Songs that I Like......

by natural on November 28, 2005, 10:21:24 AM
Pages: 1 ... 18 19 20 21 [22] 23 24
Print
Author  (Read 25845 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #315 on: March 10, 2008, 07:58:40 PM »
Humein aaur jeene kee chaahat naa hotee

agar tum naa hote, agar tum naa hote



tumhe dekh ke to lagataa hain ayese

bahaaron kaa mausam aayaa ho jaise

dikhaayee naa detee, andheron mein jyotee

agar tum naa hote..

humei jo tumhaaraa sahaaraa naa milataa

bhanwar mein hee rahate, kinaaraa naa milataa

kinaare pe bhee to, lahar aa doobotee

agar tum naa hote..


n jaane kyo dil se, ye aawaaj aayee

milan se hain badh ke, tumhaaree judaayee

in aankhon ke aansoo naa kahalaate motee

agar tum naa hote..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
fun with songs by mudassirali in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Some My Fav. Songs.................... by waheed_rose2004 in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
songs.... by desikurri in Songs & Lyrics
:: songs i like / my favorite songs :: by myheart_ursonly in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
~I LIKE THESE SONGS~ by bhambra in Songs & Lyrics « 1 2 ... 33 34 »
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #316 on: March 10, 2008, 08:04:05 PM »
movie: TUM BIN

Tum bin kya hei jeena
kya hei jeena
tum bin kya hei jeena

tum bin jiya jaye kaise
kaise jiya jaye tum bin
sadiyon se lambi hei raatein sadiyon se lambe hue din
aa jao laut kar tum , yeh dil keh raha hei
aa jao laut kar tum , yeh dil keh raha hei .,,oooooooo ho ho hooooo.............

phir sham tanhai jaagi phir yaad tum aa rahe ho
phir jaan nikalne lagi hei
phir mujh ko tad pa rahe ho,phir mujh ko tad pa rahe ho,
is dil mei yaadon ke mele hein
tum bin bahot hum akele hein

aa jao laut kar tum , yeh dil keh raha hei
aa jao laut kar tum , yeh dil keh raha hei .,,oooooooooooo ho ho hooo......

kya kya na socha tha mein ne
kya kya sapne na sajaye
kya kya na chaha tha dil nein
kya kya na aarmaan jagaye ,kya kya na aarmaan jagaye

is dil se tufaan guzartein hein
tum bin na to jeetein na martein hein

aa jao laut kar tum , yeh dil keh raha hei
aa jao laut kar tum , yeh dil keh raha hei .,,ooooooooooo ho ho hoooo....

tum bin jiya jaye kaise
kaise jiya jaye tum bin
sadiyon se lambi hei raatein sadiyon se lambe hue din
aa jao laut kar tum , yeh dil keh raha hei
aa jao laut kar tum , yeh dil keh raha hei .,,oooooooooooo ho ho hoooo............
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #317 on: March 11, 2008, 08:35:56 AM »
Woh jab yaad aaye, bahut yaad aaye
Gaam-e-zindagi ke andhere mein humne
Charagh-e-mohabbat jalaye bujhaye

Aahatein jaag uthi raaste hass diye
Thamkar dil uthe hum kisi ke liye
Kayi baar aisa bhi dhoka hua hai
Chale aa rahein hai woh nazren jhukaaye

Dil sulaghne laga ashq behne lage
Jaane kya kya hame log kehne lage
Magar rote-rote hasii aa gayi thi
Khayalon mein aaake woh jab muskuraye

Woh juda kya hue, zindagi kho gayi
Shamma jalti rahi, roshni kho gayi
Bahut koshishein ki magar dil na behla
Kayi saaz chede kayi geet gaye
Logged
Pooja
Guest
«Reply #318 on: March 18, 2008, 02:29:48 PM »
Dekh Lo Aaj Humko Ji Bharke
Koi Aata Nahin Hai Phir Marke

Ho Gaye Tum Agar Saudai
Door Pahunchegi Meri Rusvayi
Dekh Lo Aaj...

Aao Achhi Tarah Se Kar Lo Pyar
Ke Nikal Jaye Kuch Dil Ka Bukhar
Dekh Lo Aaj...

Phir Hum Uthne Lage Bitha Lo Tum
Phir Bigad Jaaye Mana Lo Tum
Dekh Lo Aaj...

Yaad Itni Tumhe Dilaate Jaayen
Paan Kal Ke Liye Lagate Jaayen
Dekh Lo Aaj...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #319 on: March 21, 2008, 01:41:57 PM »
Dil Ke Badle Sanam Dard-e-Dil Le Chuke,.
De Chuke De Chuke,.
Tujhe Dil Ye Dil De Chuke,.

 love4
Logged
Pooja
Guest
«Reply #320 on: March 26, 2008, 08:46:12 PM »
Hindi Song Title: Gair Mumkin Hai Ki
Hindi Movie/Album Name: LAILA MAJNU
Singer(s): RAFI, LATA 


Hindi Lyrics:
ra : ab agar hamase kudaai bhi khafa ho jaaye
gair-mumakin hai ki dil dil se juda ho jaaye  -2
la : jism mit jaaye ki ab jaan fana ho jaaye
gair-mumakin hai ...

jis ghadi mujhako pukaarengi tumhaari baanhen
rok paayengi na sahara ki sulagati raahen
chaahe har saans jhulasane ki saza ho jaaye  -2
gair-mumakin hai ...

ra : laakh zanjeeron mein jakaden ye zamaane vaale  -2
tod kar band nikal aayenge aane vaale  -2
shart itani hai ki tu jalavaa-numaan ho jaaye
gair-mumakin hai ...

la : zalazale aayen garazadaar ghataayen gheren
khandaken raah mein hon tez havaayen gheren
do : chaahe duniya mein qayaamat hi bapa ho jaaye
gair-mumakin hai ...

Logged
mili_genie
Guest
«Reply #321 on: March 28, 2008, 02:35:06 PM »
My Favourite Hussain Brothers' Ghazal... I like very much...

if u want to listen then plz go through the link...
http://my-utterances.sulekha.com/blog/post/2007/10/nazar-mujhse-milati-ho-my-fav-ghazal/comments.htm

Nazar mujhse milati ho to tum sharma si jaati ho
Isi ko pyar kehte hain, isi ko pyar kehte hain
 
Zaban khamosh hai lekin nigahein baat karti hain
Adayein lakh bhi ho to adayein baat karti hain
Nazar neechi kiye danton mein ungli ko dabati ho
Isi ko pyar kehte hain, isi ko pyar kehte hain
 
Chupane se meri jaanam kahin kya pyar chhupta hai
Ye aisa mushq hai khushboo hamesha deta rehta hai
Tum to sab jaanti ho phir bhi kyon mujhko satati ho
Isi ko pyar kehte hain, isi ko pyar kehte hain
 
Tumhare pyar ka aise humein izhaar milta hai
Hamara naam sunte hi tumhare rang khilta hai
Aur phir saaz-e--dil par tum hamare geet gaati ho
Isi ko pyar kehte hain, Isi ko pyar kehte hain
 
Tumhare ghar main jab aaun to chhup jaati ho parde mein
Mujhe jab dekh naa paao to ghabrati ho parde mein
Khud hi chilman utha kar phir isharon se bulati ho
Isi ko pyar kehte hain, isi ko pyar kehte hain
 
Nazar mujhse milati ho to tum sharma si jaati ho
Isi ko pyar kehte hain, isi ko pyar kehte hain...

Logged
Pooja
Guest
«Reply #322 on: March 28, 2008, 02:50:46 PM »
Tumse mujhe pyaar kyoon ho gaya
Tum na mile aur main kho gaya
Tum mere khwaabon se jaa na sake
Tum meri baahon mein aa na sake
Ho ho ho
Tumse mujhe pyaar kyoon ho gaya
Tum na mile aur main kho gaya
Tum mere khwaabon se jaa na sake
Tum meri baahon mein aa na sake
Tumse gila nahin mujhe kismat se hai gile
Karta hai aasmaan kyoon yeh dil ke faisle
Tum mere khwaabon se jaa na sake
Tum meri baahon mein aa na sake
Oh ho ho ho
Tumse mujhe pyaar kyoon ho gaya
Tum na mile aur main kho gaya
Barbaad ho gaya main kyoon yeh bhi na keh saka
Roya main yun ke ek bhi aansu na beh saka
Aansu na beh saka, aansu na beh saka
Tum mere khwaabon se jaa na sake
Tum meri baahon mein aa na sake
Aa ha ha
Tumse mujhe pyaar kyoon ho gaya
Tum na mile aur main kho gaya
Tum mere khwaabon se jaa na sake
Tum meri baahon mein aa na sake
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #323 on: March 28, 2008, 02:52:23 PM »
buhe baariyaan te naale kanda tapke,

awangi hawa ban k,

hawa ban k?.

buhe bariyaan?.

 

Baazi ishq-e- di jit langi sohneya,

Main rabb to dua karke,

Buhe bariyaan?..

 

Chann charda te saare loki paye machde,

Tere lai main sajna ve taane sune jag de,

Khand lag ja gi kacha khara ban k,

Awangi hawa ban k ,

Buhe bariyaan??.

 

Dil diyaan rawaan utte pair naiyo lagde,

Muqaddara de likhe hoye mit nahi sakde,

Mainu rabb ne banaya tere lai oye,

Mathe tera naa likh k,

Buhe bariyaan??.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #324 on: March 28, 2008, 02:55:12 PM »
moraa goraa ang lai le, mohe shaam rang dai de
chhoop jaaoongee raat hee me, mohe pee kaa sang de de

yek laaj roke paiyyaa, yek moh khinche baiyyaa
jaaoo kidhar naa jaanoo, humakaa koee bataaeede

badalee hataa ke chandaa, choop ke se zaanke chandaa
tohe raahoo laage bairee, musakaye jee jalaayake

kuchh kho diyaa hain paayake, kuchh paa liyaa gawaayake
kahaa le chalaa hain manawaa, mohe baawaree banaayake
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #325 on: March 29, 2008, 05:05:08 PM »
Pooja Sis,.'Laila Majnu Ka Mera Fav8 Song aapne Post Kiya,.
Shukriya Ji,. love4
Logged
Pooja
Guest
«Reply #326 on: March 31, 2008, 04:59:00 PM »
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya -2
Jo likha tha
Jo likha tha aansoon sang beh gaya
Mera jeevan
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya

Ik hawa jhoonka aaya -2
Tuut dali se phool -2
Na pavan ki na chaman ki
Kiski hai ye bhool -2
Kho gayi kho gayi
Khushboo hawa mein kuch na reh gaya
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya

Udte panchi ka thikana -2
Mera na koijahan -2
Na dagar hai na khabar hai
Jana hai mujhko kahan -2
Ban ke sapna -2
Humsafar ka saath reh gaya
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya

Dukh ke andar sukh ki jyoti
Dukh hi sukh ka gyan -2
Dard sah ke janm leta
Har koi insan -2
Vo sukhi hai -2
Jo khushi se dard sah gaya
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #327 on: April 04, 2008, 07:06:29 AM »
Har Ghadi Badal Rahi Hai,.
roop Zindagi,.
Chanv Hai kabhi Kabhi Hai,.
Dhoop Zindagi,.
Har Pal Yahaaan,.
Jee Bhar jeeyo,.
Jo Hai Samaan Kal Ho Na,.
Logged
natural
Guest
«Reply #328 on: May 17, 2008, 02:56:55 PM »
Dekhaa Hai Zindagi Ko, Kuchh Itanaa Karib Se
Chahare Tamaam Lagane Lage Hain Ajib Se
Kahane Ko Dil Ki Baat Jinhen Dhuundhate The Ham - 2
Mahafil Mein Aa Gaye Hain Vo Apane nasib Se
Dekhaa Hai Zindagi Ko, Kuchh Itanaa Karib Se
nilam Ho Rahaa Thaa Kisi naazanin Kaa Pyaar - 2
Qimat nahin Chukaai Gai Ik Garib Se
Dekhaa Hai Zindagi Ko, Kuchh Itanaa Karib Se
Teri Vafaa Ki Laash Pe Laa Main Hi Daal Duun - 2
Resham Kaa Ye Kafan Jo Milaa Hai Raqib Se
Dekhaa Hai Zindagi Ko, Kuchh Itanaa Karib Se
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #329 on: May 17, 2008, 02:58:01 PM »
Nice song natural .. hello
Logged
Pages: 1 ... 18 19 20 21 [22] 23 24
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 04:00:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer