Songs that I Like......

by natural on November 28, 2005, 10:21:24 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 24
Print
Author  (Read 25618 times)
bhambra
Guest
«Reply #60 on: January 03, 2006, 05:44:13 AM »
Quote from: "natural"
I just love this song.................. Usual Smile

hajaar raahe mud ke dekhee, kahee se koee sadaa naa aayee
badee wafaa se nibhaayee tum ne, humaaree thodee see bewafaee

jahaa se tum mod mud gaye the, ye mod ab bhee wahee pade hai
hum apane pairon mein jaane kitane, bhanwar lapete huye khade hai

kahee kisee roej yoo bhee hotaa, humaaree haalat tumhaaree hotee
jo raat hum ne gujaaree mar ke, wo raat tum ne gujaaree hotee

tumhe ye jid thee ke hum bulaate, humei ye ummeed wo pukaare
hai naam hothhon pe ab bhee lekin  aawaaj mein pad gayee daraare


Hey Nattu, i love this song yaar, tnis is my fav., recently i heard this in radio, nd i become the gr8 fan of this song, but i dont know which film this belongs to sad5 ? Plz batao yaar, tab tumhe hum maaf bhi kar denge..lolllzzz :lol: Yeh song merey life se kaafi match karta hay...thanx yaar...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
fun with songs by mudassirali in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Some My Fav. Songs.................... by waheed_rose2004 in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
songs.... by desikurri in Songs & Lyrics
:: songs i like / my favorite songs :: by myheart_ursonly in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
~I LIKE THESE SONGS~ by bhambra in Songs & Lyrics « 1 2 ... 33 34 »
natural
Guest
«Reply #61 on: January 03, 2006, 05:59:26 AM »
Hiii bhambra..... I have that song ..... If you need it, I can mail you.... Usual Smile
Oye ab ye thanks kahan se aa gaya........ :wink:  aaj subah subah pi ke aaya hai kya........ :D

Hindi Song Title: Hajar Raahe Mud Ke Dekhi
Hindi Movie/Album Name: THODISI BEWAFAI
Singer(s): LATA MANGESHKAR, KISHORE KUMAR
Logged
natural
Guest
«Reply #62 on: January 03, 2006, 07:09:39 AM »
Hiiii Bhambra I hope you must have gotten all the the songs of your choice by now........... Usual Smile

Here is one more added................ Usual Smile

shaam aayi hai mohabbat ki kahani leke
chaand nikla hai tamanna ki jawani leke
din nikalte hi mujhe durr kahi jaana
aakhri raat ki aakhon mein nishani leke
(mere hamsafar tujhe kya khabar
hai chala kidhar mera karwaa) - 2
jaha maut hi ke hai raaste nahi zindagi ka koi nishaan
hai chala kidhar mera karwaa
mere hamsafar

meri zindagi toh hai raat bhar koi baat sun koi baat kar - 2
meri maut mujhko bula rahi jara chhed de koi dastaan
mere hamsafar

zara aur bhi mere paas aa mujhe dekh dekh ke muskura - 2
ghadi do ghadi ki yeh phursati hai likhi naseeb mein phir kaha
jaha maut hi ke hai raaste nahi zindagi ka koi nishaan
hai chala kidhar mera karwaa
mere hamsafar
Logged
natural
Guest
«Reply #63 on: January 03, 2006, 07:19:57 AM »
Nice Lyrics............. Usual Smile

jaaeeye aap kahaa jaayenge
ye najar laut ke fir aayegee
door tak aap ke peechhe, peechhe
meree aawaaj chalee jaayegee

aap ko pyaar meraa, yaad jahaa aayegaa
koee kaantaa, wahee daaman se lipat jaayegaa

jab uthhoge meree betaab nigaahon kee tarah
rok legee koee daalee meree baahon kee tarah

dekhiye chain milegaa naa kahee dil ke siwaa
aap kaa koee nahee, koee naheen dil ke siwaa
Logged
natural
Guest
«Reply #64 on: January 18, 2006, 10:50:15 AM »
[ Woh shaam kuchh ajeeb thi, yeh shaam bhi ajeeb hai
Woh kal bhi paas paas thi woh aaj bhi kareeb hai ] 2
Woh shaam kuchh ajeeb thi

Jhuki hui nigaahon mein, kahin mera khayaal tha
Dabi dabi hansi mein ik, haseen saa gulaal tha
Main sochta tha, mera naam gunguna rahi hai woh -2
Na jaane kyon laga mujhe, ke muskura rahi hai woh
Woh shaam kuchh ajeeb thi

Mera khayaal hai abhi jhuki hui nigaah mein
Khuli hui hansi bhi hai, dabi hui si chaah mein
Main janta hoon, mera naam gunguna rahi hai woh
Yahi khayaal hai mujhe, ke saath aa rahi hai woh
Woh shaam kuchh ajeeb thi, yeh shaam bhi ajeeb hai
Woh kal bhi paas paas thi woh aaj bhi kareeb hai
Woh shaam kuchh ajeeb thi
Logged
natural
Guest
«Reply #65 on: January 18, 2006, 10:52:11 AM »
Dil ke tukade tukade kar ke
Muskurake chal diye
Jaate jaate ye to bataa jaa
Hum jiyenge kis ke liye

Chaand bhee hogaa
Taare bhee honge
Ful chaman mein pyaare bhee honge

Lekin humaraa dil naa lagega
Bheegegee jab jab raat suhaani
Aag lagayegi rut masataani

Toohee bataa koee kaise jiyegaa
Dil ke maaron ko dil ke maalik
Thhokar lagaakar chal diye

Ruthhe rahenge aap jo hum se
Mar jaayenge hum bhee kasam se
Soon le haath chhoodaane se pahale
Jaan humaaree
naam pe tere jaayegee yek din dilabar mere

Soch samaz le jaane se pahale
Yoo agar tum dil ke
Tamannaa ko mitaakar chal diye
Logged
natural
Guest
«Reply #66 on: January 18, 2006, 10:55:24 AM »
Nice Lyrix.......
Agar tum mil jao
Zamana chod denge hum
Agar tum mil jao
Zamana chod denge hum
Tumhe paa kar zamane bhar se rishta tod denge hum
Agar tum mil jao
Zamana chod denge hum
Agar tum mil jao
Zamana chod denge hum

Bina tere koyi dilkash nazara hum na dekheinge
Tumhe na ho pasand usko dobara hum na dekheinge
Teri soorat na ho jis mein
Teri soorat na ho jis mein
Woh sheesha tod denge hum
Agar tum mil jao
Zamana chod denge hum

Tere dil mein raheinge tujhko apna ghar bana lenge
Tere dil mein raheinge tujhko apna ghar bana lenge
Tere khwaabon ko beheno ki tarah khud par saja lenge
Kasam teri kasam
Kasam teri kasam
Taqdeer ka roog mod denge hum
Agar tum mil jao
Zamana chod denge hum

Tumhe hum apne jism-o-jaan mein kuch aise basa lenge
Tumhe hum apne jism-o-jaan mein kuch aise basa lenge
Teri khushboo apne jism ki khushboo bana lenge
Khuda se bhi na jo toote
Khuda se bhi na jo toote
Woh rishta jod lenge hum
Agar tum mil jao
Zamana chod denge hum
Tumhe paa kar zamane bhar se rishta tod denge hum
Agar tum mil jao
Zamana chod denge hum
Agar tum mil jao
Zamana chod denge hum.....
Logged
natural
Guest
«Reply #67 on: January 18, 2006, 10:57:43 AM »
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi -2
Nazar ke saamne ghata si chhaa gayi -2
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi

Kahan se phir chale aaye, yeh kuchh bhatke hue saaye
Yeh kuchh bhoole hue nagme, jo mere pyaar ne gaye
Yeh kuchh bhichhdi hui yaadein, yeh kuchh toote hue sapne
Paraaye ho gaye to kya, kabhi yeh bhi to the apne
Na jaane inse kyun milkar, nazar sharma gayi
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi

Ummeedon ke haseen mele, tamannaaon ke woh rele
Nigaahon ne nigaahon se, ajab kuchh khel the khele
Hawa mein zulf lehrayi, nazar pe bekhudi chhaai
Khule the dil ke darwaaze, mohabbat bhi chali aayi
Tamannaaon ki duniya par, jawaani chhaa gayi
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi

Bade rangeen zamaane the, taraane hi taraane the
Magar ab poochhta hai dil, woh din the yaa fasaane the
Faqat ik yaad hai baaki, bas ik fariyaad hai baaki
Woh khusiyan loot gayi lekin, dil-ye-barbaad hai baaki
Kahan the zindagi meri, kahan par aa gayi
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi
Nazar ke saamne ghata si chhaa gayi -2
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi..
Logged
natural
Guest
«Reply #68 on: January 18, 2006, 11:00:37 AM »
Waqt ne kiya kya haseen sitam
Tum rahe na tum ham rahe na ham
Waqt ne kiya…

Beqaraar dil is tarha mile
jis tarha kabhi ham juda na the
Tum bhi kho gaye, ham bhi kho gaye
Ek raah par chalke do qadam
Waqt ne kiya…

Jaayenge kaha sujhta nahi
chal pade magar raasta nahi
Kya talaash hai kuchh pata nahi
Bun rahe hain dil khaab dam-ba-dam
Waqt ne kiya…
Logged
natural
Guest
«Reply #69 on: January 18, 2006, 11:04:20 AM »
geet gaataa hoon main, gunagunaatoo hoon main
maine hasane kaa waadaa kiyaa thaa kabhee
isaliye ab sadaa muskuraataa hoon main

ye mohabbat ke pal kitane anamol hain
kitane fulon se naajook mere bol hain
sab ko fulon kee maalaa pahanaataa hoon main
muskuraataa hoon main ...


roshanee hogee itanee kise thee khabar
mere man kaa ye darpan gayaa hain nikhar
saath hain ab ye darpan dikhaataa hoon main
muskuraataa hoon main ...
Logged
natural
Guest
«Reply #70 on: January 18, 2006, 11:14:45 AM »
Ek Banjaara Gaae, Jeevan Ke Geet Sunaae
Hum Sab Jeene Vaalon Ko Jeene Ki Raah Bataae

Zamaane Vaalon Kitaab-E-Gham Mein
Khushi Ka Koi Fasaana Dhoondho
Agar Jeena Hai Zamaane Mein To
Hansi Ka Koi Bahaana Dhoondo
Ho Oh Oh Oh Aankhon Mein Aansoon Bhi Aaen
To Aakar Muskaaen
Ek Banjaara Gaae ...

Sabhi Ka Dekho Nahin Hota Hai
Naseeba Raushan Sitaaron Jaisa
Sayaana Vo Hai Jo Patjhad Mein Bhi
Sajaa Le Gulshan Bahaaron Jaisa
Ho Oh Oh Oh Kaagaz Ke Phoolon Ko Bhi
Jo Mehka Kar Dikhlaae
Ek Banjaara Gaae ...
Logged
natural
Guest
«Reply #71 on: January 18, 2006, 11:29:45 AM »
eik andheraa laakh sitaare, eik niraashaa laakh sahaare
sabase badee saugaat hain jeewan  naadaan hain jo jeewan se haare

duniyaa kee ye bagiyaa ayesee jitane kaante, fool bhee utane
daaman mein khud aa jaayenge, jinakee taraf too haath pasaare

beete huye kal kee khaatir, too aanewaalaa kal mat khonaa
jaane kaun kahaa se aa kar, raahe teree fir se sawaare

dukh se agar pahachaan n ho to kaisaa sukh  kaisee khushiyaan
tufaano se ladakar hee to lagate hain saahil itane pyaare
Logged
natural
Guest
«Reply #72 on: January 19, 2006, 05:22:55 AM »
Excellent Song.....


Kiska Rasta Dekhe Aye Dil Aye Saudaai
Meelon Hai Khamoshi Barson Hai Tanhaee
Bhooli Duniya Kabhiki Tujhe Bhi aur Mujhe Bhi
Phir Kyon Aankh Bhar Aayee


Koi Bhi Saaya Nahin Raahon Mein
Koi Bhi Aayega Na Baahon Mein
Tere Liye Mere Liye Koi Nahin Ronewala
Jhoota Bhi Naata Nahin Chaahon Mein
Tu Hi Kyon Dooba Rahe Aahon Mein
Koi Kisi Sang Mare Aaisa Nahin Honewala
Koi Nahin Jo Yoon Hi Jahan Mein Baate Peer Parayee
Kiska Rasta Dekhe Aye Dil Aye Saudaai...

Tujhe Kya Beeti Hui Raaton Se
Mujhe Kya Khoi Hui Baaton Se
Sej Nahin Chita Sahi Jo Bhi Mile Sona Hoga
Gai Jo Dori Chhooti Haathon Se
Lena Kya Toote Hue Saathon Se
Khushi Jahan Maangi Toone Wahin Mujhe Rona Hoga
Na Koi Tera Na Koi Mera Phir Kiski Yaad Aai
Kiska Rasta Dekhe Aye Dil Aye Saudaai...
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #73 on: February 24, 2006, 11:40:44 AM »
one of my fav8 song.....tongue3
From--- Mehboob ki Mehndi...Usual Smile


ye jo chilaman hain, dushman hain humaaree
kitanee sharmilee dulhan hain humaaree

doosaraa aaur koee yahaa kyo rahe
husn aaur ishk ke daramiyaan kyo rahe, ye yahaa kyo rahe, haa jee haa kyo rahe
ye jo aanchal hai, shikawaa hain humaaraa, kyo chhupaataa hai, cheharaa ye tumhaaraa

kaise didaar aashik tumhaaraa kare
rukha-ye-roshan kaa kaise najaaraa kare, ishaaraa kare, pukaaraa kare
ye jo gesoo hai, baadal hain kasam se, kaise bikhare hain gaalon pe sanam ke

rukh se parda jaraa jo sarakane lagaa
uf ye kanbakht dil kyo dhadakane lagaa, bhadakane lagaa, dam atakane lagaa
ye jo dhadakan hain dushman hain humaaree, kaise dil sanbhale ulazan hain humaaree
Logged
natural
Guest
«Reply #74 on: March 01, 2006, 12:56:06 PM »
Nice Song Milind........... Usual Smile

Nice Lyrics......

Saare Sapney Kaheen Kho Gaye
Saare Sapney Kaheen Kho Gaye..
Hayee Hum Kia Se Kia Ho Gaye..

Dil Se Tanhai Ka Dard Jeeta..
Kia Kahein Hum Pe Kia Kia Na Beeta
Tum Na Aaye, Magar Jo Gaye..
Hayee Hum Kia Se Kia Ho Gaye..

Tumne Humse Kahein Thin Jo Baatein..
Unko Dohrati hein Gham Ki Raatein..
Tumse Milne Ke Din Kho Gaye..
Hayee Hum Kia Se Kia Ho Gaye..

Koi Shikwa Na Koi Gila Hai..
Tumse Kab Humko Yeh Gham Mila Hai..
Haan Naseeb Apne Hi So Gaye..
Hayee Hum Kia Se Kia Ho Gaye..

Saare Sapney Kaheen Kho Gaye..
Hayee Hum Kia Se Kia Ho Gaye..
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 24
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:36:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer