Bande Hi mile sub kissi me bandagi nahi mili !!

by abdulqadeer on January 19, 2009, 10:22:04 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 6219 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #45 on: January 21, 2009, 02:04:04 PM »
Reply with quote
ghazal ke isharoon ko samjah gaye to daad se nawaz dena !!

Dhondte rahe umra bhar manzil nahi mili !!
Charagon ki sarparasti me raushni nahi mili !!
Tera har zulm sar ankhoon pe utha lete !!
Manga  bahoth khuda se magar zindagi nahi mili !!

Muddath tak tere shaher me dhoondte rahe hum !!
Bande hi mile sub kissi me bandagi nahi mili !!

Umra bhar apne begunha hone ki saza kati humne !!
Gunha hoga jo mustaqbil ko maazi ki haqiqath nahi mili !!

Gali ke har nukkad pe maine maa-baap ki laash dekhi !!
Shayad kissi bete ko daulath-a- wasihath nahi mili !!

Kab tak khush bahali ki baten karke tassali doge !!
Aj bhi mere desh me kissi bhuke ko rooti nahi mili !!

Waqath ne hame  kuch is qadar badal diya !!
Aine hazaro dekhe magar apni surath nahi mili !!

Aur un parindoon ki bagawath jaiz hai Qadeer !!
Jinhe raath guzarne apne hi paid ki shaaqen nahi mili !!

Qadeer Toopchi
From India !!

jitna likhun tareef me kam hoga....baat kahne ke aapke nirale andaaz ko mera salaam.....dad kabool karen qadeer sahab...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khawab jhootay kissi ko dikhaya nahi kertay by Dewana_Badal in Shayri-E-Dard
mohabbat nahi mili........ by nice_off_me in Shayri-E-Dard
Apne Gam khud Jhilte hain kissi se Gila nahi Karte by abdulqadeer in Ghazals
Kissi Ki AQri Hichki kissi ki dil laggi hogi !! by abdulqadeer in Ghazals
Azadi nahi mili........( Ghayel ) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #46 on: January 21, 2009, 02:23:57 PM »
Reply with quote
Qadeer khud ko rok nahi paya aur kisi tarah time nikal ke kuch likha hain bas yu samajhna aapne hi likha hain.....

Woh shehar bohat dhoondha, jaha thoda ho andhera
Jalti na ho koi, woh basti nahi mili !!

Izzat se uthe doli, khushiyo ki mile sej
Gareeb beti ke baap ko, aisi koi khushi nahi mili !!

Do roti ki hain ghulamai, do saso ki hain ghulami
Desh azad to hain mera, q muje azadi nahi mili !!

Woh kitna zaheen tha, tha ghar me sabka ladla
Mar gaya woh bhookhe pet, par naukri nahi mili !!

Q meri sune koi, GHAYEL me khas kya hain
Jab dhoondta raha khuda bhi, use bandagi nahi mili !!

                           -Sajid Ghayel-

bahoot khoob sajid.....lekin thodi padhai bhi kar le yaar ..warna exam me shayri likh ke aa gaya to fir.... Is it SO! Is it SO!
apart from jooke...bahoot achche se aapne silsile ko badhaya hai ab kuch meri taraf se bhi jhelna padega....
to arz kiya hai...

mai hairaan hum mere ehsaason ko hua kya hai
har baat pe kah deta hun, mujhe khabar nahi mili,

kai log jeete hain, marate hain andheron me
aisi bhi raaten hain, jinhe sahar nahi mili

manjar to bekarar ko bhi ye sab dekhe se lagate hain,
par hume qadeer aur sajid si, nazar nahi mili,
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #47 on: January 21, 2009, 02:27:05 PM »
Reply with quote
Ek Choti Si Koshish Meri Taraf Se Bhi..Naa Pasand Aaye To Gustaaki Maaf Kar Dena...

Har Khushi Ke Aankh Mein Aansuu Mile
Ek Hi Sikke Ke Do Pehlu Mile...

Zindagi Ko Jeene Ki Wajah Dhoond Raha Tha Woh,
Usse Har Mod Par Jo Mushkile Mile....

Yeh To Apne-Apne Haulso Ki Baat Hai,
Yahan To Suraj Se Bhidte Hue Jugnu Mile....

Uske Aankh se Aansuo Ka Karvaan Rukhta Bhi Kaise,
Aankhon mein uske jo Ghamo ke Samundar Mile....

Bhagaawat Koi Kar Bhi Nahi Sakta Apne Taqdeer Se,
Insaan To Chahhega Usse Duniya Ki Har Khushi Mile....

"khwaish" Aaj Ke Daur Mein
Insaan Insaan se mile To Kya Mile??
Baat To Tab Hai
Jab Dil Dil Se Mile....

bahoot achche khwahish bro....
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #48 on: January 21, 2009, 02:30:58 PM »
Reply with quote
Duniya Ka Ek Alag Hi Chehra Dekhaa Maine,.
Dekh Kar Bebasi Logon Ki, Ye Sochaa Maine,.

Sach Kaha Zamaane Ne Ke Duniya Ne Aasmaaan Ko Choo Liya,.
Shayad Isliye Dilon Ko, Taaron Ki Tarah Toot-te Dekhaa Maine,.

Sach Hai, Ke Duniya Ne Tarrakhi Kar Li "Azeem,.
Shayad Isliye Mohabbat Ko, Mit-te Dekhaa Maine,.

Bijli Ki Ab Kisi Ko Bhi Pareshaani Nahi Yahaan,.
Nafraton Ki Aag Se, Gharon Ko, Sulag-te Dekhaa Maine,.

Wo Daur Hi Kitna Pyaara Tha "Azeem, Jab Duniya Peeche Thi,.
Is Daur Mein, Bhai Ko, Bhai Ka Dushman Ban-te Dekhaa Maine,.

Bhale Aaj Duniya Mein Kami Nahi Paison Ki "Azeem,.
Magar Jagaah Jagaah, Insaanon Ko Bhook Se Mar-te Dekhaa Maine,.

__________________________________________-Jaanasheen-

bahoot umda azeem
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #49 on: January 21, 2009, 02:52:35 PM »

Waah waah,.
Subhan Allah Bhai,.
Subhan Allah,.

Mujhe To Khushi Hai,.
Ke Hume Do Do Bade Bhai Mile Hain,.
Jo Itni Achchi Shayari Likhte Hain,.
Jo Dilon Ke Andar Ghuss Kar Hulchul Machaa Deti Hai,.

Nice One Sajid Bhai,.
And Andul Qadeer Bhai,.

May Alla Bless You,.

Taro ki tarah toot_te dekha maine...

Subhanallah jiska chota bhai itna khoobsurat likhta ho to logho ki expectation badh jati hain bade bhai se yaar, tu bada nervous kar deta hain itni pyaara likh_ke. Waise is thread me itna maza aa raha hain ke padhayee chod ke majbooran ise dekhna padh raha hain. And thanks for dua chote...khuda tumhe bhi duniya ki tamam khushiya de....
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #50 on: January 21, 2009, 03:03:16 PM »
Reply with quote
bahoot khoob sajid.....lekin thodi padhai bhi kar le yaar ..warna exam me shayri likh ke aa gaya to fir.... Is it SO! Is it SO!
apart from jooke...bahoot achche se aapne silsile ko badhaya hai ab kuch meri taraf se bhi jhelna padega....
to arz kiya hai...

mai hairaan hum mere ehsaason ko hua kya hai
har baat pe kah deta hun, mujhe khabar nahi mili,

kai log jeete hain, marate hain andheron me
aisi bhi raaten hain, jinhe sahar nahi mili

manjar to bekarar ko bhi ye sab dekhe se lagate hain,
par hume qadeer aur sajid si, nazar nahi mili,

Laughing hard Laughing hard Laughing hard Arey meri jan agar exam me kuch nahi sooja to 4 ya 5 ghazal aaram se likh looga dont worry sabse pehle tujhe post karuga  DOH

Aur yaar tere shero me apna nam dekh kar dil khush ho gaya itni izzat mat de ghayel ke liye teri dosti hi bohat hain... lekin ab kuch na kuch to kehna padega par jawab me shayri mat karna warna muje bhi chain nahi milega bina jawab diye......

Shor hain har taraf bum ke dhamako ka 
Koi din aisa nahi jise diwali nahi mili !!

Khoon se lal hai badan mere desh ka
Koi din aisa nahi jise holi nahi mili

Safed chader pe lipti yeh kiski beva hain
Barso huye ise koi rangeen choli nahi mili

Matam hain bebasi hain sannata hain GHAYEL ke watan me
Kisi dar pe hame aaj koi rangoli nahi mili!!

                -SAJID GHAYEL-
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #51 on: January 21, 2009, 03:09:32 PM »
Reply with quote
Bahoth Umda Sajid Bhai Maza Agaya Kya Likha hai yaar !! Allah tumhe Khush rakhe !!

Qadeer Toopchi

Bohat shukriya Qadeer as i said hum to bas tumko follow kar rahe kuch likha kaha hain.....credit is all yours
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #52 on: January 21, 2009, 03:11:44 PM »
Reply with quote
Ek Choti Si Koshish Meri Taraf Se Bhi..Naa Pasand Aaye To Gustaaki Maaf Kar Dena...

Har Khushi Ke Aankh Mein Aansuu Mile
Ek Hi Sikke Ke Do Pehlu Mile...

Zindagi Ko Jeene Ki Wajah Dhoond Raha Tha Woh,
Usse Har Mod Par Jo Mushkile Mile....

Yeh To Apne-Apne Haulso Ki Baat Hai,
Yahan To Suraj Se Bhidte Hue Jugnu Mile....

Uske Aankh se Aansuo Ka Karvaan Rukhta Bhi Kaise,
Aankhon mein uske jo Ghamo ke Samundar Mile....

Bhagaawat Koi Kar Bhi Nahi Sakta Apne Taqdeer Se,
Insaan To Chahhega Usse Duniya Ki Har Khushi Mile....

"khwaish" Aaj Ke Daur Mein
Insaan Insaan se mile To Kya Mile??
Baat To Tab Hai
Jab Dil Dil Se Mile....

Yahaan to suraj se bhidte hue jugnu mile....

Wah ustad wah kya hausla diya hain tumhare is sher ne maza aa gaya bada sambhal ke rakhna apne is sher ko kisi achchi mehfooz jagah pe  Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
HumTum
Guest
«Reply #53 on: January 21, 2009, 03:20:20 PM »
Reply with quote
Janab Qadeer Ji.... Aap ki Ghazal hamare dil mein ghar kar gyi...kucch sachiyon se rubru karwa gyi ... Sach bahut umda likha hai apne ...  'teh dil se daad kabool kijiye!

Jha apna sa koi nazar aaye woh mehfil nahin mili
Jise dunda kiye hum ta umr woh manzil nahin mili

Jiske dekhe se hi aa jaye mere zehn-o-dil ko qarar
Asie koi shonkh haseena, koi chanhal nahin mili

Chend roz se bechain hoon mein, preshaan hoon mein
Shiqwa nahin mila unse koi, Shikayaat nahin mili

Haan, Yun to milne ko sankadon mile hai "HumTum"
Magar sach ke kissi se apni tabiyaat nahin mili!!

HumTum
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #54 on: January 21, 2009, 03:29:37 PM »
Reply with quote
Janab Qadeer Ji.... Aap ki Ghazal hamare dil mein ghar kar gyi...kucch sachiyon se rubru karwa gyi ... Sach bahut umda likha hai apne ...  'teh dil se daad kabool kijiye!

Jha apna sa koi nazar aaye woh mehfil nahin mili
Jise dunda kiye hum ta umr woh manzil nahin mili

Jiske dekhe se hi aa jaye mere zehn-o-dil ko qarar
Asie koi shonkh haseena, koi chanhal nahin mili

Chend roz se bechain hoon mein, preshaan hoon mein
Shiqwa nahin mila unse koi, Shikayaat nahin mili

Haan, Yun to milne ko sankadon mile hai "HumTum"
Magar sach ke kissi se apni tabiyaat nahin mili!!

HumTum

Wah masha_allah kasam khuda ki maine aaj tak kisi thread me itne khoobsurat aur original yoinidans ke kalam ek sath nahi dekhe (Maybe i have missed better than this one..) Jo bhi likha ja raha hain dil se likha ja raha hain mere kalam ke alawa har kalam is thread me zabardast hainnnnnnnn veryyyyyyyy gooddddd HUM TUM

Shikwa nahi mila...... wah yar wahhhhhhhhhhhhhh
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #55 on: January 21, 2009, 03:43:23 PM »
Reply with quote
Taro ki tarah toot_te dekha maine...

Subhanallah jiska chota bhai itna khoobsurat likhta ho to logho ki expectation badh jati hain bade bhai se yaar, tu bada nervous kar deta hain itni pyaara likh_ke. Waise is thread me itna maza aa raha hain ke padhayee chod ke majbooran ise dekhna padh raha hain. And thanks for dua chote...khuda tumhe bhi duniya ki tamam khushiya de....

Shukriya Bhaijaan,.
Bas Aap Preparation Kariye Exaam ke Liye,.
Hum Sab Duaaein Kar Rahe Hain,.
Aur Aapko Kamyaab Hona Hai,.
Inshallah,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #56 on: January 21, 2009, 03:44:44 PM »
Reply with quote
Shukriya Bekarar Bhai,.
Logged
HumTum
Guest
«Reply #57 on: January 21, 2009, 03:51:58 PM »
Reply with quote
Sajid Ji ....  daad ke liye shukriya aur gustakhi ke liye muafi....  meiney bas Qadeer Sahab ki pehli post padi aur zehn mein jo aaya likhna munasib samjha ... aur aap jaseey kai aur shayron ki umda peshkesh padna bhul gya.

Aap ne bahut umda vichaar pesh kiye hai .... wqat ki kami ki wajah se sabhi to nahin pad paya lekin waqt milte hi gour se padunga aur apne khayaal aap se hum-khayaal karunga.

HumTum
Logged
Pooja
Guest
«Reply #58 on: January 21, 2009, 06:37:13 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Qadeer ji, Bejarar ji, SG, Khwaish ji, HumTum  and Lil bro
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #59 on: January 21, 2009, 07:13:13 PM »
Reply with quote
bahut hi dumdaar peshkash hai aapki Qadeer bhai.
Ghayel ji, khwaish ji,jaansheen ji,aap sub ki kalam ki maujudgi ne in panno ko behtareen bana diya hai.bahut khoob likha hai sab ne,sabko haardik badhai.
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 03:18:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer