KAISE-KAISE WASTRA PEHAN RAHI DEKHO AAJ KI AURAT|
KAM KAPDE PEHANNE MEIN HI SAMJHE DEKHO APNI SHORAT||
SOCHE NA YE AAR PAAR KI CHOD BAITHI SAB LAAJ SHARAM|
POOJA-PAATH SAB HAI BOOLHI JAANE NA KYA DHARAM-KARAM||
LAGAKE CREAM-POWDER BADAL KE APNI CHAAL|
TAASH KE PATTO MEIN AESI ULJHI KI UDA RAHI APNE PATI KA MAAL||
DISCO JAATI, BEAUTY PARLOUR JAATI, KARTI ULTE-SEEDHE FASHION|
BACHCHO KI KOI CHINTA NA KARTI BIGADE CHAHE UNKI CONDITION||
SUDHAAR LAO APNE TAUR-TAREEKE MEIN AUR KARO KUCH CHANGE KAAM|
TAAKI KAL BACHCHE BHI TUMKO IZZAT DEVE AUR NA PUKARE TUMKO LEKAR TUMARAHA NAAM||
****************************************************************************
Achchi Achchi Baate Kar Ari O Hindustan Ki Aurat Mat Bhool Tu Duniyadaari,
Teri Jaisi Hi Thi Wo Lakshmi Bai Jisne Desh Ke Khatir Kha Li Apne Seene Per Dushman Ki Katari.
mard pahne kam kapre to shaan hai
aourat pahne kam kapre to dunia preshan hai
mardo ki ankho main na dekhein bhookhi najar koi
aourat ke sir per he, her ek ilzaam hai
Cream powder bindi to rahe hamesha he aourt ke ang sung
magar ajj bhare hai beauty saloon mardo se, us per na koi sawal hai
Pooja - path kare ya kare baher jakar kaam
na dekhein koi kitne list main uske kaam hai
mard jaaye disco to yah unche khandaan ki nishani
aourat jaaye disco, to ho gai badnaam hai
sudhar le e samaj apni is dohari najar-e-nigaah ko
kar aourat ka samman, baki baato main na koi jaan hai
Kagaj_Kamal ji, main nahi janati ki app male hai ya female.. so apka najriya is kavita main kis taraf se tha samjhna mushkil tha.. magar apki kavita padte he jo man mai ayya wo likhti chali gai....
agar meri kavita ne apko hurt kiya ho to maafi chahti hu... mai do din se apke comments ke intzaar main thi... magar jab koi comments nahi ayye to mehsoos hua ki shayad anjaane main meri kavita apka dil na dukha gai ho... main yah baat pm mai bhi kah sakti thi... magar apki poem ka jawab sar-e-amm diya hai to maafi bhi sar-e-amm mangna sahi samjha!!