Aaj Se Do Din Pehle,Mere Ek Bahut Kareebi Dost Se Phone Par Meri Baat Ho Rahi Thi,Uss Baatcheet Ke Dauraan,unhone apni Zindagi ke Kuch Mushkile,Pareshaaniyaon Ke Baare Mein Mujhe Bataya..Jis Daur se Woh Guzre hai,Jo Imtehaan Unhone Zindagi Mein diye hai,yeh Kehte-Kehte,Phone Rakhte Waqt,Uss Dost Ne Aakhir Mein Yeh Baat Kahin Kahi Thi Ke,
"Aur Baaki Sab Theek Hai.."
Yeh Line mere Dil Mein Reh Gayi,Yeh Line Bahut Inspire Karti Hai, ke Insaan Chahe Kitna Bhi Pareshaan Kyon Naa Ho,Usse Waqt Ke Mutaabik,Zindagi Mein Chalte Rehne Ke Liye,Yeh Baat Kehni Hi Padhti Hai Ke Haan, Baaki Sab Theek Hai.....
Issi Soch Par,Kuch Likh Raha Hoon..
Neend Ka Kuch Pata Nahi Inn Aankhon Ko,
Neend Se Pehle Inn Aankhon Mein Aansu Aa Jaate Hai,
Waqt-Bewaqt Yeh Palkon Ko Bhiga Jaate Hai,
Sochta Hoon, Kyon Nahi Pahunchti Khuda Tak Yeh Meri Cheek Hai,
Kuch Gham Hai Paas Mere Par Baaki Sab Theek Hai....
Main Jab Hasta Hoon To Duniya Saath-Saath Hasti Hai,
Main Jab Rota Hoon To Koi Parchai Aas-Paas Bhi Nahi Dikhti Hai,
Khushiyon Mein Har Koi Mere Saath Hai,
Gham Mein Sirf Main Aur Mere Jazbaat Hai,
Duniya Ki Yeh Ajeeb Se Reet Hai,
Kuch Gham Hai Paas Mere Par Baaki Sab Theek Hai....
Zimmedariyon Ka Bhoj Mujhe Ab Uthaana Hai,
Chal Raha Hoon, Chalna Hai, Aur Chalte Hi jaana Hai,
Teri Hi Kuch Nishaniyaan Ab Mere Meet Hai,
Kuch Gham Hai Paas Mere Par Baaki Sab Theek Hai...
Kaanton Ki Parwaah Karta Raha,
Khabar Na Thi Ke Phool Bhi Chot De Jaate Hai,
Par Kisi Ne Sach Hi Kahan Tha Ke,
Kehne walo Ka Kuch nahi Jaata,
Dard Sehne wale Hi Kamaal Kar Jaate Hai,
Tujhe Khokar Main Sab Kuch Haar Gaya Hoon,
Par Ab Mehsoos Hota Hai,
Uss Haar Mein Bhi Shayad Meri Jeet Hai,
Kuch Gham Hai Paas Mere Par Baaki Sab Theek Hai.....
~~~~~KHWAISH~~~~~
kya kahun khwaish ji...jaise jaise aapki likhi rachnayen padhti ja rahi hun bas khoti ja rahi hun......
wowwww itna achcha kaise likh lete ho aap.......
mind blowing reeeeee.....
kuch likha hai....
aapki poem k samne kuch nahin par fir bhi..bas dil kiya to likh gai....
dekhkar bataiye kasi hai...
Dil me ek halki si khalish hai
Aankhon me kuch ashk namkeen hain
Hothon pe ek jhulsi si muskaan hai
Dil me kai dafan hue armaan hain
Par sach kehti hun mere dost
Baki sab kuch thik hai……
Kehne ko hain bhara pura pariwaar
Sathi hain mere kai maal daar
Har nigaah karti hai mujhe salaam
Lekin fir bhi lagta k ye mehfil me
Main nahin hun koi ajnabee hai
Sach kehti hun dost mere
Baki sab kuch thik hai…..
Nanhe k nanhe se hathon me
Kitaabein nahin jhuti plate hai
Aankhon me koi sapne nahin
Sharir par maar k neele dhabbe hain
Dar dar kar jaagta hai wo raaton me
Fir bhi yehi kehta hai mujhse
Didi baki sabkuch thik hai…..
Auron k dard me hum kyun
Apna gum dekh lete hain
Ek likhi kavita me kyun
Apni zindagi dekh lete hain
Karte rehte hain khuda se shikayat hardum
Dost mile to kehte hain..
Yaar baki sab kuch thik hai…….