Ab Kuch To Faisla Mujhe Karna Hoga.....

by khwaish on February 17, 2009, 05:07:17 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 6341 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Zindagi Mein Kai Baar Aise Mod Aate Hai Ke Insaan Ke Liye Chalte Rehna Naa-mumkin Sa Ho Jaata Hai..Iss Nazm Mein,Uss Ehsaas Par Roshni Daal Raha Hoon..Agar Yeh Nazm Kisi Ke Bhi Hauslo Ko Buland Karti Hai To Wahi Iss Nazm Ka Sabse Bada Inaam Hoga..


Ab Kuch To Faisla Mujhe Karna Hoga,
Manzil Door Hai Aur Raahein  Mushkil,
Par Ab Mujhe Har Raah Se Guzarna Hoga,
Ab Kuch To Faisla Mujhe Karna Hoga....

Inn Aankhon Mein Aansuo Ka Karz Liye,
Kab Tak Chalta Rahoonga Main,
Kabhi Na Kabhi Inn Aansuo Ko Ankhon se Utarna Hoga,
Ab Kuch To Faisla Mujhe Karna Hoga....

Agar Jeena Hai To Phir Haar Ka Khauff Dil Se Nikal De..
Halaat Ke Qaid Mein Ek Bebas Sa Sipahi Hai Tu,
Har Kadam Par Tujhe Waqt Se Ladna Hoga,
Ab Kuch To Faisla Mujhe Karna Hoga...

Har Insaan Chahta Hai Usse Zindagi Ki Tamaam Khushiyan Haasil Ho,
Main Bhi Unme Se Ek Hoon!!!
Par Kuch Khwaishe Ko Aaj Bemaut Hi Dil Mein Marna Hoga,
Ab Kuch To Faisla Mujhe Karna Hoga...

Mushkil Halaat Mein Zindagi Ko Jeena Kisi Imtehaan Se Kam Nahi,
Tu Duniya Ki Iss Bheed Mein Akela Hi Sahi,
Tujhe Khud Ke Liye Teharna Hoga,
Ab Kuch To Faisla Mujhe Karna Hoga....

Chot Khaakar Giir Jaana Bahut Asaan Hai
Har Chot Se Tujhe Ubharna Hoga,
Ab Kuch To Faisla Mujhe Karna Hoga....

Khuda Se Kabhi Naa-Ummed Mat Ho,
Aar Jazbaato Mein Aakar Kabhi Himmat Na Haar,

Yehi Hai Zindagi "Khwaish"
Har Haal Mein Tujhe Chalna Hoga,
Ab Kuch To Faisla Mujhe Karna Hoga....

       ~~~~~KHWAISH~~~~~~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: February 17, 2009, 05:13:19 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Hamesha ki tarah bahoot bahoot khoob... her ek line kamal ki likhi hai Khwaish ji... Good work, Good creation!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: February 17, 2009, 05:17:13 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Hamesha ki tarah bahoot bahoot khoob... her ek line kamal ki likhi hai Khwaish ji... Good work, Good creation!!!

Bahut Bahut Shukriya Pooja Aapka..Aap Bhi Kuch Likhte to Aur Acha Lagta..Shukriya..
Logged
salma786
Guest
«Reply #3 on: February 17, 2009, 05:33:58 PM »
Reply with quote
Bahoot hi badiya Khwaish ji....... Kabhi apke nazm padne ka mauka nahi mila... Ab se zarur padungi Clapping Smiley Clapping Smiley

Ap kamal likhte hai..... sari lines bahoot hi dilse likha hai Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 17, 2009, 05:42:15 PM »
Reply with quote
Bahoot hi badiya Khwaish ji....... Kabhi apke nazm padne ka mauka nahi mila... Ab se zarur padungi Clapping Smiley Clapping Smiley

Ap kamal likhte hai..... sari lines bahoot hi dilse likha hai Usual Smile

Salma,Aap Ka Teh Dil Se Shukriya Jo Aapne Iss Nazm Ko Padha Aur Saraha,Umeed Karta Hoon,Ke Aage Bhi Yuhi Saath Dete Rahoge..Shukriya
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: February 17, 2009, 09:47:06 PM »
Reply with quote
Waah Bohot bohot bohot khoob Khwaish....aapki ye nazm aur aapka ye nazariya qaabil-e-taareef hai....  Zinadgi ko jeene ka hausla deti hai aapki ye shayari......!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Har ghum bhula ke chalna hoga,
Ab kuch to faisla mujhe karna hoga

Zindagi maana ki aasaan nahin
Lab pe aati ab muskaan nahin
Khushion se koi pehchaan nahin
Taqdeer ko tadbeer se badalna hoga
Ab kuch to faisla mujhe karna hoga

Maana kaanton ki hai rahguzar
Manzil magar us paar hai muntazir
Faulaad hon iraade to kya hai darr
Hanste hue har imtehaan se guzarna hoga
Ab kuch to faisla mujhe karna hoga !!



Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: February 18, 2009, 07:30:03 AM »
Reply with quote
 Applause Applause
Bohat khoob khwaish ji ..

Very nice reply celmira sis ...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 18, 2009, 11:06:44 AM »
Reply with quote
Waah waah waaha, Kya Khoob Bayaan Kiya Hai Khwaaish Bhai Aapne, Bohat Achche Har Girne waale Ke Liye ye Nazm Hausla Degi,.

Yunhi Likhte rahein,.

Aur Talat Sis, Aapki Nazm ka Bhi Koi Jawaab Nahi, Badhiya Har Baar Ki tarah,.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: February 18, 2009, 11:09:09 AM »
Reply with quote
Jo Girrna Seekhe, Wohi Sambhalna Jaane,.
Zindagi Ki Raahon Mien, Wohi Chalna Jaane,.

Yun To Toot Jaate Hain Log Haarte Hi,.
Jo Suraj Dhalta Hai, Wohi Ubharna Jaane,.
Jo Girrna Seekhe, Wohi Chalna Jaane,.

____________________-Jaanasheen-
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: February 19, 2009, 12:06:18 AM »
Reply with quote
Waah Bohot bohot bohot khoob Khwaish....aapki ye nazm aur aapka ye nazariya qaabil-e-taareef hai....  Zinadgi ko jeene ka hausla deti hai aapki ye shayari......!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Bahut Bahut Shukriya Talat..Aapne Iss Nazm Ke Ehsaas Ko samjha,Yeh Jaankar Behad Khushi Hui Hai..Aur Shukriya Hamesha Se Saath Dene Ka.. icon_salut
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: February 19, 2009, 12:09:51 AM »
Reply with quote
Har ghum bhula ke chalna hoga,
Ab kuch to faisla mujhe karna hoga

Zindagi maana ki aasaan nahin
Lab pe aati ab muskaan nahin
Khushion se koi pehchaan nahin
Taqdeer ko tadbeer se badalna hoga
Ab kuch to faisla mujhe karna hoga

Maana kaanton ki hai rahguzar
Manzil magar us paar hai muntazir
Faulaad hon iraade to kya hai darr
Hanste hue har imtehaan se guzarna hoga
Ab kuch to faisla mujhe karna hoga !!


Bahut Bahut Khoob Talat...Har Ek Alfaaz,Har Ek Line,Dil Ki Gehraai Tak Chuu Jaati Hai..Bahut Khoob Dost!! Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: February 19, 2009, 12:12:51 AM »
Reply with quote
Applause Applause
Bohat khoob khwaish ji ..

Very nice reply celmira sis ...


Bahut Bahut Shukriya HoneyRose....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 19, 2009, 12:15:26 AM »
Reply with quote
Waah waah waaha, Kya Khoob Bayaan Kiya Hai Khwaaish Bhai Aapne, Bohat Achche Har Girne waale Ke Liye ye Nazm Hausla Degi,.

Yunhi Likhte rahein,.

Aur Talat Sis, Aapki Nazm ka Bhi Koi Jawaab Nahi, Badhiya Har Baar Ki tarah,.



Teh Dil Se Aapka Shukriya Azeem Bro...Apne Is Nazm Ke Ehsaas Ko Bakhoobi Samjha..Bahut Bahut Shukriya Aapka..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: February 19, 2009, 12:20:28 AM »
Reply with quote
Jo Girrna Seekhe, Wohi Sambhalna Jaane,.
Zindagi Ki Raahon Mien, Wohi Chalna Jaane,.

Yun To Toot Jaate Hain Log Haarte Hi,.
Jo Suraj Dhalta Hai, Wohi Ubharna Jaane,.
Jo Girrna Seekhe, Wohi Chalna Jaane,.

____________________-Jaanasheen-

Jo Suraj Dhalta Hai,Wohi Ubarna Jaane,
Jo Girna Seekhe,Wohi Chalna Jaane...

Kya Baat Kahin Hai Azeem Bro..Aapke Iss Sher Par Laakho Daad Haazir Hai..
Bahut Bahut Khoob Bro Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: February 19, 2009, 12:22:31 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Aap Sab Ka jo Aapne Iss Nazm Ko Padha Aur Saraha..
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 05:23:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.152 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer