Bacho Ka Khel Yahan Par Aaj Bhi Jaari Hai!!!!!

by khwaish on April 20, 2009, 04:44:33 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4099 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Yahan Par Aate Hi,Phir Kuch Nayi Baat,Naya Masla,Saamne Aaya Hai,Padhkar Kuch Ajeeb Sa Laga,Bas Iss liye Apni soch ko apni,Apni Baat Ko  iss Nazm Ke Zariye Kehna Chaahta Hoon..Umeed Karta Hoon,Iss Nazm Ko Sab Padhe Aur Samjhe..Shukriya...

Silsila Zakhm-Zakhm Jaari Hai,
Yeh Sar-Zameen Door Tak Humari Hai...

Humne Boye Hai Kuch Kaante Apne Hi Daaman Mein,
Chot Agar Pahunchti hai To Woh Apni Hi Zimmedari Hai....

Hum Khud To Ek Kashti Hai Aur Humne Dosti Samundar Ki Lehron Se Kar Li!!!
Agar Hum Ab Bhi Doobte Hai To Yeh Khata Humari Hai....

Iss Mehfil Se Kuch Ajeeb Sa Taa'uluk Hai Apna,
Iske Zarre-Zarre Se Apni Rishtedaari Hai....

"Khwaish" Ke Jeene Ka Andaaz Hi Kuch Aisa Hai,
Ke Jisse Woh dost Maanta Hai, Wahi uska Apna Hai!!
Yahan Par Jisse Yaari Hai, Bas Ussi Se Hi Yaari Hai....

Kal Dost The Aur Aaj Dushman!!!
Wah!! Wah!! Bacho Ka Khel Yahan Par Aaj Bhi Jaari Hai....

Muskura Gaya "Khwaish" Yeh Sab Halaat Dekh Kar,
Yahan Par Guzre Hue Waqt Par Aur Aaj Mein Koi Fark Nahi,
Aaj Bhi Wahi Dasha Humari Hai.....

Baat Aapas Mein Naa Sulaj Sake To Uss Baat Ka Tamasha Bana Do!!!
Aaj Ke Daur Mein To,Bas Yehi Duniyadaari Hai....

"Khwaish" Teri Kalam Hamehsa Sach Kyon Keh Deti hai!!!
Kuch Ajeeb Si Tujhe Yeh Bimaari Hai....
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: April 20, 2009, 04:57:16 PM »
Reply with quote
Bilkul Sach kaha Khwaish ji aapne.. Sachai se wakeef karaya hai mehfil ko

Par kehte hai na sachai bahoot kadwi hoti hai
Sach jante hue bhi log, sach pe parta karte hai...
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: April 20, 2009, 05:04:09 PM »
Reply with quote
Bahut accha aur sahi likha hai aapne Khwaish bhaiya
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: April 20, 2009, 05:24:36 PM »
Reply with quote
"Khwaish" Teri Kalam Hamehsa Sach Kyon Keh Deti hai!!!
Kuch Ajeeb Si Tujhe Yeh Bimaari Hai....




Sach hai Khwaish.......Logon ne Iss mehfil ko apni zaati dushmani nikaalne ka zariya bana liya hai...Jo baat araam se sulajh sakti hai use badha chadha ke phaila diya.....aur phir wohi log iss mehfil ko apna ghar kehte hain jab ki is ghar ki deewaron pe thokrain maarte hain !
Logged
pandit
Guest
«Reply #4 on: April 20, 2009, 05:27:44 PM »
Reply with quote
Yahan Par Aate Hi,Phir Kuch Nayi Baat,Naya Masla,Saamne Aaya Hai,Padhkar Kuch Ajeeb Sa Laga,Bas Iss liye Apni soch ko apni,Apni Baat Ko  iss Nazm Ke Zariye Kehna Chaahta Hoon..Umeed Karta Hoon,Iss Nazm Ko Sab Padhe..Shukriya...

Silsila Zakhm-Zakhm Jaari Hai,
Yeh Sar-Zameen Door Tak Humari Hai...

Humne Boye Hai Kuch Kaante Apne Hi Daaman Mein,
Chot Agar Pahunchti hai To Woh Apni Hi Zimmedari Hai....

Hum Khud To Ek Kashti Hai Aur Humne Dosti Samundar Ki Lehron Se Kar Li!!!
Agar Hum Ab Bhi Doobte Hai To Yeh Khata Humari Hai....

Iss Mehfil Se Kuch Ajeeb Sa Taa'uluk Hai Apna,
Iske Zarre-Zarre Se Apni Rishtedaari Hai....

"Khwaish" Ke Jeene Ka Andaaz Hi Kuch Aisa Hai,
Ke Jisse Woh dost Maanta Hai, Wahi uska Apna Hai!!
Yahan Par Jisse Yaari Hai, Bas Ussi Se Hi Yaari Hai....

Kal Dost The Aur Aaj Dushman!!!
Wah!! Wah!! Bacho Ka Khel Yahan Par Aaj Bhi Jaari Hai....

Muskura Gaya "Khwaish" Yeh Sab Halaat Dekh Kar,
Yahan Par Guzre Hue Waqt Par Aur Aaj Mein Koi Fark Nahi,
Aaj Bhi Wahi Dasha Humari Hai.....

Baat Aapas Mein Naa Sulaj Sake To Uss Baat Ka Tamasha Bana Do!!!
Aaj Ke Daur Mein To,Bas Yehi Duniyadaari Hai....

"Khwaish" Teri Kalam Hamehsa Sach Kyon Keh Deti hai!!!
Kuch Ajeeb Si Tujhe Yeh Bimaari Hai....


Waah Khwaish jee..
bahut khoob...........
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: April 20, 2009, 06:33:34 PM »
Reply with quote
Bilkul Sach kaha Khwaish ji aapne.. Sachai se wakeef karaya hai mehfil ko

Par kehte hai na sachai bahoot kadwi hoti hai
Sach jante hue bhi log, sach pe parta karte hai...

Bahut Bahut Shukriya Sophi..Aur Haan Bilkul Sach Kaha Aapne,Ke Vaakai Sach Bahut Kadwa Hota Hai,Par Sophi Sach Kehne Wale Se Zyaada Sach Ko Suune Wale Ki Tareef Hai...Aaj yeh Sab Dekh Kar,Kisi shayar Ka Ek Sher Yaad Aata Hai...
       
        Dosti Jab kisi Se Ki Jaaye,
       Dushmano Ki Bhi Raaye Li Jaaye....

Mujhe afsos iss baat ka hai,ke sach mein bacho ka khel ho gaya hai yeh sab!!kuch pal mein dost,aur kuch pal mein dushman..hairaan hoon main iss baat se..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: April 21, 2009, 02:57:48 AM »
Reply with quote
This is the truth today...
Your poem should be an eyeopener for the members who really claim yoindia to be family but then at the same time use this FAMILY to dump their personal grievances and a source to take revenge.

This can just bring disappointment for people for whom YOINDIA Is really a family.....

Very well written Khwaish ji...

Baat Aapas Mein Naa Sulaj Sake To Uss Baat Ka Tamasha Bana Do!!!
Aaj Ke Daur Mein To,Bas Yehi Duniyadaari Hai....


This is what needs to be understood by many people over here...
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #7 on: April 21, 2009, 09:30:11 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khub Khwahish ji
bilkul sach kaha hai aapne....aapke is poem ko yo ke har ek shaks ko padhna chahiye...jo baat khud nahi samajh sakte aapki ye poem saayad help kare samajhne me...pata nahi kya ho jata hai sabko.......
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: April 22, 2009, 05:21:02 AM »
Reply with quote
Bahut accha aur sahi likha hai aapne Khwaish bhaiya


Thankyou so much Roja For Appreciating!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: April 22, 2009, 05:27:02 AM »
Reply with quote
"Khwaish" Teri Kalam Hamehsa Sach Kyon Keh Deti hai!!!
Kuch Ajeeb Si Tujhe Yeh Bimaari Hai....




Sach hai Khwaish.......Logon ne Iss mehfil ko apni zaati dushmani nikaalne ka zariya bana liya hai...Jo baat araam se sulajh sakti hai use badha chadha ke phaila diya.....aur phir wohi log iss mehfil ko apna ghar kehte hain jab ki is ghar ki deewaron pe thokrain maarte hain !

Talat,Jo Main iss poetry ke zariye kehna chahhta tha,aapne woh baat sahi samjhi hai..Ab to Hum sab sirf Umeed Kar sakte hai ke phir aise Halaat naa ho..Bahut Bahut Shukriya aapka..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: April 22, 2009, 05:30:31 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause bahoot khoob Khwaish ji.

Nice comments Celmira, Sophi and Angel
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #11 on: April 22, 2009, 03:49:42 PM »
Reply with quote
jo insan phulon ki mala pirota h
phr uska hi daaman kaanto se bhar jata h....kyo
jisne kabi kisi k sath galat nai kiya hota
q usko ki hr kdam pr dhoka milta h......kyo

apne bahut khub baate khi h,khwaish ji.jinhe padh kr mera mn
inhi swalo k jwab dhund rha h

jisko apna mane,apna dost mane,gr wahi apke sath dga kre to........
aur gr insaan use uski galtiyon ka aehsaas krana chaht to.......
kya ye hoga bacho ka khel
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: April 24, 2009, 03:52:15 PM »
Reply with quote
Waah Khwaish jee..
bahut khoob...........

Bahut Bahut shukriya Panditji

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: April 24, 2009, 03:58:56 PM »
Reply with quote
Hay Mere Bhai, Kya Khoob Khaa Hai, Yaar, Bohat Bohat Achche,.
Kya Khoob Hai, Mashallah,.
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #14 on: April 26, 2009, 03:51:05 PM »
Reply with quote
hmare swalon ko aapke jwabon ka intjar h
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:54:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer