Touching heart all Songs..............Rishi

by Rishi Agarwal on October 11, 2009, 09:01:04 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 10
Print
Author  (Read 10841 times)
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #30 on: November 02, 2009, 08:08:00 AM »
ho ho ho~
dil ka aalam main kya bataaun tujhe - 2
ek chehre ne bahut - 2 pyar se dekha mujhe
dil ka aalam main kya bataaun tujhe - 2
ek chehre ne bahut - 2 pyar se dekha mujhe
dil ka aalam main kya bataaun tujhe

woh mere saamne baithi hai magar
usse kuchh baat na ho paayi hai
main ishaara bhi agar karta huun
ismein hum donon ki ruswaai hai - 2
dil ka aalam main kya bataaun tujhe - 2

woh toh hothon se kuchh bhi kehti nahi
uske aankhon mein ek kahani hai
uss kahani mein naam hai mera
mujh pe kudrat ki meharbaani hai - 2
dil ka aalam main kya bataaun tujhe - 2
ek chehre ne bahut - 2 pyar se dekha mujhe
dil ka aalam main kya bataaun tujhe



Movie :- Aashiqui
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #31 on: November 02, 2009, 08:08:53 AM »
Beautiful songs,thanx 4 sharing Rishi ji,n Rajesh ji. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #32 on: November 02, 2009, 08:09:36 AM »
Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Ka Peelenge Hum
Kya Hua Jo Ek Dil Toot Gaya
Kya Hua Jo Ek Dil Toot Gaya

Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Ka Peelenge Hum

Teri Aashiqui Bhi Kya Rang Layi
Wafa Maine Ki Tune Ki Bewafai
Meri Bhool Thi Main Ye Kya Chahta Tha
Kisi Bewafa Se Wafa Chahta Tha
Tu Jaane Kya Bekaraari
Bedard Bemuravvat
Ja Sangdil Haseena
Dekhi Teri Mohabbat
Ab Maine Jaana Tujhko Beraham

Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Ka Peelenge Hum

Sanam Tod Deta Mohabbat Ke Vaade
Agar Jaan Jaata Main Tere Iraade
Kise Maine Chaaha
Kahan Dil Lagaya
Main Naadaan Tha Kuchh Samajh Hi Nahin Paaya
Mere Aansuon Ke Moti
Aankhon Se Behta Paani
Mere Toote Dil Ke Tukde
Tere Pyaar Ki Nishaani
Kaisa Main Bhoolonga Tere Sitamb

Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Peelenge Hum
Kya Hua Jo Ik Dil Toot Gaya
Kya Hua Jo Ik Dil Toot Gaya
Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Peelenge Hum
Jeelenge Hum
Jeelenge Hum
Jeelenge Hum
Jeelenge Hum..



Movie :- Aashiqui
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #33 on: November 02, 2009, 08:10:30 AM »
Beautiful songs,thanx 4 sharing Rishi ji,n Rajesh ji. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause

Thnx Madhu Ji and aap bhi apne favourate song yaha pe post kre plz
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #34 on: November 02, 2009, 08:16:13 AM »
Dheere Dheere Se Meri Zindagi Mein Aana
Dheere Dheere Se Mere Dil Ko Churaana
Tum Se Pyaar Humein Kitna Hai Jaane Jaana
Tumse Milkar Tumko Hai Bataana

Dheere Dheere Se Meri Zindagi Mein Aana
Dheere Dheere Se Mere Dil Ko Churaana
Tum Se Pyaar Humein Kitna Hai Jaane Jaana
Tumse Milkar Tumko Hai Bataana

Jabse Tujhko Dekha Dil Ko Koi Aaraam Nahin
Mere Hothon Pe Ek Tere Siva Koi Naam Nahin
Apna Bhi Haal Tumhare Jaisa Hai Saajan
Bas Yaad Tujhe Karti Hoon Aur Koi Kaam Nahin
Ban Gaya Hoon Main Tera Deewana
Dheere Dheere Se Dil Ko Churaana

Dheere Dheere Se Meri Zindagi Mein Aana
Dheere Dheere Se Mere Dil Ko Churaana
 
Tune Bhi Aksar Mujhko Jagaya Raaton Mein
Aur Neend Churayi Meethi Meethi Baaton Mein
Tune Bhi Beshak Mujhe Kitna Tadpaya
Phir Bhi Teri Har Ek Ada Par Pyaar Aaya
Aaja Aaja Ab Kaisa Sharmaana
Dheere Dheere Se Dil Ko Churaana

Dheere Dheere Se Meri Zindagi Mein Aana
Dheere Dheere Se Mere Dil Ko Churaana
Tum Se Pyaar Humein Kitna Hai Jaane Jaana
Tumse Milkar Tumko Hai Bataana .



Movie :- Aashiqui
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #35 on: November 04, 2009, 12:57:59 PM »
Tumhi Ko Chaahta Hai Dil Tumhi Se Pyar Hai
Tumhari In Adaon Mein Bada Khumaar Hai...

Tumhi Ko Chaahta Hai Dil Tumhi Se Pyar Hai
Tumhari In Adaon Mein Bada Khumaar Hai
Khafa Na Ho O Jaana, Ke Dekhe Yeh Zamana
Main Ho Gaya Deewana, Dil Bekraar Hai

Tumhi Ko Chaahta Hai Dil Tumhi Se Pyar Hai
Tumhari In Adaon Mein Bada Khumaar Hai
Tumhi Ko Chaahta Hai Dil Tumhi Se Pyar Hai
Tumhari In Adaon Mein Bada Khumaar Hai...
Dal Ke Nazar Nazar Ki Mastiyan
Mujhpe Yu Girayi Tune Bijliyan


La La Ra La Ra La Ra La Ra

Dal Ke Nazar Nazar Ki Mastiyan
Mujhpe Yu Girayi Tune Bijliyan
Madhosh Main Hoon Ki Hosh Kho Gaya
Dil Ki Lagi Me Yeh Haal Ho Gaya
Ab To Bas Dil Pe Tumhara Ikhtiyaar Hai

Tumhi Ko Chaahta Hai Dil Tumhi Se Pyar Hai
Tumhari In Adaon Mein Bada Khumaar Hai
Khafa Na Ho O Jaana, Ke Dekhe Yeh Zamana
Main Ho Gaya Deewana, Dil Bekraar Hai

Tumhi Ko Chaahta Hai Dil Tumhi Se Pyar Hai
Tumhari In Adaon Mein Bada Khumaar Hai...

Aur Bhi Kareeb Aane Do Mujhe
Dhadkane Zara Churane Do Mujhe

Na Na Na, Na Na Na Na Na Na


Haan, Aur Bhi Kareeb Aane Do Mujhe
Dhadkane Zara Churane Do Mujhe

Tadpake Aise Na Jaao Janeman
Mujhko Gale Se Lagao Jaaneman
Kya Khila Khila Sama Hai Kya Bahar Hai
Tumhi Ko Chaahta Hai Dil Tumhi Se Pyar Hai
Tumhari In Adaon Mein Bada Khumaar Hai
Tumhi Ko Chaahta Hai Dil Tumhi Se Pyar Hai
Tumhari In Adaon Mein Bada Khumaar Hai

Khafa Na Ho O Jaana, Ke Dekhe Yeh Zamana
Main Ho Gaya Deewana, Dil Bekraar Hai

Tumhi Ko Chaahta Hai Dil Tumhi Se Pyar Hai
Tumhari In Adaon Mein Bada Khumaar Hai
Tumhi Ko Chaahta Hai Dil Tumhi Se Pyar Hai
Tumhari In Adaon Mein Bada Khumaar Hai
Tumhi Ko Chaahta Hai Dil Tumhi Se Pyar Hai
Tumhari In Adaon Mein Bada Khumaar Hai


Movie :- Baaghi


Logged
Shayaries_King
Guest
«Reply #36 on: November 05, 2009, 02:23:34 PM »
Bhai Kya Songs Hai Aur Kya Pasand Hai Aapki  notworthy
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #37 on: November 05, 2009, 02:25:28 PM »
Bhai Kya Songs Hai Aur Kya Pasand Hai Aapki  notworthy

Thnx Bhai and ye jitne bhi song hai sab mere favorate hai bhai
Logged
Shayaries_King
Guest
«Reply #38 on: November 05, 2009, 02:28:13 PM »
Thnx Bhai and ye jitne bhi song hai sab mere favorate hai bhai
Aapki Psand Hai Bhai Isliye Toh Lawab Hai
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #39 on: November 05, 2009, 02:32:56 PM »
Aapki Psand Hai Bhai Isliye Toh Lajwab Hai

Thnku so much bhai
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #40 on: November 07, 2009, 02:00:38 PM »
Barasaat Ke Mausam Mein Tanhaayi Ke Aalam Mein - 2
Main Ghar Se Nikal Aayaa Botal Bhi Uthaa Laaya
Abi Zindaa Huun To (Ji Lene Do) - 2
Bhari Barasaat Mein Pi Lene Do - 2

(Mujhe Tukadon Mein Nahin Jinaa Hai
Qataraa Qataraa To Nahin Pinaa Hai) - 2
Ho Aaj Paimaane Hataa Do Yaaron
Haan Saaraa Maikaanaa Pilaa Do Yaaron
Maikadon Mein To Piyaa Karataa Huun - 2
Chalati Raahon Mein To Pi Lene Do
Abi Zindaa Huun To

(Mere Dushman Hain Zamaane Ke Gam
Baad Pine Ke Ye Honge Kam) - 2
Ho Zulm Duniyaa Ke Na Sah Paayuunga
Bin Piye Aaj Na Rah Paayuunga
Mujhe Haalaat Se Takaraanaa Hai - 2
Aise Haalaat Mein Pi Lene Do
Abi Zindaa Huun To


Movie : Najayaz
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #41 on: November 07, 2009, 02:14:29 PM »
Usay hasna bhi hoga usay rona bhi hoga
Usay paana bhi hoga usay khona bhi hoga
Subah shaam tanhaai mein aahein bharega
Har dil jo pyaar karega
Har dil jo pyaar karega

Leke hasi hothon pe aankhon mein bharke paani
Sachchi mohabbat vo hai jo hanske dede qurbaani
Usay rukna bhi hoga usay chalna bhi hoga
Usay bujhna bhi hoga usay jalna bhi hoga
Peedh paraayi bhi vo chhupke sahega

Pedh ki har daali phool kahan koi khilta hai
Sab ko yahan manchaaha hay pyaar kahan milta hai
Tanhaai mein hogi shehnaai mein hogi
Kabhi apnon mein hogi kabhi mein hogi
Kaanton ki raahon mpe bhi hanske chalega
Har dil jo pyaar karega
Har dil jo pyaar karega

Har dil jo pyaar karega
Har dil jo pyaar karega ..



Movie:- Har dil jo pyaar karega
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #42 on: November 07, 2009, 02:19:52 PM »
Jaadu Hai Nasha Hai Madhoshiyan Hai
Tujhko Bhulake Aab Jaao Kahan
Jaadu Hai Nasha Hai Madhoshiyan Hai
Tujhko Bhulake Aab Jaao Kahan
Dekhti Hai Jis Tarah Se Teri Nazrein Mujhe
Main Khud Ko Chupaao Kahan
Jaadu Hai Nasha Hai Madhoshiyan Hai
Tujhko Bhulake Aab Jaao Kahan
Dekhti Hai Jis Tarah Se Teri Nazrein Mujhe
Main Khud Ko Chupaao Kahan
Jaadu Hai Nasha Hai Madhoshiyan Hai
Tujhko Bhulake Aab Jaao Kahan

Yeh Pal Hai Apna To Is Pal Ko Jee Le
Shwalo Ki Tarha Zarah Chal Ke Jee Le
Pal Jhapakte Kho Na Jana
Chuke Karlo Yakin Na Jane Yeh Pal Paaye Kahan
Jaadu Hai Nasha Hai Madhoshiyan Hai
Tujhko Bhulake Aab Jaao Kahan

Baahon Mein Teri Yun Kho Gaye Hai
Armaan Dabe Se Jagne Lage Hai
Jo Mile Ho Aaj Hum Ko Door Jana Nahin
Mitado Saari Yeh Duriyan
Jaadu Hai Nasha Hai Madhoshiyan Hai
Tujhko Bhulake Aab Jaao Kahan
Dekhti Hai Jis Tarah Se Teri Nazrein Mujhe
Main Khud Ko Chupaao Kahan


Movie :- Jism
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #43 on: November 07, 2009, 02:26:26 PM »
Dard mohabbat milan judaai is jeewan ki reet
Iska mol kare kya koi hai anmol ye preet
Tere ghar ke aangan mein main tulsi banke aayi
Tujhko mubarak tera saajan mujhko meri tanhaai
Judaai judaai
Hay kisi ye judaai
Judaai judaai
O rabba kaise ye judaai

Kar dua ki dil reh paaye
Kar dua ki dil reh paaye
Sajna tere bina
Sajna tere bina

Judaai judaai
Hay kisi ye judaai
Judaai judaai
O rabba kaise ye judaai
O sajna sajna sajna
Judaai judaai
Hay kisi ye judaai
Judaai judaai
O rabba kaise ye judaai
O sajna
Judaai judaai
Hay kisi ye judaai
Judaai judaai
O rabba kaise ye judaai
Sajna sajna
Judaai judaai
Hay kisi ye judaai
Judaai judaai
O rabba kaise ye judaai
Sajna sajna


Movie :- Judaai
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #44 on: November 07, 2009, 02:38:09 PM »
Main Kabhi Batlata Nahin
Par Andhere Se Darta Hoon Main Maa
Yun To Main,Dikhlata Nahin
Teri Parwaah Karta Hoon Main Maa
Tujhe Sab Hain Pata, Hain Na Maa
Tujhe Sab Hain Pata,,Meri Maa

Bheed Mein Yun Na Chodo Mujhe
Ghar Laut Ke Bhi Aa Naa Paoon Maa
Bhej Na Itna Door Mujkko Tu
Yaad Bhi Tujhko Aa Naa Paoon Maa
Kya Itna Bura Hoon Main Maa
Kya Itna Bura Meri Maa


Jab Bhi Kabhi Papa Mujhe
Jo Zor Se Jhoola Jhulate Hain Maa
Meri Nazar Dhoondhe Tujhe
Sochu Yahi Tu Aa Ke Thaamegi Maa

Unse Main Yeh Kehta Nahin
Par Main Seham Jaata Hoon Maa
Chehre Pe Aana Deta Nahin
Dil Hi Dil Mein Ghabraata Hoon Maa
Tujhe Sab Hai Pata Hai Naa Maa
Tujhe Sab Hai Pata Meri Maa

Main Kabhi Batlata Nahin
Par Andhere Se Darta Hoon Main Maa
Yun To Main,Dikhlata Nahin
Teri Parwaah Karta Hoon Main Maa
Tujhe Sab Hain Pata, Hain Na Maa
Tujhe Sab Hain Pata,,Meri Maa


Movie :- Tare Zami Per
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:17:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer