~~~~**Wat song R U listenin to Right Now!!!!**~~~~~

by Aarzuu on June 09, 2005, 08:09:42 AM
Pages: 1 ... 81 82 83 84 [85] 86 87 88 89 ... 112
Print
Author  (Read 50074 times)
honeyrose
Guest
«Reply #1260 on: May 27, 2008, 01:45:43 PM »
Zara Si dil mein de jagah tu
zara sa apna le bana
Zara sa khawbon mein saja tu
Zara sa yaadhon mein basa
 
Mein chahun tujhko
Meri jaan bepaanah
Fida hoon tujhpe
Meri jaan bepaanaha
 
wooow O oo O O
 
Zara Si dil mein de jagah tu
zara sa apna le bana
Zara sa khawbon mein saja tu
Zara sa yaadhon mein basa
 
Mein tere mein tere
Kadmon mein rakh du yeh jahan
Mera ishq deewangi
Hai nahi hai nahi
Ashiq koi mujhsa tera
 
 
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #1261 on: May 27, 2008, 01:54:58 PM »
Mummy oo mummy tum kab saans banogi...
Mummy oo mummy tum kab saans banogi....  Laughing hard
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1262 on: May 27, 2008, 06:42:38 PM »
maana teri nazar mein tera pyaar ham nahi
kaise kahein ke tere
Kaise kahein ke tere talabagaar ham nahi

tan ko jalake raakh banaya, bichha diyaa
lo ab tumhaarii raah mein deewar ham nahi

seenchaa thaa jisako hamane tamanna ke khoon se
chaman mein us bahaar ke haqadaar ham nahi

dhokha diyaa hai khud ko mohabbat ke naam par
ye kis tarah kahein ke gunehagaar ham nahin
Logged
Talat
Guest
«Reply #1263 on: May 30, 2008, 05:02:53 PM »

Boojh mera kya naam re
Nadi kinaare gaon re
Peepal jhoome more aangna
Thandi thandi chhaon re

(Log kahe main bawri
Mere uljhe uljhe baal) -2
(Mera kala kala til hai
Mere gore gore gaal) -2

Main chali kit chali
Jhoome saara gaon re
Boojh mera kya naam re
Nadi kinaare gaon re
Peepal jhoome more aangna
Thandi thandi chhaon re

(Aaj sambhal ke dekhna
Babuji hamri aur) -2
(Kahin dil se lipat na jaye
Lambi zulphon ki dor) -2
Main chali mann chali
Sabka mann lalchaun re
Boojh mera kya naam re
Nadi kinaare gaon re
Peepal jhoome more aangna
Thandi thandi chhaon re

(Dil walon ke beech ki
Meri Akhiyan hain badnaam) -2
(Hoon ek paheli phir bhi
Koi bhooje mer naam) -2

Yeh chali yah chali
Bhooje to kit jaun re
Boojh mera kya naam re
Nadi kinaare gaon re
Peepal jhoome more aangna
Thandi thandi chhaon re

Boojh mera kya naam re
Nadi kinaare gaon re
Peepal jhoome more aangna
Thandi thandi chhaon re
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1264 on: May 30, 2008, 05:10:56 PM »
Ladki badi anjaani hai
Sapna hai sach hai kahaani hai
Dekho ye pagli bilkul na badli
Ye to vohi deewani hai
Ladka bada anjaana hai
Sapna hai sach hai fasana hai
Hay hay ye pagla bilkul na badla
Ye to vohi deewana hai

Paas rehke bhi thi doori
Jaane kaise thi majboori
Vaqt vo bhi ajeeb tha
Jab tu mere kareeb tha
Kho gayi tu ye kis jahaan mein
Main wahaan hoon dekh to zara

Ladka bada anjaana hai
Sapna hai sach hai fasana hai
Dekho ye pagli bilkul na badli
Ye to vohi deewani hai

Hum bheed mein bhi thi tanhai
Yaad har pal teri aayi
Roke koi mujhe zara
Bhar na aaye ye dil mera
Behke behke mere kadam hain
Aise mein tu sambhaal to zara

Ladki badi anjaani hai
Sapna hai sach hai kahaani hai
Haan haan ye pagla bilkul na badla
Ye to vohi deewana hai

Tumne na jaane kya sapne dikhaaye
Jaage na sota hai
Kuchh kuchh hota hai
Kuchh kuchh hota hai
Kuchh kuchh hota hai
Kuchh kuchh hota hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #1265 on: May 30, 2008, 05:14:13 PM »
Tum Agar Saath Dene Ka Vada Karo
Maein Yunhi Mast Nagme Lutata Rahoon
Tum Mujhe Dekh Kar Muskurati Raho
Maein Tumhe Dekh Kar Geet Gaata Rahoon

Kitne Jalwe Fizaaon Maein Bikhare Magar
Maine Ab Tak Kisi Ko Pukara Nahin
Tumko Dekha To Nazrein Yeh Kehne Lagin
Humko Chehre Se Hatna Gavara Nahin
Tum Agar Meri Nazron Ke Aage Raho,
Maein Har Ek Shaiy Se Nazrein Churata Rahoon
Tum Agar Saath Dene Ka Vada Karo......

Maine Khwabon Mein Barson Tarasha Jise
Tum Vahi Sang-E-Marmar Ki Tasveer Ho
Tum Na Samjho Tumhara Muqadar Hoon Maein
Maein Samajhta Hoon Tum Meri Taqdeer Ho
Tum Agar Mujhko Apna Samajhne Lago
Mein Bahaaron Ki Mehfil Sajata Rahoon,
Tum Agar Saath Dene Ka Vada Karo......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1266 on: May 30, 2008, 05:17:51 PM »
lagee aaj saawan kee, fir wo zadee hain
wahee aag seene mein, fir jal padee hain

kuchh ayese hee din the, wo jab hum mile the
chaman mein nahee, fool dil mein khile the
wahee to hain mausam  magar rut naheen wo
mere saath barasaat bhee ro padee hai

koee kaash dil pe, jaraa haath rakh de
mere dil ke tukadon ko, yek saath rakh de
magar ye hain khwaabon khayaalon kee baate
kabhee toot kar cheej koee judee hain

Logged
Talat
Guest
«Reply #1267 on: May 31, 2008, 09:20:04 AM »
ya ali reham ali
ya ali yaar pe qurbaan hai sabhi
ya ali madad ali
ya ali yeh meri jaan yeh meri zindagi
ishq pe mita doon luta doon
main apani khudi
yaar pe haan luta doon mita doon
main yeh hasti
ya ali reham ali
ya ali yaar pe qurbaan hai sabhi
ya ali madad ali
ya ali yeh meri jaan yeh meri zindagi

mujhe kuchh pal de purvat ke
faki hampe chahat ke
rahe bechain dil kab tak
milen kuchh pal toh raahat ke
chahat pe ishq pe haa mita doon luta doon
main apani khudi
yaar pe ha luta doon mita doon
main yeh hasti
ya ali reham ali
ya ali yaar pe qurbaan hai sabhi
ya ali madad ali
ya ali yeh meri jaan yeh meri zindagi

bina tere na ek pal ho na bin tere kabhi kal ho
yeh dil ban jaaye pathhar ka na ismein koi hulchul ho
sanam pe ha ishq pe ha mita doon luta doon
main apani khudi
kasam se ha luta doon mita doon
main yeh hastii
ya ali reham ali
ya ali yaar pe qurbaan hai sabhi
ya ali madad ali
ya ali yeh meri jaan yeh meri zindagi
Logged
Talat
Guest
«Reply #1268 on: June 02, 2008, 09:35:14 PM »
Jaane Kahaa Gaye Wo Din
Kahate The Teree Raah Me
Najaron Ko Bichhayenge
Chaahe Kahee Bhee Tum Raho,
Chaahenge Tum Ko Umarbhar
Tum Ko Naa Bhool Paayenge

Mere Kadam Jahaa Pade,
Sajade Kiye The Yaar Ne
Muz Ko Rulaa Rulaa Diyaa

Jaatee Huyee Bahaar Ne
Apanee Najar Mein Aaj Kal
Din Bhee Andheree Raat Hai
Saayaa Hee Apane Saath Thaa,
Saayaa Hee Apane Saath Hai
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #1269 on: June 02, 2008, 09:38:12 PM »
Movie: Jannat

zara si dil mein de jagaah tu…
zara sa apna le banaa…
zara sa khaabon mein sajaa tu…
zara sa yaadon mein basaa…
main chaahun tujhko meri jaan bepanaah
fidaa hoon tujhpe meri jaan bepanaah

wo-o-o … o-o-o…..

zara si dil mein de jagaah tu…
zara sa apna le banaa…
zara sa khaabon mein sajaa tu…
zara sa yaadon mein basaa…

main tere, main tere
kadmon mein rakh dun yeh jahaan
mera ishq dewaangi…

hai nahi, hai nahi
aashiq koi mujhsa tera
tu mere liye bandagi
main chaahun tujhko meri jaan bepanaah
fidaa hoon tujhpe meri jaan bepanaah

wo-o-o … o-o-o…..

zara si dil mein de jagaah tu…
zara sa apna le banaa…
zara sa khaabon mein sajaa tu…
zara sa yaadon mein basaa…

kehe bhi de, kehe bhi de
dil mein tere jo hai chhupaa
khwaahish hai jo teri

rakh nahi, rakh nahi
parda koi mujhse eh jaan
karle tu mera yakeen
main chaahun tujhko meri jaan bepanaah
fidaa hoon tujhpe meri jaan bepanaah

wo-ho… o-o-o-o…

wo-o-o … o-o-o….. Winking
Logged
Talat
Guest
«Reply #1270 on: June 02, 2008, 09:41:51 PM »
Hindi Song Title: Dost dost na raha
Hindi Movie/Album Name: SANGAM
Singer(s): MUKESH


Hindi Lyrics:

Dost dost na raha, pyaar pyaar naa raha
Zindagi hamein tera, aitbaar na raha,  aitbaar na raha

Amaanatein main pyaar ki, gaya tha jisko saunp kar
Woh mere dost tum hi the, tumhi to the
Jo zindagi ki raah me bane the mere hamsafar
Woh mere dost tum hi the, tumhi to the
Saare bhed khul gaye, raazdaar na raha
Zindagi hamein tera, aitbaar na raha, aitbaar na raha
Dost dost na raha...

Safar ke waqt mein palak pe motiyo ko taulti
Woh tum na thi to kaun tha tumhi to thi
Nashe ki raat dhhal gayi ab khumaar na raha
Zindagi hamein tera, aitbaar na raha, aitbaar na raha
Dost dost na raha...
Logged
Talat
Guest
«Reply #1271 on: June 02, 2008, 09:47:54 PM »
Song By LATA MANGESHKAR
Awaara

(Ek bewafa se pyaar kiya
Usse nazar ko chaar kiya
Haai re humne yeh kya kiya, haai kya kiya) - 2
(Bholi surat waala nikla lutera
Raat chhupaaye dil mein munh pe savera) - 2
Oye humne dil nisaar kiya
Usko beqaraar kiya
Haai re humne yeh kya kiya, haai kya kiya
Ek bewafa se pyaar kiya
Usse nazar ko chaar kiya
Haai re humne yeh kya kiya, haai kya kiya
(De gayi dhoka hamein neeli neeli aankhen
Neeli neeli aankhen) - 2
Sooni hai dil ki mehfil, bheegi bheegi aankhen
O bheegi bheegi aankhen
Oye humne aitbaar kiya
Ulfat ka ikraar kiya
Haai re humne yeh kya kiya, haai kya kiya
Ek bewafa se pyaar kiya
Usse nazar ko chaar kiya
Haai re humne yeh kya kiya, haai kya kiya

Logged
Talat
Guest
«Reply #1272 on: June 02, 2008, 09:58:58 PM »
Mukesh in Yahudi

Dil Se Tujhko Bedili Hai
Mujhko Hai Dil Ka Guroor
Tu Yeh Maane Ya Na Maane
Log Maanenge Zaroor

Yeh Mera Deewanapan Hai
Ya Mohabbat Ka Suroor
Tu Na Pehchaane To Hai Yeh
Teri Nazron Ka Kusoor
Yeh Mera Deewanapan ...

Dil Ko Teri Hi Tamanna
Dil Ko Hai Tujhse Hi Pyar
Chaahe Tu Aaye Na Aaye
Hum Karenge Intezaar
Yeh Mera Deewanapan...

Aise Veerane Mein Ek Din
Ghut Ke Mar Jayenge Hum
Jitna Ji Chaahe Pukaro
Phir Nahin Aayenge Hum
Yeh Mera Deewanapan...
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #1273 on: June 02, 2008, 10:02:04 PM »
Movie: Yahudi
Singer: Mukesh

Dil Se Tujhko Bedili Hai
Mujhko Hai Dil Ka Guroor
Tu Yeh Maane Ya Na Maane
Log Maanenge Zaroor

Yeh Mera Deewanapan Hai
Ya Mohabbat Ka Suroor
Tu Na Pehchaane To Hai Yeh
Teri Nazron Ka Kusoor
Yeh Mera Deewanapan ...

Dil Ko Teri Hi Tamanna
Dil Ko Hai Tujhse Hi Pyar
Chaahe Tu Aaye Na Aaye
Hum Karenge Intezaar
Yeh Mera Deewanapan...

Aise Veerane Mein Ek Din
Ghut Ke Mar Jayenge Hum
Jitna Ji Chaahe Pukaro
Phir Nahin Aayenge Hum
Yeh Mera Deewanapan... tongue3
Logged
Talat
Guest
«Reply #1274 on: June 02, 2008, 10:03:43 PM »
Copy cat !!
Logged
Pages: 1 ... 81 82 83 84 [85] 86 87 88 89 ... 112
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 05:45:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.289 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer