Beete Hue pal par Aansu Bahana, Ek Kamzor ki Nishaani hai

by khwaish on November 17, 2008, 03:18:18 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 8164 times)
Pooja
Guest
«Reply #30 on: November 18, 2008, 04:28:15 PM »
Reply with quote
Wah Wah Wah..Bahut Khoob Pooja.. Applause Applause Applause
iss poetry ke jawaab mein aage kuch zaroor likhunga.. Thumbs UP


bahoot bahoot shukaria Khwaish ji, apki kavita ka intzaar rahega
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Beete Din by agr_navneet in Shayri-E-Dard
Nishaani....not mine by ishu_singh10 in Shayri for Dard -e- Judai
nishaani by saahill in Share:Love Poetry
KAMZOR INSAAN by surindarn in Shairi - E - Zindagi
kamzor....................A.B by adil bechain in Miscellaneous Shayri
Pooja
Guest
«Reply #31 on: November 18, 2008, 04:31:29 PM »
Reply with quote


Beeti baaton ko bhula ke chalna hai
Haan ab hume muskura ke chalna hai
Kisne kiya galat, kaun tha sahi
In baaton se dil hata ke chalna hai

Dil toota tha aur dard bhi gehra tha
Paanv ke neeche jaise jalta sahra tha
Kaun tha saath, kaun reh gaya peeche
Kya ghum jo bina karavan ke chalna hai

In baaton se dil hata ke chalna hai

Soch main kahin ek toofaan hai daba
Ghum-o-ashk ka koi saamaan hai chupa
Raahat na deti hon dil ki jo yaadain
Un baaton ko kahin dafna ke chalna hai

In baaton se dil hata ke chalna hai

Liye dil main ek nayi subah ki aas
Ummeedon ki roshni ko liye ab saath
Waqt ke kaale andheron se guzarna hai
Haan ab hume muskura ke chalna hai

Beeti baaton ko bhula ke chalna hai

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah wah kaya baat hai, bahoot khoob Celmira... dil khush ho gaya... her ek line kamal... magar yah do line to behad pasand aii

Kisne kiya galat, kaun tha sahi
In baaton se dil hata ke chalna hai

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #32 on: November 18, 2008, 05:52:06 PM »
Reply with quote


Beeti baaton ko bhula ke chalna hai
Haan ab hume muskura ke chalna hai
Kisne kiya galat, kaun tha sahi
In baaton se dil hata ke chalna hai

Dil toota tha aur dard bhi gehra tha
Paanv ke neeche jaise jalta sahra tha
Kaun tha saath, kaun reh gaya peeche
Kya ghum jo bina karavan ke chalna hai

In baaton se dil hata ke chalna hai

Soch main kahin ek toofaan hai daba
Ghum-o-ashk ka koi saamaan hai chupa
Raahat na deti hon dil ki jo yaadain
Un baaton ko kahin dafna ke chalna hai

In baaton se dil hata ke chalna hai

Liye dil main ek nayi subah ki aas
Ummeedon ki roshni ko liye ab saath
Waqt ke kaale andheron se guzarna hai
Haan ab hume muskura ke chalna hai

Beeti baaton ko bhula ke chalna hai








Kya Baat Hai Talat!! very very inspiring.. Applause Applause Applause

bahut bahut khoob!! Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #33 on: November 18, 2008, 06:07:12 PM »
Reply with quote
Jo Waqt Dard Ka Ehsaas Dekar Guzra Ho,
Ab Hum, Kyon Uss Guzre Waqt Ki Charcha Kare..

Jis Pal ne Diya hai Humein Muskurane Ka Mauka,
Kyon Na HUM uss Pal Ko sajda kare...


Har Ek Naya Savera Ek Kaali Raat Ka Anth Lekar Aata Hai,
Woh To hum par hai, Hum Kis Tarah Zindagi Ko Dekha Kare....


Jeevan Ka Yeh Kadwa Sach Hai Ke Aaj Humein Rishto Ki Koi Kadar Nahi,
Kabhi Aisa Bhi Ho, Ke Bin Baat Ke
Apno Se Milno Ko Yeh Mann Tarsa Kare....


Asaan Nahi Hai Aaj Ke Halaat Mein,Hum Kisi Ki Madad Kare, 
Par Kabhi Iss Khayal Se Bhi Hum Ghar se Nikla Kare....


JAANTA HOON,YEH SAB KEH DENA BAHUT ASAAN HAI,
PAR ISSE NIBHA JAANA BAHUT MUSHKIL,
PAR KYON NA "KHWAISH", ISS MEHFIL MEIN,
AISI BAATON KI BHI HUM CHARCHA KARE.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #34 on: November 18, 2008, 06:25:05 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah wah kaya baat hai Khwaish ji bahoot khoob, hamesha ki tarah lajawab likha hai apne.

baat bahoot he suchi kahi hai apne khwaish ji... magar:


dard ki had se nikal kar, dard dard nahi lagta
koi bhi aa jaaye gum, wo gum nahi lagta
ajeeb baat hai ab itne hadso ke baad
ankhon se koi ashaq nahi niklta

magar dekh kar aoro ko dard main
yah dil na jaane kyun tadap jaata hai
uska dard jaise lagta hai apna sa dard
aor in ankhon se ashaq beh jaata hai

Beeta hua pal, na jaane kaha se aa jaata hai
deti hu aoro ko dilasa, khud ka dilasa ban jaata hai
bahoot samjhaya Pooja ne dil-o-rooh ko
magar beeta hua kal, kahin ander he reh jaata hai
Logged
sjid hadayat
Guest
«Reply #35 on: November 18, 2008, 06:27:25 PM »
Reply with quote
Beautiful reply Pooja Applause Applause

Bohat khoob celmira ji.... aacha kaha....  Clapping Smiley

Saj
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #36 on: November 18, 2008, 06:39:42 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah wah kaya baat hai Khwaish ji bahoot khoob, hamesha ki tarah lajawab likha hai apne.

baat bahoot he suchi kahi hai apne khwaish ji... magar:


dard ki had se nikal kar, dard dard nahi lagta
koi bhi aa jaaye gum, wo gum nahi lagta
ajeeb baat hai ab itne hadso ke baad
ankhon se koi ashaq nahi niklta

magar dekh kar aoro ko dard main
yah dil na jaane kyun tadap jaata hai
uska dard jaise lagta hai apna sa dard
aor in ankhon se ashaq beh jaata hai

Beeta hua pal, na jaane kaha se aa jaata hai
deti hu aoro ko dilasa, khud ka dilasa ban jaata hai
bahoot samjhaya Pooja ne dil-o-rooh ko
magar beeta hua kal, kahin ander he reh jaata hai


Bahut Gehri baatein ki hi iss poetry mein aapne..
 Applause Applause Applause Applause

bahut bahut khoob!!! jald hi aapki poetry ka jawaab dene ki koshish hogi Thumbs UP
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #37 on: November 18, 2008, 06:59:01 PM »
Reply with quote
Mera Apna Tazurba Hai,
Sabko Bata Dena,
Asaan Nahi Hota Hai,
Dard ko Dil Se Mita Dena...


Jis Par Jo Beethti hai, Woh jaane,
Har Ek Ko Aata Hai Yahan Par Mashwara Dena....


Aag Jab Lagti Hai To Usse Bhujane Mein Bahut Waqt Lag Jaata Hai,
Bahut Asaan Hota Hai Hai Ek Kaagaz ko Jala Dena...


PHIR BHI "KHWAISH" YEH KEHTA HAI KI DARD KI BASTI MEIN,
APNA GHAR AB YUH NA BASAO "POOJA",
ZINDAGI KI HAR MUSHKIL KA SAAMNA YAKEENAN HO SAKTA HAI,
BAS AA JAAYE INSAAN KO APNE HI GHAM PAR MUSKURA DENA.....


Jis ne Chot Di Hai, Ab usse Gila Bhi Kya Kare,
Dabba jao Inn Baaton ko Apne hi Dil Mein,
Zaroori nahi Ke Zindagi Mein Hamesha Sholo Ko Hawa Dena....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #38 on: November 18, 2008, 07:41:09 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

wah is ek line main bahoot kuch kah gaye app khwaish ji:
Zaroori nahi Ke Zindagi Mein Hamesha Sholo Ko Hawa Dena....

bahoot he achi tarah se jawab likha hai apne. kamal bahoot khhob.


baat badati hai to badati he chali jaati hai
band muthi se jaise rait fisalti jaati hai
bahoot mushkil se bujhate hai yah shole waqat ke sath
ek choti se chingari phir na jaane kaha se aa jaati hai

Nikal ayye hai apne dard-o-raah se hum to ab kab ke
na jaane kyun aoro ke dard-o-raah bich main aa jaati hai
zindagi hai khushi aor gum ka sangam
Pooja ko to bas yahi baat ab samjh main atti hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #39 on: November 18, 2008, 08:10:19 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause

wah is ek line main bahoot kuch kah gaye app khwaish ji:
Zaroori nahi Ke Zindagi Mein Hamesha Sholo Ko Hawa Dena....

bahoot he achi tarah se jawab likha hai apne. kamal bahoot khhob.


baat badati hai to badati he chali jaati hai
band muthi se jaise rait fisalti jaati hai
bahoot mushkil se bujhate hai yah shole waqat ke sath
ek choti se chingari phir na jaane kaha se aa jaati hai

Nikal ayye hai apne dard-o-raah se hum to ab kab ke
na jaane kyun aoro ke dard-o-raah bich main aa jaati hai
zindagi hai khushi aor gum ka sangam
Pooja ko to bas yahi baat ab samjh main atti hai


Bahut Bahut Khoob Pooja  Applause Applause Applause

waqt aaj yeh ijazat nahi de raha ke aapko iss poetry ka jawaab doon..yeh pending rakh kar jaa raha hoon..phir jab mile,iska jawaab haazir hoga..

aur bahut bahut shukriya aapke haule-afsaai ka.. hello

 Thankyou !

Logged
Talat
Guest
«Reply #40 on: November 19, 2008, 12:52:17 PM »
Reply with quote
Bohot bohot shukriya Pooja, Khwaish, Sajid H Ji

Khwaish, Pooja, aapne to yahan samaan baandh diya hai.... Applause Applause Applause
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #41 on: November 19, 2008, 01:02:07 PM »
Reply with quote
Aate aate mera nam sa reh gaya
Uske hotho pe kuch kapta reh gaya

Jhooth wale kahi se kahi badh gaye
Aur main tha ke sach bolta reh gaya.......

                        -NM-
Logged
Talat
Guest
«Reply #42 on: November 19, 2008, 01:18:06 PM »
Reply with quote


Jo hua, achcha, bura, na haasil kuch dohraane main
Jo baatain dukh deti hon, behtar hain bhulaane main

Na itni door chale jaayen, lautna bhi na ho mumkin,
Kyaa mushkil hai saathi ko ek awaaz lagaane main

Haara hai kaun, jeeta kaun, anaa ki sab baatain hain
Jazbon ko roke deewarain, wo behtar hain giraane main

Yaadain, maana dukh deti hain, lekin ab aage badhna hai
Shayad mil jaaye kuch raahat un yaadon ko dafnaane main

Tum gila na rakho ab, hum bhi bhoole shikwe saare,
Kya rakha hai yaara yoon roothne aur manaane main

Chingari bhi na aaye, rishton main koshish karna,
Dhuaan phir chaa jaata hai, laakh aag bujhaane main

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #43 on: November 19, 2008, 01:41:49 PM »
Reply with quote
khata teri nahi khata yeh meri hain
Badi gunahgaar yeh zindagi meri hain

Door hum nahi humse ho jate hain sab
Satana rulana apno ko yeh aadat meri hain

Baat sirf meri ana ki hoti to khud ko mana lete
Deewar kaise woh giraoo jo aangan me teri hain

Yadein buri ho to dukh deti hain mana
Ek teri yaad ke sahare hi muskurahat hothon pe meri hain

Gila na tha koi talluk to tumhi ne toda tha
Na tumhe manne ki aadat na manane ki haisiyat meri hain

Aaj tu kahe to khudh ko jala du agarche roshni ho zindagi me teri
Ghayel to hain parwana shama ke liye jal jaye yeh kismat meri hain

                          -SG-


 
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #44 on: November 19, 2008, 02:15:36 PM »
Reply with quote
Yaad aataa hai baar-baar usee kaa cheyhraa:
Jisey bhulaaney kee koshish hazaar kartey hain!
Kabhi to aab jhalaktaa hai surkh aankhoun sey,
Kabhi gouhar hazaar saath-saath jhartey hain!!
                                  - abd bundeli
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:34:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer