Songs that I Like......

by natural on November 28, 2005, 10:21:24 AM
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17 ... 24
Print
Author  (Read 25628 times)
Shikha12
Guest
«Reply #180 on: September 14, 2006, 12:46:10 PM »
Puzzled !
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
fun with songs by mudassirali in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Some My Fav. Songs.................... by waheed_rose2004 in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
songs.... by desikurri in Songs & Lyrics
:: songs i like / my favorite songs :: by myheart_ursonly in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
~I LIKE THESE SONGS~ by bhambra in Songs & Lyrics « 1 2 ... 33 34 »
Shikha12
Guest
«Reply #181 on: September 14, 2006, 12:47:41 PM »

Bheegi bheegi bheegi jaadu bhari lamhon ki ye raatein
Bheegi bheegi bheegi jaadu bhari lamhon ki ye raatein
Dekho karne lagi hoon main boondon se baatein
Boondon se baatein
Boondon se baatein main boondon se baatein

Bheegi bheegi bheegi jaadu bhari lamhon ki ye raatein
Dekho karne lagi hoon main boondon se baatein

Maina poochha boondon se
Maina poochha boondon se
Sach sach bolo hai raaz kya
Yoon barse ghata kis gam mein
Kehne lage ye to aas hai
Kisi ki chaah mein khushiyon ke
Parwat ki deewani vo barse ghata mastani vo
Mujhpe bhi hai deewanapan kisika

Dekho karne lagi hoon main boondon se baatein
Boondon se baatein
Boondon se baatein main boondon se baatein
Boondon se baatein

Bheegi bheegi bheegi jaadu bhari lamhon ki ye raatein
Dekho karne lagi hoon main boondon se baatein

Saandhi saandhi khushboo hai
Saandhi saandhi khushboo hai
Rimjhim rimjhim boondein girein
Kaisi mehek uthi hai zameen ye
Baadal ne chhalkaya hai pyaar
Dekho bekaraar zameen pe
Mujhpe bhi barsaaya hai
Mujhko bhi mehkaaya hai
Chhalkaaya pyaar kisine mujhpe bhi

Dekho karne lagi hoon main boondon se baatein
Boondon se baatein     Boondon se baatein ...
[/b]
Logged
natural
Guest
«Reply #182 on: September 14, 2006, 04:39:43 PM »
Quote from: "mili_genie"
Quote from: "natural"
Quote from: "waheed_rose2004"
yaar Nattu   yeh kis  film  ka song hai Puzzled !


Ye Aryans Album ka song hai.... By Sonu Nigam..


absolutly wrong....

Aryans ka hai lekin singer sonu nahi khood aryans group hai..  Puzzled !


Oye hateley.... :D  Merey paas ye Song Sonu Nigam ki awaaj mein hai....  :D  :D
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #183 on: September 15, 2006, 10:19:31 AM »
ho sakta hai ........  sonu  aur abhijeet  dooshron ka song jyada  gaate hain  :lol:
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #184 on: September 15, 2006, 10:27:08 AM »
aila .. ye aise kaise ho gaya..... :shocked:

lekin yaar mere pass to aryan ki awaz me hai...  :?
ok yaar forget it aur ye gana suno.... from- muskaan my favorite

Jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke
Tumne aisi baat kahi dil mera kho gaya

Jaaneman, jaaneman, jaaneman, jaaneman
Jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke
Tumne aisi baat kahi dil mera kho gaya

Jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke
Haan jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke
Jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke
Tumne aisi baat kahi dil mera kho gaya
Na jaane kab pyaar ho gaya, sanam ikraar ho gaya

Jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke
Tumne aisi baat kahi dil mera kho gaya
Na jaane kab pyaar ho gaya, sanam ikraar ho gaya

Teri har muskaan mein na jaane kaisa jaadu hai
Bin dekhe hi dilbar tera yeh aashiq beqaabu hai

Main bhi tujhe pal pal mehsoos karti hoon
Teri kasam
Is mausam ki baahon mein, anjaani in raahon mein
Tumne aisi baat kahi dil mera kho gaya
Na jaane kab pyaar ho gaya, sanam ikraar ho gaya
Tere hi baare mein dilbar maine subh-o-shaam likha
Har dhadkan pe bechaini mein maine tera naam likha

Main jee nahin sakta hoke judaa tujhse
Jaan-e-vafa
Gulshan mein veeraanon mein, aake mere kaanon mein
Tumne aisi baat kahi dil mera kho gaya
Na jaane kab pyaar ho gaya, sanam ikraar ho gaya

Jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke

Arre jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke

Tumne aisi baat kahi dil mera kho gaya
Na jaane kab pyaar ho gaya, sanam ikraar ho gaya
Logged
natural
Guest
«Reply #185 on: September 16, 2006, 07:23:14 PM »
Usual Smile  Usual Smile

wafaa jo tumase kabhee mainne nibhaaee hotee
umar naa muft mein sadkon pe gawaaee hotee

saanp yaadon ke hain dasate muze har shaama-o-sahar
ye jo sote to muze neend bhee aayee hotee
teree chaukhatase jo us roj naa aayaa hotaa
main khudaa hotaa, duniyaan pe khudaee hotee

hotee gairat to tere saath hee mar jaate sajan
laash kaandhon pe yoon apanee naa uthhaayee hotee
haath kyaa aayaa mere yek siyaahee ke siwaa
dekhane haal meraa too bhee tab aayee hotee
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #186 on: September 17, 2006, 03:49:18 AM »
Hindi Song Title: Aa Teri Tasveer Bana Loon
Hindi Movie/Album Name: NADAAN
Singer(s): TALAT  


Hindi Lyrics:
aa teri tasaveer bana loon
main apani taqadeer bana loon
dil ke kore kaagaz par
ulfat ki lakeer bana loon
aa teri tasaveer bana loon ...

rang hamaare teri javaani
ban jaaye ek prem kahaani
door kisi ko lene ja ke
sun loon aur suna loon
aa teri tasaveer bana loon ...

baal hain baadal jaise kaale
saagar se naina matavaale
tere gulaabi gaalon se
ji karata hai rang chura loon
aa teri tasaveer bana loon ...
Logged
natural
Guest
«Reply #187 on: September 17, 2006, 11:32:51 AM »
Usual Smile

Ek Zara Josh Mein Jo Aaye
Chaand Ko Bhi Woh Zameen Pe Laaye
Woh Bhawar Mein Jo Kabhi Gir Jaaye
Ek Tinka Aadmi Ko Bachaye
Jung Abhi Jeeta Nahin Hain Yaaro
Main Bhi Haara Nahin Hoon Yaaro

Jeena Kya Jeevan Se Haar Ke
Jeena Kya Jeevan Se Haar Ke
Jeena Kya Jeevan Se Haar Ke
Jo Har Saas Ji Gaya Marne Ka Usko Gham Nahin
Jo Har Saas Ji Gaya Marne Ka Usko Gham Nahin
Kehti Hai Dhaara Kehta Hai Gagan
Kehta Hai Yeh Mann Jis Mein Hai Lagan
Dil Tutne Pe Bhi Nagmein Gaaye Pyaar Ke Pyaar Ke Pyaar Ke
Jeena Kya Jeevan Se Haar Ke
Jeena Kya Jeevan Se Haar Ke

Kali Ghaneri Raat Mein Chandni Khil Jaayegi
Tujhe Andhero Mein Kahin Roshni Mil Jaayegi
Rehta Nahin Saari Umr Saathi Yeh Gardish Ka Safar
Deti Hai Manzil Ka Pata Kaaton Badi Mushkil Dagar
Hoga Kal Kya Soch Na jo Bhi Hai Bus Aaj Hai
Kab Kahan Jaaye Badal Waqt Ka Yeh Mijaaz Hai
Kya Hai Sukh Aur Dookh Hai Kya
Chaar Din Ki Baat Hai
Dard Mein Aaraam Hai Aasoon Hasi Ke Saath Hai
Jeena Kya Jeevan Se Haar Ke
Jeena Kya Jeevan Se Haar Ke
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #188 on: September 18, 2006, 06:23:39 AM »
gr8 collection ... nattu.. .waheed bhai and sheekha ji,...

one more added.. from - Ek tha dil ek thi dhadkan

Resham Jaisi Hain Rahein
Kholein Hain Bahein
Ye Vaadiyaan
Mausam Saare Hain Apne
Rangeen Sapne
Hain Maherbaan
Yoon Hi Gayenge Milke
Hum Geet Dil Ke
Sadiyoon Yahan
 
Resham Jaisi Hain Rahein
Kholein Hain Bahein
Ye Vaadiyaan
Mausam Saare Hain Apne
Rangeen Sapne
Hain Maherbaan...
 
O O Mehki Hain Kaliyaan
Phool Khilte Hain
Dekho Jahan
Hum Dono Milte Hain
O O Mehki Hain Kaliyaan
Phool Khilte Hain
Dekho Jahan
Hum Dono Milte Hain
 
Kaal Hum Na Honge
Ye Baharein Phir Bhi Aayengi
Shayad Humari
Yeh Kahani Dauhrayengi
Koi To Humara
Dhoond Lengi Ye Nishan
 
Resham Jaisi Hain Rahein
Kholein Hain Bahein
Ye Vaadiyaan
Mausam Saare Hain Apne
Rangeen Sapne
Hain Maherbaan...
 
O Ho, Aawaz Koi Jaise Goonji Hai
Mere Liye Duniya Mein Tu Hi Hai
Aawaz Koi Jaise Goonji Hai
Mere Liye Duniya Mein Tu Hi Hai
 
Mar Ke Bhi Jaana
Tere Dar pe Laut Aaonga
Ye Dil Hai Tera
Dil Hatheli Pe Main Laoonga
Vaada Hai Ye Mera
Pura Hoga Meri Jaan...
 
Resham Jaisi Hain Rahein
Kholein Hain Bahein
Ye Vaadiyaan
Mausam Saare Hain Apne
Rangeen Sapne
Hain Maherbaan
Yoon Hi Gayenge Milke
Hum Geet Dil Ke
Sadiyoon Yahan
Logged
kaiynath
Guest
«Reply #189 on: September 18, 2006, 08:29:00 AM »
wow mili and waheed aache songs hai
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #190 on: September 18, 2006, 08:38:38 AM »
hey thanx kaiynath.....  Usual Smile
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #191 on: September 20, 2006, 02:41:24 PM »

Another nice song...


Tum pukar lo, tumhara intezaar hai, tum pukar lo
Khwaab chun rahi hai raat beqarar hai
Tumhara intezaar hai, tum pukar lo

(Honth pe liye hue dil ki baat ham
Jaagte rahenge aur kitni raat ham) -2
Muqtasar si baat hai tum se pyaar hai
Tumhara intezaar hai, tum pukar lo

(Dil bahal to jaayega is khayal se
Haal mil gaya tumhara apne haal se) -2
Raat ye qaraar ki beqarar hai
Tumhara intezaar hai
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #192 on: September 21, 2006, 01:05:56 PM »

Puzzled ! I hope I m not repeating this song....
But this is really one of my favorites... :D :D

Lag ja gale ki phir
Ye hasin raat ho na ho
Shayad phir is janam mein
Mulakaat ho na ho
Lag jaa gale se ...

Hum ko mili hai aaj
Ye ghadiya naseeb se
Jee bhar ke dekh leejiye
Humko kareeb se
Phir aapke naseeb mein
Ye raat ho na ho
Shayad phir is janam mein
Mulakaat ho na ho....

Lag ja gale ki phir
Ye hasin raat ho na ho……

Paas aaiye ki hum nahin
Aayenge baar baar
Baahein gale mein daal ke
Hum roye zaar-zaar
Aankhon se phir ye
Pyaar ki barsaat ho na ho
Shayad phir is janam mein
Mulakaat ho na ho....

Lag ja gale ki phir
Ye hasin raat ho na ho
Shayad phir is janam mein
Mulakat ho na ho
Lag jaa gale se ...
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #193 on: September 25, 2006, 01:21:22 PM »

Ab kahaan jaayen ham ye bata e zameen
Is jahaan mein to koi hamaara nahi
Apane saaye se bhi log darane lage
Ab kisiiko kisi par bharosa nahi
Ab kahaan jaayen ham

Ham ghar-ghar jaate hain ye dil dikhalaate hain
Par ye duniyaavaale ham ko thukaraate hain
Raaste mit gae manzilen kho gaeen
Ab kisi ko kisi par bharosa nahi
Ab kahaan jaayen ham

Nafarat hai nigaahon mein vahashat hai nigaahon mein
Ye kaisa zahar phaila duniya ki hawaaon mein
Pyaar ki bastiyaan kaak hone lageen
Ab kisi ko kisi par bharosa nahi
Ab kahaan jaayen ham

Har saans hai mushkil ki har jaan hai ik moti
Baazaar mein par inaki ginati hi nahi hoti
Zindagi ki yahaan koi keemat nahi
Ab kisi ko kisi par bharosa nahi
Ye bata e zameen
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #194 on: September 25, 2006, 01:24:22 PM »

Apne dil se badii dushmanii thii, is liye maine tum se dostii kii,
Apne dil ko jalaa ke roshanii kii, is liye maine tum se dostii kii...

Tum ne achhaa sahaara diyaa, besahaara mujhe kar diyaa,
Kal gale se lagaaya mujhe, aaj thhukara diyaa bewafaa..
Tum ne achhii sanam dillagii kii, is liye maine tum se dostii kii...

Aasmaan ban gayii ye zameen, mere humdam mere humnashii,
Tum ne dekhii meri berukhii, bebasii meri dekhii nahin..
Main hoon tasveer ek bekasii kii, is liye maine tum se dostii kii.....

Har khushii bas paraayii huii, meri dushman khudaayii huii,
Mujhko afsos hai pyaar mey, mujhse ye bewafaii huii...
Maine tum pe fidaa zindagii kii, is liye maine tum se dostii kii...
[/b]
Logged
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17 ... 24
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 03:48:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer