Songs that I Like......

by natural on November 28, 2005, 10:21:24 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 24
Print
Author  (Read 25853 times)
nirbhay
Guest
«Reply #90 on: March 26, 2006, 06:55:05 AM »
Bass Veer bhai ..... Pone ek baajne waalerin hain intezar kar raha hoon...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
fun with songs by mudassirali in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Some My Fav. Songs.................... by waheed_rose2004 in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
songs.... by desikurri in Songs & Lyrics
:: songs i like / my favorite songs :: by myheart_ursonly in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
~I LIKE THESE SONGS~ by bhambra in Songs & Lyrics « 1 2 ... 33 34 »
mili_genie
Guest
«Reply #91 on: March 27, 2006, 10:25:32 AM »
one more added,.... my fav8 song

itanee shaktee humei denaa daataa, man kaa wishwaas kamajor ho naa
hum chale nek raste pe hum se, bhoolakar bhee koee bhool ho naa

har taraf julm hain, bebasee hain, sahumaa sahumaa saa har aadamee hain
paap kaa boz badhataa hee jaaye, jaane kaise ye dharatee thamee hain
boz mamataa se too ye uthhaa le, teree rachanaa kaa hee ant ho naa

hum andhere mein hain roshanee de, kho naa de khud ko hee dushmanee se
hum sajaa paaye apane kiye kee, maut bhee ho to sah le khushee se
kal jo gujaraa hain fir se naa gujare, aanewaalaa wo kal ayesaa ho naa

from :- ankush
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #92 on: March 28, 2006, 06:29:30 AM »
one moer...
from - mohra....

tip-tip barsaa paani  paani ne aag lagaayi
aag lagi dil mein to dil ko teri yaad aayi
teri yaad aayi to jal uthaa mera bheega badan
ab tum hi batao sajan main kya karu

naam tera mere labon pe aayaa tha
ho maine bahaane se tumhe bulaaya tha
jhoom kar aa gayaa saavan main kya karu

tip-tip barsaa paani paani ne aag lagaayi
aag lagi dil mein to dil ko teri yaad aayi
teri yaad aayi to jal uthaa mera bheega badan
ab tum hi batao sajan main kya karu

duubaa dariyaa mein khadaa main saahil par
tu bijali bankar giri mere dil par
chali aaisi yeh paagal pavan main kya karu

tip-tip barsaa paani paani ne aag lagaayi
aag lagi dil mein jo toh dil ko teri yaad aayi
teri yaad aayi to chha gaya mujhpe deewanapan
mere bas mein nahi mera mann main kya karu
Logged
natural
Guest
«Reply #93 on: March 28, 2006, 06:56:36 AM »
Nice Songs Milind....

One more

kabhi mausam hua resham - 2
kahi baarish hui rimzim
mujhe tum yaad aaye - 2
kahi koyal ki kuh kuh se
kahi payal ki cham cham se
mujhe tum yaad aaye - 2

(woh saundhi saundhi khushbu bhi
un chanchal chitwan aadao ki
saawan ki dheemi hawaaye bhi
baatein tumhari kare) - 2
deewana dil hua gumsum
mujhe tum yaad aaye - 2
kabhi mausam hua resham
kahi baarish hui rimzim
mujhe tum yaad aaye - 2

((yeh panghat sune sune hain
woh khali khali jhule hain) - 2
lehrata saaagar kinara
tum bin adhura lage) - 2
lehar kadmo se takrai
mujhe tum yaad aaye
kabhi mausam hua resham
kahi baarish hui rimzim
mujhe tum yaad aaye -  5
Logged
natural
Guest
«Reply #94 on: March 28, 2006, 11:30:38 AM »
One more nice song......


kabhi yaadon mein aaoon
kabhi khwaabon mein aaoon
kabhi yaadon mein aaoon
kabhi khwaabon mein aaoon
teri palkon ke saaye mein aakar jhilmilaoon
main wo khushboo nahin jo hawa mein kho jaaoon

hawa bhi chal rahi hai
magar tu hi nahi hai
fiza rangeen bani hai
kahaani keh rahi hai
mujhe jitna bhulao
main utna yaad aaoon
kabhi yaadon mein aaoon
kabhi khwaabon mein aaoon.

jo tum na milti
hota hi kya dhoond laane ko???
jo tum na milti
hota hi kya dhoond laane ko???
jo tum na milti
hota hi kya haar jaane ko???
meri amaanat thhi tum
meri amaanat thhi tum
meri mohabbat ho tum
tumhein kaise main bhulaoon???

kabhi yaadon mein aaoon
kabhi khwaabon mein aaoon
teri palkon ke saaye mein aakar jhilmilaoon

tadap rahe ho
zamaane se muskaraane ko
tadap rahe ho
zamaane se muskaraane ko
taras rahe ho
zamaane se paas aane ko
teri dhadkanon mein baskar
teri dhadkanon mein baskar
teri saans mein reh reh kar
tumhein har pal sataaoon

kabhi yaadon mein aaoon
kabhi khwaabon mein aaoon
teri palkon ke saaye mein aakar jhilmilaoon
main wo khushboo nahin jo hawa mein kho jaaoon
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #95 on: March 28, 2006, 04:27:55 PM »
woowwwww thats gr8 nattu...
Logged
natural
Guest
«Reply #96 on: March 29, 2006, 06:31:56 AM »
:D  :D

ye kyaa huaa, kaise huaa, kab huaa
kyo huaa, jab huaa, tab huaa
chhodo, ye naa socho

hum kyo, shikawaa kare zoothhaa
kyaa huaa jo dil tootaa
sheeshe kaa khilaunaa thaa
kuchh naa kuchh to honaa thaa, huaa

humane jo dekhaa thaa, sunaa thaa
kyaa bataaye wo kyaa thaa
sapanaa salonaa thaa
khatam to honaa thaa, huaa

aye dil  chal peekar zoome
inhee galiyon mein ghoome
yahaa tuze khonaa thaa
badanaam honaa thaa, huaa
Logged
natural
Guest
«Reply #97 on: March 29, 2006, 07:10:48 AM »
Nice Lyrics....... :wink:

Hum bewafa hargiz na the
Par hum wafa kar naa sake
Humko mili uski sazaa
Hum jo khata kar naa sake
Hum bewafa hargiz na the
Par hum wafa kar naa sake

Chorus:
jingala la hum, jingala la hum
Jingala la hum hurr hurr, hurr hurr

Kitni akeli thi woh rahen hum jinpe
Ab tak akele chalte rahen
Tujhse bichhad ke bhi o bekhabar
Tere hi gham mein jalte rahen
Tune kiya jo shiwa
Hum woh gila kar naa sake
Hum bewafa hargiz na the
Par hum wafa kar naa sake


Chorus:
hurr hurr, hurr hurr, hurr hurr

Tumne jo dekha suna sach tha magar
kitna tha sach yeh kisko pataa
Jaane tumhe maine koi dhokha diya
Jaane tumhe koi dhokha hua
Is pyaar mein sach jhooth kaa
Tum faisla kar naa sake
Hum bewafa hargiz na the
Par hum wafa kar naa sake

Chorus:
jingala la hum, jingala la hum,
jingala la hum hurr hurr
Logged
natural
Guest
«Reply #98 on: March 29, 2006, 07:12:17 AM »
hum the jinake sahaare, wo huye naa humaare
doobee jab dil kee naiyyaa, saamane the kinaare

kyaa mohabbat ke waade, kyaa wafaa ke iraade
ret kee hain diwaare, jo bhee chaahe giraa de

hai sabhee kuchh jahaan me, dostee hain wafaa hain
apanee ye kamanaseebee, hum ko naa kuchh bhee milaa hain

yoo to duniyaan basegee, tanahaee fir bhee dasegee
jo jindagee mein kamee thee, wo kamee to rahegee
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #99 on: March 29, 2006, 08:28:16 AM »
ek aur,.......  its my fav8 song
specially 2nd stanza... amzaing....

from - tezaab

So gaya yeh jahan, so gaya aasma
So gayi hai saari manzile, O saari manzile,
So gaya hai rasta,
So gaya yeh jahan, so gaya aasma

Raat aayi tho woh jinke ghar the,
Woh ghar ko gaye so gaye,
Raat aayi tho hum jaise aawara
Phir nikle raahon mein aaur kho gaye
Is gali us gali, is nagar us nagar,
Jaaye bhi tho kaha jaana chahe agar,
O, So gayi hai saari manzile,
O, Sari manzile,
So gaya hai rasta,

So gaya yeh jahan, so gaya aasma
Kuch meri suno, kuch anpi kaho,
ho paas tho aise, chup naa raho,

hum paas bhi hai, aaur dur bhi hain
aazaad bhi hai, majboor bhi hain

Kyun pyaar ka mausam beet gaya
Kyun humse jamana jeet gaya

Har ghadi mera dil gham ke ghere mein hain
Jindagi dur tak ab andhere mein hain
Andhere mein hain, andhere mein hain,


O So gayi hain saari manzile,
O sari manzile, so gaya hai rasta,
So gaya yeh jahan, so gaya aasma
Logged
nikki
Guest
«Reply #100 on: March 29, 2006, 08:44:18 AM »
i just love almost all the songs shared here by everyone....gr8 job everyone
Logged
natural
Guest
«Reply #101 on: March 29, 2006, 10:47:37 AM »
Thanks nikki....

Tum aa gaye ho noor aa gaya hai - 2
Nahi to charaago se lau jaa rahi thi
Jeene ki tumse wajeh mil gayi hai
Badi bewajeh zindagi jaa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
           
Kaha se chale kaha ke liye ye khabar nahi thi magar
Koi bhi seera jaha jaa mila wahi tum miloge
Ke ham tak tumhaari duwa aa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
Nahi to charaago se lau jaa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
         
Din dooba nahi raat doobi nahi jaane kaisa hai safar
Khwaabo ke diye aankho mein liye wahi aa rahe the
Jaha se tumhaari sada aa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
Nahi to charaago se lau jaa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
Logged
natural
Guest
«Reply #102 on: March 29, 2006, 11:44:39 AM »
phir wahi raat hain
hmm hmm hmm ....
phir wahi raat hain
phir wahi raat hain
khwaabo ki
raat bhar khwaab mein dekha karenge tumhe
phir wahi raat hain
phir wahi raat hain
phir wahi raat hain
khwaabo ki
raat bhar khwaab mein dekha karenge tumhe
phir wahi raat hain

masoom si neend mein jb koi sapna chale
humko bula lena tum palko ke parde tale
yeh raat hain khwaab ki khwaab ki raat hain
phir wahi raat hain
phir wahi raat hain
phir wahi raat hain
khwaabo ki

kaanch ke khwaab hain aankhon mein chubh jayenge
palko mein le na inhe aankho mein rut jayenge
yeh raat hain khwaab ki khwaab ki raat hain
phir wahi raat hain
phir wahi raat hain
phir wahi raat hain
khwaabo ki
raat bhar khwaab mein dekha karenge tumhe
phir wahi raat hain
raat hain, raat hain



Movie Name Ghar..
Singer Kishore Kumar..... :wink:
Logged
natural
Guest
«Reply #103 on: March 29, 2006, 11:53:32 AM »
Kk: Aap Ki Aankhon Mein Kuch Mehke Hue Se Raaz Hai (2)
Aap Se Bhi Khubsoorat Aap Ke Andaaz Hai
Aap Ki Aankhon Mein Kuch Mehke Hue Se Raaz Hai

Lab Hile To Mogare Ke Phool Khilte Hai Kahin (2)
Aap Ki Aankhon Mein Kya Saahil Bhi Milte Hai Kahin
Aap Ki Khaamoshiyaan Bhi Aap Ki Aawaaz Hai

Lm: Aap Ki Aankhon Mein Kuch Mehke Hue Se Raaz Hai
Aap Se Bhi Khubsoorat Aap Ke Andaaz Hai
Aap Ki Aankhon Mein Kuch Mehke Hue Se Raaz Hai

Aap Ki Baaton Mein Phir Koyi Sharaarat To Nahin (2)
Bevajeh Taareef Karna Aap Ki Aadat To Nahin
Aap Ki Badmaashiyon Ke Yeh Naye Andaaz Hai

Kk: Aap Ki Aankhon Mein Kuch Mehke Hue Se Raaz Hai
Lm: Ho Aap Se Bhi Khubsoorat Aap Ke Andaaz Hai
Aap Ki Aankhon Mein Kuch Mehke Hue Se Raaz Hai
Logged
natural
Guest
«Reply #104 on: March 31, 2006, 07:35:36 AM »
humei tum se pyaar kitanaa, ye hum naheen jaanate
magar jee naheen sakate, tumhaare beenaa

sunaa gam judaee kaa, uthhaate hain log
jaane jindagee kaise, bitaate hain log
din bhee yahaa to lage, baras ke samaan
humei intajaar kitanaa, ye hum naheen jaanate
magar jee naheen sakate, tumhaare beenaa

tumhe koee aaur dekhe, to jalataa hain dil
badee mushkilon se fir, sanbhalataa hain dil
kyaa, kyaa jatan karate hai, tumhe kyaa pataa
ye dil bekaraar kitanaa, ye hum naheen jaanate
magar jee naheen sakate, tumhaare beenaa
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 24
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:31:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer