Zindagi pyar ka geet hai

by sweet suh on March 04, 2008, 06:05:36 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1185 times)
sweet suh
Guest
Zindagi pyar ka geet hai
Life, is the song of love
Isey har dil ko gana padega
which every heart has to sing
Zindagi gham ka sagar bhi hai
Life is also the ocean of sadness
Has ke us paar jana padega
Which has to be crossed with a smile

Zindagi ek ehsaas hai
Life is a feeling
Toote dil ki koi aas hai (2)
It is the hope for the broken heart
Zindagi ek banwaas hai
Life is an exile
Kaat kar sabko jana padega
that everyone has to lead.

Zindagi bewafaa hai to kya
So what if life is disloyal ?
Apne ruthe hai hamse to kya (2)
If our loved ones are offended with us, so what?
Haath me haath na ho to kya
So what if we are not holding hands
Saath phir bhi nibhana padenga
Our togetherness will have to be fulfilled

Zindagi ek muskan hai
Life is a smile
Dard ki koi pehchaan hai (2)
It is the identity of pain
Zindagi ek mehmaan hai
Life is a guest
Chhod sansar jana padenga
that has to leave the world and go.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
pyar zindagi aur dhoka by poem143s in Shayri-E-Dard
Pyar behisab...Geet... by brokenbyluv in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Pyar ka geet by nandbahu in Songs & Lyrics
Dil ki kitaab mein jo pyar ke geet haiN by shara63 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Pyar ka geet by nandbahu in Miscellaneous Shayri
Talat
Guest
«Reply #1 on: March 04, 2008, 12:59:51 PM »
nice song...i also like it
Logged
sweet suh
Guest
«Reply #2 on: March 10, 2008, 03:16:29 PM »
manzilon pe aake luTate hain dilon ke kaarvaaN
kashtiyaaN saahil pe aksar, Doobati hain pyaar ki

(manzilen apni jagah hain raaste apni jagah) - 2
jab qadam hi saath na den, to musaafir kyaa kare
(yuN to hai hamdard bhi aur hamsafar bhi hai meraa) - 2
baDhke koi haath na de, dil bhalaa phir kyaa kare
manzilen apni jagah hain raaste apni jagah

Doobne vaale ko tinke kaa sahaaraa hi bahut
dil bahal jaaye fakat, itnaa ishaaraa hi bahut
itne par bhi aasmaaN vaalaa giraa de bijliyaaN
koi batlaa de zaraa ye Doobtaa phir kyaa kare
manzilen apni jagah hain raaste apni jagah

pyaar karnaa jurm hai to, jurm hamse ho gayaa
qaabil-e-maafii huaa karate nahin aise gunaah
sangdil hai ye jahaaN aur sangdil meraa sanam
kyaa karen josh-e-junooN aur hauslaa phir kyaa kare
manzilen apni...
 
Logged
sweet suh
Guest
«Reply #3 on: March 10, 2008, 03:20:36 PM »

tujh mein aur teri yaad mein bas fark hai itana
tujh mein aur teri yaad mein bas fark hai itana
tu toh bewaqt aati hai yaad har waqt aati hai
tu toh bewaqt aati hai yaad har waqt aati hai
tujh mein aur teri yaad mein bas fark hai itana
tujh mein aur teri yaad mein bas fark hai itana
tu toh bewaqt aati hai yaad har waqt aati hai
tu toh bewaqt aati hai yaad har waqt aati hai

teri yaadon mein toh tanha chhoda nahi
teri yaadon se main pyar karne laga
teri yaadon mein toh tanha chhoda nahi
teri yaadon se main pyar karne laga
tum milo na milo iska kuchh gam nahi
tere vaadon se main pyar karne laga
kal mein aur aaj mein bas fark hai itana
kal mein aur aaj mein bas fark hai itana
jaan tu door hai mujhse jaan har waqt jaati hai
jaan tu door hai mujhse jaan har waqt jaati hai

bewafaa tum nahi bewafaa ham nahi
bewafaa toh sanam apani taqdeer hai
bewafaa tum nahi bewafaa ham nahi
bewafaa toh sanam apani taqdeer hai
main akela hoon phir bhi akela nahi
mere seene mein ek teri tasveer hai
tujh mein aur tasveer mein bas fark hai itana
tujh mein aur tasveer mein bas fark hai itana
tu toh bas ruth jaati hai woh toh bas muskurati hai
tu toh bas ruth jaati hai woh toh bas muskurati hai
tujh mein aur teri yaad mein bas fark hai itana
tu toh bewaqt aati hai yaad har waqt aati hai
tu toh bewaqt aati hai yaad har waqt aati hai
Logged
attoo
Guest
«Reply #4 on: June 07, 2008, 06:33:50 PM »
Such a beautiful song ^^I can't speak that much hindi/urdu so I read the english part :D It's great that you have that too :3
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: November 24, 2008, 08:55:30 PM »
nice sharing Sweet Suh
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 05:31:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer