Aaj Ka Musalman Hai...(Shihab)

by majid on August 09, 2011, 08:18:53 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 8015 times)
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #15 on: August 09, 2012, 07:39:53 PM »
Reply with quote
hum Nahi maante siddiqui sahab ki azaan ki aawaz aajkal ke musalmanon ko bedar Karti hai
Kyon ki gar aisa hota to aaj masjide viraan aur bazaare Aabaad na hoti, aur Rahi baat gunahon ke ehsas ki to ehsas zinda dil ko hota hai na ki murda dil ko, jo dil Khuda ki Yaad se ghafil ho wo Kya zinda ho Sakta hai...?khair Apni Apni soch


aap ne bilkul durust farmayaa NIHA JI. HAMARAA IMAAN KAMZOR HO GAYAA HAI KHATM NAHIN HUA HAI. IMAAN KE BHI KAYII MAYAAR HOTE HAIN.MAIN MAZEED ISS DETAIL MEIN NAHIN JANAA CHAHATA HOON. Usual Smile Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
musalman koon hain?! by Dr Maqsood Hasni in General Stories
Sachcha musalman by xxx200 in Miscellaneous Shayri
Ji Hazuri....Shihab by majid in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Dil.....(Shihab) by majid in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Kyon....(Shihab) by majid in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Niha Khan
Guest
«Reply #16 on: August 09, 2012, 07:46:00 PM »
Reply with quote
siddiqui sahab ne kaise sahi farmaaya Aap samjhane ki meharbaani karege khamosh ji.?
Aapka bada ehsan hoga Mujh na Samajh par
gar aap mere zehan se galat Fehmi ke pardey hataa dey to...?
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #17 on: August 09, 2012, 07:51:02 PM »
Reply with quote

aap ne bilkul durust farmayaa NIHA JI. HAMARAA IMAAN KAMZOR HO GAYAA HAI KHATM NAHIN HUA HAI. IMAAN KE BHI KAYII MAYAAR HOTE HAIN.MAIN MAZEED ISS DETAIL MEIN NAHIN JANAA CHAHATA HOON. Usual Smile Usual Smile

Ek hi behas men dono sahi kaise ho Sakte hain khamosh ji...? Plz samjhaye Aap. Aur aapne kaha detail men Nahi jana chahta to janab aisa muddon par jitni behas ho Utna achcha hai, Kyon ki bohat Kuch sikhne ko Milta hai, so Aap jaaye details men
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #18 on: August 09, 2012, 07:57:12 PM »
Reply with quote
siddiqui sahab ne kaise sahi farmaaya Aap samjhane ki meharbaani karege khamosh ji.?
Aapka bada ehsan hoga Mujh na Samajh par
gar aap mere zehan se galat Fehmi ke pardey hataa dey to...?

MOHTARMA NIHA SAHIBA,

 SALAAM-ALAIKUM,

 AAP KO RAMZAAN MOBARAK HO.!

  JI MAIN FHS SB KE LIKHE SHER SE ITTEFAAQ RAKHTA HOON.!

   MAIN NE TAJURBA KIYA HAI AZAAN KE WAQT BAHUT SAARE HAMAARE MUSLIM BHAI USKA LEHAAZ KARTE HAIN YE ALAG BAAT HAI MAXIMUM 5 WAQT KE NAMAAZ KE PAABAND NAHIN HAIN. YE BAAT ZAROOR SAHI HAI KI IMAAN AUR KUFR KE BEECH NAMAAZ HI HAI.

 LAKIN ALLAH BAHUT MEHERBAAN HAI AUR WO MAAF KARNE WALAA HAI. ADNA SE ADNA IMAAN WALAA BHI ALLAH HI KI TARAF ROOJOOH KARTAA HAI.

HAAN HAZRAT MOHAMMAD(pbuh) KE SAHABAA MEIN JO BAAT THI WO NAHIN HAI.PER ISS DAUR MEIN JO TOOTI PHOOTI IBAADAT HUM KARTE HAIN ALLAH SE DOA HAI WO QABOOL KAREY AUR IMAAN MEIN POORA POORA DAAKHIL HONE KI TAUFIQ DE.
[/b][/color]

 
 
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #19 on: August 11, 2012, 06:27:13 PM »
Reply with quote
Walaikum as salaam va rehamtullahi va barkaat hu. Aapko bhi Ramzaan bohat mubarak ho aur Waise hadise to bohat sari hain jo ki yahan likhna munasib Nahi, phir bhi ekad to likhdun taake Kuch had tak to galat fehmiyan door ho, Shayad aapne bhi suna hoga ki sabse Pahle Allah namaaz hi ka hisab lega gar wo puri utri to baaki ke aamal bhi pure utrenge aur gar usme Kuch kami hui to baaki ke aamal bhi, aur ye bhi suna hoga ki Allah ne namaaz kisi bhi haal men maaf Nahi farmaai
kamyaab to Wohi hoga jo rab chahi zindagi jiye na ki man chahi zindagi, Allah ne nabi ke zariye muqammal din bataa diya hai ab hum usme kuch zyada ya kam Nahi kar sakte khair Allah sab ko sahi Samajh de aur Kya keh sakte hain,
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #20 on: August 11, 2012, 07:20:08 PM »
Reply with quote
Walaikum as salaam va rehamtullahi va barkaat hu. Aapko bhi Ramzaan bohat mubarak ho aur Waise hadise to bohat sari hain jo ki yahan likhna munasib Nahi, phir bhi ekad to likhdun taake Kuch had tak to galat fehmiyan door ho, Shayad aapne bhi suna hoga ki sabse Pahle Allah namaaz hi ka hisab lega gar wo puri utri to baaki ke aamal bhi pure utrenge aur gar usme Kuch kami hui to baaki ke aamal bhi, aur ye bhi suna hoga ki Allah ne namaaz kisi bhi haal men maaf Nahi farmaai
kamyaab to Wohi hoga jo rab chahi zindagi jiye na ki man chahi zindagi, Allah ne nabi ke zariye muqammal din bataa diya hai ab hum usme kuch zyada ya kam Nahi kar sakte khair Allah sab ko sahi Samajh de aur Kya keh sakte hain,


bilkul durust aur 100% sachh hai. ALLAH HAM SABKO NAIK SAMJH DE AUR SAHI AMAL KI TAUFEEQ ATAAH KAREY...AMIN
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #21 on: August 12, 2012, 05:23:38 PM »
Reply with quote
summa Ameen
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #22 on: July 14, 2013, 03:03:22 AM »
Reply with quote
Ameen Aur Shukariya Khoobsurat Baaten Share Karne Ke Liye



Shad o Aabaad Rahiye


Shihab
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #23 on: July 14, 2013, 03:08:52 AM »
Reply with quote
                     Na  Zikra , Na  Fikra , Aur  Na Hi Qur'an Hai
                     Wah  Kya Hi Khoob  Aaj  ka , Musalman Hai.


                     Is Qadar Dooba Hai Maghribi Rango,n Mein
                     Ki Bhool Sa  Gaya  Bas  Apni , Pehchaan Hai.


                     Khana  Bhi Chahiye  Dining  Table Par Issey
                     Nahi Bhata Ab Nabi Wala , Dashtarkhan Hai.


                     Yun Rehta Hai Magan Naach Gano,n Mein Ki
                     Sunke Bhi Nahi Sunta ALLAHU Ki, Azaan Hai.


                     Laake TV Dikhata He Nange Nach Ghar Men
                     Dekho To Zara Bana Yeh ,Kitna Mahaan Hai.


                     Andho Ki Basti Men Karta He Roshni Ki Baat
                     Ay Shihab Sach Mein Tu B Bada, Nadaan Hai


 
                                 
                                            ~Shihab~

KABILE TARRIFF
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #24 on: July 14, 2013, 03:18:24 AM »
Reply with quote
Bahut Shukariya Sahab Waqt Dene Ke Liye


Shad o Aabaad Rahiye


Shihab
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:11:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer