~~~~**Wat song R U listenin to Right Now!!!!**~~~~~

by Aarzuu on June 09, 2005, 08:09:42 AM
Pages: 1 ... 80 81 82 83 [84] 85 86 87 88 ... 112
Print
Author  (Read 50076 times)
syednaami
Guest
«Reply #1245 on: May 15, 2008, 05:54:04 PM »
Main chala main chala
Is gali uss gali
Is dagar uss dagar
Is taraf uss taraf
Saath mere chale zindagi ka safar

Main chala main chala
Is gali uss gali
Is dagar uss dagar
Is taraf uss taraf
Saath mere chale zindagi ka safar
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1246 on: May 15, 2008, 09:13:59 PM »
Manzilo Pe Aa Ke Lootate Hai Dilon Ke Caaravaan
Kashtiya Saahil Pe Aksar Doobati Hai Pyaar Ki

Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah (2)
Jab Kadam Hi Saath Naa De To Musaafir Kyaa Kare
Yoon To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Meraa (2)
Badh Ke Koyi Haath Naa De Dil Bhalaa Fir Kyaa Kare
Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah

Doobne Waale Ko Tinke Kaa Sahaaraa Hi Bahot
Dil Bahal Jaaye Fakat Itnaa Ishaaraa Hi Bahot
Itne Par Bhi Aasmaan Waalaa Giraa De Bijaliyaan
Koi Batlaa De Zaraa Yeh Doobtaa Fir Kyaa Kare
Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah

Pyaar Karnaa Jurm Hai To Jurm Hum Se Ho Gayaa
Kaabil-E-Maafi Huaa Karte Nahin Aise Gunaah
Sangdil Hai Yeh Jahaan Aur Sangdil Meraa Sanam
Kyaa Kare Josh-E-Junoon Aur Hauslaa Fir Kyaa Kare
Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah
Jab Kadam Hi Saath Naa De To Musaafir Kyaa Kare
Yoon To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Meraa
Badh Ke Koyi Haath Naa De Dil Bhalaa Fir Kyaa Kare
Logged
syednaami
Guest
«Reply #1247 on: May 15, 2008, 11:01:05 PM »
In lamhon ke daaman mein
Pakiza se riste hain
Koi kalma mohabat ka
Dohrate farishte hain

Khamosh si hai zameeen hairaan sa falak hai
Ek noor hi noor sa abb aasmaan talak hai
Nagmein hi nagmein hai jagti soti fizaon mein
Husn hai sari adaon mein
Ishq hai jaise hawaon mein

Kaise yeh ishq hai
Kaisa yeh khwaab hai
Kaise jazbaat ka Umda sailab hai

Kaise yeh ishq hai
Kaisa yeh khwaab hai
Kaise jazbaat ka Umda sailab hai

Din badle raatein badli
Jeene ke andaaz hi badle hain
Logged
natural
Guest
«Reply #1248 on: May 17, 2008, 03:01:05 PM »
noorie, Noorie

aaja Re, O Dilbar Jaaniya
(Aaja Re, Aaja Re O Mere Dilbar Aaja
dil Ki Pyaas Bujha Jaa Re) - 2

aaja Re, Aaja Re O Mere Dilbar Aaja
dil Ki Pyaas Bujha Jaa Re

o, Aaja Re

o, Noorie, Noorie

(Ujalaa Ujalaa Narm Saveraa
rooh Mein Meri Jhaanke) - 2
pyaar Se Poochhe Kaun Basaa Hai
tere Dil Mein Aake
aaja Re, Aaja Re O Mere Dilbar Aaja
tu Hi Aake Bataa Jaa Re

aaja Re, Aaja Re O Mere Dilbar Aaja
dil Ki Pyaas Bujha Jaa Re
o, Aaja Re


o, Noorie, Noorie

(Dard Jagaaye Meetha Meetha
armaan Jaage Jaage) - 2
pyaar Ki Pyaasi Main Deewani
kuch Naa Sochoon Aage
aaja Re, Aaja Re O Mere Dilbar Aaja
phir Se Aas Bandha Jaa Re

aaja Re, Aaja Re O Mere Dilbar Aaja
dil Ki Pyaas Bujha Jaa Re

o, Aaja Re

o, Noorie, Noorie
Logged
natural
Guest
«Reply #1249 on: May 17, 2008, 03:02:52 PM »
Chhookar Mere Man Ko, kiya Tuney Kya Ishara
Badla Yeh Mausam, Lagey Pyaara Jag Saara

Chhookar Mere Man Ko, kiya Tuney Kya Ishara

Tu Jo Kahe Jeevan Bhar, Tere Liye Main Gaaoon
Geet Tere Bolon Pe, Likhta Chala Jaaoon

Mere Geeton Mein, Tujhe Dhoonde Jag Saara
Chhookar Mere Man Ko, Kiya Tuney Kya Ishara

Aaja Tera Aanchal Yeh, Pyaar Se Main Bhar Doon
Khushiyan Jahan Bhar Ki, Tujhpe Nazar Kar Doon

Tu Hi Mera Jeevan, Tu Hi Jeene Ka Sahara
Chhookar Mere Man Ko, Kiya Tuney Kya Ishara..!!

Logged
syednaami
Guest
«Reply #1250 on: May 17, 2008, 03:22:51 PM »
tu jo nahi hain toh kuchh bhi nahi hain
yeh maana ki mehfil jawaan hain haseen hain
tu jo nahi hain toh kuchh bhi nahi hain
yeh maana ki mehfil jawaan hain haseen hain
tu jo nahi hain toh kuchh bhi nahi hain

samajh mein na aaye yeh kya maajara hain
tujhe paake dil mein yeh khaalisa kya hain
samajh mein na aaye yeh kya maajara hain
tujhe paake dil mein yeh khaalisa kya hain
yeh khaalisa kya hain
kyun har waqt dil mein Huh? kali hain
kyun har waqt seene mein rehti kami hain
tu jo nahi hain toh kuchh bhi nahi hain
yeh maana ki mehfil jawaan hain haseen hain
tu jo nahi hain toh kuchh bhi nahi hain
Logged
punam
Guest
«Reply #1251 on: May 17, 2008, 03:26:17 PM »
Dheere Dheere Se Meri Zindagi Mein Aana
Dheere Dheere Se Mere Dil Ko Churaana
Tum Se Pyaar Humein Kitna Hai Jaane Jaana
Tumse Milkar Tumko Hai Bataana

Dheere Dheere Se Meri Zindagi Mein Aana
Dheere Dheere Se Mere Dil Ko Churaana
Tum Se Pyaar Humein Kitna Hai Jaane Jaana
Tumse Milkar Tumko Hai Bataana

Jabse Tujhko Dekha Dil Ko Koi Aaraam Nahin
Mere Hothon Pe Ek Tere Siva Koi Naam Nahin
Apna Bhi Haal Tumhare Jaisa Hai Saajan
Bas Yaad Tujhe Karti Hoon Aur Koi Kaam Nahin
Ban Gaya Hoon Main Tera Deewana
Dheere Dheere Se Dil Ko Churaana

Dheere Dheere Se Meri Zindagi Mein Aana
Dheere Dheere Se Mere Dil Ko Churaana...

 
Logged
syednaami
Guest
«Reply #1252 on: May 17, 2008, 03:31:46 PM »
main teri mohabbat mein paagal ho jaaunga
mujhe aisa lagta hai tujhe kaisa lagta hai
ho o o main teri nigaahon se ghaayal ho jaaungi
mujhe aisa lagta hai tujhe kaisa lagta hai

kuchh din se main toota toota rahata hoon
apane dil se se rootha rootha rahata hoon
kuchh din se main khoyi khoyi rahati hoon
kuchh din se main toota toota rahata hoon
jaagu bhi to soyi soyi rahati hoon
deewani aaj nahi to kal ho jaaungi
main teri nigaahon se ...

ji chaahe teri aankhon mein kho jaaun
aaj abhi is waqt main teri ho jaaun
kab tak aakhir ham milne ko tarsenge
kab saavan aayega kab baadal barsenge
tu mast pavan ban jaa main baadal ban jaaunga
main teri mohabbat mein ...

tujh bin lab par koi naam nahi aata
dil ko tadpe bina aaraam nahi aata
donon taraf lagi hai aag baraabar ye
rakh degi bas hamko raakh banaakar ye
tu bhi jal jaayegi main bhi jal jaaunga
main teri mohabbat mein ...
Logged
punam
Guest
«Reply #1253 on: May 17, 2008, 03:41:46 PM »
Listening to ....

Kehta hai pal pal tumse
Hoke dil ye deewana
Ik pal bhi jaanejaana
Mujhse door nahi jaana
Pyar kiya to nibhana...

From- major Sahab
Logged
syednaami
Guest
«Reply #1254 on: May 17, 2008, 04:05:30 PM »
Is Pyaar se meri taraf na dekho, pyaar hojayega
yeh pyaar ho gaya tho teer dil ke paar ho jayega
pyaar hojayega

Do char aise mulakatein hogi
saare zamane mei baatein hongi
baatein hongi
ke naam badnaam tera mera yaar hojayega
pyaar hojayega

Is Pyaar se meri taraf na dekho, pyaar hojayega
yeh pyaar ho gaya tho teer dil ke paar ho jayega
pyaar hojayega
Logged
punam
Guest
«Reply #1255 on: May 17, 2008, 04:16:14 PM »
Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil

Kehta hai dil rasta mushkil
Maaloom nahin hai kahan manzil

Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil

Kehta hai dil rasta mushkil
Maaloom nahin hai kahan manzil

Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil....

Logged
syednaami
Guest
«Reply #1256 on: May 17, 2008, 04:23:13 PM »
shaayaraanaa see hai, jindagee kee fajaa
aap bhee jindagee kaa majaa lijiye
mai gajal ban gayee aap ke saamane
shauk se ab muze gunagunaa lijiye

aap sun to rahe hai, mere dil kee lay
is mein benaam see yek udaasee bhee hain
is udaasee mein nagmaa koee chhed kar
yek bechain dil kee duwaan lijiye

aap ke pyaar kaa jo bhee mewaar hain
isase kab jaana-ye-jaa muz ko inkaar hain
jis tarah aap chaahe, najar aaoo main
muz ko har rang mein aajamaa lijeeye
Logged
punam
Guest
«Reply #1257 on: May 17, 2008, 04:26:53 PM »
Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayenge
Phool Hi Phool Raahon Mein Khil Jayenge
Maine Socha Na Tha
Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayenge
Phool Hi Phool Raahon Mein Khil Jayenge
Maine Socha Na Tha

Ek Din Zindagi Itni Hogi Haseen
Jhoomega Aasmaan Gaayegi Ye Zameen
Ek Din Zindagi Itni Hogi Haseen
Jhoomega Aasmaan Gaayegi Ye Zameen
Maine Socha Na Tha

Dil Ki Daali Pe Kaliyaan Si Khilne Lagin
Jab Nigaahein Nigaahon Se Milne Lagin
Dil Ki Daali Pe Kaliyaan Si Khilne Lagin
Jab Nigaahein Nigaahon Se Milne Lagin
Ek Din Is Tarah Hosh Kho Jayenge
Paas Aaye To Madhosh Ho Jayenge
Maine Socha Na Tha

Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayenge
Phool Hi Phool Raahon Mein Khil Jayenge
Maine Socha Na Tha....
Logged
syednaami
Guest
«Reply #1258 on: May 17, 2008, 06:38:43 PM »
Ho.. Ho..
Ho Tum Saath Ho Jab Apne Duniya Ko Dikha Denge
Hum Maut Ko Jee Lenge Andaaz Sikha Denge
Tum Saath Ho Jab Apne Duniya Ko Dikha Denge
Hum Maut Ko Jee Lenge Andaaz Sikha Denge
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1259 on: May 21, 2008, 09:48:08 PM »
tuze kyaa sunaaoo main dilarubaa, tere saamane meraa haal hain
teree yek nigaah kee baat hai, meree jindagee kaa sawaal hain

meree har khushee tere dam se hai, meree jindagee tere gam se hain
tere dard se rahe bekhabar, mere dil kee kab ye majaal hain

tere husn par hain meree najar, muze subah shaam kee kyaa khabar
meree shaam hain teree justajoo, meree subah teraa khayaal hain

mere dil jigar mein samaa bhee jaa, rahe kyo najar kaa bhee faasalaa
ke tere bagair to jaana-ye-jaan, muze jindagee bhee muhaal hai
Logged
Pages: 1 ... 80 81 82 83 [84] 85 86 87 88 ... 112
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:24:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.184 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer