Bhook,.

by Jaanasheen on February 01, 2009, 08:02:54 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1898 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Ye Shayari Main Us Ehsaas Ko Dil Mein Liye Likh Raha Hoon, Jab Main Safar Mein Tha, Aur Mujhe Bohat Bhook Lagi, Aur Khaane Ko Kuch Na Milaa Tha,.


Bhooke Pait Main Us Raat Ko Sota Raha,.
Ek Khayal Dil Mein Liye Bohat Rota Raha,.

Kaise Tadapte Honge Gareeb Bhook Se,.
Ye Socha, Jab Bhook Ka Ehsaas Mujhe Hota Raha,.

Teen Waqt Pait Bhar Kar Apna Khaate The,.
Rab Ke Har Ehsaan Ko Hum Bhool Jaate The,.

Aaj Jab Bhook Ka Shikaar Hua, To Seh Na Saka,.
Bhooka Pait Main, Us Raat Ko Reh Na Saka,.

Raat Bhar Main Sochta Raha, Bhook Bhi Kya Cheez Hai,.
Jise Sab Zaaya Karte Hain, Wo Khaana Kitna Azeez Hai,.

Jab Khuda Ne Hume Niyamat Di Thi, Kisi Bhooke Ka Na Humne Khayaal Kiya,.
Tu Khaana Khaaya Hai Ya Bhooka Hai, Kisi Gareeb Se Na Ye Sawaal Kiya,.

Raat Bhar Tadapta Raha Main, Ek Niwaale Khaane Ke Waaste,.
Kitna Zaaya Karte Hain Shaadiyon Mein Khaana, Logon Ko Dikhaane Ke Waaste,.

Jab Bhooka Tha, Raat Bhar Yahi Ehsaas Tha,.
Kitna Thukraaya Maine Khaane Ko, Jab Wo Mere Paas Tha..

__________________________________-Jaanasheen,.

Doston Please, Apne Khaane Ko, Waste Na Karo Kyun Ki Bhook Bohat Hi Badi Bimaari Hai, Jo Kabhi Na Kabhi Sab Ko Aati Hai, Aur Kabhi Us Waqt Aati Hai, Jab Khaane Ke Liye Kuch Bhi Nahi Rehta, Aur Hume Bhooke Hi Din Ya Raat Guzaarni Pardti Hai,.

Kisi Ko Kuch Bura Lage To Maaf Karna,.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
*Bhook* by Roja in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
abdulqadeer
Guest
«Reply #1 on: February 02, 2009, 04:08:42 AM »
Reply with quote
Subhan Allah Subhan Allah mere chute bhai bahot achi nasihath di hai azeem tumne apne is nazam me har ashar me sacha-e- aur har ashar takabor ko todta howa nazar aya mere bhai !! allah hum sub ko aisi hi taufeeq de !! Ameen Sum Ameen !!

Qadeer Toopchi
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: February 02, 2009, 08:33:20 AM »
Reply with quote
Bohat Khoob Chote... Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: February 02, 2009, 09:10:40 AM »
Reply with quote
Shukriya Qadeer Bhaiya, Sajid Bhaiya,.
Allah Hum Sabko, Takkubbur Jaise Gunaah Se Mehfooz Rakhe,.

Ek Hadees Mein Sunaa Tha Maine, Ke Khaane Ko Zaaya Karna Bhi Takkabur Ki Sabse Badi Nishaani Hai,.

Rab Khair Kare,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 02, 2009, 09:48:33 AM »
Reply with quote
Wah Mere Bhai Bohat Achhi Soch Hai Aapki...

Khuda Aapko Humesha Khush Rakhe Aameen...

Shukriya Majid Bhai,.
May Allah Bless You Too,.
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #5 on: February 02, 2009, 12:26:56 PM »
Reply with quote
thats y i worry about you... iss leeyaen poohcha kartee hoon roz roz... nd I agree, allah kare sub ko naek hidayat naseeb ho! open your eyes people!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 02, 2009, 03:18:45 PM »
Reply with quote
thats y i worry about you... iss leeyaen poohcha kartee hoon roz roz... nd I agree, allah kare sub ko naek hidayat naseeb ho! open your eyes people!

Thank U,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: February 03, 2009, 06:53:05 PM »
Reply with quote
Bilkul theek kaha Azeem...hume ek ek daane ki qadar karni chahiye kyunki jaane kitne log hain jinhe ek daana bhi naseeb nahin hota....Bohot Khoob.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: February 03, 2009, 06:55:42 PM »
Reply with quote
Sukriya Talat Didi,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: February 03, 2009, 06:59:46 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah wah kaya baat hai lil bro.... bahoot khoob likha hai apne,.. dil ke ander tak awaz gai hai... bahoot khoob..... Good creation...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: February 03, 2009, 07:02:49 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah wah kaya baat hai lil bro.... bahoot khoob likha hai apne,.. dil ke ander tak awaz gai hai... bahoot khoob..... Good creation...

Shukriya Didi Jaan, Thank U,.
Aap Aaye Bahaar Aayi,.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #11 on: February 03, 2009, 09:28:28 PM »
Reply with quote
Azeem bro,

Is thread ka zikr Pooja ne usi din mujh se kiya tha, jab tumne yeh likhi thee. Shayad tumhare likhne ke kuch minutes ke baad he usne mujhe bataya tha, aur kaha tha, bhaiya, lil bro ne bahut achi ek thread shuru ki hai "Bhook" uska title hai, aap padhna. Maine tabhi tumhara likha hua padh liya tha. Applause Applause Applause

Isi subject par main aap sabke saath ek video share karna chahta hoon...please aap sab dekhiye ! You can see the full program by clicking on the video numbers from 1 to 12 below the video window.

"Bhook itni thee ki cheenti se namkeen cheen kar khaaya"  Crying

http://khabar.josh18.com/view_zindagilive.php?vid=6684
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 03, 2009, 09:35:17 PM »
Reply with quote
Azeem bro,

Is thread ka zikr Pooja ne usi din mujh se kiya tha, jab tumne yeh likhi thee. Shayad tumhare likhne ke kuch minutes ke baad he usne mujhe bataya tha, aur kaha tha, bhaiya, lil bro ne bahut achi ek thread shuru ki hai "Bhook" uska title hai, aap padhna. Maine tabhi tumhara likha hua padh liya tha. Applause Applause Applause

Isi subject par main aap sabke saath ek video share karna chahta hoon...please aap sab dekhiye ! You can see the full program by clicking on the video numbers from 1 to 12 below the video window.

"Bhook itni thee ki cheenti se namkeen cheen kar khaaya"  Crying

http://khabar.josh18.com/view_zindagilive.php?vid=6684

Shukriya Bhaijaan, And Thank You Didi,,.
Waise Ek Kahawat Hai,.

Bhook Mazaa Nahi Dekhti,.
Neend Jagaah Nahi Dekhti,.

Mujhe Bhi Us Bohat Bhook Lagi, Magar Khaane Ko Kuch Bhi Nahi Milaa Tha,.
Logged
deewaani
Guest
«Reply #13 on: February 13, 2009, 01:50:44 PM »
Reply with quote
mashaAllah!!!!!!!!!!!!!

bohat nice bhai, Allah ta'la aapki shayiri mai barkat dy, ameen summa ameen!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: February 13, 2009, 01:57:09 PM »
Reply with quote
mashaAllah!!!!!!!!!!!!!

bohat nice bhai, Allah ta'la aapki shayiri mai barkat dy, ameen summa ameen!

Aameen,.

Duaa ye Bhi Karo ke Allah paak Sab Ke Ghar Mein Barkat De Jahaan Koi Bhook Se Na Mare,.
Bhooka Na Soye,.

Aameen,.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:33:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer