SOngs of Mohammed. Rafi.............................!!!!!!!!

by Friend_4uall on April 24, 2005, 07:32:48 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Author  (Read 8035 times)
Talat
Guest
«Reply #45 on: May 11, 2005, 11:46:47 AM »
Baharon phool barsaao...
mera mehboob aaya hai....mera mehboob aaya hai
hawaaon raagini gaao...
mera mehboob aaya hai...mera mehboob aaya hai

O laali phool ki mehandi laga in gore haathon main
utar aayi ghata, kaajal laga in pyaari ankhon main
sitaaron maang bhar jaao...
mera mehboob aaya hai...mera mehboob aaya hai

nazaaron taan do ab har taraf ek noor ki chaadar
bada sharmeela dilbar hai chala jaaye na sharma kar
zara tum dil ko behlaao
mera mehboob aaya hai....mera mehboob aaya hai

saja li hai jawan kaliyon ne ab ye sej ulfat ki
inhe maaloom tha aayegi ek din rut mohabbat ki
fizaaon rang bikhraao
mera mehboob aaya hai...mera mehboob aaya hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #46 on: May 13, 2005, 05:29:16 PM »
tumse izahaar-e-haal kar baithe
bekhudi main kamaal kar baithe
tumse izahaar-e-haal ...

kho gaye husn ki bahaaron main
kah diya raaz-e-dil ishaaron main
kaam ham bemisaal kar baiThe
bekhudi main kamaal kar baithe
tumse izahaar-e-haal ...

kitne majboor ho gaye dil se
soche samjhe baghair qaatil se
zindagi ka sawaal kar baithe
bekhudi main kamaal kar baithe
tumse izahaar-e-haal ...

ye adaain ye shokhiyaan tauba
bas khuda hi khuda hai us dil ka
jo tumhaara khayaal kar baithe
bekhudi main kamaal kar baithe
tumse izahaar-e-haal ...
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #47 on: May 14, 2005, 10:20:43 PM »
Quote from: "Talat"
tumse izahaar-e-haal kar baithe
bekhudi main kamaal kar baithe
tumse izahaar-e-haal ...

kho gaye husn ki bahaaron main
kah diya raaz-e-dil ishaaron main
kaam ham bemisaal kar baiThe
bekhudi main kamaal kar baithe
tumse izahaar-e-haal ...

kitne majboor ho gaye dil se
soche samjhe baghair qaatil se
zindagi ka sawaal kar baithe
bekhudi main kamaal kar baithe
tumse izahaar-e-haal ...

ye adaain ye shokhiyaan tauba
bas khuda hi khuda hai us dil ka
jo tumhaara khayaal kar baithe
bekhudi main kamaal kar baithe
tumse izahaar-e-haal ...
buhat achey Talat
Logged
Talat
Guest
«Reply #48 on: May 15, 2005, 05:55:39 AM »
Thanks Fakhar ................................................. .....
Logged
Talat
Guest
«Reply #49 on: May 16, 2005, 06:53:12 AM »
bahot shukriya badi meharbaani
meri zindagi main huzoor aap aaye
qadam choom loon ya ye aankhen bichha doon
karun kya ye meri samajh main na aaye
bahot shukriyaa...

karun pesh tumko nazrana dil ka
nazrana dil ka
ke ban jaaye koi afsaana dil ka
khuda jaane aisi suhaani ghadi phir
meri zindagi main palat ke na aaye
bahot shukriyaa...

khushi to bahot hai, magar ye bhi gham hai
ke ye saath apana qadam do qadam hai
magar ye musaafir dua maangta hai
khuda aapse kisi din milaaye
bahot shukriyaa...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #50 on: May 16, 2005, 05:58:25 PM »
Quote from: "Talat"
Baharon phool barsaao...
mera mehboob aaya hai....mera mehboob aaya hai
hawaaon raagini gaao...
mera mehboob aaya hai...mera mehboob aaya hai

O laali phool ki mehandi laga in gore haathon main
utar aayi ghata, kaajal laga in pyaari ankhon main
sitaaron maang bhar jaao...
mera mehboob aaya hai...mera mehboob aaya hai

nazaaron taan do ab har taraf ek noor ki chaadar
bada sharmeela dilbar hai chala jaaye na sharma kar
zara tum dil ko behlaao
mera mehboob aaya hai....mera mehboob aaya hai

saja li hai jawan kaliyon ne ab ye sej ulfat ki
inhe maaloom tha aayegi ek din rut mohabbat ki
fizaaon rang bikhraao
mera mehboob aaya hai...mera mehboob aaya hai


hmmmmmmmmmm   yeh song  bahot  accha hai ...........nice  song  Talat........
Logged
Talat
Guest
«Reply #51 on: May 17, 2005, 06:42:16 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"


hmmmmmmmmmm   yeh song  bahot  accha hai ...........nice  song  Talat........


Thanks Waheed .... !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #52 on: May 17, 2005, 06:42:47 AM »
beqaraar hai koi, aa mere dildaar aa
hai kisi ki zindagi, aa ishq hai ghumkhwaar aa

Dasti hai naagin si, furqat ki raaten
jhuti hain bin tere jeene ki baaten
haye kaisi bebasi, aa main hoon talabgaar aa

chun lun gham tere, dukh-dard mita doon
honto pe naghmon ki kaliyaan khila doon
ro rahi hai bekasi, aa husn hai biimaar, aa

beqaraar hai koi, aa mere dildaar aa
hai kisi ki zindagi, aa ishq hai ghumkhwaar aa
Logged
Talat
Guest
«Reply #53 on: May 17, 2005, 06:43:25 AM »
bin dekhe aur bin pahchane tum par hum qurbaan
mohabbat isko kahte hain, mohabbat isko kahte hain

bin dekhe aur bin pahchane tum par hum qurbaan
mohabbat isko kahte hain, mohabbat isko kahte hain
gar tum par na marte to jeena tha aasaan
mohabbat isko kahte hain, mohabbat isko kahte hain

chahat ke sandesh lekar aati hai shaam
gar tum bhi aa jaate to aa jaata aaraam
dil ki basti bas hi jaati
meri har dharkan ye gaati
tum aate to mujhpar hota
kitna bada ehsaan
bin dekhe aur bin pahchaane ..........

bekal mere armaan, bekal hai mera pyaar
kabse main karta hoon tumhara intezaar
kabse meri baahen sooni
jeevan ki ye raahen sooni
tum bin kaise poore honge
dil main base armaan
bin dekhe aur bin pahchaane .........
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #54 on: May 17, 2005, 11:41:52 AM »
Quote from: "Talat"
Quote from: "waheed_rose2004"


hmmmmmmmmmm   yeh song  bahot  accha hai ...........nice  song  Talat........


Thanks Waheed .... !!


hmmmmmmmm    ur  welcome  talat..................................
Logged
Talat
Guest
«Reply #55 on: May 21, 2005, 07:03:19 PM »
Ae husn zara jaag..tujhe ishq jagaye...
Badle meri taqdeer jo tu hosh me aaye...

Ye pyaar ke naghme..ye mohabbat ke tarane
Tujhko bade armaan se laaya hoon sunane
Ummed meri dil ki kahin toot na jaaye..
Ae husn....

Saaz-e-dil-e-khamosh main ek soz jaga hai
Tu bhi meri awaaz me awaaz mila de
Aaya hoon tere dar pe badi aas lagaye...
Ae husn...

Ae shama tu aaja zara chilman se nikal ke
Hasrat hai ki raha jaaun teri aag me jalke
Parwana wo kya tujhpe jo jalke na dikhaaye
Ae husn...
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #56 on: May 22, 2005, 05:41:33 AM »
kuch hamaari taraf se bhi pesh hai............Rafi saahab ki awaaz...............

main ye sochkar uske dar se uThaa thaa
ke vo rok legi manaa legi mujhko

havaaoN mein lahraataa aataa thaa daaman
ke daaman pakaDkar biThaa legi mujhko

kadam aise andaaz se uTh rahe the
ke aavaaz dekar bulaa legi mujhko

magar usne rokaa
na usne manaayaa
na daaman hi pakaDaa
na mujhko biThaayaa
na aavaaz hi dii
na vaapas bulaayaa
main aahistaa aahistaa baDhtaa hi aayaa
yahaaN tak ke us se judaa ho gayaa main
judaa ho gayaa main.............
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #57 on: May 22, 2005, 05:44:58 AM »
Film - Dostanaa....

mere dost kissaa ye kyaa ho gayaa
sunaa hain ke too bewafaa ho gayaa

duwaa badduwaa de, ye mumakeen nahee
muzhe too dagaa de, ye mumakeen nahee
khudaa jaane kyaa, maajaraa ho gayaa

agar maang le too, o jaan-e-jigar
tuze jaan de doon, main ye jaanakar
ke hak dosatee kaa adaa ho gayaa

kayaamat se kam yaar ye gam nahee
ke too aaur mai, rah gaye hum nahee
meraa yaar mujh se judaa ho gayaa....
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #58 on: May 22, 2005, 05:48:09 AM »
Film - Mera saaya

aap ke pahaloo mein aa kar ro diye
daastaan-ye-gam sunaa kar ro diye

zindagee ne kar diyaa, jab bhee udaas
aa gaye ghabaraa ke hum  manzil ke paas
sar jhukaayaa, sar jhukaa kar ro diye

shaam jab aansoo bahaatee aa gayee
har taraf gam kee udaasee chhaa gayee
deep yaadon ke jalaa kar ro diye

gam judaee kaa sahaa jaataa nahee
aap ke bin ab rahaa jaataa nahee
pyaar mein kyaa kyaa gawaa kar ro diye............
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #59 on: May 22, 2005, 05:53:48 AM »
Film - Naunihal.....

Meri aawaaz suno, pyaar ke raaz suno
maine ek phool jo seene pe sajaa rakhaa tha
uske parade main tumhein dil se lagaa rakhha tha
tha judaa sabase mere ishq ka andaaz suno
Meri aawaaz suno..

Zindagi bhar mujhe nafarat si rahi ashkon se
mere khwaabon ko tum ashkon mein dubote kyon ho
jo meri tarah jiyaa karate hain kab marate hain
thak gayaa hoon mujhe so lene do rote kyon ho
so ke bhi jaagate hi rahate hain jaanbaaz suno
Meri aawaaz suno..

Meri duniya mein na poorab hai na pashchim koi
saare insaan simat aaye khulee baahon mein
kal bhatakataa tha main jin rahon main tanhaa tanhaa
kaafile kitane mile aaj unheen rahon main
aur sab nikale mere humadard mere humaraz suno
Meri aawaaz suno..

Naunihaal aate hain arathi ko kinaare kar lo
main jahaan tha inhein jaanaa hai vahaan se aage
aasamaan inakaa zameen inaee zamaanaa inakaa
hain kai inake jahaan mere jahaan se aage
inhein kaliyaan nA kaho hain ye chumanasaaz suno
Meri aawaaz suno..

Kyon sanvaree hai ye chandan ki chitaa mere liye
main koi jism nahin hoon ke jalaaoge mujhe
raakh ke saath bikhar jaaoongaa main duniya mein
tum jahaan khaaoge thokar vaheen paaoge mujhe
har kadam par hai nae mod ka aagaaz suno
Meri aawaaz sunopyaar ke raaz suno
maine ek phool jo seene pe sajaa rakhaa tha
uske parade main tumhein dil se lagaa rakhha tha
tha judaa sabase mere ishq ka andaaz suno
Meri aawaaz suno..
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 04:56:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer