doston ye maine Media ko leke likha hai,jisme media ke negative aur positive effects ke alava uske authorities aur role par likha hai,kya hamari media visheshkar news channel and news papers poori tarah se swatantra hain aur swatantrata ka sandesh dete hain ,do they know ki vo desh ke improvement me bahut aham role rakhte hain,
are they justifying it,isme kavi ne jan manas ki samasyayon ke saath upaayon par bhi thoda likha hai
Kisi bhi desh me uski media mahatvapoorna hoti hai
Media desh hit jan hit me mahatvapoorna bhumika ada karti hai
Media ek aisa zaria hai jo sasa swatantra hoti hai
Media hi samaaj ko swatantrata ka sahi ehsaas dilati hai
Media kai estar se kaam karti hai
Ye radio,T.V.internet,newspapers,films ke roop me hoti hai
Ye har prakaar se behad mahatvapoorna hoti hai
Media ki andekhi kisi bhi prakaar se nahi ki ja sakti hai
Hume garv hai hamari media par jo loktantrata ko sahi mayne deti hai
Bharat ki media nishchit hi swatantrata ki abhivyakti ka sandesh deti hai
Media samaaj ki disha batati hai
Media samaaj ka aaina hoti hai
Hume malum nahi chalta par media hi samaaj ko disha deti hai
Kai maayne me media hi samaaj ki disha tay karti hai
Ye hume nitya hone vali ghatnaon se roobaru karati hai
Ye hume chunaav aur uske baad ki sameekchha batati hai
Parantu aaj kai saari cheezon se iska dhyaan uthta ja raha hai
Vastuvadita ka andhera jaise ise bhi grasta sa ja raha hai
Aaj ke vaqt me hume ise aur adhikaar dena hoga
Aaj ke vaqt me ise pratipal apni sameekchha karke badhna hoga
http://lifestyle.iloveindia.com/lounge/what-are-the-effects-of-media-in-our-822.htmlhttp://www.saching.com/Article/The-Positive-and-Negative-Effects-of-Media/873Aaj Radio par faqat gane bajane ke ilava kya hai aata
Thodi der ka samachar jise sunane vala bhi thik se sunana nahi chahta
Bade bade netaon abhinetaon ke interviews to aate hain
Par samajik neetiyun samajik uthhan ke bol kaan sunne ko taras jate hain
Aam aadmi ki tarah aaj radio bhi andhadhundh bhaga ja raha hai
FM ki sankhya badhti ja rahi har FM pehle vigyapan ko hi kendra bana raha hai
T.V aaj filmon se bhi zyada darshakon ki sankhya rakhta hai
Dish tv a daur hai channel ka faisla to remote karta hai
Har channel adhiktar commercial break me vyast rahta hai
Adhiktar vaqt to remote ke batano ko badalta haath le leta hai
Aaj manoranjan ke naam par 90% channel manoranjan nahi dikhate hain
Ab to news channel bhi TRP ki daud me news kum dikhate hain
Ek taraf to manoranjan ke naam par kitne TV serials zahar paros rahe hain
Samaj me rishtey naaton me shadyantro ko naitik moolyon se zyada vareeyta de rahe hain
Doosri taraf news channel breaking news dikhake commercial break le lete hain
Serial banana valon ko advertisements ki chinta itni hai
Paryaapt vigyapan ke baad bhi script ke badle dekhte hain TRP badi kitni hai
news channels bhi vohi 10-20 news le ke chalet hain
kai baar apas me hi badalke ek hi news kai baar dikhate hain
inke paas itna to vaqt hai ki commercial break kitni der chala
par itna nahi ki khabaron ka silsila inke channel par kitni der chala
aaj har news channel Cricket hi khelta ho jaise
cricketin season ho na ho cricket inme aata hai aise
cricket ki samekchha match ke pehle aur baad me dikhane me ye bhool jate hain
khud cricketers bhi inpe cricket kea lava bhi aur news dekhna chahte hain
ye ye to dikhate hain ki maidan par kitne chauke chhakon ki barsaat ho rahi hai
par ye nahi ki janmanas ki samasyayen aur desh ki arthvyavshta roopi gend ki dhulai ho rahi hai
kabhi aamir shahrukh salmaan to kabhi amitaab Sonia ki anban hum dekh rahe hain
kabhi breaking news aa hi nahi raha vigyapano me chal raha sangeet hum sun rahe hain
kabhi kisi ka casting couch kabhi netaon ke video to kabhi bus chatpatedaar khabren
dunia ko chhoro hum to apne desh ki hi sahi khabren sunne ko taras rahe hain
kabhi koi charcha bula li chaaar netaon ke saath thodi janta baitha li bus ho gaya
mat karo khilwaad muddon ko yun hi adhoora chhor ke loktantrata ke sudharakon bus bahut ho gaya
aaj kitne pratishat sansad sansad me saal bhar me aate hain
janta ne inhe chunke bheja aur ye janta ki bhalai ke vidheyak par charcha karne par sharmate hain
vote pane se pehle ye kitne sabhya sheel nazar aate hain
satta ke mad ke aakar ye sansad me hathapai par utar aate hain
hum ye to dikhate hain par ye nahi ki aakhir aisa hota kyun hai
janta se vote pakar neta sansad me bhi haaziri se munh churata kyun hai
aaj filmen bhi bus vastuvadita aur vaasna ko fill karne ke lie hi banti hai
producer bhi kahte hain aji ache sandesh vali filmen kahan bikti hain
aaj akhbaar bhi samachaar se zyada vigyapan dhoondhne par zor dete hain
kai baar to desh videsh ki khabaron ke panne naam ko hi ye rakhte hain
dunia me 185 se zyada desh hain hum nahi jaante kahan kya ho raha
dunia ke saath chalna to har desh ke pramukh samachaar jankar ke hota
kyun nahi ye aise karykram chalayen jo desh ki samayayon par adharit ho
voting poll ke nattejo se zaruri ye bataon kaise inflation rate ko rok sakte ho
desh me mngayai dar badhi ye dikhane se kya hoga
ye dikhao ki commodity exchange ke hatane se inflation rate zaroor kum hoga
aakhir kyun nahi un karkaon ko dikha sakte jo vibhinn samasyaon ke lie zimmedaar hain
agar media ko itni authority nahi to iske lie bhi kanoon me sanshodhan ki darkaar hai
desh ki vikaas dar sirf bade raajyon par hi to nirbhar nahi hai
aaj bhi bharat ki adhikaansh janta grameen ilaakon me rah rahi hai
aam aadmi ko aamir sharukh salmaan se kya lena dena
zaruri ye hai ki dikhao ki ghotalon ke pratishat ghatne se samadhaano ka pratishat hai badhna
jin cheezon par subsidy lagani chahiye unpar hatayi jati hai
jin par hatani chahiye unpar lagayi jati hai
kyun nahi patrkarita ke girte estar par hum vichaar karte hain
kyun nahi patrkarita ke estar ko hum banaye rakhte hain
aam aadmi ko amitabh Soniya mulayam mayawati se zyada desh ki khabar chahiye
gundagardi,kalabazari,blatkaar,chori,dakaiti hatya ko kum kar sakne vali thos kaaryavahi chahiye
aam aadmi ko Bal thakre Raaj thakre ki news se zyada jaativaad chhetryivaad se uthne ki prerna chahiye
aam aadmi ko dhonghi babaon se zyada sabhi dharm samaan hai aisi prem ki reet chahiye
aam aadmi ka Babri masjid Ramjanmbhumi vivaadon se kuch lena dena nahi
use chahiye ki hum batayen mandir masjid kahte hain prem se raho kabhi ladna nahi
desh me panapte aatanki khataron se to hum atankit hain hi
parantu jo bhay hum khud ko dete hain vo bhi kum nahi
aaj zarurat hai imaandaar vafadaar yogya logon ka hum sammaan Karen
ye nahi ki krodh aur ghamand ke rahke hum apne dambh par abhimaan Karen
kyun nahi hum ye batayen ki desh ka 700 lakh crore ka kala dhan videshon se kaise laayen
kyun nahi hum desh ke mahatva ko samjhen uski pragati ke lie zaruri kadam uthayen
aaj desh me ameer ameer gareeb banta ja raha hai
kale dhan ka ek bada hissa iis gap ko badha raha hai
aaj desh utni pragati nahi kar pa raha jitni karni chahiye
ye rate of standard of living to kum se kum 20 saal pehle honi chahiye
khud ko suvidha sampann dekhke ye santushti hamari bekaar si hai
jhuggi jhopdiyun me rahne valon ki tadaad me aaj bhi baadh si hai
aaj media kuch nahi bus dikhawe ka samaan ho gayi hai jaise
paise ki andhadhundh bhaagdaud me desh seva ki neetiyan kho gayi hain jaise
kyun nahi hum vastuvadita aur vaasna ke dushprabhaavon ko dikhate
kyun nahi hum bhoorna hatya ke karakon par samajik vichaar banayte
kyun nahi hum vradha ashram me rahne vale aise ma-baap ke dard dikhate
jo zindagi bhar apne bachhon ko khushi deke bhi unse khushi milne se mahroom rahte
kyun nahi hum naariyun ke utpeeran unke shoshan ko rokne ka upaay karte
kyun nahi vaishyavrati,dahej hatya ke dwara hone wali unki peeda ko kum karte
hum ye to dikhate hain ki desh me jagah multiplex aur flyover ban rahe hain
par ye dikhana bhool jate hain ki baarh aur sookhe se kitne mar rahe hain
ye media ke saath saath janta ki ruchiyan ka prashn hai
kyun nahi hum apni ruchiyan unme bhi rakhen jo jan jaagran ke prashn hai
kitni sarkaari yojnayen shahron ke lie banti kriyanvit nahi ho pati
vo vibhaag jahan se kamayi na vahan ki kursi netaon ko nahi bhati
kitni grameen yojnayen hain jo thande baste me padi hui hain
vo kaise laagu hon jab aam aadmi tak pahuchane ke lie yojnayen nahi bani hain
kyun nahi aaj ghar me kisi neta ki photo nazar aati hai
kyun nahi aaj netaon ki nazron me janta ke dukhon ki parchhayi nazar aati hai
aaj desh ka shikchha tantra me unke moolya unki kathayen nazar nahi aati
aaj ki padhaayi school college se zyada tution me hi nazar aati hai
mahilaon ke aarakchhan jo 13 saal baad hua us par khush hone se kya hoga
are ye sab to tabhi sambhav hai jab rajneeti ka estar samaan hoga
kyun nahi chunaav ladne valon ke lie naye maan-dand banaye jaayen
snatak ke saath padhe likhe logon ko hi chunaav ladne die jaayen
chunaav ladne valon ka koi policia record na ho
chunaav ladne se pehle usne samaaj seva ka kaam kia ho
tabhi to vo janta ki takleefon ko samjhega
tabhi to vo janta ke kaam aa sakega
ye kaisi vyavastha hai hamare swatantra Bharat me ki bina padhe likhe kursi pa jate hain
unse kai guna padhe likhe IAS PCs unki chaakri me nazar aate hain
ye kaisi power jise hum jan hit me lagane ke bajaay adhikariyun ke tabadlon me lagayen
ye kaisi yogyata jisme hum manmane dhang se netaon ke vibhaag badal den.
Aaj har Pradesh ke paas apne vikaas ke lie pryaapt kosh hai
Parantu vo apne hi neta dwara chhala gaya yehi rajneeti ka dosh hai
Kuch nai bus hum apne vicharon ko sanghathit karte jaayen
Swantrata ki abhivyakti ke adhikaar ko dil se prayog karte jaayen
Raashtriyata ko sabse upar rakhte jaayen
Raashtra ki khushhali se hi vishwa ka bhala hum kar sakte hain
Khud ko Mazbut rakhkar hi doosron ko sahara hum de sakte hain
Media me vishwaas rakhkar hi media ko badal sakte hain
Media ko saath leker hum desh aur samaaj hit kar sakte hain
Media ko samajhna hoga ki use apne kaam ke saath ye bhi karna hoga
Samasayaon ke saath unhe unke samadhaano ko bhi coverage dena hoga