooooooooohhh
ooooooooooooooooooohhhh
oh oh oh oh oh oh oh oh oh
aaa aaaa aaaa aaaa aaaa
aaa aaaa aaa aaa aaa aaa
aaaaaaaaaaaaa
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #35 on: March 26, 2005, 07:00:20 PM »
Nice ones monica.
Logged
desikurri
Guest
«Reply #36 on: March 27, 2005, 09:00:00 AM »
Ishq jaise hai ik aandhi, ishq hai ik toofaan
Ishq ke aage bebas hai, duniya mein har ilzaam
Ishq mein sab diwaane hain, ishq mein sab hairaan
Ishq mein sab kuch mushkil hai, ishq mein sab aasaan
Dekho pyaare, ye nazaare, ye diwaane, ye parwaane
Ye ishq mein kaise gum  

Haay! Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen  

Chorus:
(Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum) -2  


Dil toh ik raahi jaana, dil ki tum manzil ho
Dil toh hai ik kashti jaana, jiska tum saahil ho
Dil na phir kuch maange jaana, tum agar haasil ho
Dil toh hai mera tanha jaana, aao toh mehfil ho  

Ishq se hi saari khushiyaan, ishq hi barbaadi
Ishq hai paabandi lekin, ishq hi azaadi
Ishq ki duniya mein yaaron, khwaab ki aabaadi
Ho gaya woh jisko manzil, ishq ye dikhlaadi
Dekho pyaare, ye nazaare, ye diwaane, ye parwaane
Ye ishq mein kaise gum  


Haay! Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen

Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum  


Tumko puja hai, tumhaari hi ibaadat kee hai
Hamne jab kee hai, toh phir aise mohabbat kee hai -2
Dil mera paagal hai jaana, isko tum behlaado
Dil mein kyun halchal hai jaana, mujhko tum samjhaado
Dil ka jo aanchal hai jaana, isko tum lehraado
Zulf jo baadal hai jaana, mujhpe tum barsaado
Jaana leke jaaya hai, tera ye diwaana
Jaan tujhpe mit jaayega, tera ye parwaana
Jaana mere dil mein kya hai, tumne ye na jaana
Jaana tujhko yaad aayega, mera ye afsaana  


Dekho pyaare, ye nazaare, ye diwaane, ye parwaane
Ye ishq mein kaise gum  

Haay! Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen  


(Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum) -2
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #37 on: March 27, 2005, 11:26:06 AM »
13. hum na samjhe the... baat itni si...

from gardish movie[/green]

Hum na samjhe the
baat itni si
khaab sheeshe ke
duniya paththar ki
 
Hum na samjhe the
baat itni si
khaab sheeshe ke
duniya paththar ki
 
Hum na samjhe the
baat itni si
 
Aarzoo humne ki to hum paae
Aarzoo humne ki to hum paae
roshni saath laai thi saaye
saaye gehre the
roshni halki
 
Hum na samjhe the

Posted By : Sanjay
baat itni si
khaab sheeshe ke
duniya paththar ki
 
Hum na samjhe the
baat itni si
 
Sirf veeranee sirf tanhayee
sirf veeranee sirf tanhayee
zindahi humko ye kahan laayee?
kho gayi humse raah manzil ki
 
Hum na samjhe the
baat itni si
khaab sheeshe ke
duniya paththar ki
 
Hum na samjhe the
baat itni si
 
kya koi beche kya koi baante
kya koi beche kya koi baante
apne daaman mein sirf hain kaante
aur dukanein hain sirf phoolon ki
 
Hum na samjhe the
baat itni si
khaab sheeshe ke
duniya paththar ki
 
Hum na samjhe the
baat itni si
khaab sheeshe ke
duniya paththar ki
 
Hum na samjhe the
baat itni si...
Logged
Nedura!
Guest
«Reply #38 on: April 02, 2005, 06:58:30 AM »
aai bekhabar ---ZEHAR


aai bekhabar aai bekhabar
aai bekhabar aai bekhabar
aai bekhabar aai bekhabar
aai bekhabar aai bekhabar

mera dil tere pyar mein aah bahare
aai bekhabar aai bekhabar
tujhe yaad kare fariyaad kare
aai bekhabar aai bekhabar
mera dil tere pyar mein aah bahare
tujhe yaad kare fariyaad kare
kabhi tu bhi pyaar se dekh zaraa
mere dil ko ek nazar
aai bekhabar aai bekhabar  
aai bekhabar aai bekhabar
aai bekhabar aai bekhabar
aai bekhabar aai bekhabar

tujhe pata kya ke teri khaatir
hai mere dil mein junoon kitna
mai apne baare mein ruk ke sochoon
nahi hai ab toh sukoon itna
jeeta hoon magar jeeta bhi nahi
martaa hoon magar martaa bhi nahi
tere gham mein fanaah hone ke liye
peeta hoon mai zehar
aai bekhabar aai bekhabar  
aai bekhabar aai bekhabar
aai bekhabar aai bekhabar  
aai bekhabar aai bekhabar



dabaa hua tha jo mere seene mein
jo tujhko dekha dard ubhraaa
kisi bhi marham se bhar naa paaya
teri judai ka zakhm gehraa
seene mein pyaar machalta hai
aankhon se dard chhalakta hai
saahil ki tarah kaate mujhko
chahat ki har lehar
aai bekhabar aai bekhabar
aai bekhabar aai bekhabar
aai bekhabar aai bekhabar
aai bekhabar aai bekhabar
Logged
lovebites
Guest
«Reply #39 on: April 02, 2005, 10:33:26 AM »
Quote from: "Nedura!"
WOH LAMHEIN WOH BAATEIN ---ZEHAR

woh lamhe woh baatein koi naa jaane
yeh kaisi raatein hooooo barsaatein
woh bhegi bheegi yaaaaadein
woh bheegi bheegi yaaaaaadein


naa mai jaanoon naaaaaaa tu jaane
kaisa hai yeh mausammmm koiii naa jaane
kahin se yeh khizaa aayeee
ghamon ki dhoop sang laayee
khafa ho gaye hum
judaa ho gaye hum

woh lamhe woh baatein koi naa jaane
yeh kaisi raatein hooooo barsaatein
woh bhegi bheegi yaaaaadein
woh bheegi bheegi yaaaaaadein

hoooooooo hooooooooooo
 
saagar ki gehraayee se gehraa hai apna pyaar
sehraaon ki in hawaaoon mein kaise aayegi bahaar
kahan se yeh hawaa aayee
ghtayein kali kyun chhayi
khafa ho gaye hum
judaa ho gaye hum

woh lamhe woh baatein koi naa jaane
yeh kaisi raatein hooooo barsaatein
woh bhegi bheegi yaaaaadein
woh bheegi bheegi yaaaaaadein

hooooooooooooooooo oooooooooooo
ooooooooooooh ooooooooooooh
ooooooooooooooooooohhh
ooooooooooooooooooohhhh
ooooooooooooooooooohhh
ooooooooooooooooooohhhh
oh oh oh oh oh oh oh oh oh
aaa aaaa aaaa aaaa aaaa
aaa aaaa aaa aaa aaa aaa
aaaaaaaaaaaaa


Love this Song By Jal rox
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #40 on: April 03, 2005, 01:52:24 PM »
lovely songs :D
Logged
thycreator
Guest
«Reply #41 on: April 03, 2005, 02:24:43 PM »
Hmmm... I like Jab koi bat bigad jaye...from Jurm.
I know the whole song but dont have time to write.
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #42 on: January 31, 2006, 05:41:29 AM »
shayad yahi to pyaar hai... from lucky

Ek ajnabi sa ehsaas dil ko sataye
shayad yahi to pyaar hai
betabiyon mein dhadkan meri chal paye
shayad yahi to pyaar hai
kuch bhi kaha na
kuch bhi suna na
phir bhi
bechain dil hai humara
behke kadam hai
mushkil main hum hai
dekho
sambhle bhala kaise yaara
chahe bina bhi
nazdeek hum chale aaye
shayad yahi toh pyaar hai

nazrein bichade
pehre laga de
dil pe
par dil kisiki na maane
Kaaton pe chalke
sholon mein jalke
roke
milke rahenge deewane

chahat ki lau to
aandhi mein bhi zilmilaye
shayad yahi to pyaar hai
Ek ajnabi sa ehsaas dil ko sataye
shayad yahi to pyaar hai

ye mulaqatein
yeh teri ankhein
ek pal na main bhool pau
kitni mohabbat
hai kitni chahat
tumse
kaise bhala main bataoo
Acha lage jo
toh samne muskuraye
shayad yahi to pyaar hai
Ek ajnabi sa ehsaas dil ko sataye
shayad yahi to pyaar hai
kutch bhi kaha na
kutch bhi suna na
phir bhi
bechain dil hai humara
behke kadam hai
mushkil main hum hai
dekho
sambhle bhala kaise yaara
chahe bina bhi
nazdeek hum chale aaye
shayad yahi toh pyaar hai... love this song so much :">
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:36:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer