Ek Aurat Ka Safar "Khwaish"

by khwaish on June 05, 2011, 01:11:20 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 24496 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
Reply with quote
Bahut Kam Aisa Hota Hai ke Kuch Likhne Par Apni Hi Aankhein Nam Ho jaaye,
Darasal Yeh Kavita Maine Tab likhi
Jab Main Main Apni Didi Ko Vaapas Airport Drop Karke Apne Office Aaya..
Jaise Yahan Par Summer Vacations Par sab Betiyan Apne ghar jaati hai,
waise hi meri Didi Bhi Yahan Rehne aayi thi,
Kisi Apno Se Bichadkar ya Door Jaate Waqt
Aankhon Ko Nam Ho Jaana Laazmi Sa Ho jata Hai..
Aise Mein Main Khud Se Ek sawaal sa Kar Gaya Ke Aakhir
Ek Aurat Ka Safar Kya Hota Hai???

Kuch Ankahe Jazbaaton Mein Behkar Kuch Likh Raha Hoon..Padhiyega Zaroor.

Kya Hai Aurat???

Kisi Ke Ghar mein Beti Bankar Janam Leti Hai
Baap Ki Izzat,Maa Ki Parchai Bankar Rehti Hai
Apne Bhaiyon Ke Saath hasti-Khelti Rehti Hai
Inhi Rishte-Naato Ko Yeh Apni Duniya Samaj Leti Hai!!!

Phir Ek Din............

Naye Rishte, Nayi Zimmedariyon Se Usse Hum Jod Jaate Hai
Vidaai Par Peeche Bas Kuch Yaadein yeh Chodd Jaate Hai

Kuch Aur Rishto Ko Nibhaane Ke Liye,
Yeh Beti Auron Ke Ghar Ko sajaane Jaati hai
APni Mehak Se Kisi Aur Ke Ghar Ko Mehakaati Hai
Ek Beti Kisi Ki Patni, Kisi Ki Bahu, Kisi Ki Bhabi Ban Jati hai
Yeh Ek Ladki, Naa Jaane Kitne Rishto mein Dhal Jaati Hai!!!!

Har Ek Rishte Ko Nibhaana Iske Liye Ek Farz keh Lata Hai
Iske hirday mein Sab ke Liye Sirf pyaar Hi Pyaar Reh Jaata Hai
Pehle Beti, Phir Behan, Phir Patni,Phir Bahu, Phir Maa,Phir Daadi-Naani....

Yeh Aurat Naa Jaane Kitne Rishto mein Simat Jaati hai
Ek Nanhi Si Jaan Khaandaano Ko Chalaati Hai!!!!!!!

Eh Aurat Teri Koi paribhaasa Teri Koi Ek pehchaan Nahi!!
Teri Mahima "Khwaish" Darsha Sake,Itni Uski Kavita mein Jaan Nahi

Eh AUrat Tujhe Tujhe Kya Kahoon, Teri Har Baat Niraali Hai!!!!
Tu Ek Aisa pauda Hai Jis Ghar Rahe Waha hariyali Hi hariyali Hai

Ek Aurat Ko Kabhi Parayapan ka Ehsaas Na Dilaao
Jisne Har Kadam Par APne Ehsaaso Ka Balidaan Diya
Kabhi Uski Zindagi Ko Kareeb Se Jaan Paao..

Teri Shaan Mein "Khwaish" Sirf Itna keh sakta Hai
Teri Unchaiyon Ke Saamne Aasman Bhi Nahi Reh Sakta Hai!!!

Iss Kavita Se Mera Sirf Itna Sa Ek paighaam Hai!!!!
Eh Aurat!!! Tujhe Mera Sar Jhuka Kar Salaam Hai!!!!!
 
              ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #1 on: June 05, 2011, 01:18:15 PM »

Eh AUrat Tujhe Tujhe Kya Kahoon, Teri Baat Niraali Hai!!!!
Tu Ek Aisa pauda Hai Jis Ghar Rahe Waha hariyali Hi hariyali Hai

Ek Aurat Ko Kabhi Parayapan ka Ehsaas Na Dilaao
Jisne Har Kadam Par APne Ehsaaso Ka Balidaan Diya
Kabhi Uski Zindagi Ko Kareeb Se Jaan Paao..

Teri Shaan Mein "Khwaish" Sirf Itna keh sakta Hai
Teri Unchaiyon Ke Saamne Aasman Bhi Nahi Reh Sakta Hai!!!

Iss Kavita Se Mera Sirf Itna Sa Ek paighaam Hai!!!!
Eh Aurat!!! Tujhe Mera Sar Jhuka Kar Salaam Hai!!!!!
 
              ~~~~~Khwaish~~~~~

aapki is nazam par sirf waah waah waah aur waah khawaish ji. betreen alfaaz ki adayegi.

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
nirala
Guest
«Reply #2 on: June 05, 2011, 02:30:20 PM »
Reply with quote
khuaish jee…
aapki post parhkar mujhe jo feel hua wo to btaya nai ja skta alfazo me…
aur kuch aisi soch aur sawaal mere bhi dil me aaye the jab mai bhi apni didi ko drop karke aaya tha…
mene bhi likha hai kuch iss topic par lekin post nai kar skta…
aapki soch ko salaam…
aurat ko devi kyun kaha jaata hai aapka post samjha gaya ji…
thanx
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010

View Profile
«Reply #3 on: June 05, 2011, 05:29:16 PM »
Reply with quote
bahut umda
Bahut Kam Aisa Hota Hai ke Kuch Likhne Par Apni Hi Aankhein Nam Ho jaaye,
Darasal Yeh Kavita Maine Tab likhi
Jab Main Main Apni Didi Ko Vaapas Airport Drop Karke Apne Office Aaya..
Jaise Yahan Par Summer Vacations Par sab Betiyan Apne ghar jaati hai,
waise hi meri Didi Bhi Yahan Rehne aayi thi,
Kisi Apno Se Bichadkar ya Door Jaate Waqt
Aankhon Ko Nam Ho Jaana Laazmi Sa Ho jata Hai..
Aise Mein Main Khud Se Ek sawaal sa Kar Gaya Ke Aakhir
Ek Aurat Ka Safar Kya Hota Hai???

Kuch Ankahe Jazbaaton Mein Behkar Kuch Likh Raha Hoon..Padhiyega Zaroor.

Kya Hai Aurat???

Kisi Ke Ghar mein Beti Bankar Janam Leti Hai
Baap Ki Izzat,Maa Ki Parchai Bankar Rehti Hai
Apne Bhaiyon Ke Saath hasti-Khelti Rehti Hai
Inhi Rishte-Naato Ko Yeh Apni Duniya Samaj Leti Hai!!!

Phir Ek Din............

Naye Rishte, Nayi Zimmedariyon Se Usse Hum Jod Jaate Hai
Vidaai Par Peeche Bas Kuch Yaadein yeh Chodd Jaate Hai

Kuch Aur Rishto Ko Nibhaane Ke Liye,
Yeh Beti Auron Ke Ghar Ko sajaane Jaati hai
APni Mehak Se Kisi Aur Ke Ghar Ko Mehakaati Hai
Ek Beti Kisi Ki Patni, Kisi Ki Bahu, Kisi Ki Bhabi Ban Jati hai
Yeh Ek Ladki, Naa Jaane Kitne Rishto mein Dhal Jaati Hai!!!!

Har Ek Rishte Ko Nibhaana Iske Liye Ek Farz keh Lata Hai
Iske hirday mein Sab ke Liye Sirf pyaar Hi Pyaar Reh Jaata Hai
Pehle Beti, Phir Behan, Phir Patni,Phir Bahu, Phir Maa,Phir Daadi-Naani....

Yeh Aurat Naa Jaane Kitne Rishto mein Simat Jaati hai
Ek Nanhi Si Jaan Khaandaano Ko Chalaati Hai!!!!!!!

Eh Aurat Teri Koi paribhaasa Teri Koi Ek pehchaan Nahi!!
Teri Mahima "Khwaish" Darsha Sake,Itni Uski Kavita mein Jaan Nahi

Eh AUrat Tujhe Tujhe Kya Kahoon, Teri Har Baat Niraali Hai!!!!
Tu Ek Aisa pauda Hai Jis Ghar Rahe Waha hariyali Hi hariyali Hai

Ek Aurat Ko Kabhi Parayapan ka Ehsaas Na Dilaao
Jisne Har Kadam Par APne Ehsaaso Ka Balidaan Diya
Kabhi Uski Zindagi Ko Kareeb Se Jaan Paao..

Teri Shaan Mein "Khwaish" Sirf Itna keh sakta Hai
Teri Unchaiyon Ke Saamne Aasman Bhi Nahi Reh Sakta Hai!!!

Iss Kavita Se Mera Sirf Itna Sa Ek paighaam Hai!!!!
Eh Aurat!!! Tujhe Mera Sar Jhuka Kar Salaam Hai!!!!!
 
              ~~~~~Khwaish~~~~~

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #4 on: June 05, 2011, 06:09:39 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
daad daad daad aur daad......... Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #5 on: June 05, 2011, 10:29:25 PM »
Reply with quote
Tumhari is rachna ko Ghayel ka salam mere bhai.
Logged
manjum
Guest
«Reply #6 on: June 06, 2011, 03:48:30 AM »
Reply with quote
wah wah khwaishji.. ye wo sawal hain hain jo har aurat... aur sabhi mata pita aur bhaiyeo ke dil main jarur aaye honge.... is dard se koi anjan nai hai.... par aap ise itne ache se shabdon main bandh sake... khub hai... bahut bahui shukriya aapka ki aapne ise itne ache se likha.....

khub..... Applause Applause Applause
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #7 on: June 06, 2011, 05:49:32 AM »
Reply with quote
excellent creation khwaish ji....
no words to say anething abt ur dis creation...
hats off to u....
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #8 on: June 06, 2011, 06:46:38 AM »
Reply with quote
and that is why they deserve a lot respect.....

good one khwaish bhai.....
Logged
ek_tamanna
Guest
«Reply #9 on: June 06, 2011, 07:02:21 AM »
Reply with quote
khwahish ji .........bahut achha laga aapki ye kalam...aapne ek aurat ke kai pahelu ko samne rakha ....usko samjha usko  lafzoN mein bayan kiya ......ye bahut badi baat hai .....rabb aapko har khusi de ..humesha achhai  ke raste pe chalna sikhaye .....

aameeN
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #10 on: June 06, 2011, 07:09:34 AM »
Reply with quote
Khwaish Bhaiiiiiiiiiiiiii.. Kya Likhte Ho Yaaaaaaaaar.. Aise Alfaazon ke liye To Daad bhi Kam Padh jaati hai mere Bhai... !!!

Ek Aurat Ki Zindgi ke Kai Pahaluon Ko Mehsoos Kar Jis Tarah aapne Lafzon me Dhaala hai.. Qaabil-e-Taareef Hai..!!!  notworthy notworthy

Baaki is Rachna ki Taareef Ke Liye In Taaliyon ke Siwa mere paas kuch nahi..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

**~** Mann **~**
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #11 on: June 06, 2011, 07:55:59 AM »
Reply with quote

aapki is nazam par sirf waah waah waah aur waah khawaish ji. betreen alfaaz ki adayegi.

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut

Aapka tehhh Dil Se Shukriya Khamosh Awaaz Ji..

Aapne Inn Ehsaaso Ko mehsoos Kiya..Aapka bahut bahut shukriya

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #12 on: June 06, 2011, 10:36:42 AM »
Reply with quote
khwaish ji....  happy3 happy3

jab ye poem padhi uss waqt ki feel nahin bata sakti.... Crying

kuch din pehle hi mom k ghar se aai hun aur aate hi jab aapki ye post dekhi laga jaise dil nikal liya ho kisine... love9 love9
aankhein num  tearyeyed aur man kiya fir ghar chali jaun.... sad11 sad11
ek aurat ki iss peeda ko bht hi behtareen tarike se aapne samjha aur pesh kiya hai.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
iski tareef karne ki meri aukaat nahin..haan mehsus dil ki gehraiyon se ki hai.... love9 love9
aapne ise likha hai aur mehsus kiya hai iske liye apko salaam......  icon_salutnotworthy notworthy icon_salut
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #13 on: June 06, 2011, 11:44:51 AM »
Reply with quote
khuaish jee…
aapki post parhkar mujhe jo feel hua wo to btaya nai ja skta alfazo me…
aur kuch aisi soch aur sawaal mere bhi dil me aaye the jab mai bhi apni didi ko drop karke aaya tha…
mene bhi likha hai kuch iss topic par lekin post nai kar skta…
aapki soch ko salaam…
aurat ko devi kyun kaha jaata hai aapka post samjha gaya ji…
thanx

Nirala Ji,main Jaanta Hoon Aap jab Bhi Comment Dete Ho Dil Se Dete Ho, sabse pehle Iss Comment Ke Liye Aapka Bahut Bahut Shukriya..

Aur main Zaroor Chahunga Ke Aap Woh Kalaam Yahan post kare Jo Aapke Dil Se Nikli Ho..Aur Rahi Baat Meri iss Soch ka To Niraalaji, Yeh Mukaam Har Ek ki Zindagi mein zaroor Aata Hai jab Ek Bhai Apni Behan Se Juda Hota, Mujhe Dukh Bhi Hai par dukh se Zyaada Iss Baat Ki Khushi hai Ke Woh khush Hai..Aur Aurat Ki zindagi Ko Chaahe Aap Kitne Bhi Lafzon mein Utaar Do, Lafz Kam padh Hi Jaate Hia,Yakeenan Aurat Ko isliye Devi Bhi Kaha Jaata Hai..

Aapne Apna Waqt Diya Aapka Bahut Bahut Shukriya

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #14 on: June 06, 2011, 01:56:38 PM »
Reply with quote
bahut umda

Ji Shukriya Aapka

Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:50:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer