APNEE NAZR.ON SE GIRAA DIYAA MUGHE(MUJHE)!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

by qalb on August 01, 2014, 07:25:47 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2360 times)
qalb
Guest
Reply with quote

bosses!!!!!!!!!!!! icon_geek icon_geek drunken_smilie drunken_smilie

kuch 3 mahine qabal ek bahut hee mashur aur maroof YOINDIA ke shaayar sahaab ko main ne unke kalaam per ye comment kiya ke aap MUGHE YA MUGHKO ghalat likhte hain  MUJHE ya MUJHKO likho aur doosree baat main ne ye kahaa ke aap ke jaisa hee ghalat MAYUR SRIVASTAV bhee likhte hain. buss isee baat per vo shaayar sahib PM kar ke mujhe kahne lage aap ke kahne ka matlab kyaa hai main ne aap ko apna guru manaa thaa aaj se aap mere nazaro.n se gir gaye aur aap please mere kalaam ko bhee naa padhe. yaqeen maaniye vo mashhoor shayaar saahab ne nazr.on se kyaa girayaa kee mere toh haddee paslee takk ek ho gaee. kaafee din.on takk HASPATAAL me.N ilaaj chaltaa rahaa ab jaa kar kuch recover hua hai to aap ke saam ne haazir hoon.

   ab har SAINEE title DR S.K SAINEE yaa SIDDIQUI title FH SIDDIQUI toh nahin ho sakta hai ................boliye!!!!!!!!!!!!!!!!

main kuchh likhne.N kee koshish kar rahaa hoon. meree bhee Urdu iss chakkar me.N kharaab ho gaee hai!!!!!!!!!!!!!!!  sirf padhe.N ------samajhne kee koshish na kare.N BangHead BangHead BangHead


                           giraa kar najar se mughe(mujhe) be-dum kar diya.
                           achhee khaasee  sehat  ko  kum  kar  diya.

                           tere zajbaat samghne(samajhne)kee koshis me.N.
                           her  ek  pathar  taraash  kar  sanam kar diya.

                           kaffa-kafaa  sa kyon rahtaa hai mugh se toooo.
                           dekh  apne  jakhhm.on  ko hee marham kar diya.

                           tughe YOINDIA kee vaat lagaane kee izaajat hai.
                           toone acche khaase bajm ke naak me.N dum kar diya.

                           sahee alfaaj ke bina gajjal jindaa nahin rahtee.
                           sookhe chaman me.N bahwr.ON ne aanaa kam kar diya.

                           jaraa rukk jaa qalb ke roj-roj tooo kyon likhta hai.
                           achhee khaasee hansee-khushee ko ek gum kar diya.
                          
                          
                          

                          
                  
Logged
NakulG
Maqbool Shayar
****

Rau: 63
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 23 hours and 55 minutes.
Posts: 804
Member Since: Apr 2014


View Profile WWW
«Reply #1 on: August 01, 2014, 09:39:42 AM »
Reply with quote
Waah.
Aapne gusse me aa kar
Ghazal ko gajjal kar diya
Logged
premdeep
Guest
«Reply #2 on: August 01, 2014, 10:32:28 AM »
Reply with quote
qalbji ap ek acche shayar hain shayari mein sanjeedgi bahut zaruri hoti hai agar koi galat likta hai to use batayen par khayal rakhein uski bhavana ko thes na pahunche yun sareaam kisi ka mazak udana sahi nahi hai rahi baat sainiji ya siddiqui sir ki ko behtareen shayar hain par iska matlab ye nahi baki sabhi bekaar hain sabka apna alag andaaz hota hai naye shayaron ko appreciate karna chaiye aasha hai aap meri baat se kuch sehmat honge.khush rahein.. 
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: August 01, 2014, 11:04:38 AM »
Reply with quote
waah waah bhai bahut intezaar karwaayaa khudaa salaamat rakkhe
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #4 on: August 01, 2014, 06:26:36 PM »
Reply with quote
waah waah sahib
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #5 on: August 01, 2014, 08:52:11 PM »
Reply with quote
Waah waah waah Janaab bahut khoob, der aaye darust aaye, bahut daad.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #6 on: August 02, 2014, 04:43:29 AM »
Reply with quote
bahut khub qalbji....

qalbji.... ham sabhi kahin kahin galtiyan karte hain aur ye forum ek aisi jagah hai jahan hamen aapni kala ko nikharne ka awasar milta hai.... ham hamesha chahte hain ki taliyon ke sath kuch sikhne ko bhi mile.... aur agar koi shayar kuch sujhav de ya hame kahin sudhar ki gunjaish bataye to khushi ki baat hai......
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #7 on: August 02, 2014, 07:23:32 AM »
Reply with quote
very nice, shayar bhavnao se jur kar hi achha likh pata hai
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #8 on: August 02, 2014, 07:35:03 AM »
Reply with quote
Palkon pe bithate hain log,
nazron se girane ke liye . {n.m}

Qalb sahab pehle to apki mizaaj ko sunke afsos hua Usual Smile

dusri baat ye ke jo koi kisi ko guru mane to uske samjhane ko
batane ko sikhane ko sar aankhon per rakhe na ke nazron se giraye.

khair teesri baat ye ke Qalb sahab apne bohut hi sahi nishan dehi ki hai main ap se sehmat hoon ,urdu ka talaffuz hi uski jaan hai pehchaan hai,

Yahan "ja" aur "za" ka bhi ghalat jagah istemal hora hai,

zindagi kehna hoto kehnge jindagi
janwar kehna hoto kehenge zanwar.

muze aur tuze
yani mujhe aur tujhe.
ko to alag hi rehnedo

is ki islaah zaroori hai.
guftugu ka asal maza to talaffuz se ata hai.

iske ilawa kisi ka dil dukhana maqsad nahi tha.
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #9 on: August 02, 2014, 08:54:00 PM »
Reply with quote
Good one.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #10 on: August 03, 2014, 10:44:13 AM »
Reply with quote

Qalb Sahaab Aadaab...!

Kia baat hai janab abhi toH aapke mizaaz thik haiN naa...
Behad sahiN aur khoobsurati se aapne apni baateN ko kalaam meiN dhalaa hai...

Waqai sach hai ke loG lafzoN ke sahiN talaffuz se bekhabar haiN aur sikhne meiN bhi apne aapko chhota samjh lete haiN...

Qair behad khoob kalaam kahi hai aapne...
Is khoob kalaam par humari dheroN dili daad O mubbarakabad kabul kijiye...

Likhate rahiye... Bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez...
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: August 05, 2014, 06:41:22 AM »
Reply with quote
Qalb saheb Adab . Khuda kare aap mukammal taur par roo-ba-sehat hon.Yeh baat likhte hichkicha bhi raha hoon ki kahin aapne hospitaliation wali baat mazaaqan to nahi kahi hai.Lekin kai maah ki ghair haziri iske mazaq nahin haqeeqat hone ki taraf ishara karti hai . Bahar haal aap ki sehat ke liye Allah taala se duago hoon .
 Hasb e mizaaj , aapne khubsurat tanz o mizaah se bharpoor takhleeq k sath waapsi ki hai jo qabil e sad daad hai aur na sirf khubsurat tanz hai balki eik suggestion bhi hai un logon k liye jo shayri mein dilchaspi rakhte hain aur chhoti chhoti ghaltiyon ko sudhaarne ki koshish nahin karte jo unhin ki shayeri ke liye zuroori hai .
 Yoindia bahut pyari Bazm hai , yahaan main ne bhi bahut kuchh seekha aur doston ka bhar poor pyar paya hai . Is Bazm ki khusoosyat hai ki har eik , even 12-13 saal ke bachhe bhi apni poems post kar sakte hain aur haousla afzai bhi paate hain. Lekin zuroori hai ki hum apni ghaltiyaan bhi sudhaarein taki hamaara shayeri ka shouq kisi standard ko pahunch sake aur 100 poems post karne ke baad bhi hum Anaadi na kahlaayein .Kisi zubaan mein uska pronunciation bahut aham hota hai . Hamaari Hindustaani zubaan jismein Urdu aur Hindi ke alfaaz shamil hain shayeri k liye bahut popular aur mauzu zubaan hai lekin Hindi ka lafz ho ya Urdu ka uske talaffuz ka khayal zuroor rakhna chahye 'Sheeshe' ko 'seesa' , Jaleel saheb ko Zaleel saheb kahna ya 'Darshan' ko darsan kahna kisi tarah munasib nahin . Aisi ghaltiyan is site par bahut hoti hain . Meri request apne sabhi doston se hai ki woh ilm ho jaane par aisi ghalti repeat na karein , aur aisi ghaltiyon ke point out kiye jaane par bura bhi na maanein . Hum sab eik doosre se seekhne ke liye hi is bazm mein hain .  
Logged
khujli
Guest
«Reply #12 on: August 16, 2014, 09:05:19 AM »
Reply with quote
Waah.
Aapne gusse me aa kar
Ghazal ko gajjal kar diya

 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
khujli
Guest
«Reply #13 on: August 18, 2014, 09:50:03 AM »
Reply with quote
qalbji ap ek acche shayar hain shayari mein sanjeedgi bahut zaruri hoti hai agar koi galat likta hai to use batayen par khayal rakhein uski bhavana ko thes na pahunche yun sareaam kisi ka mazak udana sahi nahi hai rahi baat sainiji ya siddiqui sir ki ko behtareen shayar hain par iska matlab ye nahi baki sabhi bekaar hain sabka apna alag andaaz hota hai naye shayaron ko appreciate karna chaiye aasha hai aap meri baat se kuch sehmat honge.khush rahein.. 

 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
khujli
Guest
«Reply #14 on: August 20, 2014, 04:50:10 AM »
Reply with quote
waah waah bhai bahut intezaar karwaayaa khudaa salaamat rakkhe


 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 12:52:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer