Bacho Ka Khel Yahan Par Aaj Bhi Jaari Hai!!!!!

by khwaish on April 20, 2009, 04:44:33 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4114 times)
Roja
Guest
«Reply #15 on: April 26, 2009, 04:12:14 PM »
Reply with quote
jo insan phulon ki mala pirota h
phr uska hi daaman kaanto se bhar jata h....kyo
jisne kabi kisi k sath galat nai kiya hota
q usko ki hr kdam pr dhoka milta h......kyo

apne bahut khub baate khi h,khwaish ji.jinhe padh kr mera mn
inhi swalo k jwab dhund rha h

jisko apna mane,apna dost mane,gr wahi apke sath dga kre to........
aur gr insaan use uski galtiyon ka aehsaas krana chaht to.......
kya ye hoga bacho ka khel

Her "Kyu" ka jawab nahi milta is dunia mein
Jab apna hi dhoka deta hai toh Sawal kare kinse?
Insan nadani se galati kiye toh koyi baat nahi
Koyi dushmani kar baita toh unhe
Yu hi maaf kaise sakte?
 
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #16 on: April 30, 2009, 05:17:26 PM »
Reply with quote
Her "Kyu" ka jawab nahi milta is dunia mein
Jab apna hi dhoka deta hai toh Sawal kare kinse?
Insan nadani se galati kiye toh koyi baat nahi
Koyi dushmani kar baita toh unhe
Yu hi maaf kaise sakte?
 
kaise badle in dushmano ki dushmani ko
inka faisla hmne khuda pr hi chod diya

bahut bahut shukriya roja ji,hme to lag rha tha k hmne khuch galat swal puch liye h
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: April 30, 2009, 05:26:10 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Roja and PP ji!!
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #18 on: April 30, 2009, 05:45:35 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Roja and PP ji!!
aap b khuch farmaiye pooja ji.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: April 30, 2009, 06:05:16 PM »
Reply with quote
aap b khuch farmaiye pooja ji.

Kaha apne to kahti hu, per, Shabdo mere main nami anna hai mushkil
Khwaish ji kah gaye jise prem se, aise mere liye samjhana hai mushkil

Boy parr (Tree) babool ke, to amm paana hai mushkil hai
Karmo ki gati rukati nahi, iske Vipreet phal paana hai mushkil

Kahne ko kah diya anjaane se ho jaati hai sab baatein
Per kuch baaton ko najar andaaz kar jaana hai mushkil

Shabd ate hai teer ki tarah, na jaane kyun mere
Mere liye cheeni ke ghol ke shabd bana kar lana hai mushkil

Kon apna hai yaha kon hai paraya, yah soche kyun
Mere liye kisi ko bhi ajnabi kah paana hai mushkil

Jis baat per chali thi yah baat aor hua tamasha
Us baat per ab dobara tamasha banana hai Mushkil

Kahne ko to Haq se kah jaati hai Pooja sabko yaha
Per her kisi ka Pooja ko seh paana hai mushkil
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #20 on: May 08, 2009, 06:51:14 PM »
Reply with quote
Hay Mere Bhai, Kya Khoob Khaa Hai, Yaar, Bohat Bohat Achche,.
Kya Khoob Hai, Mashallah,.

Bahut Bahut Shukriya Azeem...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #21 on: May 08, 2009, 06:57:35 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob likha hai Khwaish Ji
N nice responses from others
Esp. Pooja Ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #22 on: May 11, 2009, 07:08:02 PM »
Reply with quote
jo insan phulon ki mala pirota h
phr uska hi daaman kaanto se bhar jata h....kyo
jisne kabi kisi k sath galat nai kiya hota
q usko ki hr kdam pr dhoka milta h......kyo

apne bahut khub baate khi h,khwaish ji.jinhe padh kr mera mn
inhi swalo k jwab dhund rha h

jisko apna mane,apna dost mane,gr wahi apke sath dga kre to........
aur gr insaan use uski galtiyon ka aehsaas krana chaht to.......
kya ye hoga bacho ka khel

hmare swalon ko aapke jwabon ka intjar h

Sabse Pehle Main Muafi Chahunga aapse,ke jawaab dene mein bahut deri Hui Hai Pooja..rahi baat aapke sawaal ki,Aapka Sawaal Bahut gehra Hai,Kai Baar Insaan Isse Apne Karam Par Laakar Chod Deta hai,Jisne sab acha kiya ho,kisi ka bura naa chaha ho,Ussi Ke saath Bura Kyon hota Hai..Iss Baat Ka Jawaab Main Aapko Kavita Ke Roop Mein Hi Dena Chahunga..

Kayi Baar Zindagi mein Aisa Hota Hai,
Jo Naa Chahe Kisi Ka Bura!!
Ussi Ke Saath Bura Hota Hai...

Yeh Sab Baatein Hai Kismat Ki, Eh Mere Dost!!!
Yahan Par Chot Jisse Lagti Hai,
Phir Dard ussi Ko Hota Hai....

Aaj Ke Daur Mein Jo Chahe Har Ek Ka Bhala,
Aur Badle Mein Maange Kisi Se Kuch bhi Naa!!
Woh Insaan To phir Farishta Hi Hota Hai....

Auro Ki Galtiyon Ka Ehsaas Karane Wale Bahut Hai,
Khud Ki Galti Ko Maane Wale Bahut Kam!!!
Daga Hum khud Se Kar Bhi Le To Aakhir Kab Tak??
Aakhir Mein Woh Aur Uska Khuda Hi Hota Hai....

Bacho Ka Khel Nahi Hai Rishto Ko Nibhaana "pooja"
Sach To Yehi Hai Ke,
Har Ek Ke Naseeb Mein Kahan Apno Ka Pyaar Likha Hota hai....

Mere Karam Ki Main Jaanta Hoon,
Aapke Karam ki Aap,
Apna Har Ek Karam,
Acha Yaaa Bura,Waha Likha Hota Hai...

           ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #23 on: May 13, 2009, 06:32:12 PM »

"apna har ek karam wha likha hota h"
bahut khub farmaya khwaish ji aapne....
aapka bahut bahut shukriya . icon_salut Clapping Smiley

aur haan Khwaish ji...plz maafi mang kar aap mjhe sharminda mat kijiye....
aapne itni khubsurt dhang se mere swalon k jwab diye,mere liye yhi kaafi h.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: May 13, 2009, 07:35:01 PM »
Reply with quote
Good work Khwaish ji!!!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #25 on: May 14, 2009, 02:24:56 AM »
Reply with quote
kaise badle in dushmano ki dushmani ko
inka faisla hmne khuda pr hi chod diya

bahut bahut shukriya roja ji,hme to lag rha tha k hmne khuch galat swal puch liye h

Nahi dear koyi galat sawal nahi poocha aapne. Jo dil mein sawal aaye yahan zarur share karna...  Usual Smile

Badalta hai dushmani bi pyar jatane se
Hota kya nahi hai is dunia mein pyar se

Logged
Roja
Guest
«Reply #26 on: May 14, 2009, 02:27:16 AM »
Reply with quote
Quote
Kon apna hai yaha kon hai paraya, yah soche kyun
Mere liye kisi ko bhi ajnabi kah paana hai mushkil

Jis baat per chali thi yah baat aor hua tamasha
Us baat per ab dobara tamasha banana hai Mushkil

Lovely... Liked the above line very much. Isko kehte hai Pooja Chaap..  Usual Smile Thumbs UP
Logged
Roja
Guest
«Reply #27 on: May 14, 2009, 02:28:39 AM »
Reply with quote
Quote
Yeh Sab Baatein Hai Kismat Ki, Eh Mere Dost!!!
Yahan Par Chot Jisse Lagti Hai,
Phir Dard ussi Ko Hota Hai....

Aaj Ke Daur Mein Jo Chahe Har Ek Ka Bhala,
Aur Badle Mein Maange Kisi Se Kuch bhi Naa!!
Woh Insaan To phir Farishta Hi Hota Hai....

Bahut sahi likha hai aapne.... wah.. simply good  Thumbs UP
Logged
pandit
Guest
«Reply #28 on: May 14, 2009, 03:04:13 AM »
Reply with quote
GUD GUD..SABHI NE ACCHA LIKHA HAI...........
Logged
Sonu
Guest
«Reply #29 on: May 14, 2009, 03:35:32 AM »
Reply with quote
DOSTO BAHUT KHOOB SABHI NE BAHUT ACCHA LIKHA HAI
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:00:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer