this is a very negative thinking jiska mukhya karan will power ka kum hona hai,saath hi saath samaaj ke maulik moolya bhi vajah rakhte hain jo ki humne aaj dhan,paise,maan ko hi badhne ko vikaas maan lia hai
parantu in sabke alava bhi aur kai karan hote hain alag alag istar ke log aur alag alag vajah jaise nasha,akelapan,failure in college exam or love,life lo ek hi nazariye se dekhna iska mukhya karan hai jiski vajah se successful log bhi suicide jaise grinit soch ke shikaar paye gaye hain.kuch to vipreet situations me mazbut hote hain par kuch bahut hi kumzor hote hain vo apne emotions ko apni strength nahi weakness banate haini request all such persons and infact everyone to be positive because hum jaise hote hain vaisa hi dekhte hain aur vaisa hi interpret karte hain islie we have to be positive and take win and loose in sportive spirit.is rachna ke peeche niraj ji ki aur tyagi ji ki rachnayen inspirational source rahin.
prastut hai rachna
chitki hui dhoop ko dekhke khidki ka kona kholo zara
hatake parde ko apni aakhon se aasuon ko pochho zara
kisse vyathit ho kisse baat se yun dukhit ho tuym
swayam ka sahara sabse hote hain hum swayam
nakaaraatmak vichaar jab bhi aaye kaho door hato zara
chitki hui dhoop ko dekhke khidki ka kona kholo zara
zindagi me haar jeet to bus zindagi ki hi safalta hai
rab ne rakhi nahi zara bhi zindagi me vifalta hai
hum sochte hain hum dukhi tabhi dukh uthaate hain
apne se bhi zyada dukhi logon ko nahi soch pate hain
khud ko zabardasti akelepan me rakhkar ahmiyat chahte hain
isi vajah se hum achi chheezon ko jaankar nahi dekh pate hain
swayam ko har taraf ache nazare dekhne sikhao zara
chitki hui dhoop ko dekhke khidki ka kona kholo zara
apne aapko andhere me rakhna asaan hai to ujaalon me bhi
zindagi ka asli lutf to chhupa hota hai haar me hi
khud ko aasmaan ke neeche le jaao aur dekho upar
batao suraj ki kirane kahan nahi padti nahi kis par
har vaqt zindagi ka bus yehi geet gata hai
har vaqtr acha hai aur har vaqt aakhir beet jata hai
antarman se in panktiyun par dhyaan magn ho lo zara
chitki hui dhoop ko dekhke khidki ka kona kholo zara
sansaar hai aisi nadi jisme har koi beh raha hai
behte hue bhi sansaar ko pakadna chaah raha hai
sansaar me jo bhi praapt karte hain hum yehi chhor jate hain
naam,dosti,kamai,rishtey sab ke sab yehin rah jane hain
sansaar sadhan hai jisme karm karte hue bhi prabhu ko sumire
sansarik karm karte hue hum bahut sukhi na dukhi na rahe
zindagi me vifalta ko chunauti chunauti ko avsar jane
is tarah se nischint bhaaw se is khel ko sambhaaw khele
zindagi ke utaar chadaav ko prabhu ikchha maano zara
chitki hui dhoop ko dekhke khidki ka kona kholo zara