Yaadon ka mausam

by diya786 on November 28, 2008, 07:39:26 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 6116 times)
diya786
Guest
one of my personal fav8 songs i hope you all like it
Movie-Yaadon ka mausam{1990}


Woh bheege baal woh bheega badan
woh bheegi bheegi har dhadkan
woh gaal haya mein doobe hue
woh honth wafa se larse hue
kuch bolo kyun khamosh ho tum
is dil se kya naraaz ho tum...


Dil mein phir aaj teri yaad ka mausam aaya
phir mere seene mein tu dard ka badam laaya
jab bhi saawan koi barsa mujhe mehsoos hua
ishq ke dariya mein tu mujhko bhigone aaya
dil mein phir aaj teri yaad ka mausam aaya...


kya ab bhi tumhari furqat mein ek saawan koi likhta hai
kya ab bhi tumhare honthon par ek chumban koi dharta hai
kya ab bhi tumhare shanon se malmal ka dupatta girta hai
kya ab bhi tumhari baahon mei ek dil sa koi rehta hai...


Maine rumaal mein tere liye kuch phool bune
maine mehndi se tere naam hathele pe chune
maine takiye ke galafon mein tujhe kadha hai
maine har sher mein mehboob tujhe paala hai
dil mein phir aaj teri yaad ka mausam aaya...


[/i]main tumko soch raha hoon bas
tum mujh mein doobti jaati ho
main tum mein doobta jaata hoon
tum mere shane se lag karkaan mein kuch kehne waali ho
tum mere khwabon ki duniya ki ek samundar si shehjaadi ho...[/i]


Aaj bhi phool take rehte hain joode mein mere
aaj bhi mehndi se rehta hain mere haath saje
aaj bhi aankh tiki rehti hai chilman se meri
aaj bhi saans judi rehti hai aahat se teri
dil mein phir aaj teri yaad ka mausam aaya...........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mausam by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
mausam by roshni246 in Shayri for Khumar -e- Ishq
mausam by amazing_world in Shayri for Khumar -e- Ishq
mausam by muna massood in Shairi for Manzar -e- Kudrat
YaadoN Ke Mausam Ki Ibtada Bulaaye Tujh Ko...Shireen Hakani by Shireen Hakani in Shayri for Khumar -e- Ishq
saloni bharani
Guest
«Reply #1 on: November 28, 2008, 10:41:08 AM »
nice bahut khoob likha hain
                                                   saloni
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: November 28, 2008, 06:08:43 PM »
Aap ka geet hume bhi pasand ayaa Diya Ji

Woh lamhe woh raatein koi na jaane
Bheegi yaadein..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: November 30, 2008, 01:50:17 AM »
nice sharing Diya
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:05:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.086 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer