doston prastut rachna me maine dowry system par likha hai,Dahej pratha jo hamare samaaj ke har tabke me vidhymaan hai.jiske tahat aaj bhi ladkiyan apne sasural jate vaqt dari sahmi rahti hain,jisme unhe unke parijano ko pratadit kia jata hai.
ye kaisi vidambana hai ki parmatyma ne sabhi ko samaan banaya parantu aaj bhi nari ne samaan adhikaar nahi paya hai,aaj bhi ladki paida hone par samaaj ke kai varg me mabaap chinti ho jate hain,dahej pratha ki vajah se aaj bhi unke dilodimaag
me paida hote hi shadi ki fikr uske kharche dhyaan me aate hain,ye bhi ek karan hai ki aaj bhi kai log ladki ko bhojh maante hain.
aaj hamara samaaj kafi aage badh chuka hai parantu ye pratha kisi na kisi roop me maujood hai,aaj bhi ladkiyun ko dahej ke naam par exploit kia jata hai,kuch suicide kar leti hain kuch ko maar dia jata kuch ko to jala bhi jata hai,bhaarteeya parivesh me naari ki bahut aham bhumika hai,shaadi ke baad uska pati uske lie bhagwaan samaan hota hai,i have tried to write the pain and feelings of a women jise dahej ke naam par jalaya gaya,vo jaane se pehle man me kya kya vichaar lati hai is par likhne ka prayatn kia hai,we can see that even today that crime through dowry is measurably high which needs to be vanished and which can only happen by stopping such beliefs and systems
mere swami mere aaradhya ye aapne kya kia
saat phere leke mujhe maut ke hawale kar dia
mera kya guna tha meri kya ghalti thi
yehi ki aapko dil se chaha aapki pooja karti thi
aapki dasi thi aapki aarti karti thi
prem karti thi prem hi chahti thi
shadi ke baad aapke hi ird girf meri zindagaani thi
aapse hi shuru aappe khatm meri bhakti ki kahani thi
aapko maine kitna chaha main aapko bata nahi sakti
aapke kaam par jane ke baad bhi chhavi aakhon se thi hata nahi sakti
maine aapse kuch bhi to kabhi manga nahi
aapki khushi chahi mere devta aur kuch bhi chaha nahi
mere swami mere naath aaphi me basti thi meri saans
mujhe aag ke hawale kar dia,jane kab nikal jaye ab aakhiri saans
mere humnawaaz mere humdum mere humsafar ye kaisa dia mujhe safar
mujhe saathi banaya chand paison ke lie khatm kar dia meri zindagi ka safar
aapki har farmayish maine hamesha poori karne ka prayatn kia
aap sampann the phir bhi apne gareeb pita se aapki maangon ko kaha
shadi ke baad to hum dono do jism ek jaan the
main kaise baat taalti koi aapki baat aap hi to mere jeevan ke armaan the
bahut chaha hai maine aapko par aapne nafrat ka sila dia
itna chahti hun ki poochhoon bhi na aapne kyun mita dia
mayke se jab main chali to mere ma-baap ne mujhe yehi seekh di
sasural ko swarg banana aur maine ghar me sneh ki hi reet rakhi
par ye kaisa anjaaam mere sapno ka aapke aur aapke gharvalon ne kia
aisi maut di jo maine sochi bhi na thi,sabne mujhe jeete ji jala dia
mere prabhu jeete ji maine hamesha bhagwaan se aapki khushiyun ki dua mangi
aapke naam ka sindoor lagate vaqt bhi hamesha aapki lambi umar ki dua mangi
maji bauji ke saath maine aapke bhai aur bahan ko apna samjha
apne ma-baap apne bhai bahan se bhi zyada aap sab logon se pyaar kia
aur aap sabne milke meri hatya kar di,kyun mere pariwar valon ki aatmaon par vaar kia
jab bhi manji koi kaam karti thi main unhe rok deti thi
main to khushi khushi apni nanad ka bhi har kaam kar deti thi
aapk bhai me mujhe mera bhai dikhta tha
Raakhi ke din uske haath me maine bhi rakhi bandha tha
par mere khilaaf sazishon me un dono ka bhi dil nahi jaga tha
kyun unhone bhi mujhpe taras na khaya mujhe apna nahi mana tha
aapke bauji ki beemari par maine raaton me jaagkar bhi unki seva ki
vo koi dawai khana bhool na jaye time se pehle unhe dawa di
shadi ke baad aap logon ne mujhe kabhi bhi mere ghar na jane dia
main dukhi bahut hui par maine is baat ko bhi hum dono ke darmiyaa na aane dia
mere pitaji jab bhi milne aate baithne se pehle aapki maa ke taane khate
itna sab kuch dene ke baad nayi farmyish ki fehrist chaay se pehle paate
mera bhai jab bhi aaya aap logon ki mangi hui cheez hi laya
apni bahan ko dukhi dekhkar bhi jo aasun usne chhupeke giraye main hi janti hun
uske jaane ke baad gire aasuon ke qatren dhoondh ke royi kitna main hi janti hun
mere swami aap logon ki khushi ke lie main har dard khushi se saha
aap logon ki badhti nafraton par bhi maine dil ke dard ko unsuna kia
phir bhi aap logon ne apni aakhiri hasrat ka anjaam mujhe maut deke kia
kya hoga mere un sapno ka jo maine sajoye the
kabhi to aayegi sukh ki ghadi sochkeaas ke moti piroye the
aaj main mritu-shayya par padi hun saans bhi nahi le pa rahi hun
itni berahami se maara mujhe phir bhi baddua bhi nahi dena chahti hun
main ja rahi hun swami par chahti thi aapse chalte chalte kuch kah sakun
kabhi jo meri yaad aaye khud ko gunehgar na samajhna ye kah sakun
chahti thi chalte chalte aapko phir se ek baar dekh sakun
meri zindagi miti to kya aapke chehre par to khushi dekh sakun
mere vidhata mere naath, bhagwaan kare aap hamesha khush rahen
mere begair bhi aapko har khushi mile aap hamesha sukh se rahen
Manji aapse kya kahun kuch samajh me nahi aa raha hai
mujhe jalaya to aapne bhi par dil aapko tadpana nahi chah raha hai
par itna zarur poochhungi ki kya kusoor tha mera
aapke pariwaar ko dil se apna mana kya yehi kusoor tha mera
aap bhi to kabhi bahu banke is ghar me aayi thi
aaj bhi aapke ghar me nahi abhaav ki parchhayi thi
sabkuch to tha aapke paas phir kyun nahi prem tha
aap bhi to kisi ki patni thi phir ek patni ke lie kyun nahi aaya prem tha
apne bete me aapne mere prati nafrat bhari jinke lie mere dil me prem se badhkar prem tha
Manji main ja rahi hun aap jaisa chahe vaisa kar lijieaga
par koi saas apni bahu se na nafrat kare bus itni dua kijieaga
kisi bhi ghar se koi bahu na jale ho sake to naaretva ke lie itna kijieaga
Bauji aapne bhi mujhe paraya kar dia
maine apne pita se badhkar mana mujhe sansaar se juda kar dia
aapko yaad hai kabhi kabhi aapne mujhe beti kahke bhi bulaya tha
aaj bhi us pukaar me prem dhoondhkar maine dil se aapko bauji puakara tha
aapki beti ki tarah main bhi to apne babul ke aagan ki kali thi
maine aap sabko apna mana kyun todi meri jeevan ki dali
aapne to kaha tha beti ye tumhara hi ghar hai ise apna samajhna
aap sabne kyun chheen li meri zindagi ab saha nahi jata tadapna
bauji maine aapke kul aapke vansh ki har maryada ko nibhaya
par mere nischhal prem samarpan aap logon ko nahi bhaya
kabhi sochiyega jo ye aapki ma ke saath hota to aap kaise janm lete
jo yehi aapki apni beti ke saath hota to doshiyun ko kaise aur kitna dand dete
aapke putra mere bhagwaan the aapne unhe ye kya bana dala
paison ke lalach me aap sabne milke mujhe jeete ji jala dala
bauji main ja rahi hun par aapko yaad to zarur aaya karungi
par kabhi beemari me bhi awaaz denge to nahi aa paya karungi
par kabhi beemari me bhi awaaz denge to nahi aa paya karungi
samaaj valon ye kaisi pratha tumne banayi nibhayi hai
tumse achi to jaanwaron ne apne rishton se vafadari nibhayi hai
kyun tumne ladki ke vivaah ke saath ye dahej ki parampara rakhi
jo bhi ladki mari hai iski vajah se aakhir to vo samaaj me hi kisi ki thi
tod do ye pratha khatm kar do ye parampara jisme ladki ko apna jeevan khona pade
kitni ladkiyan marengi abhi kyun ye abhishaap baki ladkiyun ko bhugatna pade
kyun ye abhishaap baki ladkiyun ko bhugatna pade
kyun ye abhishaap baki ladkiyun ko bhugatna pade
aakhir kab tak is pratha ke naam par ladkiyan jalayi jaengi
kaahir kab tak iski aag me ladkiyan jhulasti rahengi