~~~~**Wat song R U listenin to Right Now!!!!**~~~~~

by Aarzuu on June 09, 2005, 08:09:42 AM
Pages: 1 ... 94 95 96 97 [98] 99 100 101 102 ... 112
Print
Author  (Read 49932 times)
Pooja
Guest
«Reply #1455 on: December 09, 2008, 06:45:46 PM »
ruke ruke se kadam ruk ke baar baar chale (2)
qarar leke tere dar se beqarar chale
ruke ruke se kadam ruk ke baar baar chale
ruke ruke se kadam

subah na ayI kai baar neend se jaage (2)
ki ek raat kI ye zindagI guzaar chale (2)
ruke ruke se kadam

uthaye phir de ke ehasan dil ka sine par (2)
le tere kadamon pe ye karz bhI utaar chale (2)
qarar leke tere dar se beqarar chale
ruke ruke se kadam ruk ke baar baar chale
ruke ruke se kadam
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #1456 on: December 09, 2008, 07:13:04 PM »
RONEY KA AALAM AAISA THA
HUM JHOOM KEY SAWAN TAK PAHUCHEY
DOH CHAAR HI AASOOO AISEY THEY
JOH AAP KEY DAMAN TAK PAHUCHEY


RONEY KA ALAM TOH AISA THA
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1457 on: December 09, 2008, 07:49:10 PM »
Rona, Kabhi Nahin Rona
Chaahe Toot Jaaye, Koi Khilona, Khilona
Sona, Chupke Se Sona
Chaahe Toot Jaaye, Sapna Salona, Salona

Dukh Sukh Ki Kya Baat Hai, Kya Din Hai Kya Raat Hai
Aansoo Bhi Muskaan Bane, Yeh To Apne Haath Hai
Aashaaon Ki Dori Mein Sadaa, Tum Man Ke Phool Pirona
Rona, Kabhi Nahin Rona
Chaahe Toot Jaaye, Koi Khilona, Khilona

Dekho Bachchon Baagh Mein, Sab Kaliyaan Nahin Khiltin
Duniya Mein Insaan Ko, Sab Cheezein Nahin Miltin
Jo Apna Nahin, Tum Uske Liye, Jo Apna Hai Nahin Khona
Rona, Kabhi Nahin Rona
Chaahe Toot Jaaye, Koi Khilona, Khilona

Rang Se Aur Na Dhaam Se, Zaat Se Aur Na Naam Se
Izzat Milti Hai Yahan, Dekho Achche Kaam Se
Koi Kaam Bura, Tum Mat Karna, Badnaam Kabhi Nahin Hona
Rona, Kabhi Nahin Rona
Chaahe Toot Jaaye, Koi Khilona, Khilona
Sona, Chupke Se Sona
Chaahe Toot Jaaye, Sapna Salona, Salona
Rona, (Chacha Nahin Rona)
Chaahe Toot Jaaye, (Koi Khilona), Khilona
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1458 on: December 09, 2008, 08:15:18 PM »
ye bataa de muze jindagee
pyaar kee raah ke humasafar, kis tarah ban gaye ajanabee
ye bataa de muze jindagee
fool kyo saare murazaa gaye, kis liye buz gayee roshanee

kal jo baahon mein thee, aaur nigaahon mein thee
ab wo gamree kahaa kho gayee
naa wo andaaj hai, naa wo aawaaj hai
ab wo namree kahaa kho gayee

bewafaa tum nahee, bewafaa hum nahee
fir wo jajabaat kyo so gaye
pyaar tum ko bhee hai, pyaar hum ko bhee hai
faasale fir ye kyo ho gaye
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #1459 on: December 10, 2008, 11:39:40 AM »
Ek Ladki Chahiye Khaas Khaas
Par Ho Woh M.A Paas Paas
Laakhon Mein Ek Haseena Ho
Har Waqt Rahe Mere Aas Paas
Uska Standard Bhi High Chahiye
Mujhko Aisi Hi Fi Ek Lugayi Chahiye
Mujhko Aisi Hi Fi Ek Lugayi Chahiye
Ek Ladka Chahiye Khaas Khaas
Ho L.L.B.A Paas Paas
Laakhon Mein Ek Deewana Ho
Har Waqt Rahe Mere Aas Paas
Uska Standard Bhi High Chahiye
Mujhko Aisa Hi Fi Jandmahi Chahiye
Mujhko Aisa Hi Fi Jandmahi Chahiye

Gol Gol Chehra Ho Aankhen Bilauri
Allahmiya Bhej Koyi Roop Ki Tijori
Gol Gol Chehra Ho Aankhen Bilauri
Allahmiya Bhej Koyi Roop Ki Tijori
Ho Mere Rabba Karishma Dikha De
Kisi Dilwale Se Kundli Mila De
Uska Standard Bhi High Chahiye
Mujhko Aisa Hi Fi Jandmahi Chahiye
Mujhko Aisa Hi Fi Jandmahi Chahiye

Dil Mera Kehta Hain Ladka Ho Aisa
Saare Shaher Mein Na Ho Koi Waisa
Hai Sone Ka Bangla Ho Chaandi Ki Gaadi
Lakh Sawa Lakh Ki Usne Baandhi Ho Saadi
Rab Di Kasam Nahin Chodunga Mauka
Jaane Na Doonga Mile Ek Baari
Uska Standard Bhi High Chahiye
Mujhko Aisi Hi Fi Ek Lugayi Chahiye
Mujhko Aisi Hi Fi Ek Lugayi Chahiye
Ek Ladka Chahiye Khaas Khaas
Ho L.L.B.A Paas Paas
Laakhon Mein Ek Deewana Ho
Har Waqt Rahe Mere Aas Paas
Uska Standard Bhi High Chahiye
Mujhko Aisa Hi Fi Jandmahi Chahiye
Mujhko Aisa Hi Fi Jandmahi Chahiye
Hi Fi Ek Lugayi Chahiye
Logged
Sammual
Guest
«Reply #1460 on: December 26, 2008, 08:00:57 AM »
Movie: Rab Ne Bana Di Jodi
Song : Tujh Main Rab Dikhta Hai




Tu Hi To Jannat Meri, Tu Hi Mera Junnon
Tu Hi To Mannat Meri, Tu Hi Rooh Ka Sukun
Tu Hi Ankhiyon Ki Thandak, Tu Hi Dil Ki Hai Dastak
Aur Kuch Na Janu Mein, Bas Itna Hi Jaanu..
Tujh Mein Rab Dikhta Hai, Yaara Mein Kya Karu
Sajde Sae Jhukta Hai, Yaara Mein Kya Karu
Tujh Mein Rab Dikhta Hai, Yaara Mein Kya Karu..

Kaise Hai Yeh Doori, Kaise Majboori
Mene Nazaron Se Tujhe Choo Liya
Kabhi Teri Khusboo, Kabhi Teri Baatein
Bin Maange Yeh Jahan Pa Liya
Tu Hi Dil Ki Ha Rounak, Tu Hi Janmon Ki Daulat
Aur Kuch Na Janu, Bas Itna Hi Janu..
Tujhe Mein Rab Dikhta Hai, Yaara Mein Kya Karu
Sajde Sae Jhukta Hai, Yaara Mein Kya Karu
Tujh Mein Rab Dikhta Hai, Yaara Mein Kya Karu..

Vaasdi Vaasdi Vaasdi, Dil Di Dil Vich Vaasdi
Naasdi Naasdi Naasdi, Dil Ro Ve The Naasdi
Rab Ne… Bana Di Jodi…..
Vaasdi Vaasdi Vaasdi, Dil Di Dil Vich Vaasdi
Naasdi Naasdi Naasdi, Dil Ro Ve The Naasdi

Cham Cham Aaye, Mujhe Tarshaye
Tera Shaya Ched Ke Chumta..
O O, Tu Jo Muskaye, Tu Jo Sharmaye
Jaise Mera Hai Khuda Jhomta..
Tu Hi Meri Barkart, Tu Hi Meri Ibaadat
Aur Kuch Na Janu, Bas Itna Hi Janu..
Tujh Mein Rab Dikhta Hai, Yaara Mein Kya Karu

Sajde Sae Jhukta Hai, Yaara Mein Kya Karu

Tujh Mein Rab Dikhta Hai, Yaara Mein Kya Karu

Vaasdi Vaasdi Vaasdi, Dil Di Dil Vich Vaasdi
Naasdi Naasdi Naasdi, Dil Ro Ve The Naasdi
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #1461 on: December 28, 2008, 08:29:44 PM »
kabhee sochataa hoo ke main kuchh kahoo
kabhee sochataa hoo ke main choop rahoo

aadamee jo kahataa hai, aadamee jo sunataa hai
jindageebhar wo sadaayen peechhaa karatee hai
aadamee jo detaa hai, aadamee jo letaa hai
jindageebhar wo doowaanyen peechhaa karatee hai

koee bhee ho har khwaab to sachchaa naheen hotaa
bahot jyaadaa pyaar bhee achchhaa naheen hotaa
kabhee daaman chhoooodaanaa ho to mushkil ho
pyaar ke rishten toote to, pyaar ke raste chhoote to
raaste mein fir wafaayen peechhaa karatee hai

kabhee kabhee man dhoonp ke kaaran tarasataa hai
kabhee kabhee fir zoom ke saawan barasataa hai
palak zapaken yahaa mausam badal jaaye
pyaas kabhee mitatee nahee, yek boond bhee milatee nahee
aaur kabhee rimazim ghataayen peechhaa karatee hai
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1462 on: December 29, 2008, 12:21:02 AM »
pyaar diwaanaa hotaa hai, mastaanaa hotaa hain
har khushee se, har gam se, begaanaa hotaa hain

shamaa kahe parawaane se, pare chalaa jaa
meree tarah jal jaayegaa, yahaa naheen aa
wo naheen sunataa, us ko jal jaanaa hotaa hain

rahe koee sau paradon me, dare sharam se
najar ajee laakh churaye, koee sanam se
aa hee jaataa hain jis pe, dil aanaa hotaa hain

suno kisee shaayar ne ye, kahaa bahot khub
manaa kare duniyaan lekin mere mehaboob
wo chhalak jaataa hai, jo paimaanaa hotaa hain
Logged
Sammual
Guest
«Reply #1463 on: December 29, 2008, 12:21:25 PM »
Singer: Atif Aslam
Song: Gulabi Ankhain Jo Teri Dekhi



Gulaabi Aankhen Jo Teri Dekhi
Sharaabi Yeh Dil Ho Gaya
Sambhaalo Mujhko O Mere Yaaron
Sambhalna Mushkil Ho Gaya
Dil Main Mere Khwaab Tere
Bas Tere Jaise Ho Deewaar Pe
Tujhpe Fida Main Kyoon Hua
Aata Hai Gussa Mujhe Pyaar Pe
Main Lut Gaya Maanke Dil Ka Kaha
Main Kahin Tha Na Raha

Kya Kahoon Main Dilruba
Pura Yeh Jaadu Teri Aankhon Ka
Yeh Mera Kaatil Ho Gaya
Gulaabi Aankhen Jo Teri Dekhi
Sharaabi Yeh Dil Ho Gaya
Maine Sada Chaaha Yehi
Daaman Bacha Loon Haseenon Se Main
Teri Kasam Khwaabon Mein Bhi
Bachta Fida Naazneenon Se Main
Tauba Magar Mil Gayi Tujhse Nazar
Mil Gaya Dard-E-Jigar

Sun Zara O Bekhabar
Zara Sa Haske Jo Dekha Tune
Main Tera Bismil Ho Gaya
Gulaabi Aankhen Jo Teri Dekhi
Sharaabi Yeh Dil Ho Gaya
Sambhaalo Mujhko O Mere Yaaron
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #1464 on: December 29, 2008, 07:59:19 PM »
Chahoonga Maein Tujhe Saanjh Sawere
Phir Bhi Kabhi Ab Naam Ko Tere
Aawaaz Maein Na Doonga

Dekh Mujhe Sab Hai Pata
Sunta Hai Tu Man Ki Sada
Mitwa...Mere Yaar
Tujhko Baar Baar
Aawaaz Maein Na Doonga...

Dard Bhi Tu, Chain Bhi Tu
Daras Bhi Tu, Nain Bhi Tu
Mitwa...Mere Yaar
Tujhko Baar Baar
Aawaaz Maein Na Doonga...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1465 on: December 29, 2008, 09:12:13 PM »
Baabuji dhire chalna, pyaar mein zara sambhalna
Haa bade dhokhe hain, bade dhokhe hain is raah mein,
Baabuji dhire chalna.

Kyu ho khoye huye sar jhukaaye, jaise jaate ho sab kuchh lutaaye
Ye to baabuji pehla qadam hai, nazar aate hain apne paraaye
Haa bade dhokhe hain, bade dhokhe hain is raah mein,
Baabuji dhire chalna.

Ye mohabbat hai oh bholebhaale, kar na dil ko ghamo ke havaale
Kaam ulfat ka naazuk bahut hai, aake hontho pe tootenge pyaale
Haa bade dhokhe hain, bade dhokhe hain is raah mein,
Baabuji dhire chalna.

Ho gayi hai kisi se jo anban, thaam le dusra koyi daaman
Zindagaani ki raahein ajab hain, ho akela to laakho hain dushman
Haa bade dhokhe hain, bade dhokhe hain is raah mein,
Baabuji dhire chalna.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1466 on: December 29, 2008, 09:41:32 PM »
aakhiyon ko rahane de, aakhiyon ke aasapaas
door se dil kee buzatee rahe pyaas

dard jamaane mein, kam naheen milate
sab ko mohabbat ke, gam naheen milate
tootane waale dil  hote hain kuchh khaas

rah gayee duniyaan me, naam kee khushiyaan
tere mere kis kaam kee khushiyaan
saaree umar hum ko rahanaa yoo udaas
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1467 on: December 30, 2008, 02:04:40 AM »
Likhe jo khat tujhe
woh teri yaad mein
hazaaron rang ke
nazaare ban gaye

sawera jab huya
to phool ban gaye
jo raat aayi to
sitaare ban gaye

Koyi nagma kahin goonja
kahan dil mein
yeh tu aayi
kahin chatki kali koyi
main yeh samjha, tu sharmaayi
koyi khushboo kahin bikhri
laga yeh zulf lehraayi

Likhe jo khat tujhe...

Fiza rangeen, adaa rangeen
yeh ithlaana, yeh sharmaana
yeh angdhaayi, Yeh tanhaayi
yeh tarsa kar, chale jaana
bana de ga nahi kisko
jawaan jadoo yeh deewana

Likhe jo khat tujhe..

jahan tu hai, wahan main hoon
mere dil ki tu dhadhkan hai
musafir main tu manzil hai
main pyaasa hoon tu saawan hai
meri duniya yeh nazre hain
meri jannat yeh daaman hai

Likhe jo khat tujhe...
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #1468 on: January 01, 2009, 03:47:34 PM »
Movie: Pehchan
Singer : Mukesh jii

bas yahii aparaadh mai.n har baar karataa huu.N
aadamii huu.N aadamii se pyaar karataa huu.N

ek khilaunaa ban gayaa duniyaa ke mele me.n
koii khele bhii.D me.n koii akele me.n
muskuraa kar bhe.nT har sviikaar karataa huu.N
aadamii huu.N aadamii se pyaar karataa huu.N ...

mai.n basaanaa chaahataa huu.N svarg dharatii par
aadamii jis me.n rahe bas aadamii banakar
us nagar kii har galii taiyyaar karataa huu.N
aadamii huu.N aadamii se pyaar karataa huu.N ...

huu.N bahut naadaan karataa huu.N ye naadaanii
bech kar khushiyaa.N khariiduu.N aa.Nkh kaa paanii
haath khaalii hai.n magar vyaapaar karataa huu.N
aadamii huu.N aadamii se pyaar karataa huu.N ...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #1469 on: January 01, 2009, 07:39:56 PM »
Maine tere liye hi saat rang ke sapne chune,
Sapne, surile sapne,
Kuch hansee ke, kuch gum ke,
Teri ankhon ke saye churaye rasili yaadon ne,
Maine tere liye hi saat rang ke...

Choti baaten,
Choti choti baaton ki hai yaadein bani,
Bhoole nahin bithi hui ek choti ghadi,
Janam janam se, aankhen bichaaye, tere liye in rahon
mein,
Maine tere liye ...

Bhole bhale,
Bhole bhale dil ko behlate rahe,
Tanhai mein tere khayalon ko sajate rahe,
Kabhi kabhi tho, aavaaz dekar, mujhko jagaya khabon
ne,
Maine tere liye ...

Roothi raatein,
Roothi hui raaton ko jagaya kabhi,
Tere liye bithi subah ko bulaya kabhi,
Tere bina bhi, tere liye hi, diye jalaye raaton mein,
Maine tere liye ...
Logged
Pages: 1 ... 94 95 96 97 [98] 99 100 101 102 ... 112
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 12:34:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer