Bande Hi mile sub kissi me bandagi nahi mili !!

by abdulqadeer on January 19, 2009, 10:22:04 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 6220 times)
Shikha12
Guest
«Reply #30 on: January 20, 2009, 01:50:15 PM »
Reply with quote
ghazal ke isharoon ko samjah gaye to daad se nawaz dena !!

Dhondte rahe umra bhar manzil nahi mili !!
Charagon ki sarparasti me raushni nahi mili !!
Tera har zulm sar ankhoon pe utha lete !!
Manga  bahoth khuda se magar zindagi nahi mili !!

Muddath tak tere shaher me dhoondte rahe hum !!
Bande hi mile sub kissi me bandagi nahi mili !!

Umra bhar apne begunha hone ki saza kati humne !!
Gunha hoga jo mustaqbil ko maazi ki haqiqath nahi mili !!

Gali ke har nukkad pe maine maa-baap ki laash dekhi !!
Shayad kissi bete ko daulath-a- wasihath nahi mili !!

Kab tak khush bahali ki baten karke tassali doge !!
Aj bhi mere desh me kissi bhuke ko rooti nahi mili !!

Waqath ne hame  kuch is qadar badal diya !!
Aine hazaro dekhe magar apni surath nahi mili !!

Aur un parindoon ki bagawath jaiz hai Qadeer !!
Jinhe raath guzarne apne hi paid ki shaaqen nahi mili !!

Qadeer Toopchi
From India !!


Applause Applause
Tareef karne ke liye shabdon ki kami hai Qadeer Ji..

Aapne Bahut khoobsurti se aapne khayaalon ko baandha hai.. Bahut achhi rachna hai.. Likhte rahiyega.. Thumbs UP
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khawab jhootay kissi ko dikhaya nahi kertay by Dewana_Badal in Shayri-E-Dard
mohabbat nahi mili........ by nice_off_me in Shayri-E-Dard
Apne Gam khud Jhilte hain kissi se Gila nahi Karte by abdulqadeer in Ghazals
Kissi Ki AQri Hichki kissi ki dil laggi hogi !! by abdulqadeer in Ghazals
Azadi nahi mili........( Ghayel ) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Shikha12
Guest
«Reply #31 on: January 20, 2009, 01:52:52 PM »
Reply with quote
Qadeer khud ko rok nahi paya aur kisi tarah time nikal ke kuch likha hain bas yu samajhna aapne hi likha hain.....

Woh shehar bohat dhoondha, jaha thoda ho andhera
Jalti na ho koi, woh basti nahi mili !!

Izzat se uthe doli, khushiyo ki mile sej
Gareeb beti ke baap ko, aisi koi khushi nahi mili !!

Do roti ki hain ghulamai, do saso ki hain ghulami
Desh azad to hain mera, q muje azadi nahi mili !!

Woh kitna zaheen tha, tha ghar me sabka ladla
Mar gaya woh bhookhe pet, par naukri nahi mili !!

Q meri sune koi, GHAYEL me khas kya hain
Jab dhoondta raha khuda bhi, use bandagi nahi mili !!

                           -Sajid Ghayel-


Waah Waah... Bahut khoob likha hai aapne Sajid ji..

Sach kadwa hota hai lekin aapki lekhni kadwe sach ko bhi khoobsurati mein dhaal deti hai..

Logged
Jhuki Palkein
Guest
«Reply #32 on: January 20, 2009, 02:04:14 PM »
Reply with quote
Masha'Allah,

Abdul Jee Kya La-Jawab Likha Hai Aapne.
Aapki Shayari Mein Aik Ajeeb Si Kashish Dikhi.
Aapki Jitni Bhi Tareef Ki Jaye Kam Hai!

Bas Aap Likhte Rahiye,
Khush Rahiye..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #33 on: January 20, 2009, 04:43:16 PM »
Reply with quote
Qadeer khud ko rok nahi paya aur kisi tarah time nikal ke kuch likha hain bas yu samajhna aapne hi likha hain.....

Woh shehar bohat dhoondha, jaha thoda ho andhera
Jalti na ho koi, woh basti nahi mili !!

Izzat se uthe doli, khushiyo ki mile sej
Gareeb beti ke baap ko, aisi koi khushi nahi mili !!

Do roti ki hain ghulamai, do saso ki hain ghulami
Desh azad to hain mera, q muje azadi nahi mili !!

Woh kitna zaheen tha, tha ghar me sabka ladla
Mar gaya woh bhookhe pet, par naukri nahi mili !!

Q meri sune koi, GHAYEL me khas kya hain
Jab dhoondta raha khuda bhi, use bandagi nahi mili !!

                           -Sajid Ghayel-


Bahut Bahut Khoob Sajid Bhai..Aapne Bhi Khoob Likha Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #34 on: January 20, 2009, 04:54:48 PM »
Reply with quote
Ek Choti Si Koshish Meri Taraf Se Bhi..Naa Pasand Aaye To Gustaaki Maaf Kar Dena...

Har Khushi Ke Aankh Mein Aansuu Mile
Ek Hi Sikke Ke Do Pehlu Mile...

Zindagi Ko Jeene Ki Wajah Dhoond Raha Tha Woh,
Usse Har Mod Par Jo Mushkile Mile....

Yeh To Apne-Apne Haulso Ki Baat Hai,
Yahan To Suraj Se Bhidte Hue Jugnu Mile....

Uske Aankh se Aansuo Ka Karvaan Rukhta Bhi Kaise,
Aankhon mein uske jo Ghamo ke Samundar Mile....

Bhagaawat Koi Kar Bhi Nahi Sakta Apne Taqdeer Se,
Insaan To Chahhega Usse Duniya Ki Har Khushi Mile....


"khwaish" Aaj Ke Daur Mein
Insaan Insaan se mile To Kya Mile??
Baat To Tab Hai
Jab Dil Dil Se Mile....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #35 on: January 20, 2009, 05:00:50 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob khwaish ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #36 on: January 20, 2009, 05:16:36 PM »
Reply with quote
Ek Choti Si Koshish Meri Taraf Se Bhi..Naa Pasand Aaye To Gustaaki Maaf Kar Dena...

Har Khushi Ke Aankh Mein Aansuu Mile
Ek Hi Sikke Ke Do Pehlu Mile...

Zindagi Ko Jeene Ki Wajah Dhoond Raha Tha Woh,
Usse Har Mod Par Jo Mushkile Mile....

Yeh To Apne-Apne Haulso Ki Baat Hai,
Yahan To Suraj Se Bhidte Hue Jugnu Mile....

Uske Aankh se Aansuo Ka Karvaan Rukhta Bhi Kaise,
Aankhon mein uske jo Ghamo ke Samundar Mile....

Bhagaawat Koi Kar Bhi Nahi Sakta Apne Taqdeer Se,
Insaan To Chahhega Usse Duniya Ki Har Khushi Mile....


"khwaish" Aaj Ke Daur Mein
Insaan Insaan se mile To Kya Mile??
Baat To Tab Hai
Jab Dil Dil Se Mile....



WAH WAH KHAWISH , KYA PYARI BAAT KAHI HAI AAP NE
Baat To Tab Hai
Jab Dil Dil Se Mile

BAHUT HI BADIYA...

JASBIR SINGH
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #37 on: January 21, 2009, 07:53:20 AM »
Reply with quote
Applause Applause
Tareef karne ke liye shabdon ki kami hai Qadeer Ji..

Aapne Bahut khoobsurti se aapne khayaalon ko baandha hai.. Bahut achhi rachna hai.. Likhte rahiyega.. Thumbs UP

Bahot Bahot Shukriya Mahiya Ji appne hamari Ghazal ko waqath diya aur isko baqoobi samjha !! Apke Ahesan mandh hain hum !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #38 on: January 21, 2009, 08:27:19 AM »
Reply with quote
Pyare dost ki pyari si farmaish thi ke main yeh ghazal miss na karu aur Qurban jaoo us farmaish pe warna itni achchi peshkash shayed miss ho jati.
Bohat khoob Qadeer Jab aakhe ek manzar dekhti hain dimag me aur rooh jab us manzar ko mehsoos karti hain tab dil se jo aawaz nikalti hain kasam khuda ki ya to SHAYRI ho sakti hain ya DUA.

Ghayel tumhare is kalam ko dil se salam karta hain Qadeer  Clapping Smiley



Bahoth Bahoth Shukriya Sajid Apne Hamari Ghazal padke hamme Samman Diya !! Aur Shukriya janab apne is nacheez ko izzath bakshi allah hum sub ko zindagi ki rah me kamiyabi ata farma-a-Ameen Sum Ameen !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #39 on: January 21, 2009, 09:39:41 AM »
Reply with quote
Masha'Allah,

Abdul Jee Kya La-Jawab Likha Hai Aapne.
Aapki Shayari Mein Aik Ajeeb Si Kashish Dikhi.
Aapki Jitni Bhi Tareef Ki Jaye Kam Hai!

Bas Aap Likhte Rahiye,
Khush Rahiye..


Bahoth Shukriya Janab Apne mere is kalam ko izaad bakshi aur hame hame dad se nawaza apke ahesan mandh hai hum bhai !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #40 on: January 21, 2009, 12:53:39 PM »
Reply with quote
Qadeer khud ko rok nahi paya aur kisi tarah time nikal ke kuch likha hain bas yu samajhna aapne hi likha hain.....

Woh shehar bohat dhoondha, jaha thoda ho andhera
Jalti na ho koi, woh basti nahi mili !!

Izzat se uthe doli, khushiyo ki mile sej
Gareeb beti ke baap ko, aisi koi khushi nahi mili !!

Do roti ki hain ghulamai, do saso ki hain ghulami
Desh azad to hain mera, q muje azadi nahi mili !!

Woh kitna zaheen tha, tha ghar me sabka ladla
Mar gaya woh bhookhe pet, par naukri nahi mili !!

Q meri sune koi, GHAYEL me khas kya hain
Jab dhoondta raha khuda bhi, use bandagi nahi mili !!

                           -Sajid Ghayel-


Bahoth Umda Sajid Bhai Maza Agaya Kya Likha hai yaar !! Allah tumhe Khush rakhe !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #41 on: January 21, 2009, 12:55:19 PM »
Reply with quote
Ek Choti Si Koshish Meri Taraf Se Bhi..Naa Pasand Aaye To Gustaaki Maaf Kar Dena...

Har Khushi Ke Aankh Mein Aansuu Mile
Ek Hi Sikke Ke Do Pehlu Mile...

Zindagi Ko Jeene Ki Wajah Dhoond Raha Tha Woh,
Usse Har Mod Par Jo Mushkile Mile....

Yeh To Apne-Apne Haulso Ki Baat Hai,
Yahan To Suraj Se Bhidte Hue Jugnu Mile....

Uske Aankh se Aansuo Ka Karvaan Rukhta Bhi Kaise,
Aankhon mein uske jo Ghamo ke Samundar Mile....

Bhagaawat Koi Kar Bhi Nahi Sakta Apne Taqdeer Se,
Insaan To Chahhega Usse Duniya Ki Har Khushi Mile....


"khwaish" Aaj Ke Daur Mein
Insaan Insaan se mile To Kya Mile??
Baat To Tab Hai
Jab Dil Dil Se Mile....


Wah ji Wah Bahoth Badiya Peshkash Hamesha ki tarah !! Shukriya Janab Hamari Thread pe likhne ke liye !! Allah sub ko khush o qurram rakhe !! Ameen !!

Qadeer Toopchi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #42 on: January 21, 2009, 01:03:23 PM »
Reply with quote
Qadeer khud ko rok nahi paya aur kisi tarah time nikal ke kuch likha hain bas yu samajhna aapne hi likha hain.....

Woh shehar bohat dhoondha, jaha thoda ho andhera
Jalti na ho koi, woh basti nahi mili !!

Izzat se uthe doli, khushiyo ki mile sej
Gareeb beti ke baap ko, aisi koi khushi nahi mili !!

Do roti ki hain ghulamai, do saso ki hain ghulami
Desh azad to hain mera, q muje azadi nahi mili !!

Woh kitna zaheen tha, tha ghar me sabka ladla
Mar gaya woh bhookhe pet, par naukri nahi mili !!

Q meri sune koi, GHAYEL me khas kya hain
Jab dhoondta raha khuda bhi, use bandagi nahi mili !!

                           -Sajid Ghayel-


Waah waah,.
Subhan Allah Bhai,.
Subhan Allah,.

Mujhe To Khushi Hai,.
Ke Hume Do Do Bade Bhai Mile Hain,.
Jo Itni Achchi Shayari Likhte Hain,.
Jo Dilon Ke Andar Ghuss Kar Hulchul Machaa Deti Hai,.

Nice One Sajid Bhai,.
And Andul Qadeer Bhai,.

May Alla Bless You,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #43 on: January 21, 2009, 01:29:34 PM »
Reply with quote
Duniya Ka Ek Alag Hi Chehra Dekhaa Maine,.
Dekh Kar Bebasi Logon Ki, Ye Sochaa Maine,.

Sach Kaha Zamaane Ne Ke Duniya Ne Aasmaaan Ko Choo Liya,.
Shayad Isliye Dilon Ko, Taaron Ki Tarah Toot-te Dekhaa Maine,.

Sach Hai, Ke Duniya Ne Tarrakhi Kar Li "Azeem,.
Shayad Isliye Mohabbat Ko, Mit-te Dekhaa Maine,.

Bijli Ki Ab Kisi Ko Bhi Pareshaani Nahi Yahaan,.
Nafraton Ki Aag Se, Gharon Ko, Sulag-te Dekhaa Maine,.

Wo Daur Hi Kitna Pyaara Tha "Azeem, Jab Duniya Peeche Thi,.
Is Daur Mein, Bhai Ko, Bhai Ka Dushman Ban-te Dekhaa Maine,.

Bhale Aaj Duniya Mein Kami Nahi Paison Ki "Azeem,.
Magar Jagaah Jagaah, Insaanon Ko Bhook Se Mar-te Dekhaa Maine,.

__________________________________________-Jaanasheen-












Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #44 on: January 21, 2009, 01:39:56 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob khwaish ji
                                                                                         Bahut Bahut Shukriya Pooja..
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 04:15:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer