Lovely-Prince
Guest
|
Tumhein dillagi bhool jani pare gi, Mohabbat ki raahon mein aa kar to dekho,
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge, Kabhi dil kisi se laga kar to dekho,
Honthon ke paas aye hansi, kya majaal hai Dil ka maamla hai, koi dillagi nahin, Zakhm pe zakhma kha ke jee, apne lahoo ke ghoont pee, Aah na kar labon ko see, ishq hai dillagi nahin, Dil laga kar pata chale ga, tumhein, Aashiqui dillagi nahin hoti, Kuch khel nahin ishq ki laag, Paani na samajh yeh aag hai aag, Khoon rulaye gi yeh lagi dil ki, Khel samjho na dillagi dil ki, Yeh ishq nahin asaan, bas itna samajh li jiye, Ek aag ka daryaa hai aur doob ke jana hai, Wafaon ki humse tawaqqo nahin hai, Mager ek baar azmaa kar to dekho, Zamane ko apna bana kar to dekha, Humein bhi tum apna bana kar to dekho,
Rukh se naqaab utha ke bari der ho gayi, Mahol ko tilawat-e-Quran kiye hue, Hum na samjhe teri nazron ka taqaza kya hai, Kabhi pardah kabhi jalwa, yeh tamasha kya hai, Khudah ke liye chor do ab yeh parda, Ke hain aaj hum tum nahin ghair koi, Shab-e-wasl bhi hai hijaab is qadr kyun, Zara rukh se aanchal utha kar to dekho, Jafayein bahut ki, bahut zulm dhaye, Kabhi ek nigaah-e-qaram is taraf bhi, Hameshaa hue dekh kar mujhko barham, Kisi din zara muskura kar to dekho, Jo ulfat mein har ek sitam hai ganwaara,
Yeh sab kuch hai paas-e-wafa tumse warna, Satate ho din raat jis tarha mujhko, Kisi ghair ko yun sata kar to dekho, Ager jey kisi baat par woh khafa hain, To acha yehi hai tum apni si karlo, Woh maanein na maanein yeh marzi hai unki, Mager unko purnam mana kar to dekho,
Tumhein dillagi bhool jani pare gi, Mohabbat ki raahon mein aa kar to dekho, Tarapne pe mere na phir tum hanso ge,
Kabhi dil kisi se laga kar to dekho,
|