Pata nahin ke yeh kalam yeh section main dalna hai ya nahin...Main toh bas ek awaz dil ki, ek pukar dil ki, ek shikayat dil ki ponchana chahta hoon...Umeed hai pasand bhi ayegi aur meri awaz dil ko chooegi..
Main ek dukhi mann se kehta hoon ke aj ke halat ke hisab se dekha jaye toh Pakistani aur Musalman atangwadi samjhe jate hai...Yeh kalam har ek shariff Pakistani aur shariff Musalman ki awaz hai...Atleast yeh meri dil ki awaz hai...Yeh dil jo thak gaya hai giri hui nazron se dekha jana, thukraya jana, ilzam sehte sehte..
Yeh kalam ager apke dil tak ponchi ho toh next time ek Pakistani ko terrorist bulane se pehle, yeh kalam yaad kar lena...Next time ek musalman ko terrorist samajne se pehle, yeh kalam yaad kar lena...
Yeh kalam mere dil ki guzarish bhi hai, shikayat bhi hai, guhar bhi hai, dua bhi hai, arzoo bhi hai, cheek bhi hai...Pata nahin aur kya kya hai...
Ager kisi ko bhi achi nahin lagi ho ya dukh poncha ho, toh bada dil rakh 'Rahim' ko maaf kardena...
Bahaut dukh hota hai mujhe…
Atangwadi aur deshatgard bulaya jata hoon,
Kyun main ek insaan nahin samjha jata hoon,
Kya ek musalman hona ek gunaah hai?
Ager nahin; toh kyun aisi giri hui nazron se dekha jata hoon?
Bahaut dukh hota hai mujhe…
Mana ke meri mazhab ke kuch log galat kar rahe hai,
Par kyun hum saab galat samjhe jaa rahe hai?
Hum main bhi kuch aise hai jo aman aur shanti chahte hai,
Duniya walon ke tane sunn; ander hi ander marte jaa raha hoon,
Bahaut dukh hota hai mujhe…
Mere watan ko bhi aj kal galat nazron se dekha jata hai,
Halake uss main duniya bhar ki khubsoorati samayi hai,
Bas kuch zalimon ne yahan dehshat phelayi hai,
Bass unn chandd ki wajah se main barbad hua jaa raha hoon,
Bahaut dukh hota hai mujhe…
Ager who hume marr rahe hai toh hume bhi unhe marna chahiye,
Mager ehsaas hota hai ke Allah ne logon ko marne ke liye nahin banaya,
Ab toh bas uss parvardigar se yehi dua mangta hoon,
Ke mere watan aur mazhab; dono ko bacha le,
Phir se who izzat nawaz de jo humara haq hai,
Phir se mohobat fela de iss andheri duniya main,
Par tab tak,
Main ujaadta jaa raha hoon,
Dard main tadapta jaa raha hoon,
Ander hi ander toot’te jaa raha hoon,
Lekin haan jaise barson se saab karte aye hai,
Main bhi bardasht karte jaa raha hoon,
Sab sehte jaa raha hoon,
Mager sache; bhari; udaas; shikayat bhare dil se kehta hai ‘Rahim’,
Bahaut dukh hota hai mujhe…
~Rahim~