~~~~**Wat song R U listenin to Right Now!!!!**~~~~~

by Aarzuu on June 09, 2005, 08:09:42 AM
Pages: 1 ... 57 58 59 60 [61] 62 63 64 65 ... 112
Print
Author  (Read 50153 times)
_Vicky_
Guest
«Reply #900 on: November 03, 2006, 05:40:04 AM »
chhoo lene nazuk hoton ko,
kuch aur nahi hai jaam hai yeh.......
kudrat ne jo humko bakhsha hai,
wo subse haseen inaam hai yeh.....
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #901 on: November 05, 2006, 03:42:19 AM »
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
Nahi to charaago se lau jaa rahi thi
Jeene ki tumse wajeh mil gayi hai
Badi bewajeh zindagi jaa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
           
Kaha se chale kaha ke liye ye khabar nahi thi magar
Koi bhi seera jaha jaa mila wahi tum miloge
Ke ham tak tumhaari duwa aa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
Nahi to charaago se lau jaa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
         
Din dooba nahi raat doobi nahi jaane kaisa hai safar
Khwaabo ke diye aankho mein liye wahi aa rahe the
Jaha se tumhaari sada aa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
Nahi to charaago se lau jaa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
Logged
natural
Guest
«Reply #902 on: November 05, 2006, 05:41:04 AM »
Jadoo bhari aankhon waali suno,
Tum aisey mujhey dekha na karo....

Fir main koyi ummeed karu,
Fir mujhey koyi armaan ho....
Tum shaayad meri ban jao
fir dil ko aisa gumaan ho....

Par aisa na ho to achha hai,
Inn baaton mein kya rakha hai
Mujhko aisi ummeed na do...
Jaduu bhari aankhon waali suno....
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #903 on: November 05, 2006, 06:35:17 AM »
Tera phoolon jaisa rang, tere sheeshe jaise ang
padi jaise hi nazar mein toh reh gaya dang

aate jaate kare tang tere achhe nahi dhang
mein toh karoongi sagayi kisi doosre ke sang

mere hote koii aur kare tere baare gaur
yeh na hoga kisi taur chaahe chale churiyaan

seedhe seedhe haan karti hai ya chalna hai thaane
thaane jaate jaate mar gaye tujh se kayi deewane

yuunhi nakhre na kar, teri choti ko pakad
tujhe laaoonga mein ghar chaahe chale churiyaan

haaye teri baatein hain ajab, arey ho le hona hai jo ab
tujkhe meri hi kasam kahin dhaana na ghazab
tujhe chorenge na hum chaahe roke humein rab
tu hai itna hi tang toh mein rangi tere rang
le mein chali tere sang chaahe chale churiyaan

hoooooo..............
dil aane ki baat hai jab jo lag jaaye pyaara
dil per kiska zor hai dil ke aage har koii haara
haaye o mere yaara

dil milne se tera mera mel hai
dil milna muqadaron ka khel hai
dil milne ka mela yeh jahaan hai
dil milne se duniya jawaan hain
hoooo
teer ishq waala koii maane ya na maane
be-qamaan hai
dil aane ki ......

Muhabbat har dil ka armaan
muhabbat har dhadkan ki jaan
kisi se kar le tu pehchaan
kisi ko de de dil aur jaan
kisi ko rakh dil mein mehmaan
kisi ke reh dil mein mehmaan
hooooo
jawaani aati hai ek baar
yeh mausam rehta hai ek baar
na khona is rut ko bekaar
nahi nit khilta yeh gulzaar

kisi se kar lena iqraar
kisi se le lena iqraar
hooooo

kisi ki khatir ho badnaam
yehi hai dilwaalon ka kaam
zamaana chaahe de ilzaam
samajh har tohmat ko inaam
kisi se le dil ka paighaam
kisi ko de dil ka paighaaam
hooo hooo
Logged
natural
Guest
«Reply #904 on: November 05, 2006, 06:39:01 AM »
Pal pal dil ke paas tum rehti ho,
Jeevan meethi pyaas ye kehti ho....
Logged
Rishi Soumya
Guest
«Reply #905 on: November 05, 2006, 02:42:00 PM »
Listening to..

raah main unse mulakat ho gayi
Jise darte the wohi baat ho gayi...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #906 on: November 06, 2006, 04:57:16 AM »
Piyaa Basanti re....
Kaahe sataaye aaja....
Jaane kya jaadu kiyaa,
Pyar ki dhunn chhede jiyaa....
O.. Kaahe sataaye aaja....
Piyaa Basanti re.....
Logged
natural
Guest
«Reply #907 on: November 06, 2006, 12:12:32 PM »
(bhooli bisri ek kahani - 2 phir ayi ek yaad purani) - 2
bhooli bisri ek kahani - 2

ane ka vada kiya vada tod diya nahi aye piya - 2
bhool gaye tum prem kahani - 2 phir aayi ek yaad purani
(bhooli bisri ek kahani - 2 phir ayi ek yaad purani) - 2
bhooli bisri

maine to pyar kiya aitabar kiya isapar kiya intazar kiya - 2
tumane kiya kya dilbar jani phir aayi ek yaad purani
(bhooli bisri ek kahani - 2 phir aayi ek yaad purani) - 2
bhooli bisri

hari main karake jatan o) - 2 mere bichade sajan kab hoga milan - 2
lambi judai rut mastani phir aayi ek yaad purani
(bhooli bisri ek kahani - 2 phir aayi ek yaad purani) - 2
bhooli bisri
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #908 on: November 06, 2006, 04:17:39 PM »
tere bin main yun kaise jiya kaise jiya tere bin
tere bin main yun kaise jiya kaise jiya tere bin

lekar yaad teri raaten meri kati
mujhse baaten teri karti hai chaandani
tanha hai tujh bin raaten meri
din mere din ke jaise nahi
tanha badan tanha hai ruh nam meri aankhen rahe
aaja mere ab rubaru jeena nahi bin tere
tere bin main yun kaise jiya kaise jiya tere bin
tere bin main yun kaise jiya kaise jiya tere bin.... sad5
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #909 on: November 06, 2006, 05:40:39 PM »
Mujhe haq hai tujhko jee bharke main dekhun,
Mujhe haq hai bas yun hi dekhtaa jaaun...
Mujhe haq hai....

Piyaa Piyaa Piyaa Piyaa bole meraa jiyaa....
Tumhe haq hai...
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #910 on: November 06, 2006, 08:48:06 PM »
Shokhiyon mein ghola jaaye phoolon ka khumaR
usme phir mila di jaaye thodi si sharab
hoga phir nasha jo tyaar woh pyaar hai
Logged
Rishi Soumya
Guest
«Reply #911 on: November 07, 2006, 06:50:48 AM »
Ankhein band karke jo ek chehra nazar aaya
Woh tumhi ho a sanam...
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #912 on: November 07, 2006, 07:12:47 AM »
Ek Ladki Ki Tumhe Kya Sunaao Daastaan
Ek Ladki Ki Tumhe Kya Sunaao Daastaan
Woh Pagli Hai Sab Se Juda
Har Pal Nayi Uski Ada
Phool Barse Log Tarse Jaaye Woh Ladki Jahan
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #913 on: November 07, 2006, 08:53:38 AM »
Tujhe dekha to yeh jana sanam,
pyar hota hai deewana sanam.......
ab yahan se kahan jayen hum,
teri baahon me mar jayen hum...........!!!!!!!
Logged
natural
Guest
«Reply #914 on: November 07, 2006, 09:01:05 AM »
rahe naa rahe hum  mahakaa karenge
ban ke kalee, ban ke sabaa, baaga-ye-wafaan mein

mausam koee ho is chaman mein rang ban ke rahenge hum khiraamaa
chaahat kee khushaboo yoo hee julfon se udegee, khijaa ho yaa bahaaren
yoo hee zoomate aaur khilate rahenge, ban ke kalee..

khoye hum ayese, kyaa hain milanaa, kyaa bichhadanaa naheen hain yaad hum ko
koonche mein dil ke jab se aaye sirf dil kee jameen hain yaad hum ko
isee sarajameen pe hum to rahenge, ban ke kalee..

jab hum naa honge, jab humaaree khaank pe tum rukoge chalate chalate
ashkon se bheegee chaandanee mein yek sadaa see suno ge chalate chalate
wahee pe kahee hum tum se milenge, ban ke kalee..
Logged
Pages: 1 ... 57 58 59 60 [61] 62 63 64 65 ... 112
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 02:01:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.205 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer