Songs that I Like......

by natural on November 28, 2005, 10:21:24 AM
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 24
Print
Author  (Read 25860 times)
natural
Guest
«Reply #165 on: September 13, 2006, 01:15:50 PM »
Quote from: "Rajbir"
Shikha

Very good selection of songs ! =D> =D> =D>

Rajbir

Kabhi merey songs ki bhi tareef kar diya karo.... Jhooti hi sahi.... Shikha aur Khushii ki choice par to kaisey taaliyan baja rahe ho, Kabhi kabhi merey choice par bhi taali baja diya karo.....tongue3  :D  :D
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
fun with songs by mudassirali in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Some My Fav. Songs.................... by waheed_rose2004 in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
songs.... by desikurri in Songs & Lyrics
:: songs i like / my favorite songs :: by myheart_ursonly in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
~I LIKE THESE SONGS~ by bhambra in Songs & Lyrics « 1 2 ... 33 34 »
Rishi Soumya
Guest
«Reply #166 on: September 13, 2006, 01:32:38 PM »
I love the song Kya mujhe pyar hai from...Dil Diya Hai..Really lovely song..
Logged
natural
Guest
«Reply #167 on: September 13, 2006, 07:18:17 PM »
One more....


jubaan pe dardbharee daastaan chalee aayee
bahaar aane se pahale khijaa chalee aayee

khushee kee chaah mein maine uthhaye ranj bade
meraa nasib ke mere kadam jahaan bhee pade
ye badanasibee meree bhee wahaan chalee aayee

udaas raat hain, wiraan dil kee mahafil hain
naa humasafar hain koee aaur, naa koee manjil hain
ye jindagee muze lekar kahaa chalee aayee
Logged
natural
Guest
«Reply #168 on: September 13, 2006, 07:22:35 PM »
Tumse milke mujhe aisa lagta hai kyon
Tumse milke mujhe aisa lagta hai kyon
Meri jaan bhi nahin tum, anjaan bhi nahin tum

Tumse milke mujhe aisa lagta hai kyon
Mujhse door bhi nahin tum, mere paas bhi nahin tum

Tumse milke julti ek tasveer to hai mere seene mein
Pyaar mein jiske dooba dil ek heer to hai mere seene mein

Seene mein tere koyi aur nahin bas meri hai tasveer
Chaahat ki nazar se dekh zara bas main hoon teri heer

Baar baar yeh khayal dil mein uth tha hai kyon
Meri jaan bhi nahin tum, anjaan bhi nahin tum

Tum shayed bhoole ho woh kasmein woh waadein jo rahe apne
Dekho meri in aankhon mein ab tak jawaan woh mere sapnein

Sapnon ki is duniya se mujhe ab lagne laga hai darr
Main kaise bataoon aaj tujhe kya chot hai is dil par

Sochke bas yehi dil yeh darta hai kyon
Mujhse door bhi nahin tum, mere paas bhi nahin tum

Tumse milke mujhe aisa lagta hai kyon
Meri jaan bhi nahin tum, anjaan bhi nahin tum
Logged
natural
Guest
«Reply #169 on: September 13, 2006, 07:29:30 PM »
Mm hmm hmm hmm, eh hey, la la la
Mujhe raat din, bas mujhe chaahti ho - 2
Kaho na kaho mujhko sab kuch pataa hai
Haan, karoon kya mujhe tum bataati nahin ho
Chhupaati ho mujhse yeh tumhaari khataa hai
Aa mujhe raat din, bas mujhe chaahti ho

Meri beqaraari ko had se badhaana
Tumhe khoob aata hai baatein banaana
Nigaahein milaake yun mera chain lena
Sataake mohabbat mein yun dard dena
Mujhe dekhke aise palkein jhukaana
Sharaarat nahin hai to phir aur kya hai
Aa mujhe raat din, bas mujhe chaahti ho

Tumhe neend aayegi ab na mere bin
Mujhe hai yakeen aisa aayega ek din
Khuli teri zulfon mein soya rahoonga
Tere hi khayaalon mein khoya rahoonga
Kabhi gaur se meri aankhon mein dekho
Meri jaan tumhaara hi chehraa chhupaa hai
Aa mujhe raat din, bas mujhe chaahti ho
Kaho na kaho mujhko sab kuch pataa hai
Haan, karoon kya mujhe tum bataati nahin ho
Chhupaati ho mujhse yeh tumhaari khataa hai
Aa mujhe raat din, bas mujhe chaahti ho
Mm, hmm hmm hmm, eh hey, la la la
Logged
natural
Guest
«Reply #170 on: September 13, 2006, 07:48:03 PM »
Ye hawa kehti hai kya,tumko meri jana meri jaana
Ye phiza kehti hai kya,tumko meri jana meri jaana
meri jaana...
Bin tere mein kaise jee sakungaa
Tera pyaar kab mein paa sakungaa
Meri dua chahati hai kya?tera pyaar jaana
meri jaana...
Ye hawa kehti hai kya...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #171 on: September 14, 2006, 08:45:45 AM »
yaar Nattu   yeh kis  film  ka song hai Puzzled !
Logged
natural
Guest
«Reply #172 on: September 14, 2006, 08:51:44 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
yaar Nattu   yeh kis  film  ka song hai Puzzled !


Ye Aryans Album ka song hai.... By Sonu Nigam..
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #173 on: September 14, 2006, 08:56:59 AM »
Quote from: "natural"
Quote from: "waheed_rose2004"
yaar Nattu   yeh kis  film  ka song hai Puzzled !


Ye Aryans Album ka song hai.... By Sonu Nigam..


absolutly wrong....

Aryans ka hai lekin singer sonu nahi khood aryans group hai..  Puzzled !
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #174 on: September 14, 2006, 09:41:38 AM »

(Dil Se Tujhko Bedili Hai
Mujhko Hai Dil Ka Guroor
Tu Yeh Maane Ya Na Maane
Log Maanenge Zaroor)

Yeh Mera Deewanapan Hai
Ya Mohabbat Ka Suroor
Tu Na Pehchaane To Hai Yeh
Teri Nazron Ka Kusoor
Yeh Mera Deewanapan ...

Dil Ko Teri Hi Tamanna
Dil Ko Hai Tujhse Hi Pyar
Chaahe Tu Aaye Na Aaye
Hum Karenge Intezaar
Yeh Mera Deewanapan...

Aise Veerane Mein Ek Din
Ghut Ke Mar Jayenge Hum
Jitna Ji Chaahe Pukaro
Phir Nahin Aayenge Hum
Yeh Mera Deewanapan...
[/b]
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #175 on: September 14, 2006, 09:49:02 AM »
Thanxxxxx  Milind  ........Natu..........nice  song Shikha..........
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #176 on: September 14, 2006, 10:02:53 AM »
Thanks Waheed.... :D
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #177 on: September 14, 2006, 10:05:20 AM »

Fajaa bhee hain jawaan, jawaan, hawaa bhee hain rawaan, rawaan
Sunaa rahaa hain ye samaa, sunee sunee see daasataan

Pukaarate hain door se, wo kafile bahaar ke
Bikhar gaye hain rang se, kisee ke intajaar ke
Lahar lahar ke honthhapar, wafaa kee hain kahaniyaan

Buzee magar buzee nahee, n jaane kaisee pyaas hai
Karaar dil se aaj bhee, naa door hain naa paas hai
Ye khel dhoonp chhaanw kaa, ye kurbate, ye duriyaan

Har ek pal ko dhoondhataa, har ek pal chalaa gayaa
Har ek pal firaak kaa, har ek pal wisaal kaa
Har ek pal gujar gayaa, banaa ke dil pe ek nishaan

[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #178 on: September 14, 2006, 10:07:54 AM »

My Latest Favorite... From Movie Garam Masala...
[/b]



Falak dekhu zameen dekhu
Jaha dekhu tera chehra wahi dekhu

Falak dekhu zameen dekhu
Jaha dekhu tera chehra wahi dekhu
Har ek manzar tera manzar
Woh kya manzar jaha tujhko nahi dekhu
Falak dekhu zameen dekhu
Jaha dekhu tera chehra wahi dekhu


(Hai kisne tarashsa badan marmari ka
Yeh khwabo bhari aankhein yeh chehra pari sa) - 2
Tu he mera haasil hain tu he arzoo
Baharo ko nazaro ko sitaro ko jo tu na ho nahi dekhu
Falak dekhu zameen dekhu
Jaha dekhu tera chehra wahi dekhu

(Chalakta hain palko se yeh kaisa nasha hain
Nahi hosh mein koi kya dilkash sama hain) - 2
Tera noor chaaya hain tera he junnoon
Oh jaane ada tere jaisa nahi mumkin kahi koi hasi dekhu
Falak dekhu zameen dekhu
Jaha dekhu tera chehra wahi dekhu
Har ek manzar tera manzar
Woh kya manzar jaha tujhko nahi dekhu
[/b]
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #179 on: September 14, 2006, 10:15:01 AM »
haan  yeh garam garam  song  hai :lol:
Logged
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 24
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 01:50:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer