EK BAAP KA DARD (DAHEJ)

by NETRAPAL on May 12, 2009, 05:26:37 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 6175 times)
NETRAPAL
Guest
«Reply #15 on: May 12, 2009, 10:09:05 AM »
Reply with quote
thanks diya ji..

Netra...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dahej by sakhi1909 in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
DAHEJ---- jalaya hai~~~~ Saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dahej by nandbahu in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Dahej Pratha-Ek Abhishaap by Aakash16 in Hindi Poets
Dahej,. by Azeem Azaad in Miscellaneous Shayri
Roja
Guest
«Reply #16 on: May 12, 2009, 02:16:24 PM »
Reply with quote
Quote
hanstee thee wo, sab kuch sahtee thee
chup-cup kar rotee rahtee thee
kisse kahatee vipdaa apnee wo
aayaa ban kar us ghar me rahtee thee

unke ghar fir bas jayengee
ansoo mere kab sookh paayenge
kisse batoo dukh apnaa mai..
dukh pe mere sab hanste jayegne….

Netra ji bahut accha likha hai aapne ek baap ka dard ko.
Good Topic.
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #17 on: May 14, 2009, 09:20:55 AM »
Reply with quote
Netra ji bahut accha likha hai aapne ek baap ka dard ko.
Good Topic.


ver very thanks roja ji.....

Netra.....
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: May 14, 2009, 01:34:29 PM »
Reply with quote

Vipdaa kaisee mujh pe ye ayee hai
aankhe meree nam ho aayee  hai
kaise jheloo ees vipdaa ko mai..
Laash betee kee ghar me aayee hai

Jad sa khadaa hooaa hai beta
Beewee murchi padee hooyee hai
Kaise samjhaao  apne man ko mai
Kafan se betee dakhee huyee hai

laal jode me sajee huyee wo
ragolee bhee rachee huyee hai…
kaise rokoo apne ansoo mai,
arhtee betee kee sajee huyee hai

nahi jhuke the kandhe mere tab
bojh dolee kai maine dhoyaa tha
toot gaye kandhe mere ab
bojh arthee ka kaise dhoun  ab

bade armaano se isko paalaa tha
dhoom-dhaam  se vidaa kiyaa tha
lutaa diyaa tha sab kuch maine tab
unkaa daaman fir bhee khalee tha

hanstee thee wo, sab kuch sahtee thee
chup-cup kar rotee rahtee thee
kisse kahatee vipdaa apnee wo
aayaa ban kar us ghar me rahtee thee

unke ghar fir bas jayengee
ansoo mere kab sookh paayenge
kisse batoo dukh apnaa mai..
dukh pe mere sab hanste jayegne….

(Netrapal Singh)

Very very nice work Netra Ji  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

It is always nice to read you, your revolutionary thoughts and excellent writing... Keep doing the great work  icon_thumleft
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #19 on: May 14, 2009, 01:45:01 PM »
Reply with quote
Netrapal jee aapki is Rachna ne mere to raungte khade kar diye hain, meri bhi teen betiyaan hain.

Aur khuda se bas yahi dua hain ke har beti hasi khushi se apne Sasural me rahe jaise aagan me Tulsi rehti hain. Unpar koi aach na aaye unhe mayke se bhi ziyada pyaar sasuraal me mile......AAMEEN
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #20 on: May 14, 2009, 01:58:53 PM »
Reply with quote
Well said Sajid Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: May 14, 2009, 02:01:58 PM »
Reply with quote
Har Baap ki yahi dua hoti hai...Khuda sab betiyon ko apne amaan main rakhe, khush rakhe.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #22 on: May 14, 2009, 02:03:17 PM »
Reply with quote
Har Baap ki yahi dua hoti hai...Khuda sab betiyon ko apne amaan main rakhe, khush rakhe.

AAMEEN
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #23 on: May 15, 2009, 03:58:19 AM »
Reply with quote
shukriya clemira ji......

netra...
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #24 on: May 15, 2009, 04:03:26 AM »
Reply with quote
sajid bhayee hame chahiye kee ham apnee betiyon ko is kabil banaaye kee wo kam se kam kisee par bhee nirbhar nahi rahe.....lekin hotaa kyaa hai kee aaj ke wayavsaaye yug me sikha itnee mahangee ho gayee hai kee har koi apne bacho ko achee sikhaa nahi de pataa.......or use aaj ke yug me bhee is tarah bhugtnaa padtaa hai....abhee ek taajaa ghatnaa yaha huyee hai kisee ne dahej ke kaarn ek hachee ko sir me 3 inch keel thok kar jagah jagha se jalaa kar sada pe fenk diyaa aap logo kee dua se ham kuch dost kahee se raat ko aa rahe the hamne use hospital pahuchaa hosh me aane par usne ye wakyaa bataayaa tha ab wo theek hai.... bas isee se prerit ho kar ye chand lines maine likhee thee...

Netra...
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #25 on: May 15, 2009, 04:04:18 AM »
Reply with quote
Well said Sajid Applause Applause Applause

thanks rajbir bhayee..

Netra...
Logged
Sager4u
Guest
«Reply #26 on: May 15, 2009, 04:12:45 AM »
Reply with quote

Vipdaa kaisee mujh pe ye ayee hai
aankhe meree nam ho aayee  hai
kaise jheloo ees vipdaa ko mai..
Laash betee kee ghar me aayee hai

Jad sa khadaa hooaa hai beta
Beewee murchi padee hooyee hai
Kaise samjhaao  apne man ko mai
Kafan se betee dakhee huyee hai

laal jode me sajee huyee wo
ragolee bhee rachee huyee hai…
kaise rokoo apne ansoo mai,
arhtee betee kee sajee huyee hai

nahi jhuke the kandhe mere tab
bojh dolee kai maine dhoyaa tha
toot gaye kandhe mere ab
bojh arthee ka kaise dhoun  ab

bade armaano se isko paalaa tha
dhoom-dhaam  se vidaa kiyaa tha
lutaa diyaa tha sab kuch maine tab
unkaa daaman fir bhee khalee tha

hanstee thee wo, sab kuch sahtee thee
chup-cup kar rotee rahtee thee
kisse kahatee vipdaa apnee wo
aayaa ban kar us ghar me rahtee thee

unke ghar fir bas jayengee
ansoo mere kab sookh paayenge
kisse batoo dukh apnaa mai..
dukh pe mere sab hanste jayegne….

(Netrapal Singh)
***** netrapalji !! Aankhon me pani aa gaya,itna dard hai aapke sabdo mai.*****
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #27 on: May 15, 2009, 04:59:29 AM »
Reply with quote
thanks sagar ji,

samaaj kee ek kadwee sachaayee ko dikhaane kee ek chotee see koshish thee ye....

Netra...
Logged
Talat
Guest
«Reply #28 on: May 15, 2009, 08:19:58 AM »
Reply with quote
sajid bhayee hame chahiye kee ham apnee betiyon ko is kabil banaaye kee wo kam se kam kisee par bhee nirbhar nahi rahe.....lekin hotaa kyaa hai kee aaj ke wayavsaaye yug me sikha itnee mahangee ho gayee hai kee har koi apne bacho ko achee sikhaa nahi de pataa.......or use aaj ke yug me bhee is tarah bhugtnaa padtaa hai....abhee ek taajaa ghatnaa yaha huyee hai kisee ne dahej ke kaarn ek hachee ko sir me 3 inch keel thok kar jagah jagha se jalaa kar sada pe fenk diyaa aap logo kee dua se ham kuch dost kahee se raat ko aa rahe the hamne use hospital pahuchaa hosh me aane par usne ye wakyaa bataayaa tha ab wo theek hai.... bas isee se prerit ho kar ye chand lines maine likhee thee...

Netra...

Oh my God..!! Main soch bhi nahin paa rahi ki koi aisa sulook kar sakta hai........kaise log itne laalchi aur bedard ho sakte hain...Kaise insaniyat ki hadd se gir sakte hain....haiwaniyat ki had hai....!!

Aapne sach kaha, aatmnirbhar hona bohot bohot zaroori hai iss daur main...lekin dahej ke naag ne to working women tak ko nahin chorha hai...!! Pata nahin kab log is ghatiya soch se upar aayenge !
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #29 on: May 15, 2009, 11:50:47 AM »
Reply with quote
Oh my God..!! Main soch bhi nahin paa rahi ki koi aisa sulook kar sakta hai........kaise log itne laalchi aur bedard ho sakte hain...Kaise insaniyat ki hadd se gir sakte hain....haiwaniyat ki had hai....!!

Aapne sach kaha, aatmnirbhar hona bohot bohot zaroori hai iss daur main...lekin dahej ke naag ne to working women tak ko nahin chorha hai...!! Pata nahin kab log is ghatiya soch se upar aayenge !

jee sahee kahaa aapne, koi bhee is dard kee kalpanaa bhee nahi kar saktaa parantoo ek sakshaat ghatnaa maine dekhee hai.....

Netra..
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:17:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer