SOngs of Mohammed. Rafi.............................!!!!!!!!

by Friend_4uall on April 24, 2005, 07:32:48 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
Print
Author  (Read 8080 times)
Friend_4uall
Guest
«Reply #60 on: May 22, 2005, 06:15:50 AM »
Quote from: "Aarzuu"
Film - Dostanaa....

mere dost kissaa ye kyaa ho gayaa
sunaa hain ke too bewafaa ho gayaa

duwaa badduwaa de, ye mumakeen nahee
muzhe too dagaa de, ye mumakeen nahee
khudaa jaane kyaa, maajaraa ho gayaa

agar maang le too, o jaan-e-jigar
tuze jaan de doon, main ye jaanakar
ke hak dosatee kaa adaa ho gayaa

kayaamat se kam yaar ye gam nahee
ke too aaur mai, rah gaye hum nahee
meraa yaar mujh se judaa ho gayaa....


Aarzu................this is my favorite song................!!! Thank you for posting this one...!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #61 on: May 22, 2005, 06:26:24 AM »
Quote from: "Aarzuu"
kuch hamaari taraf se bhi pesh hai............Rafi saahab ki awaaz...............

main ye sochkar uske dar se uThaa thaa
ke vo rok legi manaa legi mujhko

havaaoN mein lahraataa aataa thaa daaman
ke daaman pakaDkar biThaa legi mujhko

kadam aise andaaz se uTh rahe the
ke aavaaz dekar bulaa legi mujhko

magar usne rokaa
na usne manaayaa
na daaman hi pakaDaa
na mujhko biThaayaa
na aavaaz hi dii
na vaapas bulaayaa
main aahistaa aahistaa baDhtaa hi aayaa
yahaaN tak ke us se judaa ho gayaa main
judaa ho gayaa main.............


I already wrote this song here in this topic  ......... happy9
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #62 on: May 24, 2005, 06:30:04 AM »
Film - Thokar

apni aankhon mein basaa kar koyi iqraar karoon
jee mein aata hai ke jee bhar ke tujhe pyaar karoon
apni aankhon mein basaa kar koyi iqraar karoon

maine kab tujhse zamaane ki khushi maangi hai
ek halki si mere lab ne hansi maangi hai
saamne tujhko bitha kar tera deedaar karoon
jee mein aata hai ke jee bhar ke tujhe pyaar karoon
apni aankhon mein basaa kar koyi iqraar karoon

saath chhute na kabhi tera yeh kasam le loon
har khushi de ke tujhe tere sanam gham le loon
haaye main kiss tarah se pyaar ka izhaar karoon
jee mein aata hai ke jee bhar ke tujhe pyaar karoon
apni aankhon mein basaa kar koyi iqraar karoon.......
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #63 on: May 24, 2005, 06:31:11 AM »
Film - Raaz

akele hain chale aao, jahaan ho
kahaan aawaaj de tum ko kahaan ho

tumhen hum dhoondhate hain, humein dil dhoondhataa hai
naa ab manjil hain koee, naa koee raasataa hai

ye tanahaee kaa aalam aur is par aap kaa gam
naa jeete hain, naa marate hain, bataao kyaa kare hum

akele hain chale aao, jahaan ho
kahaa aawaaj de tum ko kahaan ho.........
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #64 on: May 24, 2005, 06:32:13 AM »
Film - Dulari

Suhani Raat Dhal Chuki Na Jaane Tum Kab Aaoge
Jahan Ki Rut Badal Chuki Na Jaane Tum Kab Aaoge

Nazaare Apni Mastiyaan Dikha Dikha Ke Kho Gaye
Sitaare Apni Roshni Luta Luta Ke So Gaye
Har Ek Shamma Jal Chuki
Na Jaane Tum Kab Aaoge

Tadap Rahe Hain Hum Yahan Tumhare Intezaar Mein
Khiza Ka Rang Aa Chala Hai Mausam-E-Bahar Mein
Havaa Bhi Rukh Badal Chuki
Na Jaane Tum Kab Aaoge........
Logged
dolly
Guest
«Reply #65 on: May 24, 2005, 07:53:27 AM »
jawaaniya yeh mast mast bin piye...
jalaati chal rahi hain raah mein diye..
na jaaane inme kiske waaste hoon main..
naa jaaane inme kaun hai mere liye
mere liye...mere liye...
Logged
dolly
Guest
«Reply #66 on: May 24, 2005, 08:42:10 AM »
tu kahan yeh bata iss nasheeli raat mein.....
maane naa mer dil deewana haye....

bada natkhat hai samaan har nazaara hain jawaan
chaaron taraf cha hi gaya meri aahon ka dhuaan
.....sth ....

aayi jab thandi hawa maine poocha jo pata
woh bhi takra ke gayee aur bechain kiya
naa sata aa bhi jaa

tu kahan yeh bata iss nasheeli raat mein.......
maane naa mera dil deewana.........
Logged
dolly
Guest
«Reply #67 on: May 24, 2005, 08:50:16 AM »
janam janam ka saath hai nibhaane ko
sau sau baar maine janam liye....

oh shehzadi sapnoki itni tu hairaan na ho
main bhi tera sapna hoon.......jaan meri anajaan naa ho....

tu manzil main rahi hoon ek din tujhko paaonga
kaun mujhe fir rokega har dam yunhi aaonga...
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #68 on: May 24, 2005, 11:54:42 PM »
buhat achey songs hain ji............................................... .................................................
Logged
Talat
Guest
«Reply #69 on: May 25, 2005, 06:04:01 AM »
Nice Songs...Aarzuu and Dolly ....

Aaj puraani raahon se... koi mujhe awaaz na de
Dard me doobe geet na de...ghum ka sisakta saaz na de
Aaj puraani raahon se... koi mujhe awaaz na de..

Beete dino ki yaad thi jinme..
Main wo tarane bhool chuka hoon...
Aaj nai manzil hai meri...
Kal ke thikane bhool chuka hoon...
Na wo dil na sanam...na wo deen dharam..
Ab door hoon saare gunaahon se...
Aaj puraani raahon se... koi mujhe awaaz na de...

Jeevan badla..dunya badli..
Man ko anokha gyaan mila..
Aaj mujhe apne hi dil me..
Ek naya insaan mila..
Pahuncha hoon wahan...nahin door jahan..
bhagwaan ki nek nigaahon se....
Aaj puraani raahon se... koi mujhe awaaz na de....

Toot chuke sab pyar ke bandhan...
Aaj koi zanjeer nahin...
Sheesha-e-dil me armaano ki..
Aaj koi tasveer nahin....
Ab shaad hoon main...
Aazaad hoon main..
Ab kaam nahin kuch aahon se...
Aaj puraani raahon se... koi mujhe awaaz na de...
Logged
Talat
Guest
«Reply #70 on: May 25, 2005, 07:15:29 AM »
Jaane waalon zara mud ke dekho mujhe
Main bhi insaan hoon ek tumhari tarah...
Jisne sabko racha apne hi roop se
Uski pehchaan hoon main tumhari tarah...

Is anokhe jagat ki main tasveer hoon..
Main vidhaata ke haathon ki tasveer hoon..
Is jahan ke liye..dharti maa ke liye..
Shiv ka vardaan hoon main tumhari tarah..

Man ke andar chupaye milan ki lagan..
Apne suraj ki hoon ek bichrhi kiran..
Phir raha hoon bhatakta..yahan se wahan..
Aur pareshaan hoon main tumhari tarah..

Mere paas aao..chorho ye saara bharam..
Jo mera dukh hai wahi tumhara bhi ghum..
Dekhta hoon tumhe..jaanta hoon tumhe ..
Lakh anjaan hoon main tumhari tarah..

Jaane waalon zara mud ke dekho mujhe
Main bhi insaan hoon ek tumhari tarah...
Logged
Talat
Guest
«Reply #71 on: May 30, 2005, 08:36:55 AM »
Ye mehlon ye taqton ye taajon ki dunya
Ye insaan ke dushman samajon ki dinya
Ye daulat ke bhooke riwajon ki dunya
Ye dunya agar mil bhi jaaye to kya hai......

Har ek jism ghayal har ek rooh pyaasi
Nigaahon me uljhan dilon me udaasi
Ye dunya hai ya aalam-e-badhawasi
Ye dunya agar mil bhi jaaye to kya hai......

Jahan ek khilauna hai insaan ki hasti
Ye basti hai murda paraston ki basti
Jahaan por hai jeevan se maut sasti
Ye dunya agar mil bhi jaaye to kya hai......

Jawaani bhatakti hai bezaar ban kar
Jawaan jism sajte hain baazar ban kar
Jahan pyaar hota hai wayapaar ban kar
Ye dunya agar mil bhi jaaye to kya hai......

Ye dunya jahan aadmi kuch nahin hai
Wafa kuch nahin dosti kuch nahin hai
Jahan pyaar ki qadr hi kuch nahin hai
Ye dunya agar mil bhi jaaye to kya hai......

Jalaa do jalaa do, ise phoonk daalo
Ye dunya mere saamne se hata lo
Tumhari hai tum hi sambhalo ye dunya
Ye dunya agar mil bhi jaaye to kya hai......
Logged
Rishi Soumya
Guest
«Reply #72 on: June 05, 2005, 06:36:22 PM »
Roop tera mastana,Pyar mera deewana
Bhool koi humse na ho jaaye

Raat nashili mast shama hai
Aaj nashe main saara jahan hai
Haye sharaabi mausam behkaye

Aankhon se aankhein milti hai aise
Baichain hoke toofan main jaise
Moz koi saahil se takraye

Rok raha hai humko jamana
Door hi rehna paas na aana
Aise magar koi dil ko samjhaye

Roop tera mastana.......
Logged
Talat
Guest
«Reply #73 on: June 05, 2005, 06:44:01 PM »
Chahunga Main Tujhe Saanjh Sawere
Phir Bhi Kabhi Ab Naam Ko Tere
Aawaaz Main Na Doonga
Aawaaz Main Na Doonga......

Dekh Mujhe Sab Hai Pata
Sunta Hai Tu Man Ki Sada
Mitwa...Mere Yaar
Tujhko Baar Baar Aawaaz Maein Na Doonga...
Aawaaz Main Na Doonga...
Chahunga Main Tujhe Saanjh Sawere
Phir Bhi Kabhi Ab Naam Ko Tere
Aawaaz Main Na Doonga
Aawaaz Main Na Doonga
Chahunga Main Tujhe Saanjh Sawere.......

Dard Bhi Tu, Chain Bhi Tu
Daras Bhi Tu, Nain Bhi Tu
Mitwa...Mere Yaar
Tujhko Baar Baar aawaaz Main Na Doonga...
Aawaaz Main Na Doonga...
Chahunga Main Tujhe Saanjh Sawere
Phir Bhi Kabhi Ab Naam Ko Tere
Aawaaz Main Na Doonga
Aawaaz Main Na Doonga
Chahunga Main Tujhe Saanjh Sawere.......

Chahunga Main Tujhe Saanjh Sawere
Phir Bhi Kabhi Ab Naam Ko Tere
Aawaaz Main Na Doonga
Aawaaz Main Na Doonga......
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #74 on: June 09, 2005, 04:58:47 PM »
Quote from: "Talat"
Chahunga Main Tujhe Saanjh Sawere
Phir Bhi Kabhi Ab Naam Ko Tere
Aawaaz Main Na Doonga
Aawaaz Main Na Doonga......

Dekh Mujhe Sab Hai Pata
Sunta Hai Tu Man Ki Sada
Mitwa...Mere Yaar
Tujhko Baar Baar Aawaaz Maein Na Doonga...
Aawaaz Main Na Doonga...
Chahunga Main Tujhe Saanjh Sawere
Phir Bhi Kabhi Ab Naam Ko Tere
Aawaaz Main Na Doonga
Aawaaz Main Na Doonga
Chahunga Main Tujhe Saanjh Sawere.......

Dard Bhi Tu, Chain Bhi Tu
Daras Bhi Tu, Nain Bhi Tu
Mitwa...Mere Yaar
Tujhko Baar Baar aawaaz Main Na Doonga...
Aawaaz Main Na Doonga...
Chahunga Main Tujhe Saanjh Sawere
Phir Bhi Kabhi Ab Naam Ko Tere
Aawaaz Main Na Doonga
Aawaaz Main Na Doonga
Chahunga Main Tujhe Saanjh Sawere.......

Chahunga Main Tujhe Saanjh Sawere
Phir Bhi Kabhi Ab Naam Ko Tere
Aawaaz Main Na Doonga
Aawaaz Main Na Doonga......


yeh song  rafi  ka  bahot  popular  hua.. .........   excellenet  song  Talat......
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:00:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer