Touching heart all Songs..............Rishi

by Rishi Agarwal on October 11, 2009, 09:01:04 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10
Print
Author  (Read 10603 times)
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #90 on: January 01, 2010, 11:06:46 AM »
Thanks Rishi Ji
Your songs are also lovely

Thnx Sir
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #91 on: January 04, 2010, 06:03:23 AM »
tum ne kisii kii jaan ko jaate hue dekhaa hai
vo dekho mujhase ruuThakar, merii jaan jaa rahii hai

kyaa jaane kis qusuur kii, dii hai.n mujhe sazaae.n
diivaanaa kar rahii hai.n, taubaa shikan adaae.n
zulfo.n me.n mu.N chhupaakar, mujhako lubhaa rahii hai

ghabaraa rahii hai Kud bhii, bechain ho rahii hai
apane hii Kuun-e-dil me.n daaman Dubo rahii hai
bejaan rah gae ham, vo muskaraa rahii hai

mastii bharii havaao.n ab jaake rok lo tum
tumako merii qasam hai samajhaa ke rok lo tum
usakii judaaI dil par, nashtar chalaa rahii hai
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #92 on: February 07, 2010, 11:06:35 PM »
Very nice songs all most sab hi mere fav hai... Applause Applause Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #93 on: February 08, 2010, 05:52:30 AM »
Very nice songs all most sab hi mere fav hai... Applause Applause Applause Applause

Thnx Pari JI
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #94 on: February 08, 2010, 06:01:21 AM »
Mere humsafar mere humsafar mere paas aa mere paas aa
Mere humsafar mere humsafar
mere paas aa mere paas aa
Humein saath chalna hai umr bhar
mere paas aa mere paas aa
Humein saath chalna hai umr bhar
mere paas aa mere paas aa
Mere paas aa
Mere humsafar mere humsafar
mere paas aa mere paas aa

Hai safar ye hamara naya naya
Kisi pal andhera jo ho gaya
Hai safar ye hamara naya naya
Kisi pal andhera jo ho gaya
Kahin kho na jaayein ye reh guzar
Mere paas aa mere paas aa
Humein saath chalna hai umr bhar
mere paas aa mere paas aa
Mere paas aa
Mere humsafar mere humsafar
mere paas aa mere paas aa

Zara theharja mere humnawaa
Yahan agle mod pe hoga kya
Zara theharja mere humnawaa
Yahan agle mod pe hoga kya
Kise hai pata kise hai khabar
Mere paas aa mere paas aa
Humein saath chalna hai umr bhar
mere paas aa mere paas aa
Mere paas aa
Mere humsafar mere humsafar
mere paas aa mere paas aa


Jo gharon ko chhodke hain chale
Jo gharon ko chhodke hain chale
Unhein kya darayenge faasle
Jo gharon ko chhodke hain chale
Unhein kya darayenge faasle

Humein jaana hai dil ke nagar
Mere paas aa mere paas aa
Humein saath chalna hai umr bhar
mere paas aa mere paas aa
Mere paas aa
Mere humsafar mere humsafar
mere paas aa mere paas aa.



Movie :- Refugee
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #95 on: February 08, 2010, 06:02:07 AM »
Panchhi nadiyaan pazwan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Panchhi nadiyaan pazwan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhad insaanon ke liye hai
Socho tum aur maine kya paaya
Insaan hoke

Panchhi nadiyaan pazwan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhad insaanon ke liye hai
Socho tum aur maine kya paaya
Insaan hoke

Jo hum dono panchhi hote
Teirte hum is neele gagan mein
Pankh pasaare
Saari dharti apni hoti
Apne hote saare nazaare
Khuli fizaaon mein udte
Khuli fizaaon mein udte
Apne dilon mein hum saara pyaar samokhe

Panchhi nadiyaan pazwan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhad insaanon ke liye hai
Socho tum aur maine kya paaya
Insaan hoke

Jo main hoti nadiya aur tum pawan ke johke to kya hota
O jo main hoti nadiya aur tum pawan ke johke to kya hota
Pawan ke jhonke nadi ke tan ko jab chhoote hain
Pawan ke jhonke nadi ke tan ko jab chhoote hain
Lehrein hi lehrein banti hain
Hum dono jab milte kuchh aisa hota
Sab kehte ye leher leher jo bhi jaaye na koi toke

Panchhi nadiyaan pazwan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhad insaanon ke liye hai
Socho tum aur maine kya paaya
Insaan hoke

Panchhi nadiyaan pazwan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke


Movie :- Refugee
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #96 on: February 08, 2010, 06:03:28 AM »
Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai
Uski naram kirnon ki roshni mein tumko dekhta hoon to dil dhadak sa jaata hai
Dil dhadak sa jaata hai
Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai

Tum kahan se aayi ho kis nagar ko jaaogi
Tum kahan se aayi ho kis nagar ko jaaogi
Sochta hoon main hairaan
Chaand jaisa ye chehra
Raat jaisi ye zulfein
Hai jagayein sau armaan
Ek nasha sa aankhon mein dheere dheere chhaata hai

Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai
Uski naram kirnon ki roshni mein tumko dekhta hoon to dil dhadak sa jaata hai
Dil dhadak sa jaata hai

Meri is tanhaai mein mere is veerane mein
Meri is tanhaai mein mere is veerane mein
Rang leke tum aayi
Phir bhi sochta hoon main
Kya yahan tum sachmuch ho
Ya ho sirf parchhaai
Khwaab jaisa banta hai aur toot jaata hai

Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai
Uski naram kirnon ki roshni mein tumko dekhta hoon to dil dhadak sa jaata hai
Dil dhadak sa jaata hai
Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai





Movie :- Refugee
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #97 on: February 10, 2010, 12:09:51 AM »
Wonderfull songs...thxx for sharing
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #98 on: February 10, 2010, 12:30:33 AM »
Heraan hai hum huye kyun tum gairo se
kaisa hai ghum bolo naa tum honto se
naa tum ho bewafa naa main bhi hu
phir bhi hai hum juda main kya kahu
naa jaane waqt ki marzi hai kya
kyun hai mili ye dooriyaa
o meri jaan...o meri jaan...o meri jaan...o meri jaan

Tere bin jo din aaya
kaate naa wo katt paaya
kami teri khal see jaati hai
tere bin jo shaam aayi
badhi dil ki tanhaayi
meri aankhe bhar see jaati hai

Kuch tum mujhse khafa
kuch main bhi hu
hai kya iski wajah
main kya kahu
naa jaane waqt ki marzi hai kya
kyun hai mili ye dooriyaa
o meri jaan...o meri jaan...o meri jaan...o meri jaaaan

Tujhe dil se tha chaha
tu hi to naa mil paaya
khushi mujhko chhal see jaati hai
mera tu tha sarmaaya
tujhe paa ke naa paaya
yehi baate chubh see jaati hai

Tanha teri tarah haan main bhi hu
dono hai ghumzada main kya kahu
naa jaane waqt ki marzi hai kya
kyun hai mili ye dooriyaa
o meri jaan...o meri jaan...o meri jaan...o meri jaaaan.... tearyeyed tearyeyed

Movie: Tum mile
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #99 on: February 10, 2010, 08:06:34 AM »
Thnx Pari Ji And Nice Song Sharing Pari JI
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #100 on: February 10, 2010, 02:40:16 PM »
Ur welcome and thxxxx...
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #101 on: February 10, 2010, 02:46:37 PM »
Kabhi shaam dhale to mere dil mein aa jaana
Kabhi chaand khile to mere dil mein aa jaana) - 2
Magar aana is tarha tum ke yahan se phir na jaana
Kabhi shaam dhale to mere dil mein aa jaana
Kabhi chaand khile to mere dil mein aa jaana

Tu nahin hai magar phir bhi tu saath hai
Baat ho koi bhi teri hi baat hai
Tu hi mere andar hai, tu hi mere baahar hai
Jab se tujhko jaana hai, maine apna maana hai
Magar aana is tarha tum ke yahan se phir na jaana
(Kabhi shaam dhale to mere dil mein aa jaana
Kabhi chaand khile to mere dil mein aa jaana) - 2

Raat din ki meri dilkashi tumse hai
Zindagi ki kasam zindagi tumse hai
Tum hi meri aankhen ho sooni tanha raahon mein
Chaahe jitni doori ho, tum ho meri baahon mein
Magar aana is tarha tum ke yahan se phir na jaana
Kabhi shaam dhale, aah
Kabhi chaand khile, aah
Kabhi shaam dhale to mere dil mein aa jaana
Kabhi chaand khile to mere dil mein aa jaana



Movie :- Sur
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #102 on: February 10, 2010, 02:52:51 PM »
hum the jinake sahaare, wo huye naa humaare
doobee jab dil kee naiyyaa, saamane the kinaare

kyaa mohabbat ke waade, kyaa wafaa ke iraade
ret kee hain diwaare, jo bhee chaahe giraa de

hai sabhee kuchh jahaan me, dostee hain wafaa hain
apanee ye kamanaseebee, hum ko naa kuchh bhee milaa hain

yoo to duniyaan basegee, tanahaee fir bhee dasegee
jo jindagee mein kamee thee, wo kamee to rahegee


Movie:- Safar
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #103 on: February 10, 2010, 02:53:55 PM »
Karvatein Badalte Rahe Saari Raat Hum
Aap Ki Kasam ...

Gham Na Karo Din Judaai Ke Bahut Hain Kum
Aap Ki Kasam ...

Yaad Tum Aate Rahe Ek Hook Si Uthti Rahi
Neend Mujhse Neend Se Maein Bhaagti Chhupti Rahi
Raat Bhar Bairan Nigodi Chandni Chubhti Rahi
Aag Si Jalti Rahi Girti Rahi Shabnam
Aap Ki Kasam ...

Jheel Si Aankhon Mein Aashiq Doobke Kho Jayega
Zulf Ke Saaye Mein Dil Armaan Bhara So Jayega
Tum Chale Jaao Nahin To Kuchh Na Kuchh Ho Jayega
Dagmaga Jayenge Aise Haal Mein Kadam
Aap Ki Kasam ...

Rooth Jaayen Hum To Tum Humko Mana Lena Sanam
Door Hon To Paas Humko Tum Bula Lena Sanam
Kuchh Gila Ho To Gale Humko Laga Lena Sanam
Toot Na Jaye Kabhi Yeh Pyar Ki Kasam
Aap Ki Kasam ..




Movie :- Aap Ki Kasam
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #104 on: February 10, 2010, 02:56:01 PM »
Teri panaah mein hamein rakhana seekhen ham nek raah par chalana
kapat karam chori beeemaani aur hinsa se hamako bachaana
nirmal gangaajal hi banaana apani nigaah mein hamein rakhana
teri panaah mein ...

xamaavaan koi tujhasa nahi aur mujhasa nahi koi aparaadhi
puny ki nagari mein bhi maine paapon ki gathari hi baandhi ho ho ho
karuna ki chhaanv mein hamein rakhana
teri panaah mein ...

mila ujaala lekin kaali raat na ab tak peechha chhode
mujhase do kadam aage mera pichhala karam sada kyon daude
kaarij gunaah se hamein rakhana
teri panaah mein ...

koi na jaane kal tu kahaan par kaise aur kis roop mein aaye
ham in neki ke bandon mein tere hi prabhu darshan paaven
charanon ki chaah mein hamein rakhana
teri panaah mein ...



Movie :- Panaah
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:06:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer