Taare Zameen Par - Lyrics/Album Name: TAARE ZAMEEN PAR

by honeyrose on December 17, 2007, 08:52:20 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2573 times)
honeyrose
Guest
Dekho Inhein Yeh Hain Aas Ki Boondein
Patton Ki God Mein Aasmaan Se Koodein
Aandayee Lein Phir Karwat Badal Kar
Nazuk Se Moti Hans De Phisal Kar
 
Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par
 
Yeh To Hain Sardi Mein Dhoop Ki Kirane
Utarein Jo Aangan Ko Sunhera Sa Karne
Mann Ke Aandheron Ko Roshan Sa Kar Dein
Thithurti Hatheli Ki Rangat Badal Dein
 
Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par
 
Jaise Aankhon Ki Dibiya Mein Nindiya
Aur Nindiya Mein Meetha Sa Sapna
Aur Sapne Mein Mil Jaaye Farishta Sa Koi
Jaise Rangon Bhari Pichkari
Jaise Titliyan Phoolon Ki Kyari
Jaise Bina Matlab Ka Pyara Rishta Ho Koi
 
Yeh To Aasha Ki Lehar Hain
Yeh To Ummeed Ki Sehar Hain
Khusiyon Ki Nehar Hain
 
Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par
 
Dekho Raaton Ke Seeney Pe Yeh Toh
Jhilmil Kisi Lau Se Ugey Hain
Yeh To Amboya Ki Khusboo Hain
Baagon Se Beh Chale
Jaise Kaanch Mein Choodi Ke Tukde
Jaise Khiley Khiley Phoolon Ke Mukhdey
Jaise Bansi Koi Bajaye Pedon Ke Taley
 
Yeh To Jhonke Hain Pawan Ke
Hain Yeh Ghungharoo Jeewan Ke
Yeh To Sur Hain Chaman Ke
 
Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par
 
Muhaley Ki Raunak
Galiyan Hain Jaise
Khilney Ki Zid Par
Khaliyan Hain Jaise
Muthi Mein Mausam Ki
Jaise Hawayein
Yeh Hain Buzurgon Ke
Dil Ki Duwayein
 
Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par
 
Kabhi Baatein Jaise Dadi Nani
Kabhi Chalkein Jaise Mum Mum Paani
Kabhi Ban Jaaye Bhole
Sawaalon Ki Jhadi
Sannatey Mein Hansee Ke Jaise
Sooney Hothon Pe Khushi Ke Jaise
Yeh To Noor Hain Barse Gar
Teri Kismat Ho Badi
 
Jaise Jheel Mein Lehraye Chanda
Jaise Bheed Mein Apne Ka Kandha
Jaise Manmauji Nadiya
Jhaag Udaye Kuch Kahe
Jaise Baithe Meethi Si Jhapki
Jaise Pyar Ki Dheemi Si Thapki
Jaise Kaanon Mein Sargam
Hardam Bajti Hi Rahe
Jaise Barkha Udati Hai Bundiya...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Taare Zameen Par : A Movie Un-Review !! by Talat in Movies, TV and Entertainment
jab tak tha zameen par by NABROY in Miscellaneous Shayri
bevde zameen per by samnoj in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
prmchawla
Guest
«Reply #1 on: December 17, 2007, 10:04:00 AM »
u r really great yaar,
aao hum sab mil kar yeh koshish kare ki kho na jaaye yeh taare jamin par,
aao hum ek vaada kare ke paani mai na beh jaaye yeh aasuo ki bund bankar,
aao hum sab mil kar koshish kare ki inko utha le,
or kar sake kuch ya naa kar sake par in taaro ki ek sundar si maala bana de.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: January 18, 2008, 12:48:06 AM »
Mujhe yah gaana sabse jayada pasand ayya is movi main:

main kabhi batlaata nahi….
par andhere se darta hoon main maa

yuun to main dikhlaata nahi….
teri parwaah karta hoon main maa

tujhe sab hai pata….
hai na maa
tujhe sab hai pata…
meri maa

bheed mein yuun na chhodo mujhe….
ghar laut ke bhi aana paau maa

bhejna itna door mujhko tu….
yaad bhi tujhkoaana paau maa

kya itna bura….
hoon main maa
kya itna bura…
meri maa


jab bhi kabhi papa mujhe….
zor zor jhula jhulate hai maa

meri nazar dhoondhe tujhe….
sochun yahi tu aake thaamegi maa

unase main yeh kehta nahi….
par main seham jaata hoon main maa

chehre mein aane deta nahi….
dil hi dil mein ghabraata hoon main

tujhe sab hai pata….
hai na maa
tujhe sab hai pata…
meri maa

o main kabhi batlaata nahi….
par andhere se darta hoon main maa

yuun to main dikhlaata nahi….
teri parwaah karta hoon main maa

tujhe sab hai pata….
hai na maa
tujhe sab hai pata…
meri maa

Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:15:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer