Bhujta Howa Charag !!

by abdulqadeer on February 02, 2009, 04:12:04 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3251 times)
abdulqadeer
Guest
Reply with quote

ghazal se mil jao agar to nawaz dena !! Tawajo chahonga !!

Muflisi ka badshah hon, ,sartaj nahi hon mai !!
Bhujhta howa charaq hon   aftaab nahi hon mai !!

Asolon pe ladna meri adath purani hai !!
Sacha-e-ki awaz hon , inqalaab nahi hon mai !!

Aur meri saqawath zamane ki har-yali se puchiye !!
jo apne hi gulistan ke liye gire wo barsath nahi hon mai !!

Mere bad bhi duniya meri tariq padegi !!
Jo asani se mit jaye wo itehas nahi hon mai !!

 meri tishnagi bhujana hai to samandaron ko bula lo !!
Jo qataron se mit jaye wo pyaas nahi hon mai !!

Aur apni tarraqi ke liye meri lambi umra ki duva manglo !!
Jo bin mange mil jaye wo sawgath nahi hon mai !!

Meri har ghazal yaad karegi duniya mere bad Qadeer!!
padke jise bhula sako wo kitaab nahi hon mai !!

Qadeer Toopchi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Anjaab tum howa ! by muneeb in Shayri-E-Dard
charag-e-shaam jalta raha by diajee in Shayri for Dard -e- Judai
dil jal kar khak howa by manoj. in SMS , mobile & JOKES
Yaadon ke charag by TOUSIFSHAIKHH in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ehad ka dar wa howa by Dr Maqsood Hasni in Shairi - E - Zindagi
honeyrose
Guest
«Reply #1 on: February 02, 2009, 04:45:41 AM »
Reply with quote

ghazal ke ishare tak pahonch gaye to nawaz dena !! Tawajo chahonga !!

Muflisi ka badshah hon, ,sartaj nahi hon mai !!
Bhujhta howa charaq hon   aftaab nahi hon mai !!

Asolon pe ladna meri adath purani hai !!
Sacha-e-ki awaz hon , inqalaab nahi hon mai !!

Aur meri saqawath zamane ki haryali se puchiye !!
Sirf apne hi nasheman pe barse wo barsath nahi hon mai !!

Mere bad bhi duniya meri tariq padegi !!
Jo asani se mit jaye wo itehas nahi hon mai !!

 meri tishnagi bhujana hai to samandaron ko bula lo !!
Jo qataron se mit jaye wo pyaas nahi hon mai !!

Aur apni taraqi ke liye meri lambi umra ki duva karlo Qadeer !!
Jo bin mange mil jaye wo sawgath nahi hon mai !!

Qadeer Toopchi


Applause Applause Applause
Wah wah Qadeer bhai bohat hi khoobsurat ghazal likha hai aapne...
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #2 on: February 02, 2009, 05:25:09 AM »
Reply with quote

Applause Applause Applause
Wah wah Qadeer bhai bohat hi khoobsurat ghazal likha hai aapne...


bahoth bahoth shukriya honey rose ji !! Apne meri ghazal ko waqath diya aur isko saraha !! Allah apko khush rakhe !!

Qadeer Toopchi
Logged
k.shael
Guest
«Reply #3 on: February 02, 2009, 05:45:45 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Qadeer Ji,
Har baar ki tarah ek aalag aur pyarai ghajal nazar ki aapne,

Hamne mohabbat ki hai deewano ki tarah tumse,
Koi u hi aakar chale jaane wala waqt nahi ho mein,

Tumhare liye dil me bepanah jagah banayi hamne,
Bikhar jao ek thokar se wo ret ka mehal nahi hoon mein,

Tere pyaar me doob kar bhooli di duniyaa Saari,
Beech majhdaar doob jao par wo kishti nahi hoon mein.


Shally.
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #4 on: February 02, 2009, 06:02:18 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Qadeer Ji,
Har baar ki tarah ek aalag aur pyarai ghajal nazar ki aapne,

Hamne mohabbat ki hai deewano ki tarah tumse,
Koi u hi aakar chale jaane wala waqt nahi ho mein,

Tumhare liye dil me bepanah jagah banayi hamne,
Bikhar jao ek thokar se wo ret ka mehal nahi hoon mein,

Tere pyaar me doob kar bhooli di duniyaa Saari,
Beech majhdaar doob jao par wo kishti nahi hoon mein.


Shally.


Shukriya Janab Apko hamari ghazal pasand ati hai !! Aur apne mashallah badiya likha hai allah apko qair de !! Ameen !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: February 02, 2009, 06:14:06 AM »
Reply with quote
Bahut hi umdah hai yah sher:

meri tishnagi bhujana hai to samandaron ko bula lo !!
Jo qataron se mit jaye wo pyaas nahi hon mai !!


Waah bhai waah!
               - abd bundeli
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #6 on: February 02, 2009, 06:37:38 AM »
Reply with quote
Bahut hi umdah hai yah sher:

meri tishnagi bhujana hai to samandaron ko bula lo !!
Jo qataron se mit jaye wo pyaas nahi hon mai !!


Waah bhai waah!
               - abd bundeli

Bahoth Bahoth Shukriya Sahab Abd Ji ap jaise manjhe howe shayar ko hamara ashar pasand ana apne app me bahoth badi baath hai janab !! Aur apki pari naza ke hum to qayal hi hain ahal se janab !! Allah apko qair de !! aur apko har khushi ata kare abd ji !! Ameen !!

Qadeer Toopchi
Logged
rawattanha
Guest
«Reply #7 on: February 02, 2009, 07:34:46 AM »
Reply with quote
kafi achha likha hai sabne. good yaar keep it up

hun ek sahil nahin koi dariya hun main
joh bah jaye saath dhara ke woh tinke sa ishara hun main
hun ek pathar nahin koi shesha hun main
joh bikhar jaye chhoti si chot se woh ek halka sa bahana nahin hun main.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: February 02, 2009, 08:27:37 AM »
Reply with quote
Bahoth Bahoth Shukriya Sahab Abd Ji ap jaise manjhe howe shayar ko hamara ashar pasand ana apne app me bahoth badi baath hai janab !! Aur apki pari naza ke hum to qayal hi hain ahal se janab !! Allah apko qair de !! aur apko har khushi ata kare abd ji !! Ameen !!

Qadeer Toopchi
Thanks! You're welcome!
         - abd bundeli
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: February 02, 2009, 08:48:45 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Qadeer dilse dad kabool kare socha kuch likhne ki jurrat karu par himmat nahi hui... Clapping Smiley

Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #10 on: February 02, 2009, 09:04:10 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Qadeer dilse dad kabool kare socha kuch likhne ki jurrat karu par himmat nahi hui... Clapping Smiley



Tahe dil se shukar guzar hon sajid sahab apka !! is nacheez ki ghazal ko waqath diya apne !! allah apke kalamo ko miyari izzath de !! Ameen !!

Qadeer Toopchi

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: February 02, 2009, 09:36:15 AM »
Reply with quote
Subhan Allah,. Subhan Allah Mere Bhai, Sachche Ye Ghazal Bohat Bohat Achchi Hai,.
Har Line Mujhe Pasand Aayi,.
Wakhaai Ye Shayari Lajaawaab Hai,.

May Allah Bless You Qadeer Bhai, Aur Aapko Buri Nazar Se Bachaaye, Yunhi Likhte Rahiye,.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 02, 2009, 09:38:18 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Qadeer Ji,
Har baar ki tarah ek aalag aur pyarai ghajal nazar ki aapne,

Hamne mohabbat ki hai deewano ki tarah tumse,
Koi u hi aakar chale jaane wala waqt nahi ho mein,

Tumhare liye dil me bepanah jagah banayi hamne,
Bikhar jao ek thokar se wo ret ka mehal nahi hoon mein,

Tere pyaar me doob kar bhooli di duniyaa Saari,
Beech majhdaar doob jao par wo kishti nahi hoon mein.


Shally.


Nice One Shally Didi,.
Yunhi Likhte Raho,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: February 02, 2009, 09:51:20 AM »
Reply with quote

ghazal se mil jao agar to nawaz dena !! Tawajo chahonga !!

Muflisi ka badshah hon, ,sartaj nahi hon mai !!
Bhujhta howa charaq hon   aftaab nahi hon mai !!

Asolon pe ladna meri adath purani hai !!
Sacha-e-ki awaz hon , inqalaab nahi hon mai !!

Aur meri saqawath zamane ki har-yali se puchiye !!
jo apne hi gulistan ke liye gire wo barsath nahi hon mai !!

Mere bad bhi duniya meri tariq padegi !!
Jo asani se mit jaye wo itehas nahi hon mai !!

 meri tishnagi bhujana hai to samandaron ko bula lo !!
Jo qataron se mit jaye wo pyaas nahi hon mai !!

Aur apni tarraqi ke liye meri lambi umra ki duva manglo !!
Jo bin mange mil jaye wo sawgath nahi hon mai !!

Meri har ghazal yaad karegi duniya mere bad Qadeer!!
padke jise bhula sako wo kitaab nahi hon mai !!

Qadeer Toopchi
Waah waah...jitni taareef ki jaaye kam hi hogi is kalaam ke liye.bohot khoobsurat..bohot khoob Qadeer Ji..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kuch likhne ki koshish ki hai aap ki tarz par,

Gar roshni ki chaah hai to aana na mere paas,
Andheron main lipti raat hoon, mahtaab nahin hoon main

Angaaron main har roz jalta hai mera wujood,
Tapti ret ki deewaar hoon, saraab nahin hoon main

Khol ke aankhain zara dekho meri jaanib,
Ek Talq haqeeqat hoon, khwaab nahin hoon main

Zamane ki aandhi ne sulga diya itna,
Ab aag ka shola hoon, aab nahin hoon main

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: February 02, 2009, 09:58:34 AM »
Reply with quote
Waah waah...jitni taareef ki jaaye kam hi hogi is kalaam ke liye.bohot khoobsurat..bohot khoob Qadeer Ji..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kuch likhne ki koshish ki hai aap ki tarz par,

Gar roshni ki chaah hai to aana na mere paas,
Andheron main lipti raat hoon, mahtaab nahin hoon main

Angaaron main har roz jalta hai mera wujood,
Tapti ret ki deewaar hoon, saraab nahin hoon main

Khol ke aankhain zara dekho meri jaanib,
Ek Talq haqeeqat hoon, khwaab nahin hoon main

Zamane ki aandhi ne sulga diya itna,
Ab aag ka shola hoon, aab nahin hoon main


Sahi Kaha Aapne Talat Didi,.
Ye Ghazal Bohat Hi Badhiya Hai,.

Waise Aapne Bhi Kamaal Ka Likha Hai,.'
Nice One,.
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:55:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer