*Badnam Gali*

by Roja on March 16, 2008, 01:11:03 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 5098 times)
Roja
Guest
Reply with quote
Tawayaf ki chahat paisa hai
Tum bhooke ho pyar ka

Tujhe talash hai dawa ki
Mere pass dard hai sansaar ka

Shamma jalakar bhuj jayegi
Jab gunguru baand tawayaf aayegi

Teri dunia bewafa hogi sanam
Aaj ki raat tawayaf saat nibayegi..

 tearyeyed
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ishq ki badnam gali by Raj in Shayri-E-Dard
BADNAM AASHIQ THA by mohammed avesh in Shayri-E-Dard
badnam by Sonu in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Phirta Tha Main Gali Gali by shafqatullah in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Badnam Hun Warna !! by Death Designer in Shayri for Khumar -e- Ishq
harashmahajan
Guest
«Reply #1 on: March 16, 2008, 03:58:58 PM »
Reply with quote
Achhe ahsaas haiN tumhaare roja per...kya kerooN.....tumne kalam chalane per mazboor kiya so likhna opada...do bhaav ek hi nazam maiN diye tumne.....pehla bhaav theek ker diya...doosra apne aap maiN samppoorn hai.....Khush rahiyega..ummid hai pasadn aayega...

Tawayaf ki chahat paisa hai
tera pyaar waisa ka waisa hai


Tujhe talash hai dawa ki
mere paas dard-e-sansaar aisa hai
__________________________________________

Shamma jalkar bhuj jayegi
Jab gunguru baand tawayaf aayegi

Teri dunia bewafa hogi sanam
Aaj ki raat tawayaf sath nibayegi..
 
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: March 16, 2008, 04:31:16 PM »
Reply with quote
Achhe ahsaas haiN tumhaare roja per...kya kerooN.....tumne kalam chalane per mazboor kiya so likhna opada...do bhaav ek hi nazam maiN diye tumne.....pehla bhaav theek ker diya...doosra apne aap maiN samppoorn hai.....Khush rahiyega..ummid hai pasadn aayega...

Tawayaf ki chahat paisa hai
tera pyaar waisa ka waisa hai


Tujhe talash hai dawa ki
mere paas dard-e-sansaar aisa hai
__________________________________________

Shamma jalkar bhuj jayegi
Jab gunguru baand tawayaf aayegi

Teri dunia bewafa hogi sanam
Aaj ki raat tawayaf sath nibayegi..
 


Bahut bahut shukhriya ji... aapne hame pada aur hamare
likhe ko toda aur accha tarike se likhakar meherbani ki.

Haan do ehsaason ko maine ek main hi mila diya tha.
Aage dyaan rakhungi. Thank you very kuch Harash ji.
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: March 16, 2008, 04:35:55 PM »
Reply with quote
Gungroo ki awaz ho
Ya jhankar ho kisi ke payal ki
Roke se nahi rukti
Chahe awaz ho kisi bhi shayar ki..!!
Logged
sarthika
Guest
«Reply #4 on: March 16, 2008, 06:58:37 PM »
Reply with quote
bahoot khoob roja and harsh...

gali hai badnaam, magar waha bhi izzatt basati hai
hoti hai izzatt, tabhi to roj raat lut.ti hai

atte hai izzattdaar sabhi, munh ko kyun chupa kar
yaha per bhi to poori ek dunia basati hai

dono dunia mai farak hai sirf itna
ek dunia mai izzaatt, lutai jaati hai izzatt se
jahan badnaam gali main, izzaatt badi be-izzatti se lut.ti hai

gali hai badnaam, magar waha bhi izzatt basati hai...........

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #5 on: March 16, 2008, 07:24:38 PM »
Reply with quote
Bohat hi acha likha hai Roja ... 
Nice going sarthika aur harash ji


Aaj aurat ki aasu kisney dekha
Jab bhi aurat majboor hue toh kon dekha

Book pyaas mein na dekhi usne sansar
Chal gaye aapni suli aur dey gaye aapni izzat hue badnam

Ek Roti kapda aur makan na milne par aurat ki izzat hogaye nilam
Ek chat pe sar chupa ney ke liye dey gaye woh kitne imtihaan

Aapni arzoo ka gala dafn karke woh kitne zulm dekhte gaye
Jab bhi aurat ki izzat duniya mein luth thi hai woh ek khilona ban jaati hai

Gali hue badnaam aur wahi subha ki kiran nikal thi hai
farq yehi hai wahan izzat bikti aurat ka dard bikta hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: March 17, 2008, 02:27:56 PM »
Reply with quote
bahoot khoob roja and harsh...

gali hai badnaam, magar waha bhi izzatt basati hai
hoti hai izzatt, tabhi to roj raat lut.ti hai

atte hai izzattdaar sabhi, munh ko kyun chupa kar
yaha per bhi to poori ek dunia basati hai

dono dunia mai farak hai sirf itna
ek dunia mai izzaatt, lutai jaati hai izzatt se
jahan badnaam gali main, izzaatt badi be-izzatti se lut.ti hai

gali hai badnaam, magar waha bhi izzatt basati hai...........

wah wah Sarthika sis... bahut khoob shabash Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: March 17, 2008, 02:30:02 PM »
Reply with quote
Nice 1 Honey
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: March 17, 2008, 02:31:58 PM »
Reply with quote
Badnam galiyon main rehte hai hum
Nahi hai ghar sharifon ke aashiyane main

Mehfil mili hai tohfe main
Huyi badnaam is zamane main
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: March 17, 2008, 02:34:07 PM »
Reply with quote
Bohot khoob Roja, Harash, Sarthika and Honey Applause
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #10 on: March 17, 2008, 03:24:32 PM »
Reply with quote
Shukriyah Talat sarthika Honey
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: March 17, 2008, 03:34:10 PM »
Reply with quote
Hu main badnaam gali se,
magar mujhe garoor hai
izaatdaar ban.ne wale jara yah to bata,
kis baat ka tujhe garoor hai

thak kar mere kadmo mai hi to atta hai
Phir kis munh se mujhe bazaru batlata hai
maana her raat tu mera daam lagata hai
apna sab kuch chor, bazar mai khud ko lata hai

hai sab kuch tere pass, phir bhi is badnaam gali mai atta hai
bazaro mai ghumta hai dard-b-dar, aor bazaru mujhe bulata hai
meri najar se dekh, mujhe tu sirf ek bhikhari najar atta hai
do pal ke jhoothe sukh ke liye, jo is badnaam gali mai atta hai.....



Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #12 on: March 17, 2008, 03:57:19 PM »
Reply with quote
bahoot achhe Pooja ji.....

Kaash badnaam GalioN maiN humm na aaye hote
Khwab jo dekhe thr hamne yuiN na jagaye hote
Izzat daar ban.ne ka chalan be-mani hai yahaN
Chund lamhoN ke liye wo sab na ganwwaye hote


harash
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: March 18, 2008, 02:49:20 AM »
Reply with quote
bahoot achhe Pooja ji.....

Kaash badnaam GalioN maiN humm na aaye hote
Khwab jo dekhe thr hamne yuiN na jagaye hote
Izzat daar ban.ne ka chalan be-mani hai yahaN
Chund lamhoN ke liye wo sab na ganwwaye hote


harash

Wah
Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: March 18, 2008, 02:51:05 AM »
Reply with quote
Jab mehfil main aap aaye
Tab gungroo baand ke aana pada

Armaan hamare khak huwe
Jab mehfil hame zajana pada
 tearyeyed
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:07:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer