Touching heart all Songs..............Rishi

by Rishi Agarwal on October 11, 2009, 09:01:04 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 10
Print
Author  (Read 10609 times)
Rishi Agarwal
Guest
Hamare Baad Tumhe Apna Banane Kaun Aayega
Hamare Baad Tumhe Apna Banane Kaun Aayega
Rulaane To Sab Aayeinge, Hasaane Kaun Aayega

Hamare Baad Tumhe Apna Banane Kaun Aayega
Rulaane To Sab Aayeinge, Hasaane Kaun Aayega

Badi Mushkil Hai Chaahat Ki Sabhi Rasmein Sabhi Kasmein

Badi Mushkil Hai Chaahat Ki Sabhi Rasmein Sabhi Kasmein

Kareinge Pyaar Sab Lekin Nibhaane Kaun Aayega

Kareinge Pyaar Sab Lekin Nibhaane Kaun Aayega
Rulaane To Sab Aayeinge, Hasaane Kaun Aayega

Kahin Majbooriyan Hongi, Kahin Tanhaaiyaan Hongi

Kahin Majbooriyan Hongi, Kahin Tanhaaiyaan Hongi

Tumhe Har Mod Pe Rasta Dikhaane Kaun Aayega

Tumhe Har Mod Pe Rasta Dikhaane Kaun Aayega
Rulaane To Sab Aayeinge, Hasaane Kaun Aayega

Zaroorat Har Kisi Ko Hogi, Teri Meherbaani Ki

Zaroorat Har Kisi Ko Hogi, Teri Meherbaani Ki

Sitam Seh Kar Tumhe Apna Banane Kaun Aayega

Sitam Seh Kar Tumhe Apna Banane Kaun Aayega
Rulaane To Sab Aayeinge, Hasaane Kaun Aayega
Hamare Baad Tumhe Apna Banane Kaun Aayega
Rulaane To Sab Aayeinge, Hasaane Kaun Aayega

Film :--- Aan
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #1 on: October 11, 2009, 09:03:22 AM »
O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba

Milenge tumse to bataayenge
Ke kitna pyaar hai hamein

Milenge tumse to bataayenge
Ke kitna pyaar hai hamein

O saahiba, o saahiba

O saahiba, o saahiba
Kaise kati raatein, kaise kate voh din
Kaise jeeye tanha, kaise rahe tere bin

Chaaron taraf faili dard ki tanhaai
Shaam saher humko yaad teri aayi

O saahiba, o saahiba

O saahiba, o saahiba
Apni nigaahon mein tumko basa lenge
Dil ki dhadkan mein tumko chhupa lenge

Hum pe jo guzri hai tumko bataayenge
Cheerke dil apna tumko dikhaayenge

O saahiba, o saahiba

O saahiba, o saahiba

Milenge tumse to bataayenge
Ke kitna pyaar hai hamein

Milenge tumse to bataayenge
Ke kitna pyaar hai hamein

O saahiba, o saahiba

O saahiba, o saahiba

Film :-- Dil Hain Tumhara
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #2 on: October 11, 2009, 09:07:11 AM »
Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam
Teri yaad jo aati hai mere aansoo behte hain
Apna to milan hoga pal pal ye kehte hain
Kya ye zindagaani hai bas teri kahaani hai
Bas teri kahaani hai ye jo zindagaani hai

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam

Teri vo baatein vo chaahat ki rasmein
Jhoothe thay vaade kya jhoothi thi kasmein
Jaane tamanna kya ye sach hai bas itna keh de
Toot jaayein na lamhe aitbaar ke
De koi sila mere intezaar ka

Chaaha hai tujhko chaahoongi har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam

Teri hoon teri jo chaahe kasam le le
Mujhko humrahi tu apne gam de de
Saari umar hai mujhko dard judaai ka sehna
Raaste mein khoyi hai manzil meri
Mere saath jayengi mushkilein meri

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam

Tu saamne hai mere phir kyon ye doori hai
Tujhe kaise bataoon main hay kya majboori hai
Ye bhi koi jeena hai sirf aansoo peena hai
Sirf aansoo peena hai ye bhi koi jeena hai .

Film :--- Mann
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: October 11, 2009, 07:57:50 PM »
Lovely song,thanx for sharing Rishi ji. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #4 on: October 12, 2009, 03:26:23 PM »
Lovely song,thanx for sharing Rishi ji. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause

Thnx Madhu ji
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #5 on: October 16, 2009, 08:28:46 AM »
Tere jaisa yaar kahan
Kahan aisa yaarana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Tere jaisa yaar kahan
Kahan aisa yaarana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Meri zindagi sawaari
Mujhko gale lagake
Baitha diya falak pe
Mujhe khaat se oothake

Meri zindagi sawaari
Mujhko gale lagake
Baitha diya falak pe
Mujhe khaat se oothake
Yaara teri yaari ko
Maine to khuda mana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Mere dil ki yeh dua hai
Kabhi door tu na jaaye
Tere bina ho jeena
Woh din kabhi na aaye

Mere dil ki yeh dua hai
Kabhi door tu na jaaye
Tere bina ho jeena
Woh din kabhi na aaye
Tere sung jeena yahan
Tere sung mar jaana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Tere jaisa yaar kahan
Kahan aisa yaarana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Movie :- Yarana (old)
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #6 on: October 19, 2009, 02:53:07 PM »
Chithhi na koyi sandesh
Ho chithhi na koi sandesh
Jaane woh kaun sa desh jaha tum chale gaye
Chithhi na koyi sandesh
Jaane woh kaun sa desh jaha tum chale gaye
Chithhi na koyi sandesh
Jaane woh kaun sa desh jaha tum chale gaye
Jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye...

Ek aah bhari hogi hamne na suni hogi
Jaate jaate tumne awaaz to di hogi
Har waqt yehi hai gham, us waqt kaha the hum
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye...

Har cheez pe ashkon se likha hai tumhaara naam
Ye raste ghar galiyaan tumhe kar na sake salaam
Hai dil mein reh gayi baat, jaldi se chhuda kar haath
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jahan tum chale gaye...

Ab yaadon ke kaante is dil mein chubhte hain
Na dard thhaherta hai na aanson rukte hain
Tumhe dhhundhh raha hai pyaar, hum kaise karein iqraar
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jahan tum chale gaye...
Ho kahan tum chale gaye -3

Movie :- Dushman
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: October 20, 2009, 07:30:03 AM »
Very beautiful songs Rishi ji.thanx for sharing. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #8 on: October 20, 2009, 07:39:13 AM »
Very beautiful songs Rishi ji.thanx for sharing. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause

Thnx Madhu JI
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #9 on: November 01, 2009, 03:55:37 PM »
Tu Hi Haqeeqat Khaab Tu, Dariya Tu Hi Pyaas Tu
Tu Hi Dil Ki Bekaraari Tu Sukun Tu Sukun
Jaau Main Abb Jab Jis Jagah Paau Main Tujhko Uss Jagah
Saath Hoke Na Ho Tu Hai Rubaru Rubaru
(Tu Hamsafar Tum Hamkadam Tu Hamnawa Mera)- 2

Aa Tujhe Inn Baahon Mein Bhar Ke Aur Bhi Kar Loon Main Kareeb
Tu Juda Ho Toh Age Hain Aata Jaata Har Pal Ajij
Iss Jahaan Mein Hai Aur Na Hoga Mujhsa Koi Khushnaseeb
Tune Mujhko Dil Diya Hai Main Hoon Tere Sabase Kareeb
Main Hi Toh Tee Dil Mein Hoon, Main Hi Saanson Mein Basu
Tere Dil Ki Dhadkano Mein Main Hi Hoon, Main Hi Hoon
(Tu Hamsafar Tum Hamkadam Tu Hamnawa Mera)- 2

Kab Bhala Abb Yeh Waqt Gujare Kuchh Pata Chalta Hi Nahi
Jabase Mujhako Tu Mila Hai Hosh Kuchh Bhi Apna Nahi
Uff Yeh Teri Palakein Ghani Si, Chanv Inki Hai Dilnashi
Abb Kise Darr Dhup Ka Hai Kyun Ki Hai Yeh Mujhpe Bichhi
Tere Bina Na Saans Loon Tere Bina Na Main Jiu
Tere Bina Na Ek Pal Bhi Reh Saku, Reh Saku
Tu Hi Haqeeqat Khaab Tu, Dariya Tu Hi Pyaas Tu
Tu Hi Dil Ki Bekaraari Tu Sukun Tu Sukun
(Tu Hamsafar Tum Hamkadam Tu Hamnawa Mera)- 4

Movie :- Tum Mile
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #10 on: November 01, 2009, 03:57:22 PM »
Dil Ibaadat Kar Raha Hai, Dhadakane Meri Sun
Tujhko Main Kar Loon Haasil Lagi Hai Yahin Dhun
Jindagi Ki Shaak Se Loon Kuchh Haseen Pal Main Chun

Jo Bhi Jitane Pal Jiu, Unhe Tere Sang Jiu
Jo Bhi Kal Ho Abb Mera Use Tere Sang Jiu
Jo Bhi Saansein Main Bharu Unhe Tere Sang Bharu
Chaahe Jo Ho Raasta Use Tere Sang Chalu
Dil Ibaadat Kar Raha Hai, Dhadakane Meri Sun
Tujhko Main Kar Loon Haasil Lagi Hai Yahin Dhun

(Mujhko De Tu Mit Jaane Abb Khud Se Dil Mil Jaane
Kyun Hai Itana Faasala
Lamahe Yeh Phir Na Aane Inko Tu Na De Jaane
Tu Mujhpe Khud Ko De Luta
Tujhe Tujhase Tod Loon Kahin Khud Se Jod Loon
Meri Jismo Jaan Pe Aa Teri Khushbu Odh Loon
Jo Bhi Saansein Main Bharu Unhe Tere Sang Bharu
Chaahe Jo Ho Raasta Use Tere Sang Chalu
Dil Ibaadat Kar Raha Hai Dhadakane Meri Sun
Tujhko Main Kar Loon Haasil Lagi Hai Yahin Dhun

Baahon Mein De Bas Jaane Sine Mein De Chup Jaane
Tujh Bin Main Jaau Toh Kahaan
Tujhase Hai Mujhko Paane Yaadon Ke Woh Najraane
Ik Jinape Hak Ho Bas Mera
Teri Yaadon Mein Rahu Tere Khaabon Mein Jagu
Mujhe Dhundhein Jab Koyi Teri Aankhon Mein Milu
Jo Bhi Saansein Main Bharu Unhe Tere Sang Bharu
Chaahe Jo Ho Raasta Use Tere Sang Chalu
Dil Ibaadat Kar Raha Hai, Dhadakane Meri Sun
Tujhko Main Kar Loon Haasil Lagi Hai Yahin Dhun

Movie :- Tum Mile
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #11 on: November 01, 2009, 04:01:08 PM »
Aankh Hain Bhari Bhari

Aankh Hain Bhari Bhari Aur Tum Muskurane Ki Baat Karte Ho
Aankh Hain Bhari Bhari Aur Tum Muskurane Ki Baat Karte Ho
Zindagi Khafa Khafa Aur Tum Dil Lagane Ki Baat Karthe Ho
Aankh Hain Bhari Bhari Aur Tum Muskurane Ki Baat Karte Ho

Mere Haalat Aisi Hai Ki Main Kuch Kar Nahin Sakta
Mere Haalat Aisi Hai Ki Main Kuch Kar Nahin Sakta
Tadapta Hai Yeh Dil Lekin Yeh Aahen Bhar Nahin Sakta
Zakhm Hai Hara Hara Aur Tum Chot Khaane Ki Baat Karte Ho
Zindagi Khafa Khafa Aur Tum Dil Lagane Ki Baat Karthe Ho
Aankh Hain Bhari Bhari Aur Tum Muskurane Ki Baat Karte Ho

Zamane Mein Bhala Kaise Mohabbat Log Karte Hai
Zamane Mein Bhala Kaise Mohabbat Log Karte Hai
Wafa Ke Naam Ki Ab To Shikayat Log Karte Hai
Aag Hai Buji Buji Aur Tum Lau Jalane Ki Baat Karte Ho
Zindagi Khafa Khafa Aur Tum Dil Lagane Ki Baat Karthe Ho
Aankh Hain Bhari Bhari Aur Tum Muskurane Ki Baat Karte Ho

Kabhi Jo Khwaab Dekha To Mili Parchiyaan Mujhko
Kabhi Jo Khwaab Dekha To Mili Parchiyaan Mujhko
Muhje Mehfil Ki Khwaaish Thi Mili Tanhaaiyan Mujhko
Har Taraf Dua Dua Aur Tum Aashiyaane Ki Baat Karthe Ho
Zindagi Khafa Khafa Aur Tum Dil Lagane Ki Baat Karthe Ho
Aankh Hain Bhari Bhari Aur Tum Muskurane Ki Baat Karte Ho

Movie :- TUMSE ACHCHA KAUN HAIN - 2002
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #12 on: November 01, 2009, 04:03:20 PM »
Bheed mein tanhaai mein
pyas ki gehraai mein
dard mein ruswaai mein
mujhe tum yaad aate ho - 2
geet mein shehnaai mein
khwaab mein purwaai mein
dhup mein parchaai mein
mujhe tum yaad aate ho - 2
bheed mein tanhaai mein
pyas ki gehraai mein
dard mein ruswaai mein
mujhe tum yaad aate ho - 2

(teri chaahatein meri zindagi
tere pyar ko main bhula na saku) - 2
karu koshishen bhale raat din
tere aksa ko main mita na saku
pyas ki gehraai mein
bheed mein tanhaai mein
dard mein ruswaai mein
mujhe tum yaad aate ho - 2
geet mein shehnaai mein
khwaab mein purwaai mein
dhup mein parchaai mein
mujhe tum yaad aate ho - 2

(kabhi khwaab mein socha na tha
jeena padega tujhe chhod ke) - 2
sanam jo tera ishaara mile
chali aaun saari kasam tod ke
zulf ki nanaai mein
bheed mein tanhaai mein
dard mein ruswaai mein
mujhe tum yaad aate ho - 2
bheed mein tanhaai mein
pyas ki gehraai mein
dard mein ruswaai mein
mujhe tum yaad aate ho - 2
geet mein shehnaai mein
khwaab mein purwaai mein
dhup mein parchaai mein
mujhe tum yaad aate ho - 2
mujhe tum yaad aate ho - 2

Movie :-  TUMSA NAHI DEKHA
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #13 on: November 01, 2009, 04:08:35 PM »
Duniya Bananewale Kya Tere Man Mein Samaayi
Kaaheko Duniya Banayi
Toone Kaaheko Duniya Banayi

Kahe Banaye Toone Maati Ke Putle
Dharti Yeh Pyari Pyari
Mukhde Yeh Ujle
Kahe Banaya Toone Duniya Ka Khela
Usme Lagaya Jawaani Ka Mela
Gup-Chup Tamasha Dekhe, Wah Re Teri Khudaai
Kahe Ko Duniya...

Preet Banaake Toone Jeena Sikhaaya
Hansna Sikhaaya, Rona Sikhaaya
Jeevan Ke Path Par Meet Milaye
Meet Milake Toone Sapne Sajaaye
Sapne Sajaake Toone Kahe Ko De Di Judaai
Kahe Ko Duniya...

Movie :- Teesri Kasam
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #14 on: November 01, 2009, 04:17:11 PM »
Chaaha hai tujhko chaahat se zyaada
Samjha hai tujhko mohabbat se zyaada
Yeh main jaanta hoon yaa mera dil jaanta hai
Ho......ho.....ho.....ho.....

Tera milna pal do pal ka meri dhadkane churaye
Darr hai mujhe pyaar tera meri jaan le na jaaye
Tu bataa kis tarah jiya jaaye haay haay
Tera milna pal do pal ka meri dhadkane churaye
Darr hai mujhe pyaar tera meri jaan le na jaaye
Tu bata kis tarah jiya jaaye haay haay
Ho......Ho.....Ho.....Ho.....

Aa meri jaan mera sab kuch tu apna kar le
Bas meri chaahat se rishta karle
Tere liye mein kuch bhi ho sakta hoon
Magar mere liye tu woh hai
Jiske liye mein saans leta hoon
Ho......ho.....ho.....ho.....

Poochho na kya hota mujhe
Paas jo tu na ho to
Ruke meri saanson ki laher
Soch zara yeh tu bhi
Pyaar mein tere mujhe
Diya hai jo waadon ka zaher
Kis tarah zaher yeh piya jaaye haay haay
Tera milna pal do pal ka meri dhadkane churaye
Darr hai mujhe pyaar tera meri jaan le na jaaye
Ho......ho.....ho.....ho.....

Chupke chupke dil mein tune aag laga di yeh kya
Main to teri yaadon mein jala ho
Lakh sambhala phir bhi dil yeh deewana mera
Tere hi ishaaron pe chala
Imtihan aur kya diya jaaye haay haay
Tera milna pal do pal ka meri dhadkane churaye
Darr hai mujhe pyaar tera meri jaan le na jaaye
Tu bata kis tarah jiya jaaye haay haay
Ho......ho.....ho.....ho.....

Album :- Jaan (Sonu Nigam)
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 10
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 03:16:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer