Adab se aao....(Haider)

by Ghulam Haider on July 08, 2010, 02:16:20 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1338 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Ahl e bazm Aadaab !
Aap dostoN ki khidmat meN phir aik tazah peshkash le ke aaya hoN, Mauzoo' talkh hai shayad kisi ko koi baat buri na lagegi....Lekin haalaat ka taqaza hai to kehna paRta hai....

Adab se aao, yahaN be adab ka kaam nahiN.
Ye bazm e khaas hai logo! ye bazm e a'am nahiN.

Wo sochte haiN ke jeeteNge jang baatoN se,
Ye aur kya hai jo un ka khayaal e khaam nahiN.

Hai mera kaam mohabbat, hai meri raah wafa,
Qadam uThaoN a'daawat ko mera kaam nahiN.

Khabar to unki ba har Haal mujhko leni hai,
Kisi ka un ki nigaahoN meN iHtiraam nahiN.

Fisaad o shar ke liye muNh uThaye phirte haiN,
Sukoon o amn ho qaaim unheN qiyaam nahiN.

Abhi mujhe nahiN fursat kisi se laRne ki,
Phir un ki TaaNg na toRi to mera naam NahiN.

Meri nigaah se bach kar wo bhaage phirte haiN,
To sochte haiN yahaN koi rok-thaam nahiN.

Khitaab un se hi karna hai bar mala mujh ko,
Ke saamne mere ab aur koi jaam nahiN.

Khuda rHeem hai sab ki niyat se waaqif hai,
Kisi ke haath meN us ka koi nizaam nahiN.

Badal diya mujhe kis ke khayaal ne Haider,
Lagega jaise kisi se duwa-salaam nahiN.

Logged
javedarshad
Guest
«Reply #1 on: July 08, 2010, 04:37:41 PM »

Wah Haider Sb wah wah

Jo hain ibnulwaqt aur sher ke shadayee hain
batoon sekab sudherte hain nafs ka naam nahin

javed
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #2 on: July 09, 2010, 02:15:41 AM »
Reply with quote

   Waah Waah Waah Waah! bahut khoob bahut hi achha likha hai hamesha ki tarah. hello2 hello2
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #3 on: July 09, 2010, 03:40:54 AM »
Reply with quote
Pasand karne ke liye shukriya Tamanna ji aur javed Arshad ka. Mera maqsad kabhi kisi ka dil dukhana nahiN hota, lekin kabhi 2 haalaat aise hote haiN ke phir fikr badalni paRti hai.
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #4 on: July 09, 2010, 12:14:50 PM »
Reply with quote
Ahl e bazm Aadaab !
Aap dostoN ki khidmat meN phir aik tazah peshkash le ke aaya hoN, Mauzoo' talkh hai shayad kisi ko koi baat buri na lagegi....Lekin haalaat ka taqaza hai to kehna paRta hai....

Adab se aao, yahaN be adab ka kaam nahiN.
Ye bazm e khaas hai logo! ye bazm e a'am nahiN.

Wo sochte haiN ke jeeteNge jang baatoN se,
Ye aur kya hai jo un ka khayaal e khaam nahiN.

Hai mera kaam mohabbat, hai meri raah wafa,
Qadam uThaoN a'daawat ko mera kaam nahiN.

Khabar to unki ba har Haal mujhko leni hai,
Kisi ka un ki nigaahoN meN iHtiraam nahiN.

Fisaad o shar ke liye muNh uThaye phirte haiN,
Sukoon o amn ho qaaim unheN qiyaam nahiN.

Abhi mujhe nahiN fursat kisi se laRne ki,
Phir un ki TaaNg na toRi to mera naam NahiN.

Meri nigaah se bach kar wo bhaage phirte haiN,
To sochte haiN yahaN koi rok-thaam nahiN.

Khitaab un se hi karna hai bar mala mujh ko,
Ke saamne mere ab aur koi jaam nahiN.

Khuda rHeem hai sab ki niyat se waaqif hai,
Kisi ke haath meN us ka koi nizaam nahiN.

Badal diya mujhe kis ke khayaal ne Haider,
Lagega jaise kisi se duwa-salaam nahiN.

Bahut khoob haidar Sahab ..........SuperB Creation... har ashaar ko dil se daad hazir hai...qubuul farmaayen... yunhi aur behtar kalaam ke saath aate rahen... khush rahen....

apna khayal rakhen...
duaaon ke saath...
Logged
ishk ek ibadat
Guest
«Reply #5 on: July 10, 2010, 08:23:42 AM »
Reply with quote
Ahl e bazm Aadaab !
Aap dostoN ki khidmat meN phir aik tazah peshkash le ke aaya hoN, Mauzoo' talkh hai shayad kisi ko koi baat buri na lagegi....Lekin haalaat ka taqaza hai to kehna paRta hai....

Adab se aao, yahaN be adab ka kaam nahiN.
Ye bazm e khaas hai logo! ye bazm e a'am nahiN.

Wo sochte haiN ke jeeteNge jang baatoN se,
Ye aur kya hai jo un ka khayaal e khaam nahiN.

Hai mera kaam mohabbat, hai meri raah wafa,
Qadam uThaoN a'daawat ko mera kaam nahiN.

Khabar to unki ba har Haal mujhko leni hai,
Kisi ka un ki nigaahoN meN iHtiraam nahiN.

Fisaad o shar ke liye muNh uThaye phirte haiN,
Sukoon o amn ho qaaim unheN qiyaam nahiN.

Abhi mujhe nahiN fursat kisi se laRne ki,
Phir un ki TaaNg na toRi to mera naam NahiN.

Meri nigaah se bach kar wo bhaage phirte haiN,
To sochte haiN yahaN koi rok-thaam nahiN.

Khitaab un se hi karna hai bar mala mujh ko,
Ke saamne mere ab aur koi jaam nahiN.

Khuda rHeem hai sab ki niyat se waaqif hai,
Kisi ke haath meN us ka koi nizaam nahiN.

Badal diya mujhe kis ke khayaal ne Haider,
Lagega jaise kisi se duwa-salaam nahiN.

dil se daad haider bhai wah aise hi lihte rahen
duaon ke saath
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #6 on: July 11, 2010, 02:32:39 AM »
Reply with quote
Pasand karne ke liye "anshumali" ji aur "ishk ek ibaadat" ji donoN ka be hadd shur guzaar hoN ke meri is ghazal ko waqt diya aur pasand bhi kiya.
Aap dost bhi hamesha khush raheN aur apna khayaal rakheN.
Mukhlis : Haider
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: July 14, 2012, 10:10:36 AM »
Reply with quote
Bahut umda kalaam haider sahab
Kya baat hai
Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 05:35:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer