Aaj ki Pooja doston kitni badal gayi

by khumaar on August 18, 2011, 06:50:03 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1215 times)
khumaar
Guest
Reply with quote

aaj ki pooja doston kitni badal gayi
dikhawat aur dikhawe me simat gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi



pathhar pooja par dil na naram kiya
insaaniyat insaaniyat se uchat gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi


aahat to har insaan hota hai magar
auron ki chot se kyun nahi aankh bhar gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi




bade mudde nahi choti cheeze jinhe raas
aisi soch to khudgarzi me dhal gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi




bhagwaan se aadmi sansaar maangta hai
vastuvadita zehen me kahan tak utar gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi



aadmi amar nahi jaane kab chala jaaye
dekhkar bhi soch hamari nahi sudhar gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi



mandiron me masjidon me roz bheed hoti
kyun insaaniyat ki basti nahi bas gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi


hoti hai azaan hoti aarti har roz jab
kyun apraadh ki aandhi nahi tham gayi



aaj ki pooja doston kitni badal gayi


mayik man budhhi se archna nahi hoti
alaukikta ki laalsa kum me rah gayi

aaj ki pooja kitni badal gayi


ibadat wohi safal jisme zehen saaf ho
parmaatma tak uski awaaz pahunch gayi

aaj ki pooja doston kitni badal gayi



wo zuba kaisi jo sachhai se munh mode
'Khuymaar' aise shamiyano ki subah dhal gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi
Logged
sarfira
Guest
«Reply #1 on: August 18, 2011, 06:18:26 PM »
Reply with quote
lajawaab tanz hai khumaar ji--
bht sahi aur bht real hai--
kamaal ki post
Logged
khujli
Guest
«Reply #2 on: August 20, 2011, 09:50:57 AM »
Reply with quote

aaj ki pooja doston kitni badal gayi
dikhawat aur dikhawe me simat gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi



pathhar pooja par dil na naram kiya
insaaniyat insaaniyat se uchat gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi


aahat to har insaan hota hai magar
auron ki chot se kyun nahi aankh bhar gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi




bade mudde nahi choti cheeze jinhe raas
aisi soch to khudgarzi me dhal gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi




bhagwaan se aadmi sansaar maangta hai
vastuvadita zehen me kahan tak utar gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi



aadmi amar nahi jaane kab chala jaaye
dekhkar bhi soch hamari nahi sudhar gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi



mandiron me masjidon me roz bheed hoti
kyun insaaniyat ki basti nahi bas gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi


hoti hai azaan hoti aarti har roz jab
kyun apraadh ki aandhi nahi tham gayi



aaj ki pooja doston kitni badal gayi


mayik man budhhi se archna nahi hoti
alaukikta ki laalsa kum me rah gayi

aaj ki pooja kitni badal gayi


ibadat wohi safal jisme zehen saaf ho
parmaatma tak uski awaaz pahunch gayi

aaj ki pooja doston kitni badal gayi



wo zuba kaisi jo sachhai se munh mode
'Khuymaar' aise shamiyano ki subah dhal gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi


aaj ki pooja doston kitni badal gayi



 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: August 29, 2011, 07:50:31 PM »
Reply with quote
Khumaar Sahaab Aadaab!

Waah janab kia kahne aapke.. behad gehri soch aur
khub khayaaloN ka muzahera kiya hai aapne Usual Smile

Sabhi ashaar aik se badh kar aik rahe.. Usual Smile
Behad sahiN farmaya hai aapne.. aaj ke manvi jeevan ki
dasha kis tarha vastaviktaa se pare ho rahi hai.. manvi
vichar dhara kitni simit ho gayi hai.. Usual Smile

Sabhi ahsaasoN ko darshati aapki yeH kalaam behad khoob
rahi... Usual Smile

Humari dheroN daad O mubarakbad kabul kijiye Usual Smile

Aur yeH ashaar hume behad khoob lage.. Usual Smile
Likhate rahiye.. Aate rahiye...
Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez Usual Smile         





pathhar pooja par dil na naram kiya
insaaniyat insaaniyat se uchat gayi


bhagwaan se aadmi sansaar maangta hai
vastuvadita zehen me kahan tak utar gayi

hoti hai azaan hoti aarti har roz jab
kyun apraadh ki aandhi nahi tham gayi


ibadat wohi safal jisme zehen saaf ho
parmaatma tak uski awaaz pahunch gayi

wo zuba kaisi jo sachhai se munh mode
'Khumaar' aise shamiyano ki subah dhal gayi


Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:21:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer