doston we can see that dhoomrapaan hamare samaaj me kitna vyaapt hai,aaj kitne hi log nashe ki aadat ka shikaar hoke marte hain,kitne cigrrte se apni jaan se haath kho dete hain,kitne tobacco sevan se cancer jaisi jaanleva beemari se bach nahi pateprastut rachna me maine Dhoompan,alcohal,tobacco aur nashon par likha hai
http://www.uoguelph.ca/research/apps/news/pub/article.cfm?id=5dhoomrapan ek aisa nasha hai jo insaan ko khokhla kar deta hai
tan ko to barbaad karta hi savedansheelta bhi bhang kar deta hai
nashe me ghira aadmi sahi ghalat me bhed nahi kar pata
shareer ka har hissa nashe se prabhavita hota ye nahi samajh pata
log kabhi fashion kabhi impression ke chakkar me nasha karte hain
cigarette sharaab ko samajik hone ka ek ang maante hain
college se leke school ke bachhon me bhi nashe ki badhti pravatti dekh sakte hain
ladkiyun me bhi adhunikta ke naam par iska sevan dekh sakte hain
partiyun clubon se leke kasbon dehaton me ye aam raha hai
kahin angrezi daaru to kahin deshi tharron me iska chalan raha hai
aaj hamara samaaj nashe se yun ghir chuka hai
nashe se door rahne vaalon ko samaaj ke saath nahi maan raha hai
cigrette peene se cigrette ke jalne se zyada hum khud jalte hain
iske sevan se hum apne paas kahde logon ki bhi life kum karte hain
aaj sarkaar ko bhi isse kuch lena dena nahi raha
tambaku ke packet pe nuksaandayak chhapwana uske lie bahut raha
sarkaar ke lie smoking cigarette drinking se use fayda ho raha hai
sarkari khazana jo dhadadhad uske rajaswa kosh me bhi jo paisa aa raha hai
parantu sarkaar hamari azaad hoke bhi ye nahi jaan rahi hai
aane vali peedi vartmaan peedi me vo zahar khuleaam baant rahi hai
iske ghatak parinaamon ko sarkaar kyun nahi jaan pa rahi
kitne ghar barbaad hue kitni zindagaani nahi maan rahi
saare vishwa me nashe ke badhte chalan ka bol-bala hai
jeevan me nashe ka aavashyak hona sabne mana hai
lekin nashe ki haani ko jaanke bhi samaaj jaanna nahi chahta
tambaku se naak kaan gale ke cancer ke rogon ko samajhke sajhna nahi chahta
cancer jaisi beemari ho sakti inse,jaanke bhi nasha chhorna nahi chahta
dheere dheere has durvyasan maut ki oor le ja raha maanke bhi maanna nahi chahta
sharaab ke haathon kitno ke lever kharab ho jate hain
apni zindagi se pehle log kaal ke garbh me sama jate hain
tambaku sevan se tan ke saath man-mastishk bhi dheela padta hai
desh me roz hi koi na koi inke dushparinaamo se marta hai
kitne log sharaab karz le leke peete hain
kitne ghar sharaab ki vajah se barbadi ka shikaar hote hain
kitne chhatra ma-baap ke paison ko sharab cigarette me uda dete hain
kitne ma-baap boodhe kandhon pe jawaan bete ki laash dhote hain
kitne logon ne gham-e-ishk ka ise zariya bana rakha hai
sharab ke gaane sun sun ke sharaab ko peena bana rakha hai
kitne neta gaon kasbon shaharon me sharab ki bhatti khulvate hain
apne logon ko nashe me dhutt rakhke vote pane ka upaay banaye rakhe hain
kitni business partiyaan sirf sharaab ka jaam khulne pe shuru hoti
kitni multi national companiyan apne yahan sharaab ki party ko tavajjo deti
lekin iske dushprabhaon ko jaanta maanta har koi hai
phir bhi ise chhorne ke pryaapt sankalp nahi utha pata koi hai
parantu iske parinaamo me jab kisi ka jeevan khatm hota hai
samaaj thoda sa chet.ta phir andhanukaran me nikal padta hai
nasha vyakti ke jeevan ko andheron se bhar deta hain
shareer ke saath saath uske aatm-bal ko bhi durbal kar deta hai
desh koi bhi tabhi badhta hai jab uske logon me aatm-bal prabal ho
deshwasi tabhi to desh ki vishwa ki behtati ki sochenge jab ragon me khoon ho nahi jal ho
zaruri hai ki aaj Bharat hi nahi saara vishwa is par dhyaan de
drugs heroine afeem ganje ki smuggling ko lagaam de
sarkaar ko chahiye vo desh ke karndhaaron ke saath deshvasiyun ko bachaye
iske rozgaar ko protsahan iske bhatton ko avaidh karaar dene ka sankalp uthaye
samaaj ko bhi zaruri hai ise leke kisi ke status ko na taule
cigratte sharaab tambaku ke sevan ke fashion ko fashion me na rakhe
insaan ki zindagi ki ahmiyat faqat jeeke guzar jana nahi hai
Ye zindagi Khuda ne Bhagwaan ne insaan ko nashe ke lie nahi di hai
isme fase logon ko bhi isse nikalne ki sochni chahiye
nashe ki lat me doobkar apni zindagi kharaab nahi karni chahiye
aatm-sayyam aatm sankalp se insaan nashe se mukt ho sakta hai
aatm-sankalp nashamukti kendra se behtar hota hai
aatm-sankalp se har nasha chhora ja sakta hai