Songs that I Like......

by natural on November 28, 2005, 10:21:24 AM
Pages: 1 ... 19 20 21 22 [23] 24
Print
Author  (Read 26053 times)
natural
Guest
«Reply #330 on: May 17, 2008, 03:20:34 PM »
Thanks Honeyrose.... Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
fun with songs by mudassirali in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Some My Fav. Songs.................... by waheed_rose2004 in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
songs.... by desikurri in Songs & Lyrics
:: songs i like / my favorite songs :: by myheart_ursonly in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
~I LIKE THESE SONGS~ by bhambra in Songs & Lyrics « 1 2 ... 33 34 »
Shikha12
Guest
«Reply #331 on: July 18, 2008, 02:55:11 PM »
Aaj kal panv zameen par nahin padte mere,
Bolo dekha hai kabhi tumne mujhe udte hue..

Jab bhi thama hai tera haath to dekha hai,
Jab bhi thama hai tera haath to dekha hai,
Log kahte hain ki bas haath ki rekha hai,
Hamne dekha hai do takdeeron ko judte hue..
Aaj kal panv zameen par nahin padte mere,
Bolo dekha hai kabhi tumne mujhe udte hue...

Neend si rehti hai, halka sa nasha rehta hai,
Raat din aankh mein ik chehra basa rahta hai,
Par lagi aankhon ko dekha hai kabhi udte huye..
bolo?
Aaj kal panv zameen par nahin padte mere,
Bolo dekha hai kabhi tumne mujhe udte hue...

Jane kya hota hai har baat pe kuch hota hai,
Din mein kuch hota hai aur raat mein kuch hota hai,
Thaam lena jo kabhi dekho hamein udte huye..
Aaj kal panv zameen par nahin padte mere,
Bolo dekha hai kabhi tumne mujhe udte hue...

Aaj kal paanv zameen par nahin padte.. Mere... !
Logged
natural
Guest
«Reply #332 on: July 24, 2008, 09:38:28 AM »
 Shocked Even More Shocked Even More

I was going to post this song only....
Logged
Roja
Guest
«Reply #333 on: October 01, 2008, 03:29:51 PM »
Na chaahoon sona chaandi, na chaahoon heera moti
Yeh mere kis kaam ke
Na maangoon bangla baadi, na maangoon ghoda gaadi
Yeh to hain bas naam ke
Deti hai dil de badle mein dil ke
(Ghe ghe ghe ghe ghe, ghe re saahiba
Pyaar mein sauda nahin)


Na chaahoon sona chaandi, na chaahoon heera moti
Yeh mere kis kaam ke
Na maangoon bangla baadi, na maangoon ghoda gaadi
Yeh to hain bas naam ke
Deta hai dil de badle mein dil ke


(Ghe ghe ghe ghe ghe, ghe re saahiba
Pyaar mein sauda nahin)
Na jaanoon mulla kaji, na jaanoon Kaaba Kashi
Main to hoon prem piyaasa re
Mere sapnon ki rani, hogi tumko hairaani
Main to tera deewaana re
Deti hai dil de badle mein dil ke


(Ghe ghe ghe ghe ghe, ghe re saahiba
Pyaar mein sauda nahin)
Pyaar mein sauda nahin
Logged
Kanta
Guest
«Reply #334 on: October 16, 2008, 10:23:37 PM »
ye daulat bhii le lo, ye shoharat bhii le lo
bhale chhiin lo mujhase merii javaanii
magar mujhako lautaa do bachapan kaa saavan
vo kaagaz kii kashtii, vo baarish kaa paanii

--Jagjit--
muhalle kii sabase nishaanii puraanii
vo budhiyaa jise bachche kahate the naanii
vo naanii kii baaton mein pariyon kaa deraa
vo chahare kii jhuriryon mein sadiyon kaa pheraa
bhulaae nahiin bhuul sakataa hai koi
vo chhotii sii raaten vo lambii kahaanii

--Chitra--
kadii dhuup mein apane ghar se nikalanaa
vo chidiyaa vo bulabul vo titalii pakadanaa
vo gudiyaa kii shaadii mein ladanaa jhagadanaa
vo jhuulon se giranaa vo gir ke sambhalanaa
vo piital ke chhallon ke pyaare se tohafe
vo tuutii hui chuudiyon kii nishaanii

--Jagjit--
kabhii ret ke unche tiilon pe jaanaa
gharaunde banaanaa banaake mitaanaa
vo maasuum chahat kii tasviir apanii
vo kvaabon khilaunon kii jaagiir apanii
na duniyaa kaa gam thaa na rishton ke bandhan
badii khuubasuurat thii vo zindagaanii
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #335 on: October 21, 2008, 01:17:48 PM »
Wow.. Very Nice Song Kanta...  Thumbs UP
One of my very favorites..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #336 on: October 21, 2008, 01:19:08 PM »
Shocked Even More Shocked Even More

I was going to post this song only....

lolzzz... What a Co-incidence.. Usual Smile
Logged
Kanta
Guest
«Reply #337 on: October 21, 2008, 03:41:28 PM »
aap ko dekh kar dekhataa rah gayaa
kyaa kahuuN aur kahane ko kyaa rah gayaa

unakii aaNkhon men kaise chhalakane lagaa
mere honTho pe jo maajaraa rah gayaa

aise bichhaDe sabhii raah ke moD par
aaKharii hamsafar raastaa rah gayaa

soch kar aao kuuetamannaa hai ye
jaaneman jo yahaaN rah gayaa rah gayaa


thanks mahiya
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #338 on: November 01, 2008, 05:49:49 PM »
Badi mushkil hai, khoya mera dil hai
Koi usse dhoondke laaye na
Badi mushkil hai, khoya mera dil hai
Koi usse dhoondke laaye na
Jaake kahan main rapat likhaaoon
Koi batlaaye na
Main roun ya hasoon, karoon main kya karoon
Badi mushkil hai, khoya mera dil hai
Koi usse dhoondke laaye na
Jaake kahan main rapat likhaaoon
Koi batlaaye na
Main roun ya hasoon, karoon main kya karoon
(Deewaangi ki had se aage guzar na jaaoon
Aankhon mein uska chehra, kaise usse dikh laaoon)
Voh hai sab se haseen, vaisa koi bhi nahin
Mere khuda, uski ada hai badi qaatil
Mujhe nahin pata chhaaya hai kya nasha
Main roun ya hasoon, karoon main kya karoon
(Sapnon mein aane waali baahon mein kab aayegi
Kitne dinon tak mujhko aise voh tadpaayegi)
Dekhoon mudke jidhar, paaye voh hi nazar
Meri dagar, mera safar, voh meri manzil
Deewaana hai sama, jaage hain armaan
Main roun ya hasoon, karoon main kya karoon
(Badi mushkil hai, khoya mera dil hai
Koi usse dhoondke laaye na)
Jaake kahan main rapat likhaaoon
Koi batlaaye na
Main roun ya hasoon, karoon main kya karoon
Logged
Kanta
Guest
«Reply #339 on: November 01, 2008, 07:34:29 PM »
Happy Birthday to you
Happy Birthday to you, Sunita, Happy Birthday to you
Baar baar din ye aaye, baar baar dil ye gaaye
Tu jiye hazaaron saal, ye meri hai aarzoo
Happy Birthday to you
Happy Birthday to you, Sunita, Happy Birthday to you

Beqaraar hoke daaman, thaam lun main kiska
Kya misaal dun main teri, naam lun main kiska
Nahin, nahin, aisa haseen, koyi nahin hai
Jis pe ye nazar ruk jaaye, be-misaal jo keh laaye
Tu jiye hazaaron saal, ye meri hai aarzoo
Happy Birthday to you
Happy Birthday to you, Sunita, Happy Birthday to you

auron ki tarha kuchh main bhi, tohfa leke aata
Main teri haseen mehfil mein, phool leke aata
Jinhe kaha usse chaaha, phoolo ki zaroorat
Jo pahar khud keh laaye, har kali ka dil dhadhkaaye
Tu jiye hazaaron saal, ye meri hai aarzoo
Happy Birthday to you
Happy Birthday to you, Kanta, Happy Birthday to you

Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile hello

Logged
Sadia Raja
Guest
«Reply #340 on: November 01, 2008, 08:02:42 PM »
mera jiwan kora kagaz
kora hi reh gaya
jo likha tha
ansuo k sang beh gaya...!!!
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #341 on: January 03, 2009, 12:20:25 AM »
 paakhii paakhii paradesii

ai ajanabii tuu bhii kabhii aavaaz de kahii.n se
mai.n yahaa.N Tuka.Do.n me.n jii rahaa huu.N
tuu kahii.n Tuka.Do.n me.n jii rahii hai
ai ajanabii tuu bhii kabhii ...

roz roz resham sii havaa, aate jaate kahatii hai
bataa resham sii havaa kahatii hai bataa
vo jo duudh dhulii, maasuum kalii
vo hai kahaa.N kahaa.N hai vo roshanii, kahaa.N hai
vo jaan sii kahaa.N hai
mai.n adhuuraa, tuu adhuurii jii rahii hai
ai ajanabii tuu bhii kabhii ...

o paakhii paakhii paradesii

tuu to nahii.n hai lekin, terii muskuraahaT hai
cheharaa kahii.n nahii.n hai par, terii aahaT hai
tuu hai kahaa.N kahaa.N hai, teraa nishaa.N kahaa.N hai
meraa jahaa.N kahaa.N hai
mai.n adhuuraa, tuu adhuurii jii rahii hai
ai ajanabii tuu bhii kabhii ...
Logged
Kanta
Guest
«Reply #342 on: May 15, 2009, 10:12:19 PM »
I Just Wanna Fly
(Josh Hai Junoon Hai, Sine Mein Hai Dum
Meri Yeh Jindagi Meri Hai Sun Lo Tum
Hausala Hai Buland I Don'  T Give A Down
Its My Life, Its My World, I Don'  T Give A...) - (2)
I Just Wanna Fly, Into The Sky
Mera Aasmaan, Hai Mera Jahaan, I Just Wanna Fly
I Just Wanna Fly, So Way So High
Bandisho Se Tum Roko Na Mujhe, I Just Wanna Fly
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #343 on: May 15, 2009, 10:19:12 PM »
naaz thaa jisape mere siine me.n vo dil hii nahii.n
ab yah shiishaa kisii tasviir ke qaabil hii nahii.n
mai.n kahaa.N jaa_uu.N ki merii ko_ii ma.nzil hii nahii.n
naaz thaa jisape ...

pher lii mujhase nazar apano.n ne begaano.n ne
meraa ghar luuTaa mere ghar ke hii mehamaano.n ne
jo mujhase pyaar kare aisaa ko_ii dil hii nahii.n
mai.n kahaa.N jaa_uu.N ...

do jahaa.N soch me.n hai.n aaj fizaa bhii chup hai
kisase fariyaad karuu.N ab to Kudaa bhii chup hai
mai.n vo afasaanaa huu.N jo sunane ke qaabil hii nahii.n
mai.n kahaa.N jaa_uu.N ...

% Part 2:

mu : naaz thaa jisape mere siine me.n vo dil hii nahii.n
ab yah shiishaa kisii tasviir ke qaabil hii nahii.n
mai.n kahaa.N jaa_uu.N ki merii ko_ii ma.nzil hii nahii.n
naaz thaa jisape ...

dil bahal jaa_e Kyaalaat kaa ruK mo.D sakuu.N
mai.n jahaa.N baiTh ke har ahad-e-vafaa to.D sakuu.N
merii taqadiir me.n aisii ko_ii mahafil hii nahii.n
mai.n kahaa.N jaa_uu.N ...

uu : mujhako barabaad kiyaa dil kii meharabaanii ne
mujhako maaraa hai mere pyaar kii naadaanii ne
kisako ilzaam duu.N meraa ko_ii qaatil hii nahii.n
mai.n kahaa.N jaa_uu.N ...
Logged
Roja
Guest
«Reply #344 on: May 30, 2009, 03:58:20 PM »
Movie: Shakti
Singer : Lata Mangeshkar


hame.n bas ye pataa hai vo bahut hii khuubasuurat hai
lifaafe ke liye lekin pate kii bhii zaruurat hai

ham ne sanam ko Kat likhaa, Kat me.n likhaa
ai dil_rubaa, dil kii galii shahar-e-vafaa
ham ne sanam ko ...

pahu.Nche ye Kat jaane kahaa.N, jaane bane kyaa daasataa.N
us par raqiibo.n kaa ye Dar, lag jaaye unake haath gar
kitanaa buraa a.njaam ho, dil muft me.n badanaam ho
aisaa na ho, aisaa na ho apane ye raat din
ham ne sanam ko ...

piipal kaa ye pattaa nahii.n, kaaGaz kaa ye Tuka.Daa nahii.n
is dil ke ye aramaan hai.n, is me.n hamaarii jaan hai
aisaa Gazab ho jaaye na raste me.n ye kho jaaye na
ham ne ba.Dii taaqiid kii, Daalaa ise jab Daak me.n
ye Daak Baabuu se kahaa
ham ne sanam ko ...

baraso.n javaab-e-yaar kaa, dekhaa kiye ham raastaa
ek din vo Kat vaapas milaa aur Daakiye ne ye kahaa
is Daak khaane me.n nahii.n, saare zamaane me.n nahii.n
koii sanam is naam kaa koii galii is naam kaa
koii shahar is naam kaa
ham ne sanam ko ...

Logged
Pages: 1 ... 19 20 21 22 [23] 24
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:31:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer