SOngs of Mohammed. Rafi.............................!!!!!!!!

by Friend_4uall on April 24, 2005, 07:32:48 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Author  (Read 8140 times)
Friend_4uall
Guest
Let's start a thread for posting only Mohammed Rafi's songs..............
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #1 on: April 24, 2005, 07:36:03 AM »
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada
Bhoolega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada

Bhoolega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada

Yaad hai mujhko, tune kaha tha
Tumse nahin roothenge kabhi
Dil ki tarah se haath mile hain
Kaise bhala chhootenge kabhi
Teri baahon mein beeti har shyaam
Bewafa yeh bhi kya yaad nahin
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada
Bhoolega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada
Oh kehne waale mujhko farebi
Kaun farebi hai yeh bata
Woh jisne gham liya pyaar ki khaatir
Ya jisne pyaar ko bech diya
Nasha daulat ka aisa bhi kya
Ke tujhe kuch bhi yaad nahin
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada
Bhoolega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada
Woh kasam woh irada
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #2 on: April 24, 2005, 07:37:07 AM »
Chaudvin Ka Chand Ho, Ya Aaftaab Ho
Jo Bhi Ho Tum Khuda Ki Kasam, Lajawab Ho

Zulfein Hain Jaise Kaandhe Pe Baadal Jhuke Hue
Aankhen Hain Jaise Maey Ke Pyaale Bhare Hue
Masti Hai Jisme Pyaar Ki Tum, Woh Sharaab Ho
Chaudvin Ka Chand Ho ...

Chehra Hai Jaise Jheel Mein Khilta Hua Kanwal
Ya Zindagi Ke Saaz Pe Chhedi Hui Ghazal
Jaane Bahaar Tum Kisi Shaayar Ka Khwaab Ho
Chaudvin Ka Chand Ho ...

Hothon Pe Khelti Hain Tabassum Ki Bijliyaan
Sajde Tumhari Raah Mein Karti Hain Kaikashaan
Duniya-E-Husno-Ishq Ka Tum Hi Shabaab Ho
Chaudvin Ka Chand Ho ...
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #3 on: April 24, 2005, 07:38:18 AM »
Maine poocha chand se
ke dekha hai kahin
mera yaar sa haseen
Chand ne kaha
Chandni ki kasam, nahi nahi nahi
Maine poocha chand se...

Maine yeh hi jaab tera dhoondha
har jageh shabab tera dhoondha
kaliyon se misaal teri poochi
phoolon ne jawaab tera dhoondha

maine poocha baag se
falak ho ya zameen
aisa phool hai kahin
baag ne kaha har kali ki kasam
nahi nahi nahi

Maine poocha chand se...

Ho, Chaal hai ke mauj ki ravaani
Zulf hai ke raat ki kahani
Hont hain ke aaine kawal ke
aankh hai ke mahkadon ki rani

maine poocha jaam se
falak ho ya zameen
aisi meh bhi hai kahin
jaam ne kaha mehkashi ki kasam
nahi nahi nahi

Maine Poocha Chand se...

Khoobsurati jo tune paayi
lut gayi khuda ki bas khudaayi
meer ke gazal kahun tujhe main
ya kahun khaiyyaam ki rubaayi

main jo poochun shayaron se
aisa dil nashi
koyi sher hai kahin
shayar kahen shayari ki kasam
nahi nahi nahi

Maine poocha chand se...
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #4 on: April 24, 2005, 07:40:38 AM »
Dil Ka Bhanwar Kare Pukaar
Pyar Ka Raag Suno
Pyar Ka Raag Suno Re

Phool Tum Gulab Ka Kya Jawaab Aapka
Jo Ada Hai Woh Bahaar Hai
Aaj Dilki Bekahi Aa Gayee Zubaan Par
Baat Yeh Hai Tumse Pyaar Hai
Dil Tumhi Ko Diya Re
Pyar Ka Raag Suno Re...

Chahe Tum Mitana Par Na Tum Girana
Aansoon Ki Tarah Nigah Se
Pyar Ki Oonchai Ishq Ki Gehrai
Poochh Lo Hamaari Aah Se
Aasmaan Chhoo Liya Re
Pyar Ka Raag Suno Re...

Is Haseen Paar Pe Hum Na Baithen Haar Ke
Saaya Banke Saath Hum Chalen
Aaj Mere Sung Tu Jhoome Dil Ki Aarzoo
Tujhse Meri Aankh Jab Mile
Jaane Kya Kar Diya Re
Pyar Ka Raag Sunoo Re...
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #5 on: April 24, 2005, 07:42:19 AM »
ehsaan tera hoga mujh par
dil chahta hai woh kehne do
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
mujhe palko ki chaav mein rehne do
ehsaan tera hoga mujh par

tumne mujhko hasna sikhaaya ho
rone kahoge ro lenge ab
aansoo ka hamaare gham na karo
woh behte hai to behne do
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
mujhe palko ki chaav mein rehne do
ehsaan tera hoga mujh par

chaahe banaa do chaahe mitaa do hoo aaaa
mar bhi gaye to denge duvaayen
udd udd ke kahegi khaak sanam
yeh dard-e-mohabbat sehne do
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
mujhe palko ki chaav mein rehne do
ehsaan tera hoga mujh par
dil chahta hai woh kehne do
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
mujhe palko ki chaav mein rehne do
ehsaan tera hoga mujh par
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #6 on: April 24, 2005, 07:44:08 AM »
--MALE--
Dilshaad tha ke phool khilenge bahaar mein
Maara gaya gareeb isi aitbaar mein

Mujhe teri mohabbat ka sahaara mil gaya hota
Agar toofaan nahin aata, kinaara mil gaya hota

Mujhe teri mohabbat ka sahaara mil gaya hota
Agar toofaan nahin aata, kinaara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahaara mil gaya hota

Na tha manzoor kismat ko, na thi marzi bahaaron ki
Nahin to is gulistaan mein
Nahin to is gulistaan mein kami thi kya nazaaron ki
Meri nazaron ko bhi koi nazaara mil gaya hota
Agar toofaan nahin aata, kinaara mil gaya hota

Mujhe teri mohabbat ka sahaara mil gaya hota
Khushi se apni aankhon ko main ashkon se bheego leta
Mere badle tu has legi
Mere badle tu has legi, tere badle main ro leta
Mujhe ae kaash tera dard saara mil gaya hota
Agar toofaan nahin aata, kinaara mil gaya hota

Mujhe teri mohabbat ka sahaara mil gaya hota
Mili hai chaandni din ko, yeh unki apni kismat hai
Mujhe apne muqaddar se
Mujhe apne muqaddar se faqat itni shikaayat hai
Mujhe toota hua koi sitaara mil gaya hota
Agar toofaan nahin aata, kinaara mil gaya hota

Mujhe teri mohabbat ka sahaara mil gaya hota
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #7 on: April 24, 2005, 07:45:32 AM »
Gunguna rahe hain bhanwar khil rahi hai kali kali
Gali gali  Kali kali
Gunguna rahe..
Zara dekho sajan be-imaan bhanwra kaise muskaaye
Haay kali yu sharmaaye
Ghunghat mein jaise koyi chhup jaaye
Haay zaraa...Haay kali...
Ritu aisi haaye kaisi ye pawan chali gali gali
Gunguna rahe...
Gali gali Kali kali
Gunguna rahe....
Kisi ko kya kahe ham dono bhi hain dekho kuch khoye
Khoye huwe kya oye oye jaage jiya mein armaan soye
Soye kisi ko... Khoye huwe kya...
Ritu aisi haaye kaisi ye pawan chali gali gali
Gunguna rahe... Gali gali
Kali kali Gunguna rahe...
Suno paas na aao, kaliyo ke bahaane pyaar na jataao
Jaao chalo baat na banaao
bhanwre ke bahaane aankh na ladaao
Jaao suno paas...Jaao chalo baat...
Ritu aisi haaye kaisi ye pawan chali gali gali
Gunguna rahe...  Gunguna rahe...
Gali gali Kali kali ...
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #8 on: April 24, 2005, 07:46:16 AM »
O Hasina Zulfon Vaali Jaanejahaan
Dhoondhti Hain Kaafir Aankhen Kiska Nishaan
O Hasina Zulfon Vaali Jaanejahaan
Dhoondhti Hain Kaafir Aankhen Kiskaa Nishaan
Mehfil Mehfil Ae Shama Phirti Ho Kahaan

Vo Anjaana Dhoondhti Hoon
Vo Dewaana Dhoondhti Hoon
Jalaakar Jo Chhip Gayaa Hai
Vo Parwaana Dhoondhti Hoon

Garm Hai, Tez Hai, Ye Nigaahen Meri
Kaam Aa, Jaayengi Sard, Aahen Meri
Tum Kisi, Raah Mein, To Miloge Kahin
Arey Ishq Hoon, Maein Kahin Theharta Hi Nahin
Maein Bhi Hoon Galiyon Ki Parchhaai
Kabhi Yahaan Kabhi Vahaan
Shaam Hi Se Kuchh Ho Jaata Hai
Mera Bhi Jaadu Jawaan

O Hasina Zulfon Vaali...
Chhup Rahe, Hain Ye Kya, Dhang Hai Aapka
Aaj To, Kuchh Nayaa, Rang Hai Aapka
Hai Aaj Ki, Raat Maein, Kya Se Kya Ho Gayi
Aha Aapaki Saadgi, To Adaa Ho Gayi
Maein Bhi Hoon Galiyon Ki Parchhaai
Kabhi Yahaan Kabhi Vahaan
Shaam Hi Se Kuchh Ho Jaata Hai
Mera Bhi Jaadu Jawaan

O Hasina Zulfon Vaali...
Thehariye, To Sahi, Kahiye Kya Naam Hai
Meri Badnaamiyon Ka Vafaa Naam Hai
Oho Qatl Kar, Ke Chale, Ye Vafaa, Khoob Hai
Hai Naazneena Teri, Ye Adaa, Khoob Hai
Maein Bhi Hoon Galiyon Ki Parchhaai
Kabhi Yahaan Kabhi Vahaan
Shaam Hi Se Kuchh Ho Jaata Hai
Mera Bhi Jaadu Jawaan
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #9 on: April 24, 2005, 07:47:21 AM »
jahaan Daal-Daal par
sone kii chidiyaa karati hai baseraa
vo bhaarat desh hai meraa

jahaan satya, ahinsaa aur dharm kaa
pag-pag lagataa Deraa
vo bhaarat desh hai meraa

ye dharati vo jahaan rishi muni
japate prabhu naam ki maalaa
jahaan har baalak ek mohan hai
aur raadhaa har ek baalaa
jahaan suraj sabase pahale aa kar
Daale apanaa pheraa
vo bhaarat desh hai meraa

alabelon ki is dharati ke
tyohaar bhi hai alabele
kahin deevaali ki jagamag hai
kahin hain holi ke mele
jahaan raag rang aur hansii khushi kaa
chaaro aur hai gheraa
vo bhaarat desh hai meraa

jahaan aasamaan se baate karate
mandir aur shivaale
jahaan kisi nagar me kisi dwaar par
koi na taalaa Daale
prem ki bansi jahaan bajaataa
hai ye shaam saveraa
vo bhaarat desh hai meraa
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #10 on: April 24, 2005, 07:49:54 AM »
maang ke saath tumhara mainne maang liya sansaar

maang ke saath tumhara mainne maang liya sansaar

dil kahein dildar mila, hum kahein humein pyaar mila

pyaar mila humein yaar mila, ek naya sansaar mila -

a a a a a a, as mili armaan mila

o o o o o o, jeene ka saamaan mila

Mil gaya ek sahaara, ha ha ha ha
Maang ke saath tumhara mainne maang liya sansaar
Maang ke saath tumhara

dil jawaan aur rut haseen, chal yunhi chal de kahin

tu chahein le chal kahin, tujh pe hai mujhko yakin

o o o o o o, jaan bhi tu hai dil bhi tu hi
Logged
Sour Grape
Guest
«Reply #11 on: April 25, 2005, 03:18:15 AM »
wah wah janab ....kya topic hai...i just LOVE Mohaomad Rafi.......mujhe sub se pyara woh geet lagta hai .....MERE MEHBOOB .....

Mere mehboob tujhe meri mohabbt ki kasam(repeat)
Phir mujhe nargisi ankhon ka sahara dede
Mera khoya hua rangeen nazara dede
Mere mehboob tujhe

Ae mere khwab ki tasbir meri jaan-e-ghazal
Zindagi meri tujhe yaad kiye jaati hai
Raat din mujhko satata hai tasavur tera
Dil ki dhadkan tujhe awaaz diye jaati hai
Aa mujhe apni sadaon ka sahara dede
Mera khoya hua rangeen nazzara dede
Mere mehboob tujhe

Bhool sakti nahin ankhen woh suhana manzar
Jab tera husn mere ishq se takraya tha
Aur phir raha mein bikhre the hazaron naghme
Meri woh naghme teri awaaz ko de aaya tha
Shazedil ko unhi geeton ka sahara dede
Mera khoya hua rangeen nazara dede
Mere mehboob tujhe

Yaad hai mujhko meri umr ki pehli woh gadi
Teri ankhon se koi jaam piya tha maine
Mere rug rug mein koi barqse lehrai thi
Jab tere marmari haathon ko chua tha maine
Aa mujhe phir unhi haathon ka sahara dede
Mera khoya hua rangeen nazara dede
Mere mehboob tujhe

Maine ik baar teri ek jhalak dekhi hai
Meri hasrat hai ke mein phir tera deedar karoon
Tere saaye ko samajh kar mein haseen Taj Mahal
Chandni raat me nazaronse tujhe pyar karoon
Apni mehki hui zulfon ka sahara dede
Mera khoya hua rangeen nazara dede
Mere mehboob tujhe

Dhoond tha hoon tujhe har raah mei har mehfil mein
Thak gaye hai meri majboor tamanna ki kadam
Aaj ka din meri umeed ki hai aakhri din
Kal na jaane mei kahan aur kahan tu hai sanam
Do ghadi apni nigahon ka sahara dede
Mera khoya hua rangeen nazara dede
Mere mehboob tujhe

Saamne aa ke zara parda utha de rukh se
Ik yahi mera ilaaj-e-ghum-e-tanhai hai
Teri furqat ne pareshaan kiya hai mujhko
Ab to milja ke meri jaan pe ban aayi hai
Dil ko bhooli hui yaadon ka sahara dede
Mera khoya hua rangeen nazara dede
Mere mehboob tujhe

Meri mohabbat ki kasam
Phir mujhe nargisi ankhon ka sahara dede
Mera khoya hua rangeen nazara dede
Mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam
Mere mehboob tujhe
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #12 on: April 25, 2005, 03:27:24 AM »
Quote from: "Sour Grape"

BUHAT KHOOB SOUR JEE
Logged
Sour Grape
Guest
«Reply #13 on: April 25, 2005, 03:50:21 AM »
Quote from: "fakharenaveed"

shukriya ....
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: April 25, 2005, 06:03:20 AM »
Wow Excellent topic :D This song from mere mehboob is one of my fav.
another one..

aa.nchal me.n sajaa lenaa kaliyaa.N, zulfo.n me.n sitaare bhar lenaa
aise hii kabhii jab shaam Dhale, tab yaad hame.n bhii kar lenaa
aa.nchal me.n sajaa lenaa kaliyaa.N

aayaa thaa yahaa.n begaanaa saa
aayaa thaa yahaa.n begaanaa saa, chal duu.ngaa kahii.n diivaanaa saa
chal duu.ngaa kahii.n diivaanaa saa
diivaane kii khaatir tum koI, ilzaam naa apane sar lenaa
aise hii kabhii jab shaam Dhale, tab yaad hame.n bhii kar lenaa
aa.nchal me.n sajaa lenaa kaliyaa.N

rastaa jo mile a.njaan koI
rastaa jo mile a.njaan koI, aa jaae agar tuufaan koI
aa jaae agar tuufaan koI
apane ko akelaa jaan ke tum
aa.Nkho.n me.n na aa.nsuu bhar lenaa
aise hii kabhii jab shaam Dhale, tab yaad hame.n bhii kar lenaa
aa.nchal me.n sajaa lenaa kaliyaa.N
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:11:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.144 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer