Apne Hi Ghar Ke Ajnabi Hue,.

by Jaanasheen on May 14, 2009, 08:48:56 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2018 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Ye Tanz Main Unki Nazar Karta Hoon, Jinhone Mere Dil Ko Dukh Pahoonchaaya,
Rab Unhe Khush Rakhe,.


Paala Jin Haaton Se Bachchon Ko Maine,.
Aaj Hum Hi Se Wo Bagaawat Kar Baithe,.

Nazar Andaaz Jo Karta Raha Aiab Sabke,.
Bade Kya Hue, Hamaari Hi Shikaayat Kar Baithe,.

Apna Hi Ghar Chord Jaane Ka Dil Karta Hai,.
Ajnabiyon Jaisi Apni Haalat Kar Baithe,.

Thokar To Lagna Hi Tha "Azeem, Tumhe,.
Jo Tum Pattharon Ki Sohbat Kar Baithe,.

Ab Door Hi Rehna Achcha Hai Apno Se,.
Apne Hi Jab Elzaam Lagaane Ki Jurrat Kar Baithe,.

_____________________________-Azeem-


Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #1 on: May 14, 2009, 09:03:16 AM »
Reply with quote
bahoot khoob azeem bhaayee.. bahut khoob

Netra.....
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: May 14, 2009, 09:14:28 AM »
Reply with quote
aapne bahut khoob likha azeem ji,par pliz jisne bhi aap ke dil dukhaya
unhe maaf karde.you r a very good person.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: May 14, 2009, 09:53:24 AM »
Reply with quote
Oye chote kya hua kisne kya keh diya mere bhai ko.......Yaar tu tention na le chal ab fatafat muskura de.

Tere hotho pe tanz, achcha nahi lagta

Tujhme shamil ho aadat Ghayel ki, achcha nahi lagta

Tu ek khushboo hain masumiyat ki sharafat ki

Tujhse aaye mehak nafrat ki, achcha nahi lagta...

Logged
diya786
Guest
«Reply #4 on: May 14, 2009, 10:36:42 AM »
Reply with quote
Bahut hi umda peshkash hai Azeem  Applause Applause Applause
too good
bas itna hi kahongi ki
aapki fitrat mein nahin kisi se bhi naraaz hona
jisne bhi aapko gham diya hai laazmi hai uska bhi ghamgeen hona...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: May 14, 2009, 05:01:20 PM »
Reply with quote
Nice one Azeem... Par ek baat kehna chahungi...


tere saath rahi raunak hamesha is mehfil-e-roshan ki,
tere saath hanse tere saath roya hai har dil yahan,
is ghar ki har deewar bani hai teri pyaari muskaan ki,
kaise chhod ke jaoge pyaar se bhara ye haseen jahan...
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #6 on: May 15, 2009, 01:11:36 AM »
Reply with quote
WAH WAH AZEEM
BAHUT KHUBSURAT LIKHA HAI
SARVESH RASTOGI
Logged
Pramod singh
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 23 hours and 9 minutes.

main shayar badnaam

Posts: 460
Member Since: Feb 2012


View Profile
«Reply #7 on: February 13, 2016, 11:56:07 AM »
Reply with quote
Khoobsoorat behterein
sanzeeda khayalat hain
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: November 16, 2016, 10:22:29 PM »
Reply with quote
Ye Tanz Main Unki Nazar Karta Hoon, Jinhone Mere Dil Ko Dukh Pahoonchaaya,
Rab Unhe Khush Rakhe,.


Paala Jin Haaton Se Bachchon Ko Maine,.
Aaj Hum Hi Se Wo Bagaawat Kar Baithe,.

Nazar Andaaz Jo Karta Raha Aiab Sabke,.
Bade Kya Hue, Hamaari Hi Shikaayat Kar Baithe,.

Apna Hi Ghar Chord Jaane Ka Dil Karta Hai,.
Ajnabiyon Jaisi Apni Haalat Kar Baithe,.

Thokar To Lagna Hi Tha "Azeem, Tumhe,.
Jo Tum Pattharon Ki Sohbat Kar Baithe,.

Ab Door Hi Rehna Achcha Hai Apno Se,.
Apne Hi Jab Elzaam Lagaane Ki Jurrat Kar Baithe,.

_____________________________-Azeem-




Nice lines Azeem!!
subject bahoot acha hai.... kisi din likhugi is per.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:07:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer